AAJ KA SAWAL NO.2552
Jis chiz me haraam janwar ki charbi milaai gayi ho uske khane pine ki chizon me ”E” ke saath khaas code numbers aate hai, jo sms me bhi chalaye jaate hai, uske khane ka kya hukm hai ?
Uski tahqeeq ho to ho sake to batane ki darkhast.
Jawab
حامدا و مصلیا ومسلما
Shareeat ne jin chizon ko haraam qarar diya hai agar unki haqeeqat aur mahiyyat-asliyyat (uska rang, khushboo- zaiqah uski aham sifaten-gun) kisi kimyawi -chemical dalne se ya process se badal jaye to unka pahla hukm (haraam-makrooh hone ka) baqee nahi rehta.
kisi cheez ki woh khaas aur bunyadi sifaten-gun jinse us chiz ki pehchan hoti hai, wohi us chiz ki haqeeqat aur maahiyyat-asliyyat hoti hai,
Islamic fiqah academy india ke samne fan ke mahireen-(masters) khaas jaankari rakhne wale ke zariye jo tahqeeq samne aayi hai uske mutabiq (agar woh code gelatin ke hai to) gelatin me un janwaron ki khaalon aur haddiyon ki haqeeqat baaqi nahi rehti hai, jinke collagen (ek qism ka protien) se gelatin banaya jaata hai, balke woh ek nayi haqeeqat ke saath nayee-alag chiz ho jati hai, isliye uske isteamal ki gunjaish hai.
(naye masail aur fiqah academy ke faisle safa 182)
14wa-chavdahwan fiqhee seminar Hydrabad 22 jun 2004)
agar code lagi huyi chizon me charbi ki chiknahat bilkul nahi hai to woh chiz halaal hai,
jaise baaz cream bagair ki biscuit ke baare me mashhoor hai ke usme khinzir ki charbi daali gayi hai aur uspar uska code bhi hai, lekin us biscuit me charbi ki zarra barabar chiknahat mavjood nahi to woh biscuit bilkul halal hai.
Agar ume charbi daali bhi gayi ho to process- ki wajah se uska asar bilkul baqi nahi hai.
Az ahqar.
“Agar koi company haraam khana banane me mashhoor na ho to mahaz kisi makhsoos code ya kisi khaas company ki chiz hone ki wajah se kisi chiz ko shareeat me haraam qarar nahi diya ja sakta, magar yah ke yaqeen ke saath yah baat maloom ho jaye ke us E CODE ke ajzaa e tarkibiyah-ingredients (daali gayi chizen)
me koi chiz haraam hai aur kisi kimyawee-chemical ke tareeqa se uski haqeeqat aur mahiyat-asliyat ko tabdeel nahi kiya gaya to us chiz se bachna lazim hoga.
Jab ke taqwa ka taqazah yah hai ke jis chiz ki hurmat wa hillat me shak ho to usey istiamal me lane se bachna chahiye.
(AHAM MASAIL 6/298)