Bidat and Rasm o Riwaj


BAAL MUBARAK

SAWAL

BAAL MUBARAK

BAAL MUBARAK KE DEKHNE (ZIYARAT KARNE )KA KYA HUKM HAI?

Jawab

Hadees shareef se sabit hai ke huzoor salallahu alayhi wasallam ne apne baal mubarak sahaba ​radeeyallahu anhum  ko taqseem farmaye the.
Fatawa ibne taymiyah me hai huzoor salallahu alayhi wasallam ne apne baal mundwakar aadhe sar ke baal abu talha radiyallhu anhu ko diye aur aadhe logon ke darmiyan taqseem farma diye.
Agar kisi ke paas ho to tajjub ki baat nahi.agar us ki saheeh aur qabile aetimad sanad (puri chain ho ke ham tak kis kis ke zariye pahoncha) ho to us ki ta’azeem-ziyarat karna bahot badi khush naseebee hai.
Agar sanad na ho aur banawati hone ka bhi yaqeen na ho to khamoshi ikhtiyar ki jaye na us ki tasdeeq kare-(sachcha samjhe) na takzeeb-(jhutlaye).na ta’azeem kare na tauheen kare.
Baal mubarak aur dusre nabavi tabarrukat khairo barkat ko vajib karnewale hain aur us ki ziyarat se ajro sawab milta hai.
Use dekhne me mardo aur aurato ka melap na ho hazrat aaishah radiyallahu anha apne zamane ki aurto ke mutalliq farmati hai ke rasoolullah sallallahu alyhi wasallam is zamane ki aurto ko dekhte to un ko masjid me jane se manaa farmate.
Lihaza aurto ko jamaa na kiya jaye.
(tabarrukate mubarakah ko hamare gunehgar hath na lagaye jaye.sirf ziyarat par bas kiya jaye.)

tabbarukat se barkat hasil karne ka saheeh aur jaiz tareeqah yeh hai ke khas tareekh tay kiye bagair logon ko jamaa karne ka ehtimam kiye bagair jab dil chahe ziyarat kare karaye.
Sahaba ke zamane me dastoor tha ke kisi nazar wagairah ki takleef ho jati to ummul mumineen hazrat umme salmah radiyallahu anha ke paas pani ka piyalah bhej diya jata.aap ke paas baal mubarak the.unko chandi ki nalki me mahfooz rakha tha.pani me us nalki ko dal dete the.aur woh pani mareez ko pilaya jata tha.
( qustalani sharhe bukhari j.8/ s.382)
hazrat asmaa radiyallahu anha ke paas huzoor salallahu alayhi wasallam ka kurta mubarak tha.farmati hai ke ham use pani me dhokar woh pani apne bimaron ko bagarze  shifa mareez ko pila diya karte hain.

(saheeh muslim 2/190)

( fatawa raheemiyyah jadeed babul ambiyaa
jild 3/safa 40 se 42 ka khulasa urdu ki asani ke sath)
ham aehle sunnat wal jamaat tabarrukat se barkat hasil hone ko mante hai.lekeen use sab kucch na samjhe.najat to aamal se hogi bila amal wa ittiba e nabi sallallahu alaihi wasallam sirf zahiri muhabbat ka dhong aur muhabbat ke dawe kafi nahi.

Gair muqallid-naam ke aehle hadees asal wahabi tabbarukat se barkat hasil karne ko nahi mante.
Allah hame sachchi aur kamil muhabbato ishqe rasol salallahu alayhe wasallam naseeb farmayen.ameen

12 RABIUL AWWAL KO KYA KAREN ?

SAWAL

12 RABIUL AWWAL KO KYA KAREN ?

KAL EIDMILADUN NABI KO KYA KARNA CHAHIYE SHARIAT ME IS BARE ME KYA RAHNOOMAEE HAI?

Jawab

Huzoor salallahu alaihi wasallam ki wiladat aur wafat ki tareekh me sakht ikhtilaf hai isliye ke in dono dino me har saal kuchh bhi karne ka ihtimaam sahaba nahi kiya khud huzoor salallahu alaihi wasallam ne bhi 63 salah zindagi me wiladat ka din (brithday) nahi manaya aap ki pedaish peer ke din hui thi is liye aap peer ke din aksar roza rakhte the isliye peer ke din roza rakhna sunnat hoga
lekin tareekh manana aur usee tareekh ko kuchh amal rozah namaz juloos naat wagairah

Na huzoor salallahu alaihi wasallam se sabit he na tamaam sahaba e kiram radeeyallahu anhum se sabit he.
Na taabein wa tabe tabein se sabit he
na awliya e kiram se sabit.
Na charon maslak ke imamon se sabit. Halan ke woh log huzoor salallahu alaihi wasallam sab se ziyadah muhabbat karnewale aur shariat ko jannewale the
na fiqah wa hadees ki tamaam kitabon me is bare me koi rahnumaee-kuchh likha huwa

Lihaza is din na khushi manaye na ranj, kyun ke wafat bhi isee din hui hai iseeliye ham aaj se 10 sal pehle ise bare wafat kehte the wafat bhi allah talaa ne isee din rakhi take log gairon ki tarah khushi manane se ruk jaye.

BIDAT KISE KEHTE HAI?

SAWAL

BIDAT KISE KEHTE HAI?

US KI TAREEF-DEFINATION DEWBANDI AUR BARELVI DONO HAZRAAT KE MUTABIQ BATAYE.

 

JAWAB

 

HAZRAT MUFTI KIFAYATULAH RAHMATULLAHI ALAYHI (WAFAT 1372 HIJRI) LIKHTE HAIN

BIDAT UN CHEEZON KO KEHTE HAI JIN KI ASAL SHAREEAT SE SABIT NA HO YAANEE QURANE MAJEED, AHADEESE SHAREEFAH SE US KA SUBOOT NA MILE AUR RASOOLULLAH SALALLAHU ALAIHI WASALLAM AUR SAHABAH E KIRAM RADEEYALLAHU ANHUM AUR TABIAYEEN AUR TABIA TABIAYEEN RAHMATULLAHI ALAYHIM KE ZAMANE ME US KA WAJOOD NA HO AUR US KO DEEN KA KAAM SAMJH KAR KIYA JAYE YA CHHODA JAYE.

(TA’LEEMUL ISLAM HISSA 4 SAFAA 27)

 

BARELVI MASH’HOOR ALEEM MOLVI MUHAMMAD SALIH LIKHTE HAI BIDAT US CHEEZ KO KEHTE HAI JO UMOORE DEENIYAH (DEENEE KAAM) SE SAMJHI JAYE MAGAR KISI DALEELE SHAREE SE US KA SUBOOT NA MILTA HO NA KITAB (QURAAN) SE, NA AHAADEESE NABAVIYYAH SE NA IJTIMAAE MUJTAHIDEEN SE (TABIYEEN AUR TABIA TABIAYEEN KO DAUR KE ULAMAA KA ITTIFAQ) NA QIYASE SHAREE SE.

TUFATUL AHBAB SAFA 95

 

(UPAR BARELVI ALIM NE DEENEE KAAM KI QAID LAGAI HAI IS SE MALOOM HUWA KE NAYEE CHEEZEN JO HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE ZAMANE ME NAHI THI JESE CHAY,BIRYANI,BUS,GHADI WAGAIRAH IN SAB KA ISTISMAL BIDAT NAHI KIYUN KE HAM USE DEEN YA SAWAB SAMJH KAR NAHI KARTE)

 

DUSRE BARELVI ALIM MOLVI ABDUS SAMEEA RAMPUREE LIKHTE HAI

JIN NE NIKALI IS DEEN ME WOH BAAT JO DEEN KI QISM ME SE NAHI HAI YANI KITABULLAH AUR SUNNAT (HADEES) KE MUKHALIF HAI WOH BAAT US KI RAAD (NA QABILE QUBOOL) HAI.

ANWARI SAATIAA SAFA 33.

 

BIDAT KI QISMEN

 

1.BIDATE HASANAH

2.BIDATE SAIYYEH

 

HAZRAT IMAM SHAFIEE RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAI KE BIDAT KI DO QISME HAI EK WOH BIDAT JO KITAB, SUNNAT, YA IJMAA YA KISI SAHABEE KE ASAR (BAAT) KE MUKHALIF HO AESEE BIDAT GUMRAHI (BIDATE SAIYYEH) HAI AUR

JO UN ME SE KISI KE MUKHALIF NA HO TO AESEE BIDAT KABHI ACHCHHI (HASANAH) HOTI HAI JESE HAZRAT UMAR KA QAUL YE (20 RAKAT TARAWEEH) KIYA ACHCHHI BIDAT HAI (KISI BHI SAHABI SE SABIT NAYI CHEEZ LUGAT-DICTIONAY KE AITIBAR SE BIDAT HAI HAQEEQATAN BIDAT NAHI)

MUWAFIQATU SAREEHUL MA’AQOOL.. ALAA MIHAJIS SUNNA 2/128

 

DONO FAREEQ KI MAANI HUI KITAB (FATAWA JAMIUR RIWAAYAAT WAL JUNNAH SAFA 60) YANI NISABUL FIQAH ME HAI KE BIDATE HASANAH WOH HAI JIS KO HAZRATE MUJAHIDEEN (JESE CHARON MASLAK KE ULAMAA IMAM ABU HANEEF RH. IMAM SHAFEE RH.WAGAIRAH) BIDATE HASANAH QARAR DIYA HO AGAR KOI AUR SHAKHS IS ZAMANE ME KISEE CHEEZ KO BIDATE HASANAH QARAR DEGA TO WOH HAQ KE KHILAF HAI KIYUN KE MUSAFFA ME HAI KE HAMARE ZAMANE ME HAR BIDAT GUMRAHEE HAI.

 

{MUFTI} IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

MEELAD KI SHURU’AAT..!

⭕ AAJ KA SAWAL No.2620 ⭕

Rasmi Meelad ka Sil-Sila Kab Aur Kahan Se Shuru Huwa..?

🔵 JAWAB 🔵
حامدا و مصلیا مسلما

Mehfil-E-Meelad Chhe Sadee (6 Century) Guzarne ke Baad, Sultan Arbal ke Zamaane se Shuru Huwa hai. Jaisa ke Tareekh Ibne Khalqaan mein hai, Aur Usee waqt se Ulama Uski Tardeed (Mukhalifat) Karte Aa Rahe hain.

📗 FATAWA MAHMOODIYAH 3/87
KITAABUN NAWAAZIL 1/551

Barelvi Hazraat ke Hakeem-Ul-Ummat, Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi Farmate hain, Ke “Imam Sakhaawi Rh. ne Farmaya ke, Milad Shareef Teeno Zamaanon mein Kisi ne Naa Kiya, Baad me Ijaad Huwa.”

(Jaal al Haq : Safa 236)

Barelvi Maulvi Faiz Ahmed Owaisi Likhte hain ke Waqai Salaf-o-Saleheen ne Ye Amal Nahi kiya.

(Gausul Ibaad : Safa 50)

Barelvi Allama Ghulam Rasool Saeedi Farmate Hain Ke ‘Mehfil-E-Milad ki Haiyyat-E-Ijtimayi Har Chand ke BIDDAT hai.
(Sharah Muslim : Jild 3 : Safa 185).

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Peer ke Din Roza Rakhte The Aur Farmate the ke, Meri Wiladat Peer ke Roz Huyi. Isliye Mai Roza Rakhta Hun (Mishkat).

Sunnat Tareeqe Par Wiladat Manana Ho to Roza Rakho. Ab Jis Din Wiladat Huyi, Us Din Eid Manana Kaise Jayaz Hoga..?

Eid ke Din Roza Rakhna Haraam Hai, Pyare Aaqa ne Us Din Roza Rakh kar Eid ka Tasawwur kee, Jad hi Kaat Dee.

Us Din Manane ka Tasawwur Aur Halaat Us Waqt Bhi Maujood the, Isaee-Nasara Isa Alaihis Salam ki Paidaish Manate the, Phir Bhi Naa Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Us Din ko Eid Manayi, Naa Sahaba-E-Kiram RadiAllahu Anhum, Jinki Ittiba Ka Hamko Hukm Hai,

Aur Ham Apne ko Ahle Sunnat Wal Jamat, Yaani Sahaba ki Jamat ki Pairvi Karne Wala kehte Hain, Naa Tabaeen ne, Naa Tab-E-Tabaeen, Naa Charon Imam ne, Naa Charon Sil-Sile Kisi Buzrugon ne. Lihaza Ye Eid Manana Gairon ka Tareeqa Aur Bid’at Thehra. Gair Bhi Raam Jayanti, Krishn Jayanti Wagairah Manate Hain, Us Din Cake Kaatna Birthday Manana Bila Shubah Yahoodi Aur Isaiyon ka Tareeqa Hai. Jis Par Sakht Waeed hai. Lihaza Is Se Bachna Chahiye.

و الله اعلم بالصواب

MEELAD KI NIYAZ KA HUKM

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2627⭕

EID E MEELADUN NABI صلی الله عليه وسلم KI NIYAZ KHANA KOUN SI SURAT ME JAIZ AUR KOUN SI SURAT ME NA JAIZ ?

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

MEELAADU-N-NABEE صلی الله عليه وسلم KI TA’YEEN-12 HI TAREEKH TAY KARNE KE SAATH KHANA PAKAANA
(LOGON KO JAMAA KARNA) WAGHAIRAH GUMRAH KARNE WALI BID’ATE HAI, US SE BACHNA ZAROOREE HAI, AUR AGAR KHANE ME NIYYAT ISAALE SAWAAB KI HAI TO KHANA MUBAAH (NA SAWAB NA GUNAH) AUR SADQAH HAI,

AUR AGAR AKABIREEN KE NAAM PAR HAI (UN KO RAZI KARNE KI, UNSE QAREEB HONE KI NIYYAT HO, ALLAH KE NAAM PAR NA HUWA) GAIRULLAH KE NAAM PAR ZABAH KARNE KI SOORAT ME DAKHIL HONE KI WAJAH SE HARAAM HAI, AUR AISE AQAAID FAASID AUR KUFR KE BAAIS HAIN..

( JAIZ SURAT)👇🏻

ISAALE SAWAAB AGAR DIN AUR KHAS KHANE KO TAY KIYE BAGAIR SIRF ALLAH KO RAAZI KARNE KE LIYE HO TO MUSTAHAB HAI, ISALE SAWAB KA KHANA SIRF GAREEB KHAYE MALDAR KO KHANA MANAA HAI.

📘MALFUZAT JILD 3. SE MAKHOOZ (MAULANA AHMAD RAZA)
AGAR DIN AUR KHANE KO KHAS KARNE KE SAATH HO TO BID’AT HAI.

📗FATAWA RASHIDIYA /138
📘FATAWA MAHMOODIYA 15/429

AISE MAWQON ME IS TARAH KE KHANE PAKANE KA SHARIAT ME KOI SUBUT NAHI, LIHAZA YAH KAAM NA-JAAIZ AUR BID’AT HAI, AGAR MAHAZ RASM KE TAUR PAR PAKAYA JAAE, SAWAAB KA AQEEDA NA HO TO BHI USME BID’AT KI TAYEED-HONSLA AFZAYI AUR RIWAJ DENA HAI, LIHAZA US SE BACHNA LAAZIM HAI, USEE BINA PAR KHANA QUBOOL KARNE SE BHI BACHNA CHAHIYE, ISKE BAWUJOOD YAH HARAAM NAHI HAI.

📔AHSANUL FATAWA 1/375
BY SHAIKHUL HADEES MAULANA AHMAD RAHIL SB D.B.MADRASAH KANZE MARGOOB PATAN

 JAWAZ PAR AKAABIREEN KI IBARAT SE DALEEL PAKADNE KA JAWAB:
SHAAH ABDUR RAHEEM DAHELVI RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAIN KE :
ME WILADAT KE DINON ME HUZOOR صلی الله عليه وسلم KO ISALE SAWAB PAHONCHANE KI NIYYAT SE KHANA PAKWATA THA. EK BAAR AISA HUWA KE MERE PAAS KUCHH NA THA KE ME KHANA PAKWATA, BHUNE HUWE CHANO KE ALAWAH, TO MENE USI KO LOGON ME TAQSEEM KAR DIYA…

IN JAISE BUZRUGON KI IBARATON ME NA VILADAT KI HAD SE ZIYADAH ROSHNI KA TAZKIRAH HAI, NA KHANE KE LIYE LOGON KA JAMA KARNE KA ZIKR (NA 12 TAREEKH KA ZIKR HAI, BALKE LIKHA HAI MAVLOOD YA’ANI VILADAT KE DINO ME, NA ZABARDASTI KA CHANDA HAI, NA SHAREEK NA HONE WALON KO HAQEER SAMAJHNA HAI, NA MANDAP THA, NA RASTA BANDH KAR KE AANE JANE WALON KO TAKLEEF PAHONCHNA HAI) LIHAZA IS SE DALEEL PAKADNA SAHEEH NAHI.

📙(FATAWA RASHIDIYYAH 137)

و اللہ اعلم بالصواب

PEHLI WILADAT KA KHARCHA

⭕ AAJ KA SAWAL No. 2742 ⭕

Hamare yahan ye riwaj hai ke ladki ki shadi ke baad pehle delevary ka kharch ladki ke walid uthhate hai chahe woh gareeb ho ya maaldar kya ye tareeqa saheeh hai?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Nikah hone ke baad bivi ka tamam kharch shohar ke zimme hai jis me ilaj muaalajah aur wiladat ka kharch bhi dakhil hai hamare muaashare ka ye urf saheeh nahi gareeb khusar-sasre par daalna aur use na rok kar riwaj ka faidah uthana halal nahi.gairon ke asar se ye tareeqa aaya hai lihaza is riwaj ko chhodna zarooree hai.

📗RADDUL MUHTAR 3/599 ON LINE DARUL IFTA JAMIA DARUL ULOOM KARANCHI SE SE MAKHOOZ.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

JOOTA CHHUPANE KI RASM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2853⭕

Dulha susral jata hai to wahan saliyan wagairah us ke joote, chappal chhupa deti hai, aur us ko wapas dene ke aewaz me paison ki maang karti hai to ye paise maangna kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Puchhi huvi soorat me paise wasool karne me zabardasti aur majboor karna hai, jo hargiz durust nahi.

hadees me hai ke :
kisi ka maal uski dili razamandi ke bagair halal nahi.

Jahan ye kharabi hai wahan Gair mahram ke sath be-pardagi aur hansi mazaq ka bhi gunah hoga.

lihaza ye rasm chhod dene aur us ki burai kiye jane ke qabil hai.

📗KITABUL MASAIL 4/320

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

MUNH DIKHAYI KI RASM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2853⭕

Dulha susral jata hai to wahan saliyan wagairah us ke joote, chappal chhupa deti hai, aur us ko wapas dene ke aewaz me paison ki maang karti hai to ye paise maangna kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Puchhi huvi soorat me paise wasool karne me zabardasti aur majboor karna hai, jo hargiz durust nahi.

hadees me hai ke :
kisi ka maal uski dili razamandi ke bagair halal nahi.

Jahan ye kharabi hai wahan Gair mahram ke sath be-pardagi aur hansi mazaq ka bhi gunah hoga.

lihaza ye rasm chhod dene aur us ki burai kiye jane ke qabil hai.

📗KITABUL MASAIL 4/320

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India