Ek aorat ko ys ke shohar ne talaq de di hai Ya shohar ka intiqal ho gaya ho to woh kisi dusre shakhs se iddat me sirf nikah karna chahe to iddat me nikah hoga ya nahi?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Iddat guzarne se pehle nikah karne se nikah saheeh nahi hoga.
FATAWA ALAMGIRI 1/280
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
18 RABEEUL AWWAL1441 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.
Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai
IDDAT ME GHAR KE SAHAN ME NIKALNA 1659
Muataddah-iddat guzarnewali aorat apne ghar ke sahan ya bade me khuke aasman ki niche nikal sakti hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Han apne ghar ke andar rehte huwae ghar ke har hisse me aur sahan-baade me bhi nikal sakti hai, woh bhi ghar ka hissa hai,
KITABUN NAWAZIL 10/200
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH:
28JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
Aurat Ka Mard Ki Ijazat Ke Sath Jana 1531
‘Aurat Ka Mard Ki Ijazat‘ Ke Sath Hi Jana Kaisa Hain? iJazat Zaroori Hai?
Aur Mard Ko Aorat Ko Ijazat Dena Kab Jaiz Hai?
Jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
“Aurat Ka Mard Ki Ijazat” Aur Sharee Parde Ke Sath Jana Farze Aen Aur Zaroori Hai.
“Aurat Ka Mard Ki Ijazat” Ye Ijazat Chahe Saraahatan -Saaf Saf Ho, Ya Dalalatan Yani Aorat Ko Ye Yaqeen Ya Galib Guman Ho, Ye Zaroori Kaam Hai, Isliye Mera Mard Ko Puchhe Bagair Nikalne Ke Pata Chalega To Mard Naraz Na Hoga, Ya Me Is Kaam Ke Liye Agar Ijazat Magungi To Mana Nahi Karega To Ye Jazat Samjhi Jayegi.
Mard Gair Sharee Aur Gair Zaroori Kaam Ke Liye Aorat Ko Ghar Se Bahar Nikalne Ijazat Dega To Gunehgar Hoga.
Umdatul Fiqah 1/106
و الله اعلم بالصواب
Islami Tareekh 21 Safar 1440 Hijri:
“Aurat Ka Mard Ki Ijazat“: Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustad E Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
MISWAK AURTON KE LIYE BHI SUNNAT?
⭕AAJ KA SAWAL NO.2496⭕
Miswak karna aurton ke liye usee tarah sunnat hai? Jaise Mardon ke liye?
🔵JAWAB🔵
Miswak jaise Mardon ke liye masnoon hai usi tarah Aurton ke liye bhi masnoon hai. Hadees Shareef me hazrat Aaisha (radeeallahu anha) se saraahat ke sath miswak Karna saabit hai.
Lekin baa’z fuqaha kehte hai ke Aurton ke daant chu ke kamzor hote hai is liye un ke liye alak (gond) ya khurdare-jo Lisa na ho wese kapde ka istimal miswak ke qaaim muqaam hai. Un ko miswak ki bajaae alak/gond istimal karna chahiye. Us se daant saaf aur masoode mazboot ho jate hai aur miswak ka sawab haasil ho jata hai, lekin sawab ki shart ye hai ki istimal ke waqt miswak ki niyyat ho, agar niyyat hogi to sawab milega Varna nahi.
Aur ye bhi maujood na ho to ungli ko hi miswak ki niyyat se daanto par pher le.
Sunune Abi Da’ood me hai:
عن عائشة أنَّھا قالت: كان نبيُّ الله صلى الله عليه وسلم يَستاكُ فيُعطيني السِّواكَ لأغسِلَه، فأبدأُ به فأستاكُ، ثمَّ أغسِلُه وأدفَعُه إليه.
TARJAMA: Hazrat Aaisha (radeeallahu anha) rivayat karti hai ke nabi (sallallahu alaihi wasallam) miswak ka irada farmate to mujhe miswak dhone ke liye dete the. Chunanche me pehle miswak karti, phir use dhokar rasul ullah Sallallahu alaihi wasallam) ki khidmat pesh karti.
📘(Miskhatul Masabeeh: Safa 45 Jild 1 Baab-ul- Miswak)
📕Bahawala Durre mukhtar ma’a radul Muhtaar 1/75
📙Fatawa Hindiya: 1/7
📗Imdadul Fatawa jadeed 1/201
CHACHA KHUSAR AUR SHOHAR KE MAMU SE PARDAH
⭕AAJ KA SAWAL No. 2590⭕
Bivi ke liye chacha khusar (sasur ke bhai) se aur shohar ke mamu (saas ke bhai) se pardah hai?
Ba’az log kahte hain ke taqwe ki roo se hai fatwe ke roo se nahi. saheeh kya hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Chacha khusar aur shohar ka mamu mahram me se nahi, lihaza aur koi hurmat (mahram hone) ka rishta na ho to us se pardah hai.
📕MAHMOODUL FATAWA 6/28
و الله اعلم بالصواب
AURTON KE LIYE BADE LADKON KO PADHANE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2591⭕
Aurat teaching kar sakti hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Padhnewali aurten ya chhotte bachche ho to taleem de sakti hai.agar bade ladke ho to parde ke sharaait ka lihaz karte huwe fitne ka andesha na ho to gunjaish hai.
ba sharte ke taleem jaiz umoor-kamon ki honi chahiye.
📕MAHMOODUL FATAWA 8/28
و الله اعلم بالصواب
GAIR MAHRAM KE PAAS DAANT (TEETH) KI SAFAI
⭕AAJ KA SAWAL No. 2599⭕
Meri bivi ke daanton par kaale daag ho gaye hain jo dikhne me kharab lagte hain, to kya uski safai, fir us par khol (cover) chadhana gair mahram mard doctor ke paas karva sakte hain ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Yah ilaj zeenat ke waste hai jo gair mahram ke paas karvana jaiz nahi.
📗MAHMOODUL FATAWA 8/27
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL NO.2613
mard aur aurat jab paak hai to un ki sharamgah ka zahiree hissa paak haibL ya napak?
agar ham bisaree ke waqt mard aurat ko apni sharm gah munh me dewe ya chataye ya us ki sharamgah chume to jaiz hai ya nahi?
aesa masail puchhne se sharm mahsoos hoti hai lekeen zarooratan daryaft kiya hai.muaaf farmayen.
🔵JAWAB🔵
hazrat saiyyad mufti abdur raheem lajpooree rahmatullahi alayhi tahreer fatmate hai ke deen ke masail aur ahkaam daryaft karne me sharmo haya ko aad nahee banana chahiye. agar sharmo haya ka lihaz kar ke deenee ahkam maloom na kiye jayen to sharee ahkam ka ilm kaise hoga?
quraan me hai,allah taala haq baat kehne me kisi ka lihaz nahi karta.
be shak sharm gah ka zahiree hissa paak hai lekeen ye zarooree nahi ke har paak cheez ko munh lagaya jaye aur munh me liya jaye us ko chuma jaye aur chata jaye.naak ki rutoobat -Nik sende-paak hai to kiya naak ke andar ke hisse ko zuban lagana aur us kee rutoobat ko munh me lena pasandeedah aadat ho sakti hai?
aur us ki ijazat ho sakti hai!
pakhane ki jaga ka zahiree hissa bhi naapak nahi.paak hai to kiya us ko bhi chumne chatne ki ijazat hogi?
nahee hargiz nahi.isee tarah Mard kee apnee sharmgah aurat me munh me dena jaiz nahi.sakht makrooh aur gunah hai.
jis munh se woh allah ka naam letee hai.huzoor salahu alyhe wasallam par durood shareef padhtee hai.quran shareef padhtee hai us munh me napakee dalne ko kaise gawara kiya ja sakta hai!astagfirulah!
shair kehta hai,(farsi shear ka tarjamaa)
‘hazaar bar dhowun apne munh ko mushko gulab se
fir bhi tera naam lena kamale be adabee hai.’
ye gair qaumon ka calchar hai aur print aur electronic midea ke galatbistiamal ki nahoosat hai jo islamee mijaz ke bilkul khilaf hai.sharn gah chumna kutton,bakron wagaieah haywanat ki khaslat ke mushabah hai.aur munh me dena to aesi buree cheez hai ke nar janwar bhi apnee maadaon ke sath aesa nahi karte.
ye to us surat me jab mard ki sharmgah ke sakhti paida na hui ho aur sakhti paida ho gai ho fir bivi ki munh me sharmgah me dee jaye to mazee (mani se pehle nikalnewala pani) ka nikalna yaqeenee hai aur mazee galeez najasat aur sakht napaa hai.napaki ko munh me dena aur lena haraam hai.aur aaj kal ki gairon ki tahzeeb ki naqal kar oral sex karna yani munh me mani kharij karne sakht haraam aur intihaee gheenawani harkat hai.
📗(fatawa raheemiyah jadeed 10/178 ba hawala aalamgiree hazfo izafe ke sath)
📕Jamia binoria aalamiya karanchi cerial no.9868
allah taala puree ummat ki gairon ki tahzeeb aur midea ke galat istiamal se pooree hifazat farmayen.aameen.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2614⭕
Bivi ke pistan munh me le sakte hain ?
Agar koi bivi ka doodh pile to kya bivi haraam ho jayegi ya nikah par koi asar padega?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Haan, Bivi ke pistan munh me le sakte hain aur dudh agar munh me aa jaye to use fauran thuk de agar koi pi gaya to bivi haraam to nahi aur na nikah par koi asar pada. lekin usne yah ganda aur gunah ka kaam kiya, aaindah aisi harkat na karne ka ahad kare aur isse taubah kare.
📗FATAWA QASMIYA 22/51
و الله اعلم بالصواب
NIKAH ME VALI KISE BANANA CHAHIYE?
⭕AAJ KA SAWAL No. 2615⭕
Nikah me ladki ka Vali kise kehte hain?
Vali kon ban sakta hai?
Kis ka haq zayada hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Ladki aur ladke ke Nikah karne ka jisko Ikhtiyar hota hai usko “Vali” kehte hain.
Ladki aur ladke ka vali sab se pehle uska baap hai, Agar baap na ho to dada, woh na ho to pardada, agar yah log koi na ho to saga bhai, saga bhai na ho to soutela bhai ya’ani baap sharik bhai (baap ek ho maa alag alag), fir bhatija, fir bhatije ka beta, fir bhatije ka pota, yah log na ho to saga chacha, fir sotela chacha, ya’ani baap ka sotela bhai, fir sage chacha ka beta, fir uska pota, fir sotele chacha ka beta, fir uska pota, yah koi na ho to baap ka chacha vali hai, fir uski aulad. Agar baap ka chacha aur uske bete, pote, padpote koi na ho to dada ka chacha, fir uske ladke, pote, padpote wageirah yah koi na ho tab maa vali hai, fir daadi fir naani, fir nana, fir haqeeqi bahan, fir soteli bahan jo baap sharik ho, fir jo bhai bahan maa sharik ho, (maa ek baap alag alag) fir fufi, fufa, maamu, fir khala wageirah.
Na balig, kafir kisi musalman ka vali nahi ho sakta aur majnoon paagal bhi kisi ka vali nahi hai.
📗BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 384
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 2616⭕
Halate haiz me ya waise hi bivi se aage ke bajaye pichhe ke raaste se suhbat ki, to kya is se nikah toot jata hai ?
Agar aisa kar liya to is ki talafi ki kya surat hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Is gair insani harkat se nikah nahi tutega, agarche yah intihai bura aur sakht tareen Kabeera gunah hai is se sachche dil se tauba aur istigfar karna zarooree hai, aur tauba ki niyyat se kuchh sadqah bhi kar den.
📗KITABUN NAWAZIL 8/555
و الله اعلم بالصواب
KIN AYYAM ME BIWI SE TA’ALUQ QAAIM NAHI KAR SAKTE?
⭕AAJ KA SAWAL No. 2621⭕
Woh konse makhsoos ayyam hain Jinme Shohar biwi se, miya-biwi ke ta’aluq qaaim nahi kar sakta?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Qur’an Majeed ne haizo-nifaas ki haalat me sohbat se mana Kiya hai:
فاعتزلو انسآء في المحيض ولا تقربوهن حتى يطهرن،
Isliye is haalat me biwi se ta’aluq paida karna haraam hai. Agar janabat ki haalat ho to haram nahi.
Isee tarah agar aurat ki sehat uski muhtammil (bardasht) na kar sakti ho, aur Doctor ne sohbat se mana Kiya ho, ya mard kisi aisi khatarnaak bimari me mubtala ho jo sohbat se mut’addi-transfar hoti ho, to aurat Ko hambistari ke liye majboor karna durust nahi. Kyu ke ye aurat Ko nuqsan pahunchana hai, aur zaahir hai ki uski ijaazat nahi.
(Is ke alawah koi aise khas din-peer, budh wagairah ya koi waqt nahi hai jis me shareeat ke aetibar se sohbat mana ho)
و الله اعلم بالصواب
Aurat ko Validen se Mulaqat ka Haq hai
⭕AAJ KA SAWAL No. 2629⭕
Shohar Shaadi ke baad apni biwi ko uske validen se mulaqat karne se rok sakta hai ?
Kya uska rokna durust hai?
Aur biwi per uski ita’at karna wajib hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Nikah ki wajah se pahle rishte khatm nahi ho jaate balke pahle ke rishte usi ahmiyat ke saath baaqi rehte hain,
Azdavaji rishta to aisa hai ke toot sakta hai aur toda jaa sakta hai lekin validen aur aulad ka rishta atoot hai isliye yah kaise durust ho sakta hai ke shohar apni biwi ko uske validen se ya mahram rishtedaro se mulaqat karne se rok le?
Yah Qata’rahmi (rishta naata todna) hai aur Qata’rahmi haraam hai, Aurat ko apne validen se milne Aur validen ko apni beti se mulaqat karne ka haq hasil hai,
Balke fuqaha ne likha hai ke agar aurat ke validen aur uske mahram rishtedar usi shahar me maujood hon to unse mulaqat karne se nahi rok sakta.
tafseel yah hai ke waalidain agar bety ko milne aa sakte hain to wo aayen mulaqat kar ke chale jaayen, aur agar unka aana mumkin na ho to hafte me ek martaba validen se milne jaa sakti hai, lekin aane jaane kaa kharch shohar se legi, Aur mahine yaa saal me ek dafa mahram rishtedaro, bhai, chacha wagairah se mulaqat karne ka haq hasil hai, shohar is se rok nahi sakta.
و الله اعلم بالصواب
SHOHAR KI IJAZAT KE BAGEIR MULAZIMAT
⭕AAJ KA SAWAL No.2630⭕
Mere shohar kamate nahi hain, na mera kharch saheeh taur par dete hain, na bachon ki ta’alim ke ikhrajaat adaa karte hain,
Baar Baar kehne ke bavjood koi tavajjuh nahi di. Isee liye majboor ho kar mene ek school me mulazimat ikhtiyar kar li hai. Isee se ghar ki zarooriyat poori Hoti hain.
Ab woh mujh par dabav daal rahe hain, ke tum mulazimat chhod do me mehnat mazdoori karunga.
Is soorat me shar’an mujhe kya karna chahiye? Kya me unki ijazat ke bageir mulazimat kar Sakti hun ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Asal me kamana mard ki zimmedari hai aur ghar ke andar ke kaam ko sambhalna aurat ke zimme hai.
Aap ke shohar ka mehnat mazdoori karne jee churana apni shar’ee zimmedari se bhagna hai. Isliye aam haalat me aurat ka shohar ki ijaazat ke bagair mulazimat karna jaaiz nahi.
Lekin agar shohar Apne faraiz adaa na karta ho, to shohar ki ijaazat ke bagair bhi aurat ke liye apni buniyadi zarooriyat ki pura karne ki garz se shar’ee parde ke saath mulazimat karna jaiz hai. (Jab shohar pabandi ke saath kamaa kar kharcha pura karna shurooa kar de us waqt mulazamat chhod dena zarooree hoga).
📗KITABUL FATAWA 9/325 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
AAJ KA SAWAL NO.2640
Kise ne apni bivi ko maa kahaa to kya hukm hai?
Zihaar to nahi huwa na?
Zihaar kise kehte hain?
Jis se nikah par asar padta hai.
JAWAB
حامد ومصلیا و مسلما
Agar kisi ne apni bivi ko kahaa ke tu meri maa ke barabar hai ya tu meri maa jaisi hai ya tum to meri maa ho, maqsad is se bivi ki buzrugi aur izzat karna ho ya is niyyat se kahaa ho ke tu umar me meri maa ke barabar hai to nikah par koi asar nahi pada ya aise hi bak diya, koi niyyat nahi ki to bhi kuchh bhi nahi huwa.
Agar is niyyat se kahaa ke tu mujh par meri maa ki tarah haraam hai ya is se talaq dene ya chhodne ki niyyat ho to talaqe bain pad jayegi ya’ani ek talaq pad kar nikaah khatm ho jayega. ya us kehne se niyyat ho ke me tujhe talaq to nahi deta magar tu roti kapda le aur yahaan padi reh me tujh se sohbat nahi karunga to is se bhi talaqe baain padegi.
DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 392
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
AAJ KA SAWAL NO.2641
KAL ZIHAR KI TA’ARIF BATAYI THI USKA HUKM KYA HAI ?
KYA BIVI SE DOBARAH NIKAH KARNA PADEGA?
JAWAB
حامد ومصلیا و مسلما
ZIHAAR KARNE (MAA KI TARAH APNE PAR HARAAM KARNE) SE BIVI NIKAH SE TO NAHI NIKLEGI MAGAR BIVI SE SOHBAT KARNA, BOSA DENA, SHAHWAT SE HAATH LAGANA YAH SAB HARAAM HO JAYEGA,
JAB TAK KE USKA KAFFARAH ADAA NA KARE, CHAHE ISEE HAALAT ME KITNE HI SAAL NIKAL JAAEN,
HAAN, JAB KAFFARAH ADA KAR DEGA TO USKE BAAD DONO MIYA BIVI KI TARAH RAH SAKTE HAIN, NAYA NIKAH PADHNE KI ZAROORAT NAHI.
USKA KAFFARAH WOHI HAI JO ROZAH TODNE KA KAFFARAH HAI.
BAHISHTI ZEWAR SAFA 393
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2648⭕
A.
Meri bivi lambi muddat se bimari me mubtalaa hai jiski wajah se kamzor aur kam taaqat hai koi kaam nahin ho sakta. 6 ,7 saal se yah haalat hai.
ilaj muaalajah ke bawajood koi farq nahin, is haalat me hamal ke dinon me tabiyat kharaab rahti hai. kamzori me mazeed izafa ho jata hai aisi haalat me operation karvana jaiz hai ya nahin?
Doctor aur hakeem kehte hain ke tum operation nahin karvaoge to tabiyat aisi hi rahegi lihaza kya kiya jaae?
B.
Mere dost ke 3 bachche seasor se aaye hain unko bhi doctor ne bola hai operation karana zarooree hai chautha bachcha ab agar aap ki bivi se paida hoga to us ki jaan ko khatrah hai
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
A.B.
Jab kamzori aur tabiyat ki kharabi ki wajah se ya seasor ki wajah se hamal ko baaqi rakhna mushkil hai hamal bardasht nahin ho sakta to sab se pahle aisa ilaaj kiya jaae jis se hamal na thehre aur dawai hoti rahe fir agar yah waqti tadbeer (idea) mufeed sabit na ho to akheeree darajah me musalman, deendar mahir hakeem ya musalman deendar tajarbahkar doctor ke kahne ke mutabiq operation karvana jaiz hai is baare me gair muslim hakeem ya doctor kai salaah (mashwarah) ke aetibar nahin hai.
📗FATAWA RAHEEMIYAH 10/181 KARANCHI
📘FATAWA QASMIYAH 23/266
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
Aurat ek waqt me ek se ziyadah shaadi kyun nahi kar sakti?
AAJ KA SAWAL NO.2666
ISLAM ME AURAT KO EK HI SHAADI KI IJAZAT DEE HAI AUR MARD KO CHAR SHADI KI IJAZAT DEE HAI AURAT KE SAATH AISI NAA INSAFI KYUN?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Iski wajah niche diye gaye waqiye se maloom hogi, waqiya paish kiya jata hai.
Science ke daayre me Qur’ani moajizaat ki ek jhalak
Ek Maahir Yahudi (jo deeni aalim bhi tha) khule taur par kaheta hai ke rooe zamin par Musalman khatoon se ziyadah paak baaz aur saaf suthri kisi bhi mazhab ki khatoon nahi hai.
Poora Waqiya yun hai ke Albert Einstein Institute se ta’alluk rakhne wala ek maahire janin (hamal ki janch ka mahir) Yahudi Peshwa Robert ne apne Islam qubul karne ka elaan kiya, jiski vaahid wajah yeh bani ke Qur’an me mazkur Mutallaqa (Talaq Shuda Aurat) ki Iddat ke hukm se waqifiyat aur iddat ke liye Teen Mahine ka jo waqt diya gaya hai uske pichhe ki Hikmat.
Allah ka farmaan hai
“والمطلقات یتربصن بأنفسهن ثلاثة قروء”
[البقرة:228]“Mutallaqa apne aap ko teen mahine tak roke rakhe”
Is aayat ne DNA ke research me ek ajeeb jankari haasil karne ka rasta khola aur yeh pata chala ke mard ki Mani (Sperm) me Protien dusre mard ke muqable 62% percent alag hota hai. Aur Aurat ka jism ek computer ki tarah hai, jab koi mard ham bistari/sohbat karta hai to aurat ka jism mard ke Bactaria ko jazb (Save) kar leta hai.
Is liye Talaq ke fauran baad agar Aurat kisi dusre mard se shaadi kar le yaa fir ek waqt me kayi logo ke saath jismani ta’alluk qaaim rakhe to iske badan/jism me kayi DNA ki print/chhaap Bactaria ki shakl me jamaa ho jaate hain jo khatarnak Virus ban jaate hain aur jism ke ander jaan leva bimariya paida hone ka sabab banti hain. Science ne pataa lagaya ke Talaq ke baad ek Haiz/Maasik guzarne se 32% se 35% percent tak Protien khatm ho jaate hain,
aur dusre Haiz aane se 67% se 72% tak Mard ke DNA ki chhap kam ho jaati hai,
Aur Tisre Haiz me 99.9% ka khatma ho jaata hai aur phir Aurat ka jism baaqi DNA ke asar se bilkul Paak ho jata hai…
Aur bagair kisi side effect va nuqsan ke naye DNA ki print Qubul karne ke liye taiyar ho jaata hai. Ek tavaif/call girl kayi logo se ta’alluk banati hai jiski wajah se uske jism me alag alag mardo ki Mani (Sperm) chali jaati hai aur jism me alag alag DNA ki chhap jamaa ho jaati hai, aur iske natije me woh kayi badi badi bimariyo ki shikar ho jaati hai.
Aur rahi baat Inteqal hue mard ki Bewa ki iddat to iski iddat Talaq shuda Aurat se ziyadah hai, kyunke gam tention ki wajah se pichhle DNA ka asar jaldi khatm nahi hota aur ise khatm hone ke liye pahele se ziyadah waqt chahiye hota hai isee ki riayat karte hue aisi Aurat ke liye char mahine aur das din ki iddat rakhi gayi hai, farmaane ilahi hai
“والذين يتوفون منكم و يذرون أزواجا يتربصن بأنفسهن أربعة أشهر و عشرا”
[البقرة:٢٣٤]“Aur tum me se jiski wafat ho jaye aur apni biviyan chhode to chahiye ke woh char mahine das din apne aap ko roke rakhe”
Is haqiqat se raah paakar ek maahir doctor ne America ke do alag alag ilaqo me tahqiq kee, ek mohalla jahaan African Musalman rahete hain wahaan ki tamam Aurto me sirf ek Shohar hi ka DNA ka asar paaya gaya, jab ke dusre mohalle jahaan asal American aazad aurte raheti hain inme ek se ziyadah do teen logo tak ke DNA ka asar paya gaya. Jab doctor ne khud apni biwi ka Blood Test kiya to chonka dene wali haqiqat samne aayi ke iski biwi me teen alag alag logo ke DNA paye gaye, jiska matlab yeh tha ke iski biwi ise dhoka de rahi thi, aur yeh ke iske teen baccho me se sirf ek iska apna baccha hai.
Iske baad doctor puri tarah kaaeel (maanne wala) ho gaya ke sirf islam hi woh deen hai jo Aurto ki hifazat aur samaaj ki paakizgi ki zamanat (guaranty) deta hai aur is baat ki bhi ke musalman Aurte duniya ki sabse saaf suthri paak daaman v paak baaz hoti hain.
Musalman is Post ko ziyadah se ziyadah Share kare.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻TASDEEQ: Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
ISLAM ME AURTON AUR MARDON KE BUNYADI HAQ BARABAR HAI
AAJ KA SAWAL No. 2673
Islam me aurton ke haq kam aur mardon ke zayada hai aur fesla sirf mard ja chalta hai ye baat saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Insan ke buniyadi hukuk Jaan,Mal,izzat ki hifazat aur insani jazbaat ka khyal,insani zarurat ismein mard aurat donon ko Islam ne barabar qarar Diya hai Albatta Mard ko aurat par Sadar aur Amir aur faisal banaya hai take donon ke ikhtilaf mein faisla ho sake aur ba’z chizon mein mard ko auraton ke muqabale mein khusoosiyat Dee hai kyun ke mard aur aurat donon main fitrat ,Jism aur aadat ke eatibar se farq hai isliye baaz ikhtiyar mard ko diye hai aurat ko nahi Jaise imam,qazi, Haakim banna, azan dena,talaq dena ,talaq se rujooa karna wagairah.
aurat ki aawaz parde ki cheez hai aur aksar aurton me QUVVATE fesla,quvvate bardasht,sabr mardon ke muqabale me kam hoti hai isliye baaz ikhtiyar AORTON ko nahi diye warna muaashare me bahut nuqsan aur kharabiyan paida hoti.
📗SURAH E BAQARAH
AYAT.228
📘TAFSEER E MARIFUL WA AASAN TAFSEER SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
AAJ KA SAWAL NO.2674
Kiya quran me chehre ke parde- naqab ka hukm saraahatan-saaf saaf hai?
baz log kehte hai chehre ka parda quran se sabit nahi.ye baat saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
han saf hukm sabit hai jese ke pehli daleel
📕quran ka parah 22 surah e ahzab me ayat no. 59 me allah taala farmate hain
یایہا النبی قل لازاجک و بناتک و نساء المومنین یدنین علیہن من جلابیبہن
ae nabi e akram SALALLAHU ALAIHI WASALLAM! Aap apni paak bibiyon aur apni betiyon aur mumin aurton ko farma dijiye ke apne chehre par apni chadar Ka kuchh hissa latkaye rakhe
Us zamane me naqab nahi bane the lihaza chahre ko chhupane ke liye chadar ka kona latka liya jata jis me se ek aankh bhi rasta wagairah dekhne ke liye khuli rakhi jati thi. Dusri daleel
📘Parah 18 Surah e noor me hai.@ 31 me hai
و لا یبدین زینتہن
Aur apni zeenat zahir na kare
(Zeenat ke cheezen honth, gaal, aankh, naak ye sab chehre me hee aata hai.aurat me zeenat ka asal markaz chehra hai lihaza use to dusre aaza ke muqabale me khas taur par khula na rakhna chahiye balke dhankna chahiye)
Tisree daleel surah e agzaab me sahaba radee allaahu anhum jaisee nigah ko paak rakhne wali jamat ko hukm hai “
اِذَا سَاَلْتُمُوْہُنَّ مَتَاعًا فَسْئَلُوْہُنَّ مِنْ وَّرَآءِ حِجَابٍ ؕ ذٰلِکُمْ اَطْہَرُ لِقُلُوْبِکُمْ وَ قُلُوْبِہِنَّ ؕ
Jab paigambar ki biviyon(jo hamari ruhani maayen hai) se koi cheez maango to parde ke pichhe se maango.
📗(Surah e ahzab parha 22 Ayat 54) paak bibiyon ke bare me bura waswasa bhi nahin aa sakta tha fir bhi parde ke pichhe de baat karne ka hukm hai to dusre aam aurton ko chehra dekhane ki aur mardon chehra dekhne ki aam ijazat kaise ho sakti hai.lihaaz chehare ke parde ko shareeat hukm na mannewale log gumaraah hai.
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA