MAKHLOOT [Mil Jul kar] TA’LEEM KA HUKM 1661
Deeni kitabon ka mut’ala karne se huzur akram sallalahu alayhi wasallam ki talimat ka jaha tak pata chalta he oraat ke nizami talim ka muazana-muqabala karta hu to zahan me kuch sawalat paida hote he.
(1) kya makhloot-mix talim ka jawaz shariat me he?
Agar he to kitni umar tak ke bachche bachchiyan ek sath baith kar talim hasil kar sakte he?
Agar jawaz shariat me nahi to fir zimmedaar afraad alahida intizam kyu nahi karte? Jabke ulma-e-haq us par zor dete he.
JAWAB
10 saal ki umar hone par bachcho (Bhai bahan) ke bistar alag kar dene ka hum farmaya gaya he.
Is se ye bhi maloom ho sakta he ke bachche bachchiyan zyada se zyada 10 ya 11 saal ki umar tak ek sath padh sakte he. uske bad makhloot talim nahi honi chahiye.
Daure hazir me makhloot-mix talim be-huda tahzib ki paida ki hui bidat he. Jo kehne ki bhi qabil nahi itni behyai aur besharmi aur buraiyon par mushtamil he.
Maloom nahi humare muqtada-zimmedar hazrat is nizame talim me kyu tabdili-chengis nahi farmate. Balki judaganah (alag-alag) talim ka mutalaba sirf ulma-e-kiram hi nahi balke deendar talba Or talibat ka bhi he.
Aapke masail Or unka hal (jild: 8 safa: 218)
Khawateen ka fiqhi encyclopedia (safa:196)
Maulana Muhammad Shahid Mansuri Surti
TASDEEQ WA TASHEEL IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA
jay hind ya jay bharat bolna kaisa hai? 1597
Muslim studant ko school me hazri dete waqt jay hind ya jay bharat bolna kaisa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Jay hind aur jay barat ka ma’na hai hind aur bharat ka sar buland ho taraqqi kare.
jay hind ka nara azadi ki jang ke muslim sipehsalar abid hasan safrani ne 1941 me diya tha.
lihaza ise kehne me koi haraj-problem nahi.
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
27 RABIUL AAKHAR 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
AAJ KA SAWAL NUMBER 2425
April Fool manana kaisa hai ?
Jawab
April fool me ye 4 cheezen hoti hai.
1. Jhoot,
2. Takleef pohanchana,
3. Mazaaq udana &
4. Be Izzat karna.
5. Gair qaum ki musabahat.
ISLAM KHAIR KHAHI WALA MAZHAB HAI.
Ab in pehli 4 cheezo ke bare me Quran o Hadis se sirf ek ek baat Mai likhunga tafseel nahi.
1. JHOOT:
Quran:
“ALLAH KI LANAT HAI JHOOTO PAR.
(3:61)
Hadis:
Moamin me paidashi taur par Saari Khaslaten hosakti hai Magar KHAYANAT aur JHOOT ki Aadat nahi hosakti
(MUSNAD AHMED)
2. TAKLEEF POHANCHANA:
Quran
“aur wo Log jo Baghair kisi Qasoor ke MOMIN MARDO or MOMIN AURTO ko takleef pohanchate hai, unho ne Yaqeenan BOHTAAN AUR SAREEH GUNAH KA BOJH UTHAYA.”
(33:58)
Hadis:
“MOAMIN WO HAI JISKI ZABAN AUR HATH SE DUSRE MUSALMAN MEHFOOZ RAHEN.”
(BUKHARI)
3. MAZAQ UDANA:
Quran:
“Aye IMAN WALO! Tum me se koi dusre ka Mazaq na udae Mumkin hai jinka Mazaq udaya jaa raha hai wo un se Behtar ho aur na Aurten dusri AURTON ka Mazaq udae MUMKIN hai wo Jinka Mazaq udaa rahi hai unse ACHI hon.”(49:11)
Hadis:
Tum me se koi shaqs Apne BHAI ke Samaan ko(bila ijazat) na Mazaq me le aur Na Haqeeqat me le”
(ABU DAWOOD)
4. BE IZZAT KARNA:
Quran:
“HAR US SHAQS KE LYE KHARABI HAI JO TANA DENE WALA, AIB NIKALNE WALA AUR CHOGHAL KHOR HAI.”(104:1)
Hadis:
“Kabeera Gunahon me se ek BADA GUNAH kisi Musalman ki Izzat par Na Haq Hamla karna hai.”
(ABU DAWOOD)
AB ZARA IN AAYAAT AUR AHADIS KO GHAUR SE PADH KAR SONCHE KE HUM “APRIL FOOL” MANA KAR ALLAH KI LANAT AUR DOZAQ KE AZAAB KE MUSTAHIQ BAN RAHE HAIN.
Maine har baare me 1 AYAT or 1 HADIS likhi hai warna in baato par aur bhi waeeden hai. hum 2 minute ki nafsani khahish ke lye ALLAH AUR USKE RASOOL KI NARAZGI kyun MOL LEN AUR akhirat ki ZINDAGI ko kyun JAHANNAM ka ghar banalen….????
SOCHIYE
KHUD BHI BACHEN AUR DUSRO KO BHI BACHAEN.
ALLAH HUM SAB KI HIFAZAT FARMAE AUR TAMAM BAATIL CHEEZO SE BACHAE.
AMEEN
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI
GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT
INDIA
CORONA MAREEZ KI IYADAT AUR KHIDMAT KA HUKM
AAJ KA SAWAL No.2414
Corona Virus ke Mareez ki Iyadat aur Timardari-Khidmat Sharee Aitebar se kar Sakte Hain..?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Momin ki Iyadat karna Momin par uska Haq Hai. Usko is Waham se Chhod Dena, Ke Mujhe Bhi Bimari Lag jayegi, Aqeedah ki kamzori aur uska fasad hai. imaan ke liye khatarnak cheez hai. isme us bimari ki takleef Dugni ho jayegi, Usko Bilkul Be-yaron Madadgar Chhod dena, Usko Takleef Pahunchana hai. Bimari Ko Khud Udhkar Dusron ko Lagne ki Taaqat Nahi. Ye Jahilon ka Aqeedah Hai.
Islam ne iski Sakht Tardeed kee, Ke Jabtak Allah naa Chahe, Ek ki Bimari, Dusre ko Yaqeeni Taur par Lag nahi sakti. Lihaza Ehtiyati Tadabeer (Mask, Social Distancing) Ikhtiyar kar ke, Koi Iyadat kare to Ye Bhi Jaiz, Balke Shari Sawab ka Sabab Hai. Lekin Us se Dur Is Taur Par Khade ho ke, Use Mahsoos naa ho, Warna use Takleef hogi, Ke koi Mere Qareeb Aane bhi Tayyar Nahi, Koi Uski Timardari-Khidmat naa ho, To Allah par Yaqeen Rakhkar ke, Bimari Allah ke Haath me hai, Khidmat me Rahna Zaruri Hai.
و الله اعلم بالصواب
FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND FATWA NO.:144110200817
🗓 ISLAMI TAREEKH :
07 SHABANUL MUAZZAM 1442 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.
ILmi Baat (Msg) Sikhaana (Phelana) Ibadat Se Behtar hai
*DEEN SEEKHE AUR SIKHAYE
ISLAM ME AURTON AUR MARDON KE BUNYADI HAQ BARABAR HAI
AAJ KA SAWAL No. 2673
Islam me aurton ke haq kam aur mardon ke zayada hai aur fesla sirf mard ja chalta hai ye baat saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Insan ke buniyadi hukuk Jaan,Mal,izzat ki hifazat aur insani jazbaat ka khyal,insani zarurat ismein mard aurat donon ko Islam ne barabar qarar Diya hai Albatta Mard ko aurat par Sadar aur Amir aur faisal banaya hai take donon ke ikhtilaf mein faisla ho sake aur ba’z chizon mein mard ko auraton ke muqabale mein khusoosiyat Dee hai kyun ke mard aur aurat donon main fitrat ,Jism aur aadat ke eatibar se farq hai isliye baaz ikhtiyar mard ko diye hai aurat ko nahi Jaise imam,qazi, Haakim banna, azan dena,talaq dena ,talaq se rujooa karna wagairah.
aurat ki aawaz parde ki cheez hai aur aksar aurton me QUVVATE fesla,quvvate bardasht,sabr mardon ke muqabale me kam hoti hai isliye baaz ikhtiyar AORTON ko nahi diye warna muaashare me bahut nuqsan aur kharabiyan paida hoti.
📗SURAH E BAQARAH
AYAT.228
📘TAFSEER E MARIFUL WA AASAN TAFSEER SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
AAJ KA SAWAL NO.2674
Kiya quran me chehre ke parde- naqab ka hukm saraahatan-saaf saaf hai?
baz log kehte hai chehre ka parda quran se sabit nahi.ye baat saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
han saf hukm sabit hai jese ke pehli daleel
📕quran ka parah 22 surah e ahzab me ayat no. 59 me allah taala farmate hain
یایہا النبی قل لازاجک و بناتک و نساء المومنین یدنین علیہن من جلابیبہن
ae nabi e akram SALALLAHU ALAIHI WASALLAM! Aap apni paak bibiyon aur apni betiyon aur mumin aurton ko farma dijiye ke apne chehre par apni chadar Ka kuchh hissa latkaye rakhe
Us zamane me naqab nahi bane the lihaza chahre ko chhupane ke liye chadar ka kona latka liya jata jis me se ek aankh bhi rasta wagairah dekhne ke liye khuli rakhi jati thi. Dusri daleel
📘Parah 18 Surah e noor me hai.@ 31 me hai
و لا یبدین زینتہن
Aur apni zeenat zahir na kare
(Zeenat ke cheezen honth, gaal, aankh, naak ye sab chehre me hee aata hai.aurat me zeenat ka asal markaz chehra hai lihaza use to dusre aaza ke muqabale me khas taur par khula na rakhna chahiye balke dhankna chahiye)
Tisree daleel surah e agzaab me sahaba radee allaahu anhum jaisee nigah ko paak rakhne wali jamat ko hukm hai “
اِذَا سَاَلْتُمُوْہُنَّ مَتَاعًا فَسْئَلُوْہُنَّ مِنْ وَّرَآءِ حِجَابٍ ؕ ذٰلِکُمْ اَطْہَرُ لِقُلُوْبِکُمْ وَ قُلُوْبِہِنَّ ؕ
Jab paigambar ki biviyon(jo hamari ruhani maayen hai) se koi cheez maango to parde ke pichhe se maango.
📗(Surah e ahzab parha 22 Ayat 54) paak bibiyon ke bare me bura waswasa bhi nahin aa sakta tha fir bhi parde ke pichhe de baat karne ka hukm hai to dusre aam aurton ko chehra dekhane ki aur mardon chehra dekhne ki aam ijazat kaise ho sakti hai.lihaaz chehare ke parde ko shareeat hukm na mannewale log gumaraah hai.
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📱Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl
DO MARDO (GENTS) KA AAPAS ME TALLUQ ISLAAM KI NAZR ME
⭕ AAJ KA SAWAL NO. 2690⭕
LAVATAAT(MARD KA MARD KE SAATH BURA KAAM KARNA) DEEN E ISLAM KI NAZAR ME KAISA HAI?
Dono ki aapas me razamandi ho to jaiz hai?
Agar jaiz nahin to us per kya sazaa Islami hukoomat me deni chahiye ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Deen e islam me lavatat (gey sex) ko intihayi na pasandeedah aur bahot hee bura aur sakht haraam kaam samjha hai is ka andazah is se kiya jaa sakta hai ke Allah ta’ala ne sadoomi (gey) ki shakal dekhna bhi pasand nahin farmaya hai.
Ek hadis e paak me irshad farmaya gaya hai ke jab kisi ko qaume sadoom ka amal (sajaatiya sambandh, homosex) karta paao to karne wale aur karvane wale dono ko qatl kar do.
📘TIRMIZI SHAREEF
Is hadis ki bunyad par fuqahaa (masail ke mahireen ulamaa) ka is par ittifa (ek raay) hai ke dono ko qatl kar diya jaaye, lekin kis tarah qatl kiya jaaye us ke tareeqe me chand qaul hain.
Imam Abu Hanifah aur Hakim Rahmatullahi alayhima farmate hain ke zina ki sazaa shariat me mutayyan hai lekin gay, homosexuals ki sazaa mutayyan nahin isliye ziyadah sakht aur bahut hi dardnak sazaa dee jaaye, chaahe pahaad se phenk diya jaaye, chahe haathi ke niche daal kar kuchalva diya jaaye, chahe zindah jalaa diya jaye.
Hazrat Abubakr Radeeyallahu anhu ne Hazrat Ali Radeeyallahu anhu ke mashware se ek gay ko aag me zindah jalaane ka hukm diya tha aur Khalid ibne walid Radeeyallahu anhu ne sazaa jaari ki thi sahaba Radeeyallahu anhum ki ek jamaat ka yahi qaul hai ke gay ki sazaa zina se sakht honi chahiye.
Sahaba Radeeyallahu anhum ki dusri jamaat ka yeh qaul hai ke jo sazaa zina ki hai wohi sadoomi-gay ki honi chahiye ya’ani gair shaadi shuda (unmarried, kunvara) ho to sab ke saamne 100 kode (hunter) maare jaaye aur shadi shuda (married) ho to sab ke saamne paththar maar maar kar maut ke ghaat utaar diya jaaye.
Maloom huva ke lawatat (samlaingik) ka gunah qatl se bhi sakht hai, kyun ke qaatil ke saza use qatl karna hai lekin maqtool (jise qatl kiya gaya) tha uska waaris qaatil ko bacha sakta hai so unt (100 camel’s) ki qeemat par sulah kar sakta hai, lekin looti ko bachane ki koyi surat nahin.
📗HAYAA AUR PAAK DAAMANI SAFA 251 HAZRAT PEER ZULFIQAR NAQSHBANDI DB KI KITAB
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2707⭕
https://chat.whatsapp.com/ENcBfkc0fhd4V1AGuA9C7C
Nasha karna kaisa hai? Us ke kya kya dunyawi ukhrawi nuqsanat hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Nasha karna haraam hai is ke beshumar Dunyawi nuqsanat hai. Chand pesh kiye jate hai.
1.Dil ki dhadkan tez hona ya bilkul khatm ho jana.
2.Dil ka daura heart attack.
3.fefre ko nuqsan
4.livar ko nuqsan
5.Hazma kamzor ho jana
6.pagalpan tari hona.
7.Nak se khoon behna.
8.Cancer, blood pressure, dama ki bimari ho jana.
9.Yad shakti-memory khatm ho jana
10.Zayada karne se maut ya coma me chale jana ka khatra.
11.Zaban ya aawaz ka bhari ho jana.
12.Munh ke aa’za ka damage ho jana.
13.Khansi ho jana.
14.motapa.
15.jald burhapa
16.Kmazori-taqat kam ho jana.
17.bakwas karna.
18.Zaban ka zaiqa-taste khatm ho jana.
19.Chakkar aana.
20.paseena aana
21.Gussa aur hamla karne ka Mizaj banna,
22.jism me pani kam ho jana
23.Har cheez se dar lagna.
24.behosh ho jana.
25.Muqabale ki taqat kam ho jana
27.vomit hona.
Ukhrawi nuqsan kal pesh kiye jayenge INSHA ALLAH TA’LA
📗MA’RIFUL QURAN,
📕GULDASTA E TAFASEER SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
NON MUSLIM KO JAZAKALLA HU KHAIRAN KEHNE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2758⭕
Kafir ko JAZAKALLA HU KHAIRAN(Allah aap ko achchha badla de) kehna ya us ki kisi achhchhi chiz ko dekh kar MASHA ALLAH kehna durust hai ya nahi?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Jazakallahu khairan wgherah alfaz kehne ka Daromadar asal me niyyat par hai, agar ye niyyat kare ke ALLAH TA’ALA
usko hidayat naseeb kare aur khair se murad hidayat- sidha raasta hai to uski gunja’ish hai, neez masha Allah ta’ajjub ke liye istimal hota hai to Non muslim ki koi bhi cheez dekh kar MA SHA ALLAH kahe to koi harj nahi-
📕FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA 6/308
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
LAUNDRY ME KAPDA AUR MASJID ME JUTA BADAL JANA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2775⭕
Baaz dafa dhobi ke yaha se kapda badal kar aa jata hai, ya masjid se joote tabdeel ho jaate hai, to us ka kya hukm hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Us ka hukm ye hai ke:
Agar kisi tarah ye yaqeen ho jaae ki ye cheez usi ki hai jo uski cheez le gaya hai, or ye bhi yaqeen ho jaae woh apni cheez yahan lene nahi aaega aur na hi uska koi suraag-pata lagana mumkin hai, to us cheez ko khud bhi rakh sakta hai.
magar uski qeemat ziyadah ho to baqadare zaaid sadqa kar de.
📗FIQHEE ZAWABIT 1/422
BA HAWALA
AHSANUL FATAWA JILD 9 SAFA 17
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
TANDURAST KO BHEEK MAANGNA AUR UNKO DENA HARAAM
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2814⭕
Jo saail (bhikhari) jawan, tandurast, ya aurat Ya bachcha tandurast ho us ko bheek dena kesa hai?
🔵JAWAB🔵
har woh bheek mangnewala Jis ke paas ek din-subah sham ka khana mavjood ho ya khana mavjood nahi lekin jo kamane par qudrat (taqat) rakhta ho un ko bheek mangna haraam hai,
aur Jisko is faqeer ki Ye haalat maloom hai Us ke liye dena haraam hai.
Kyun ke sawal karna (bheek) mangna aise shakhs ko haraam hai,
bheek dena ye haraam kaam karne par madad karna hai isliye woh bhi haraam aur bajaye sawab ke gunah hai.
hazrat imame rabbani maulana rasheed ahmad gangohee Rahmatullahi alayhi ne is masale ko bayan farmaya tha aur ye bhi kaha Tha ke
“log shor machayenge magar me deen Ki ye baat pahoncha deta hun, baat ye hai ke mangna aur dena rasm ho gaya hai rasam ke khilaf log masala manne se bhaagte hai”
📕HUQOOQUL IBAD
SAFA 69
📗MASAILE MUHIMMAH 6/243
📘BAHAWALA SHAMI 3/42, 306
NOTE:
1. Masale ke aetibar se un ko sirf Sadqah khaairat na dene ka hukm hai, lekin un ko jhidakna un ki tahqeer karna aur un se bad sulookee karne ki hargiz ijazat nahi.
2. aaj kal mazdoor aur gharon me kaam karne kaamwali aasani se nahi milti kyun ki bheek mangne me tankhah ke muqaable me das guna zayada paisa chand ghante me kama leti hain, to subah se sham tak mehnat kyun karegi ? log aise logon ko bheek dena bandh karenge to kaam wale mazdoor aasani se mil jayenge aur unki haraam kamaee bhi halaal ho jayegi.
Aurat ko dekhkar raham na khayen, fuqhaa (masail ke maahir) ulama ne aisee aurat ke bare me jiske shohar ka intiqaal ho gaya ho aur kamaane wala koi na ho to iddate wafat me bhi din me kamaane Ke liye nikalne kee ijazat likhi hai.
(lekin usey iddat me ghar bethe bheek maangne ya sadqa zakat pahonchane ko nahi likha taa ke ghar bethhe iddat jo Allah Taala ka hukm ho pura ho)
NOTE Aaj kal topi aur burqa pahen kar gair muslim bhi bheek mangte hain lihaza koi mazoor bhi maloom hota ho to zakat ki saheeh adaygi ke liye us ka aadhar card dekh lena chahiye ya islami sawal puchh lena chahiye
📗HIDAAYAH JILDE SANI BABUL IDDAT
📝MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
🔴AAJ KA SAWAL NUMBER -2836🔴
MUSAFAH AUR MUAANAQAH KAB KARE ?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Jab bhi musalman bhai se mulaqat ho sab se pehle use salaam kare fir musafah kare pahal karne wale par Allah ta’ala ki 90 rahmate utarti hain aur dusre par 10 aur juda hone se r Allah ta’ala dono ki magfirat farma dete hain
📗Mazahire haq
Musafah salaam ka takmilah hai ya’ani usse salaam mukammal hota hai aur salaam ke ba’ad karna chahiye.
Eid ke din namaz ke ba’ad masjid me musafah shiyon ki mushabahat ki wajah se manaa hai masjid ke baahar agar mulaqat na huyi ho to mulaqat ki niyyat se musafah kare.
Eid ki khas sunnat aur tareeqah samjh kar na kare
Aur muanaqah (gale milna) safar se aane ke ba’ad ya pehli baar mulaqat ho rahi ho to muanaqah karna chahiye eid ki makhsoos rasm samjhkar muanaqah na kare
Mulla ali qari Rahmatullahi alayhi ne likha hai fir bhi koyi musafah ke liye haath barhaye to haath na khinche haath khinchne me uski zillat hogi aur use taklif pahonchegi aur yeh haraam hai us waqt musafah kar le fir pyar muhabbat se samjha de garz nafrat ka mahol paida ho aisi koi surat ikhtiyar na kare.
Ham aehle sunnat wal jama’at hain jo ibadat Huzur SALALLAHU ALAIHI WASALLAM aur sahaba RADEEYALLAHU ANHUM aur tabieen aur tabe tabieen Rahmatullahi Alayhi jis tarah jis darje me sabit hogi usee tarah ham amal karenge to hi sunnat ada hogi aur sawab milega apni taraf se zarra barabar kami beshi hamare akabireen ko gawara nahin hai aur yahi sirate mustaqeem sidha aur najat ka rasta hai.
📚Masaile aadabo mulaqat 83 se 86
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
⭕Aaj KA SAWAL NO. 2841⭕
Aaj kal bahut se logon ko iski aadat ho gayi hai ke raat ko der se sote hain aur subh bahut der se uthte hain.
is ke kya kya nuqsaanat hain ?
🔵JAWAB🔵
Raat ko waqt par sona aur subah sooraj nikalne se pehle jaagna achchhee sehat ke liye zarooree hai.
Allah Taala (qudrat) ne raat sone ke lie aur din kaam ke lie banaaya hai,
(mafhoome surah e naba aayat 18)
lekin kuchh log der raat yaani subah hone tak jaagte hain aur aadhe din tak sote hain. agar ham qudrat ko darakinaar karke apna raasta alag banayenge to uska anjaam hamen bhugatana hee hoga. achchhi sehat ke liye raat ki neend behad zarooree hai.
Raat ko das (10) baje tak sona, aur subah 4 ya 6 baje tak jaag jaana achchhee sehat ke liye zarooree hai.
Achchhee sehat ke liye baalig shakhs ko 7 se 8 ghante ki neend zarooree hai. 6 ghante se kam na soye.
Din bhar mein kaam ka tareeka, jism kee body, mosam, umr ke aiteebaar se subah uthne ke baad sustee aur chustee ke hisaab se ham tay kar sakte hai.
Der raat tak jaagne se subah ham der tak sote rehte hain, jis ke beshumaar nukasaanat hain. jis mein se chand pesh kiye jaate hain.
1. Germany ki ek tahqeeq ke mutaabiq jo lag jaldee sokar jaldee uthte hain un ke muqaabale mein der se sokar der se uthne vaalon mein maut ke khatre ka percentage das (10) feesad zyada hai.
2. Baalon ka jharna.
3. Chehre par jhurriyaan padna jis se waqt se pehle budhaapa maaloom hota hai.
4. High blood pressure ki taklif ho sakti hai. High blood pressure badhne se body mein aisi beemaariyaan jaise brain stroke aur heart ki bimariykn ke khatare badhne lagate hain.
5. Der raat tak jaagne se bhookh niyantrit karne vaale Harmon ke level par bhi asar hota hai. jis se bhookh zyada lagti hai aur overeating (zyada khaana) padta hai.
6. Der raat tak jaagne se aap dimagi mareez ban sakte hain.
7. Subah der se jaagne se dimaag par bura asar padta hai.
8. Jisse aage chalkar dipression hota hai.
9. Sanak jaisee zahni beemaariyaan ho saktee hain.
10. Neend pooree nahin hone ki vajah se aapko din mein gaadi chalaate samay neend kee jhapkee aa sakti hai jisse accident hone ka khatra badh jaata hai.
11. Subh der se uthne se body me sustee rahtee hai jisse kaam karne mein man nahin lagta.
12. Din tak sone se sir bhaari rahta hai.
13. Aankhon mein dard aur aankhon ke ird gird kaale daayre aur kayi takleefen lagaataar banee rahtee hain.
14. Neend pooree na lene se insulin (hormone produced) banane kee prakriya bhee sust ho jaati hai diabetes kee bimaari ho jaati hai.
15. Der raat tak jaagne se vasvase kee bimaari paida ho jaati hai.
16. Neend pooree nahin hone ki wajah se aisee cheezen dikhtee hain jinka asal mein koee wajood hee nahin hota.
17. Yaad daasht neend mein dimaag cheezon ko yaad rakhne ka kaam karta hai, agar neend kee kamee se ye functions theek se nahin ho paate hain to yaaddaasht par asar pad sakta hai.
18. Dimaag ko poora aaraam nahee milta to chakkar aate hain.
19. Jism ko waqt par aaraam nahee milta isliye body pain (badan mein dard) rahta hai.
20. Akdan badan sakht ho jaata hai.
21. Chid chida pan jaisee problem hone lagatee hai.
22. Neend pooree na hone se body thaka hua mahsoos kartee hai. isse mood bhee kharaab hota hai. mood mein achaanak se kayi badlaav hone lagte hain.
23. Wazan badh jata hai.
24. Immunity system ka strong rahna bhee behad zarooree hai. iske liye agar pooree neend na lee jaye to immunity system weak hone lagta hai. jisse aap bahut jaldee beemaariyon kee chapet mein aa sakte hai. pooree neend na lene se sardee, khaansee, bukhaar jaisee beemaariyaan zyaada hotee hain. jiski vajah se body ka immunity system unse lad nahin paata hai.
25. Kam neend lene se digestion system par bhi behad asar padta hai. isse hazme ki quewat kamzor hone lagtee hai. jiski vajah se pet saaf na hone aur constipation (qabz) jaisee problem hone lagtee hai.
26. Raat mein achchhee neend nahin aane se subah shareer chust-durust bhee nahin rahta balke sustee aati rahti hai.
27. Kam neend lene se cortisol Hormone shareer mein bahne lagta hai jisse dipression hota hai.
28. Kam sone ki vajah se Brest cancer aur alag tarah ke cancer bhee ho sakte hain. iski wajah yah hai ki kam sone se cancer paida karne vaale Free radicals shareer se baahar nikal paate.
aur hamen kayi tarah ki pareshaaniyon ka saamna karna padta hai.
Ek talent student, kaamayaab kaarobaaree, achchhe mulaazim, maahir teacher vohee bante hain jo subah jald uthte hai.
Duniya ke 99% kaamayaab aadmee subah jaldee uthte hain.
Agar aapko aksar der raat tak kaam karne ya jaagne ki aadat hai to is aadat ko jald se jald badal dijiye.
Ye aadat aapko aur bhi kayi tarah ki pareshaaniyaan de saktee hain !
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanfi.Gufira lahoo
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL No. 2843⭕
Har qism ki neki karna aur har qism ke gunah se bachna to mushkil hai.kya aese chand nek kaam hai jise karun to dusre nek kaam karna aasan ho jaye aur chand hee aese gunah hai jis se bachu to dusre gunahon se bachna bhi aasan ho jaye.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Han aese 6 nek kaam hai aur 6 gunah ke kaam hai jis se aap ka maqsad hasil ho jayega.
Hakeemul ummat hazrat Maulana Ashraf Ali thanvi rahmatullahi alaihi ne likha hai ke
6 NEKI JO DUSRI NEKIYON MI TARAF LE JAYEGI.
1.Ilme deen hasil karna chahe kitabon se ho ya ulama se.
2.Panch waqt ki namaz mardon ke liye jamat ke sath har hal me pabandi.
3.Allah ke nek bandon ki suhbat rozana ya har hafte ya mahine me kam se kam ek baar suhbat ka asar zaroor hota hai
4.Kam bolna aur kam milna
jis me dunya ya aakhirat ka faidah ho wohi bat soch kar bole aur unhi se mile.bila faida na bole na mile
5.Muraqaba aur muhasaba yani pure din ye dhayan rakhna ke Allah mujhe dekh raha hai,aur raat ko sone se pehle apne pure din ke aamal ka hisab jo neki hui us par shukr kare aur baqi ho to sone se pehle us ki qaza kare aur jo gunah huwe ho us par istigfar kare.
6.Tauba aur istigfar jaise hi koi gunah ho to foran tauba istigfar kare warna ek gunah dusre gunah ko khinch layega kisi ko taklif pahonchai ho to us se muaafi maang le nuqsan kiya ho to us ki talafi kare.
6 GUNAH JIS SE BACHNE PAR DUSRE GUNAH SE BHI HIFAZAT HOGI.
1.Zulm kisi ka koi haq na mare kisi ko kisi qism ki taklif na pahonchaye.
2.Giza e haraam thoda kamaye likin halal hee kamaye haraam pet me jayega to na chahte huwe bhi haraam kam aur gunah wajood me aayenge.
3.Guroor Apne ko kisi se behtar na samjhe koi haq baat bataye to shukriya ke sath qabool kare apne ko saheeh sabit karne us ko jawab na de.
4.Gair mahram se ta’lluqat agar kisi se ho to khatam kar de us ke sath bat chit,msg aur Milne se sakht parhez kare is ki itni kharabiyan hai ke use likha bhi nahi jasakta
5.Geebat kisi aese baat us ki gair mavjoodgi me na kare ke agar woh use sune to use bura lage agarche woh baat haq ho aur aap samne kehne ki taqat bhi rakhte ho.
6.Gussa kabhi aesa nahi huwa hoga ke gussa kar ke pachhtawa na huwa ho us waqt aal kam nahi karti lihaza use qabu me lene ki tadbeere imhtiyar kare.
📗 JAZAUL AAMAL.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India