Dua and Wazife


QUNOOTE NAAZILAH VITR ME KAB PARHE? 1836

Akabireen ki taraf se hidayat aayi hai ke qunoote naazilah infiradi taur par vitr me bhi parhe to ise kab padhni hai? duaa e qunoot ki jaga par? Aur ruqooa se pehle ya rukooa ke baad?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Vitr me rukooa se pehle Padhe, aur Afzal ya hai duaae qunoot ke baad qunoote naazilah padhe, aur sirf qunoote naazilah padhni ho to woh bhi padh sakte hai ye duua bhi sabit hai.

UMDATUL FIQAH 2/292

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
27 ZIL HAJJAH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

1 RAJAB KO DUAA QABOOL HONA 1662

Kya rajab ki 1 tareekh ko ibadat i fazeelat sabit hai aut duaa qabool hona sabit hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Rajab ki 1 tareekh ko ibadat ke fazail saheeh sanad se sabit nahi, baaz fazail shiyon ki kitabon me hai jo saheeh nahi.

Aur duaa ki qabooliyat sahaba se sabit hai.

Ek riwayat me hai ke 5 raton me duaa rad nahi hoti hai.

1.Rajab ki pehli raat.

2.15vi shaban ki raat.

3.jumaa ki raat.

4.eedul fitr ki raat.

5.yawme nahar baqraa eed ki raat.

Ibne asakir tareekhe dimashq 10/408

BAHISHTI ZEWAR

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
RAJABUL MURAJJAB 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

15 SHABAN SHAB-E-BARAAT KI DUA

AAJ KA SAWAL No.2420

15 Shaban ki Raat (Shabe Baraat) Mein Kounsi Duaa Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne, Nafil Namaz ke Sajde me Maangi Thi..?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما
Hazrat Aaisha RadeeAllahu Anha Riwayat Farmate Hain, Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam (Nafil Namaz ke) Sajde me Ye Duaa Farmate The.

’اللّٰہُمَ اِنّیِْ اَعُوذُ بِعفوکَ مِن عِقابِک، اَعُوذُ بِرضاکَ مِن سَخطِکَ واَعُوذُ بِکَ مِنکَ جَلّ وجھُکَ، اللّٰھُمِّ لا اُحصی ثنآءً َ علیکَ، اَنتَ کمااَثنیتَ علیٰ نفسِکَ‘‘

“Allaahumma Inni A’aoozu, Bi-Afwika Min Iqaabik, A’aoozu Bi-Rizaaka Min Sakhatik, Wa A’aoozu bika Minka Jalla Wa-Jahika, Allaahumma Laa Uhsee Sanaa’an Alayka, Anta Kamaa As’naita Alaa Nafsik.”

TARJAMA :

Ya allah Teri Pakad Se, Tere Darguzar ki Panah Chahta Hun, Tere Gusse Se Teri Razamandi ki Panah Chahta Hun Aur Tujh Se Teri Hee Zaat ki Panah Chahta Hun, Teri Zaat Badayi Waali Hai. Aye Allah Mai Teri Ta’reef Shumaar Nahi Kar Sakta, Tu Waisa Hee Hai, Jaise Tune Teri Ta’reef Kee.

و الله اعلم بالصواب

AHKAME SHABE QADR WA SHABE BARAAT, BA-HAWALA SUNAN-E-BAIHAQEE

🗓 ISLAMI TAREEKH :
13 SHABANUL MUAZZAM

 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

BACHCHA PAIDA HO TO MASNOON AMAL

⭕AAJ KA SAWAL NO.2559⭕
Bachche ki viladat par kiya -kiya karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

Bachche ki viladat par Sab se pehle us ke dayen kaan me azan aur bayen kaan me iqamat kahi jaye.
Fir tahneek kari jaye yani kisi Allah Wale se khujoor chabwakar pehle se taiyyar rakhi jaye bachche ko maan ke dudh se bhi pehle ye khujoor me se ek chapti-thoda sa us ke talu par laga diya jaye bachche pet me sab se pehle kisi Allah Wale ka luaab- thook wali cheez jayegi jis ke Nek Asrat bachche par padenge.
Fir satwen din Us ka nam anbiya alahimus salaam, sahaba RADEEYALLAHU ANHUM ya awliyaa e kiram Rahmatullahi alayhim ke namon me se koi nam rakha jaye Fir Us ke sar ke bal mundwaye jaye aur us bal ke wazan Ke barabar sona ya chandi Ya Us ki qeemat sadqah ki jaye aur dil chahe to us bachche ke sar par zafraan mala jaye.
Fir satwen din aqeeqah kiya jaye ya satwen ka khiyal karte huwe 14ve din ya 21ve din aqeeqah kiya jaye masalan bachcha peer ke din paidah huwa hai to itwar Ke din aqeeqah kare
Ladka ho to do bakre ya bade me do hisse aur ladki ho to ek bakra ya bade me ek hissa rakhe aqeeqah ki barkat se bachche se aafat bala tal jati hai.
Not:Ladke ke do bakre afzal hai Agar koi ladke ke ek Bakra zabah karna kare to bhi aqeeda ada ho jayega

Aqeeqah ke janwar aur gosht ke wahee sharten aur masail Hai jo qurbani ke janwar aur gosht ke hai.

TARAWEEH ME PADHI JANE WALI TASBEEH KE EHTEMAM KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2813⭕

(TASBEEH) jo ke taraaweeh ki har 4 rakaat par padhi jaati hai, kisi masnoon duaa ki kitaab me is ka zikr nahi hai , fir bhi uska itna ehtemaam karna kesa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Fiqhe hanafi ki kitaabon me se sab se pehle ye duaa QAHASTAANI ki sharhe wiqaayah me milti hai, Aur qahastaani ne uska hawaala (MANH’HUL IBAAD) naami kitaab ka diya hai, Fir qahastaani ki kitaab se ibne aabideen ne (RAD’DUL MUKHTAAR) me naql kiya hai, fir ibne aabideen se ye duaa kutube fiqh wa fataawa me raaij hui.
lekin mazkoorah duaa ke alfaaz chand riwaayaton me alag alag hadees ki kitaab me waarid huwe hain, kisi ek riwaayat me ya kisi ek hadees ki kitaab me puri duaa ka suboot nahi milta,
shayad yahi baat is duaa ki asal ho sakti hai,un mese farishton ki tasbeeh waali riwaayaat sanad ke eitebaar se bahot zyaadah kamzor hai, mazeed ye ke in riwaayaton me is tasbeeh ka taraaweeh me padhne ka koi zikr nahi hai.
Akaabireen e deoband ka mavqaf:
Margul fataawa (3/429 )par haashiya me ye likha hai ,
Hamaare is zamaane me tasbeeh e taraaweeh me bahot gulu hone laga hai, khususan bartaaniya (aur gujrat ki) aksar masaajid me taraawih ki ye tasbeeh (Subhaan zil mulki wal malakoot… ) bade bade postar aur ishtihaar ki shakl me qibla ki diwaar par badi taadaad me chaspaa ki jaati hai, haalan ke kisi mustahab ke saath zyaadah ehtemaam aur waajib jaisa muaamla hone lage, to fuqaha usko chhodne ka hukm farmaate hain, aur yahan haal ye hai ke awaam to awaam ulamaa tak use bade ehtimaam se padhte hain, aur lutf ye ke bil jahar padhne ka riwaaj aam hota jaa raha hai Awwalan is tasbeeh ka suboot hadees se mushkil hai, Allama shaami ne zarur ise likha hai, aur un ki ittibaa me ye duaa hamaari kutube fiqah wa fataawa me darj ho gayi hai, haalan ke jo duaa wa azkaar ahaadees me marwi hain unka padhna zyaadah sawaab rakhta hai, isi wajah se hazrat aqdas Maulana RASHEED ahmad saahab gangohi Rahmatullahi alaihi kaa maamul iske bajaaye (tisra kalmah) padhne ka tha, Hazrat mufti Azizur rahman saahab tahreer farmaate hai : Ahqar kehtaa hai kalimah (som) ki bahot fazeelat ahaadise saheehaa me waarid hai, isliye padhna uska afzal hai, aur yahi maamool wa mukhtaar tha hazrat muhaddis wa faqeeh gangohi”ka,

👉🏻(FATAWA DARUL ULOOM DEOBAND 4/246 SAWAL NO.1761)
Hazrat hakimul ummat molaana thaanwi se kisi ne puchha ke Aap tarwihaa me kiya padhte hai? farmayaa : shar’an koi zikr muta’aiyan to he nahi, baaqi me 25
martabah durud shareef padh letaa hu,
(TUHFA E RAMZAN SAFA 111)
KHULAASA: Tarweeha me padhne ki koi duaa ahaadis se saabit nahi hai, ye jo mash’hoor tasbeeh hai uske padhne ki gunjaaish hai,lekin us ko zaruri nahi samajhna chaahiye, Aur na zor se padhna chaahye , Us ke bajaaye wo azkaare masnunah padhna jinki fazilat saabit hai ziyaadah behtar hai, Aur yahi salafe saaliheen aur akaabire deoband ka maamul rahaa hai,
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India