πΊπ’π πππππ ππ ππππππ πππππππ πππ?
βAAJ KA SAWAL NO. 2955β
Safar ka mahina shuru ho chuka hai. Aap Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ka irshad hai ke:-
Safar ke mahine me saari Aafaten aur Musibaten zamin par utarti hain is liye
in sab se Hifazat ke liye har Namaaz ke baad 11 martaba “YA BASITU YA HAFIZU” ka wird kare
ππ»πΊπ’π ππππ π πππ ππππ ππππππ πππβοΈ
Kya safar ka maheena manhoos hai?
π΅JAWABπ΅
ΨΨ§Ω Ψ―Ψ§ Ω Ω Ψ΅ΩΫΨ§ Ω Ω Ψ³ΩΩ Ψ§
Islam me koi mahina, koi din, aur koi ghadi manhus aur bhari nahi.
nahoosat, Allah Taala ki la’nat (phitkaar) aur gazab, namaz chhodne se, soodi len den, zina, naach gana, be pardagi aur behayai wagairah gunah jo ghar ghar me aam hain us se aati hai, lihaza isse bachne ka aehtamam karna chahiye
aur kisi aafat ka nazil hona kisi mahine ke saath khaas nahin,
π Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya bimari ka chep lagna,bad shugooni,ullu ka bolna ya safar ke maheene ka manhoos hona koi cheez nahi hai.
π(SAHEEH BUKHARI HADEES NO.5757)ππ»
Aisa aqeedah islami aqeedah nahin. aisa ap-shugun gair qaum leti hain islam me iski ijazat nahin
Upar sawal me jo hadees paish ki gayi hai woh mavzooa (manghadat, jhoothi) hai
lihaza galat aqeedah ke saath kisi khaas wird ka ehtamam bhi durust nahi.
Ω Ψ§ΩΩΩ Ψ§ΨΉΩΩ Ψ¨Ψ§ΩΨ΅ΩΨ§Ψ¨
πAGLATUL AWAM SAFHA 37 SE MAKHOOZ
Ω Ψ§ΩΩΩ Ψ§ΨΉΩΩ Ψ¨Ψ§ΩΨ΅ΩΨ§Ψ¨
βMufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
πUstad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.