Itikaf kise kehte hai ? Aurton ko Itikaf karne ka kiya tareeqah hai?
SAWAL:
Itikaf kise kehte hai ?
Aur aurton ko Itikaf karne ka kiya tareeqah hai?
JAWAB:
- Aadmi ka Aitekaf ki niyyat se aisi masjid me thaherna jis me paancho 5 waqt ki namaz baa-jamaat hoti ho.
- Aurat ko apne ghar ki masjid me Aitekaf karna chahiye.
- Agar ghar me koi jagah masjid ke liye mutayyan na ho to koi kone (corner) ko makhsus (tay) kar den.
- Aurton ke liye Aitikaf ba-nisbat mardon ke ziyada sahal (aasaan, easy) hai ke ghar me bethe bethe ghar ka karobar bhi ghar ki ladkiyon se leti rahe aur muft ka sawab bhi leti rahe, Magar iske bawajud bhi aurten is sunnat se goya bilkul hi mahrum rehti hai.
Hanfiyyah ke nazdik Aitekaf ki teen 3 surten hai,
- Wajib jo kisi mannat ya nazar ki wajah se ho, jaise yun kahe ke mera fulaan kaam ho gaya to itne din ka Aitekaf karunga, ya bagair kisi kaam par mawkuf rakhne ke yun kahe ke meine itne din ka Aitekaf apne upar laazim kar liya to ye Wajib hai, aur jitne dino ki niyyat ki hai utna pura karna wajib hai.
- Dusri surat Aitekaf ki Sunnat hai, Jo Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre-das din ka hai ke nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ki aadate sharifa in ayyam ke Aitekaf farmane ki thi.
- Teesra nafl Aitekaf, Jiske liye na koi waqt, na ayyam ki miqdaar, jitna ji chahe kar len, hatta ke koi shakhs tamam umr ka Aitekaf ki niyyat kar len tab bhi jaiz hai.
Imaam muhammad rh. Ke nazdeek thodi der ka bhi jaiz hai, aur isi par fatawa hai, is liye har shakhs ko munasib hai ke jab masjid me dakhil ho Aitekaf ki niyyat kar liya kare, ke jitna namaz wagerah me mashgul rahe Aitekaf ka sawab bhi hai.
SAWAL
Aitekaf kise kehte hai ?
Aur aurton ko aetikaf karne ka kiya tareeqah hai?
JAWAB
★Aadmi ka Aitekaf ki niyyat se aisi masjid me thaherna jis me paancho 5 waqt ki namaz baa-jamaat hoti ho,
★Aurat ko apne ghar ki masjid me Aitekaf karna chahiye,
★Agar ghar me koi jagah masjid ke liye mutayyan na ho to koi kone (corner) ko makhsus (tay) kar den,
★Aurton ke liye Aitikaf ba-nisbat mardon ke ziyada sahal (aasaan, easy) hai ke ghar me bethe bethe ghar ka karobar bhi ghar ki ladkiyon se leti rahe aur muft ka sawab bhi leti rahe, ★
Magar iske bawajud bhi aurten is sunnat se goya bilkul hi mahrum rehti hai,
★Hanfiyyah ke nazdik Aitekaf ki teen 3 surten hai,
★1. Wajib jo kisi mannat ya nazar ki wajah se ho, jaise yun kahe ke mera fulaan kaam ho gaya to itne din ka Aitekaf karunga, ya bagair kisi kaam par mawkuf rakhne ke yun kahe ke meine itne din ka Aitekaf apne upar laazim kar liya to ye Wajib hai, aur jitne dino ki niyyat ki hai utna pura karna wajib hai.
★2. Dusri surat Aitekaf ki Sunnat hai, Jo Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre-das din ka hai ke nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ki aadate sharifa in ayyam ke Aitekaf farmane ki thi,
★3. Teesra nafl Aitekaf, Jiske liye na koi waqt, na ayyam ki miqdaar, jitna ji chahe kar len, hatta ke koi shakhs tamam umr ka Aitekaf ki niyyat kar len tab bhi jaiz hai,
★Imaam muhammad rh. Ke nazdeek thodi der ka bhi jaiz hai, aur isi par fatawa hai, is liye har shakhs ko munasib hai ke jab masjid me dakhil ho Aitekaf ki niyyat kar liya kare, ke jitna namaz wagerah me mashgul rahe Aitekaf ka sawab bhi hai.
Sunnat iatikaf ka waqt kiya hai masnoon iatikaf kitno dino ka karna zarooree hai?
SAWAL
Sunnat iatikaf ka waqt kiya hai masnoon iatikaf kitno dino ka karna zarooree hai?
JAWAB
Ramzan mubarak ke ashrah e akheerah yani aAkhri das [10] rozon ka iatikaf sunnat hai.
(Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne madine me aakar kabhi bhi nahi chhoda)
Is ki shurooaat urdu 20 bis tareekh ki guroobe aftaf ke waqt se hoti hai
(is sal 2015 me 8 july budh ke din guroobe aftab pehle hee beth jaye)
aur eid ka chand deekhte hi iatikaf khatm ho jata hai.
chand chahe 29 untees ka ho ya 30 tees ka ho dono suraton me sunnat ada ho jati hai
[BAHISHTEE ZEWAR HUSSA 11 SAFA 107 SE MAKHOOZ]
SAWAL
aitikaf ka kiya hukm hai?
Kiya iatikaf zarooree hai?
JAWAB
★ Ramzan ke Aakhri 10 din ka aitkaaf sunnate Muakaddah alal kifaya he,
⇨ agar basti-mohalle ke kuchh log is sunnat ko Ada kare to masjid ka haq Jo ahle mohalla per laazim he Ada ho jayega, aur agar masjid khali rahi aur koi shakhs bhi aitkaaf me na betha to sab mohalle wale gunehgar-laaiqe itaab honge aur masjid ke aitkaaf se khali rehne ka vabaal poore mohalle per padega,
★ Jis masjid me namaz panj waqta bajama’at hoti ho usme aitkaaf ke liye bethna chahiye, agar jumaa na hota ho to bhi bethna chahiye aese muatakif ko Juma parhne jana jaiz hai aur agar masjid esi ho jisme panj waqta namaz bajama’at na hoti ho, usme panj waqta namaz bajama’at ka intezam karna ahle mohalla per laazim he,
★ Aurat apne ghar me ek jagah namaz ke liye muqarrar karke waha aitkaaf Kare, usko masjid me aitkaaf me bethne ka sawab milega,
[Aapke Masail aur Un ka Hal,3/320]
Jis masjid me Juma na hoti waha Etikaf ka hukm or Etikaf me Kin Chizo se Bache?
SAWAL
aetikaf jis masjid me kiya ho wahan jumaa na hota ho to jumaa parhne ke bare me kiya masail hai aur iatikaf me kin cheezon se bachna chahiye?
JAWAB
★ jis masjid me muatkif he agar waha juma ki namaz nahi hoti ho to namaze jumaa ke liye ja’ama masjid yani jahan jumaa hoti ho wahan Jana bhi durust he, magar ese waqt me jaye k waha jaakar Tahiytul masjid aur sunnat padh sake, aur namaze jumah se farig hokar fauran apni masjid me wapas aa jaye,
★ Agar bhoole se bhi apni masjid se nikal gaya to bhi aitkaaf toot gaya,
★ Aitkaaf me be-zaroorat duniyavi kaamo me mashgool hona makroohe tahreemee he, maslan be-zaroorat kharid farokht karna, ( Agar gareeb aadmi he k ghar me khane ko kuchh nahi to us ke intizam me aitkaaf me bhi khareed farokht kar sakta he), magar bechne ka samaan masjid me lana jaa’iz nahi,
★ Haalate Aitkaaf me bilkul chup bethna durust nahi,, Haa agar zikr, tilawat vagera karte karte thak jaye to araam ki niyat se chup bethna saheeh he,
★ Ramzan Mubarak ke 10 din aitkaaf karne ke liye zarooree he k 20 vi islami tareekh ko suraj guroob hone se pahle masjid me aitkaaf ki niyyat se dakhil ho jaye kyuki 20 vi tareekh ka suraj guroob hote hi Aakhri ashra shuru ho jata he, ⇨ agar suraj guroob hone ke baad chand lamhe bhi aitkaaf ki niyat ke bager guzar gaye to aitkaaf masnoon na hoga balke nafali iatikaf ho jayega
[Aapke Masail aur Unka Hal,3/322]
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2821⭕
Aetikaf ka kya hukm hai?
Aetikaf kon kon see masjid me kar sakte hain?
🔵JAWAB🔵
Ramazan ke Aakhri 10 din ka aetikaaf sunnate Muakaddah alal kifayah he.
Agar basti (mohalle) ke kuchh log is sunnat ko Adaa karen to masjid ka haq Jo ahle mohalla per laazim he Adaa ho jayega, aur agar masjid khali rahi aur koi shakhs bhi aetikaaf me na betha to sab mohalle wale gunehgar (laaiqe itaab) honge aur masjid ke aetikaaf se khali rehne ka vabaal poore mohalle per padega.
Jis masjid me panch waqt ki namaaz bajama’at hoti ho usme aetikaaf ke liye bethna chahiye, agar jumuah na hota ho to bhi bethna chahiye aise motakif ko Jumuah parhne jana jaiz hai aur agar masjid aisi ho jisme panch waqt ki namaz bajama’at na hoti ho, usme panch waqt ki namaz bajama’at ka intezam karna ahle mohalla per laazim he.
Aurat apne ghar me ek jagah namaz ke liye muqarrar karke wahan aetikaaf Kare, usko masjid me aetikaaf me bethne ka sawab milega.
📘Aapke Masail aur Un ka Hal, 3/320
📚Kitabul Masail2/171
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, india
⭕AAJ KA SAWAL NO.2822⭕
Aitekaf kise kehte hai?
Us ki kitni qismen hai?
Aur aurton ko aetikaf karne ka kiya tareeqah hai?
🔵JAWAB🔵
Aadmi ka Aitekaf ki niyyat se aisi masjid me thaherna jis me paancho 5 waqt ki namaz baa-jamaat hoti ho aetikaf kehte hai.
Aurat ko apne ghar ki masjid me Aitekaf karna chahiye,
Agar ghar me koi jagah masjid ke liye mutayyan na ho to koi kone (corner) ko makhsus (tay) kar den,
Aurton ke liye Aitikaf ba-nisbat mardon ke ziyada sahal (aasaan, easy) hai ke ghar me bethe bethe ghar ka karobar bhi ghar ki ladkiyon se leti rahe aur muft ka sawab bhi leti rahe,
Magar iske bawajud bhi aurten is sunnat se goya bilkul hi mahrum rehti hai,
Hanfiyyah ke nazdik Aitekaf ki teen 3 surten hai,
1. Wajib jo kisi mannat ya nazar ki wajah se ho, jaise yun kahe ke mera fulaan kaam ho gaya to itne din ka Aitekaf karunga, ya bagair kisi kaam par mawquf rakhne ke yun kahe ke meine itne din ka Aitekaf apne upar laazim kar liya to ye Wajib hai, aur jitne dino ki niyyat ki hai utna pura karna wajib hai.
2. Dusri surat Aitekaf ki Sunnate muakkadah alal kifayah hai,yani pure muhalle ki kisi bhi masjid me aetikaf na hoga to pura muhallah gunehgar hoga.har muhalle~chhoti basti ki kisi bhi ek masjid me aetikaf karna zarooree hai.
📘FATAWW DARUL ULOOM JILD 4 SAFA 501 BAHAWALA DURRE MUKHTAR
Ye Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre-das din ka hai ke nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ki aadate sharifa in ayyam ke Aitekaf farmane ki aesi thi ke hijrat ke baad puri zindagi kabhi nahi chhoda ek martaba safar ki wajha se chhuta to us ke baad ke sal me 20 din ka aetikaf kar ke us ki talafi ki.
3. Teesra nafl Aitekaf, Jiske liye na koi waqt, na ayyam ki miqdaar, jitna ji chahe kar len, hatta ke koi shakhs tamam umr ka Aitekaf ki niyyat kar len tab bhi jaiz hai,
imam abu haneefah r. a. ke shagird Imaam muhammad rh.Ke nazdeek thodi der ka bhi jaiz hai, aur isi par fatawa hai, is liye har shakhs ko munasib hai ke jab masjid me dakhil ho Aitekaf ki niyyat kar liya kare, ke jitna namaz wagerah me mashgul rahe Aitekaf ka sawab bhi hai.
📗FAZAILE
RAMAZAN
📔BAHISHTI ZEWAR
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
🔴AAJ KA SAWAL NO. 2823🔴
Sunnat aetikaf ka waqt kya hai ? masnoon aetikaf kitne dinom ka karna zarooree hai?
🔵JAWAB🔵
Ramzan mubarak ke ashrah e akheerah yani Aakhri das [10] rozon ka aetikaf sunnat hai.
(Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne madine me aakar kabhi bhi nahi chhoda)
Is ki shurooaat urdu 20 bis tareekh-roze ki guroobe aaftaab ke waqt se hoti hai
(India aur us ke taraf ke mulkon me is sal 1443 hijri or 2022 me 22 April juma ke din guroobe aaftaab (sunset) pehle motakif (aetikaf karne wala) ko bethna zarooree hai)
aur eid ka chand dikhte hi aetikaf khatm ho jata hai.
chand chahe 29 untees ka ho ya 30 tees ka ho donon sooraton me sunnat adaa ho jati hai
📗[BAHISHTEE ZEWAR HISSA 11 SAFA 107 SE MAKHOOZ]
✏MUFTI IMRAN
ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA
AURTON KE AETIKAF KE LIYE SHARAAIT
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2824⭕
1. Aurton ke aetikaf ke liye kya kya cheezen shart hai ?
2. Aurat poore room mein aetikaf kar sakti hai ?
3. Kitchen mein aetikaf Kar ke unke kaam kar sakti hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
1. Masnoon Aetikaf ke liye Roza rakhna shart hai.
2. Aurton ke aetikaf ke liye haiz,nifas se paak hona shart hai agar haiz aa jayega to aetikaf toot Jayega.lihaza ayyam Ka khayal rakhe.
3. Aurat apne ghar ke kisi kamre ko aetikaf ki jagah banaa sakti hai voh kamra uske liye masjid ka hukm rakhega ya’ni us kamre se bila zaroorat bahar Na jaaye.
4. Agar kitchen bada hai to aurat kitchen ko bhi aetikaf ki jagah banaa sakti hai aur usmein baithe baithe kitchen ke zaroori kaam masalan sabzi kaatna wagairah Kar sakti hai,khana pakane se aetikaf Nahi tootega.lekin behtar yahi hai ke mu’takifah aurat zyada waqt ibadat hi mein guzare gharelu kam mein Bila zarurat mashgool Na ho.
📗Mustafad az fatawa mahmoodiyah merath 15/334
📘kitabul masail 2/122
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2825⭕
1. Masnoon aitikaf ke liye roza shart hai?
2. Bimarpursi karne nikal sakte hai?
3. Niyyat kese kare?
4. kya masnoon aitikaf toot jaye to kitni din ki qaza karni padegi?
5. Aur chadare (pardah) lagana zarooree hai?
6.Khana pahonchane wala koi na ho to khana lene ghar ya hotal me khane jaa sakta hai?
♻JAWAB♻
1. Aitkaaf ke liye Roza shart he, khuda na khasta agar roza Toot jaye to Aitkaaf masnoon bhi jata raha,
2. muatakif ko kisi ki bimaar pursi ki niyat se masjid se nikalna durust nahi, ⇨haa! Agar apni qudratee Zaroorat (peshab pakhane) ke liye bahar gaya to chalte chalte mijaaz pursi bhi karli to durust he,
3. Ramzan ke Aakhri ashre ka Aitkaaf to masnoon he,wese mustahab ye he k jab bhi Aadmi masjid me jaye to Aitkaaf ki niyat kar le, chahe kitni hi der ke liye jaye,
Aitkaaf ki niyat dil me kar lena kaafi he, agar zaban se bhi keh le to behtar he,
Muatakif poori masjid me jaha chahe waha so ya beth sakta he,
4. Aitkaaf me chadar (pardah) lagana zaroori nahi,
5..Bila uzr Aitkaaf todne wala azeem doalat se mehroom raha,
★ Har Din ka Aitkaaf ek mustaqil ibaadat he, isliye jis din ka Aitkaaf toota he sirf usi ek din ki qaza laazim he, bahut se akaabir ne ise Ikhtyar kiya he,
6.Agar muatakif ke ghar ya kisi aur jaga se khana wagairah aane ka koi nazm nahi hai to woh hasabe zaroorat guroob ke baad khane ke liye apne ghar ya hotal me ja sakta hai isliye ke ye bhi tabee zaroorat me dakhil hai
📘Aapke Masail aur U
lnka Hal, 3/323.
📗KITABUL MASAIL 2/109
✏TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2826⭕
Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?
🔵JAWAB🔵
Aetikaf niche dee hui baton se makrooh hota hai.
1⃣- Bila zarurat baate karna,
2⃣- Aitkaaf ki haalat me fahash ya bekaar aur juthe qisse kahaniya ya islam ke khilaf mazaamin per mushtmil literatures, Tasveer wale akhbaraat wa Rasail ya akhbaar ki jhooti khabre, masjid me lana, rakhna, padhna, sunna,
3⃣- Zarurat se ziyadah saaman masjid me laakar bikher dena,
4⃣- Masjid me bijli (electricity, power), gas aur paani vagera ka beza {Fuzool} isteamal karna,
5⃣- Masjid me Cigarette, Bidi v Huqqa peena,
6⃣- Ujrat (mazdoiri) ke saath hajaamat banana aur banwana,
lekin agar kisi ko hajaamat ki zarurat hai aur bager ujrat ke banaane wala mil na raha ho to aisi soorat akhtyar ki ja sakti hai ke Hajamat banane wala masjid se bahar rahe aur Muatakif masjid ke andar.
📘MASAILE AETIKAF SE MAKHOOZ
و اللہ اعلم بالصواب
✒ Mufti Imran Ismail Memon Hanfi Chisti
Ustaze Darul Uloom, Rampura, Surat, Gujrat, India