Azaan Aur Iqamat Ka Hukm
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1511⭕
Azaan aur iqamat ka kya hukm hai? kin namazon me kehni chahiye? ?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Azaan aur iqamat farz namaz ke liye sunnate muakaddah hai chahe namaz ada padh raha ho ya qaza, akela padh raha ho ya jama’at se albattah jama’at se qaza namaz masjid me padh raha ho to azan aur iqamat na kahe is me apne namaz chhodne ke gunah ka izhar hai, haan akela qaza padhe to itni aahista awaz se kahe ke sirf khud sun le.
📗MARAQIYUL FALAH BABUL AZAAN
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :2 SAFAR 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.