Gair Muslim Se Mantar Ke Zariye Ilaj Karana Kaisa
Sawal:
Gair Muslim Se Mantar Ke Zariye Ilaj Karana, Bimaree Wagairah Pareshani Me Gair Muslim Se Khilafe Tauheed Mantr Parhakar Dam Karana Kesa Hai?
[Jab Ke Bahot So Ko Us Se Faidah Bhi Hota Hai]Jawab:
Jab Yaqeen Hai Ke Tauheed Ke Khilaf Aur Shirkiyah Mantra Parhra Hai, To Us Se Ilaj Karana Na Jaiz Hai, Rahi Baat Fayde Ki To Ibne Masood Radeeyallahu Anhu Se Riwayat Hai, Ke Un Ki Ahliya Ki Aankh Me Takleef Hoti Thi, To Woh Ek Yahoodee Ke Pas Dam Kara Leti To Fauran Achachha Ho Jata, To Is Ka Tazkirah Un Ke Samne Kiya, To Ibne Masood Radeeyallahu Anhu Ne Farmaya Ke Asal Me Shaitan Aankh Ko Kuredta Tha, Jese Hee Woh Yahoodee Dam Karta Tha Shaitan Apna Hath Rok Leta Tha, To Ye Shaitani Harkat Hai (Aamil Aur Shaitan Ki Milibhagat Hai. Sifee Amal Me Aesa Hota Hai.
Tumhare Liye Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Ke Batlaye Huwe Kalimat Kafi Hai Woh Kalimat Ye Hai.
اذهب الباس رب الناس و اشف انت الشافي لا شفاء الا شفاءك شفاء لا يغادر سقما
Azhibil Bass, RabbiNnaas, Washfi Antas Shaafee, Laa Shifaa, Illaa Shifaauka, Shifaa an Laa Yugaadiru Suqmaa.
(Ise Tin Bar Parh Ke Dardwali Jaga Dam Kare Aage Pichhe Durood Shareef Parhe)
Fatawa Raheemiyah 1/43
Ba Hawala Talbeese Iblis 1268
Mufti Imran Ismail Memon Gufira Lahoo
Mudarrise Darul Uloom Rampura Surat Gujrat India
MUHARRAM ME SHADI KARNA | 1484
‘Muharram Me Shadi Karna’ Rukhsati Kar Ke Walima Karna, Bachhe Ki Khatna Karvana, Khushi Ka Koi Kaam Karna Jaiz Hai?
Jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
“Muharram Me Shadi Karna” Jaiz Hai, Shariat Me Uski Mumaniat Ki Koi Dalil Nahin, Baaki Waqia E Shahadat Ka Gam Woh Aisi Chiz Hai, Jo Isee Din Huva, Jisko Is Waqie Ka Gam Ho Woh Hamesha Gam Rakhta Hai, Aur Shariat Me Kisi Ke Intiqal Par 3 Din Se Zaaid Sog Manana Jaiz Nahin Rakha Gaya, Sirf Bivi Apne Shohar Ke Intiqal Par 4 Mahine 10 Din Iddat Me Sog Mana Sakti Hai.
Lihaza “Muharram Me Shadi Karna” Aur Walima Wagairah Is Din Me Aur Tamaam Ashra E Muharram Me Bila Shuba Jaiz Hai.
Imdadul Muftiyyin Jild:1 S:96
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti
Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
10 muharram ko Kala Libas pahenna | 1483
‘10 Muharram Ko Kala Libas Pahenna’ Kaisa Hai?
Khusoosan Muharram Me Ba’az Log Is Ko Aehtamam Se Pahente Hain Is Ka Kya Hukm Hai.?
Jawab: حامد و مصلیا و مسلما
“10 Muharram Ko Kala Libas Pahenna”:
Kala Libas Pahenna Huzoor صل اللہ علیہ وسلم Se Aur Sahaba رضی اللہ عنہم Se Saabit Hai, Isliye Siyah Libas Pahenna Ba’az Fuqhaa Ne Mustahab Qarar Diya Hai.
FATAWA HINDIYYAH 5/330
“10 Muharram Ko Kala Libas Pahenna”:
Lekin Khaas Taur Se Is Zamane Me Shiyon Ka Shiaar (Khaas Mazhabi Nishani) Hone Ki Wajah Se Muharram Ke Mahine Me Aur Jahaan Shiyon Ka Galbah Aur Zor Ho Wahaan Us Se Hamesha Bachna Zaruri Hai.
KITABUL FATAWA 6/92
AHSANUL FATAWA 8/63 SE MAKHOOZ
Mufti Imran Ismail Memon
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India
Kya Farmate Hain Ulama E Kiraam Is Baare Me Ke ‘Muharram Me Khichada’ Hi Pakaya Jaaye?
Khichde Ke Saboot Ke Taur Per Bayaan Kiya Jaata Hai Ke Nooh علیہ السلام Ki Kashti Aashoorah Ke Din Judi Pahad Par Thehri To Unhone Bataure Shukranah Khichda Pakaya Tha Isliye Ham Bhi Pakate Hain.
Is Riwayat Ka Kya Hukm Hai?
Bareli Aur Deobandi Ke Maane Huve Hawale Se Jawab Dene Ki Guzarish.
Jawab: حامد و مصلیا و مسلما
Hazrat Nooh علیہ السلام Ki Kashti Ne Toofan Se Najaat Paayi, Aur Judi Pahaad Par Thehri, Nooh علیہ السلام Ne Bataure Shukranah Kashti Me Maujud 7 Qism Ke Gallo (Anaaj) Ka Huboob (Khichada) Banaya. Is Riwayat Ko Bhi Dewbandi Wa Barelvi Ulamaa Ke Sartaaj Hazrat Maulana Shah Abdul Haq Muhadise Dehlvi Rahmatullahi Alayhi Ne Mawzua (Banavati) Qaraar Diya Hai.
Maa Sabat Bis Sunnah 16/6
Mawzua (Banavati) Hadees Ki Misaal Dete Huve Farmate Hain Ke “Ka Fais Salati, Wal Iktihaali, Wa Tabkhil Huboob, Zaalika Qullu Mawzuoon Wa Mafturaa”
Jaise Namaaz Ki Fazilat, Surmaa Dalne Ki Aur “Muharram Me Khichda” Pakane Ki Aur Iske Alawa Tamaam Fazilat Mawzuaa Aur Iftraa (Bohtaan) Hai.
Barelvi Aur Ulama E Deoband Ki Maani Huyi Kitaab {Maa Sabat Bis Sunnah Safa 17}
Lihaza “Muharram Me Khichda” Hee Pakana Zaruri Nahi.
Ahlo Ayaal Ko Jo Pasand Ho Woh Hee Pakana Chahiye. Us Din Ahlo Ayaal Par Wus’at (Kuchh Ziyadah) Kharch Karne Ki Fazeelat Muft Me Taqsim Hone Wale Khichde Ki Wajah Se Ba’azon Ki Chhut Jati Hai.
Mufti Imran Ismail Memon
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India
ACCIDENT ME MARNE WAL E KI MAUT 1622
Accident ya kisi ke qatl karne ki wajha se marne wala apne waqt se pehle mar gaya aesa keh sakte hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Accident ya qatl hone wala bhi apni hi likhi huwi maut se apne waqt par hi marta hai, waqt se pehle koi mar nahi sakta.
MUEENUL AQAID SAFA 6
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
22 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
ABHI BHI KISI KO NABI MANNEWALE KA HUKM 1644
Huzoor sallahu alayhe wasallam ke baad bhi kisi ko nabi manna masalan mirza gulam ahmad qadyani ya shakeel bin haneef ko nabi mannewale ka kya hukm hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Huzoor salallahu alayhe wasallam qayamat tak ke liye akhri nabi hai aap ke baad bhi koi kisi ko aur ko kisi bhi tarah ka nabi maane woh tamam ahle sunnat wal jamaat ke nazdeek islaam ke dayre se khaarij aur kafir hai.
FATAWA MAHMOODIYAH
FATAWA RAHEEMIYAH SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH:
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
NABIYON KI TA’DAD KE BARE ME GALAT FAHMI 1642
Allah ta’la ne umma ki hidayat ke liye kul kitne nabi bheje hain?
Kya 1 lakh 24000bhrje the?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Nabiyon ki saheeh TA’DAD Allah ta’la ke alawa koi nahi janta.
1 lakh 24000 kehna bhi saheeh nahi kyun ke is se kam hoge to gaire nabi ko nabi maanna laazim aayega (samjha jayega)
aur is se zayada hoge to ba’z nabyon par iman lana chhoot jayega.
tamaam nabi par iman lana zaroori hai.
isliye kamo besh-andazan 1 lakh 24000 nabi bheje hain, agar aesa kaha jaye to saheeh hoga.
BAHISHT ZEHAR AUR ISLAMI AQAID SE MUSTAFAAD
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH : 11 JUMADUL AL UKHRA 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
Kya marhoom ki rooh ghar par aa sakti hai ?
is bare hazrat Ali Radeeallahu anhu ki riwayat hai to us ka kya jawab hai ?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Murde ki rooh agar nek hai to woh badbudar dunya me nahi aayegi, yahan ke ahwal dusre nek murdon ke zariye un ko maloom ho jate hai,
aur rooh bad (buri) hai to azaab ke farishte un ko chhodte nahi hai.
MARNE KE BAAD KYA HOGA
Lihaza rooh aane ke bare me jitni bhi riwayat hai sab mavzooa manghadat aur banawati hai.
ye baat hazrat mulla ali qari rh. ne jinhe barelvi hazrat bhi mante hai apni kitab “Tabqatul hanfiyyah” me kahi hai.
FATAWA MAHMOODIYAH 1/609
Aur ye riwayat aql ke bhi khilaf hai ke jab un ki pukar chikh chikh kar kehne ke ba wajood koi sunta nahi hai, mayoos ho jati hai to har hafte kyun aati hai, isaale sawab ki aisi muhtaj har rooh nahi hoti hai, us riwayat me sab ko muhtaj bana diya hai
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH : 14 RABEEUL AAKHAR 1441 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.
Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai
⭕AAJ KA SAWAL NO.2560⭕
Kaala libaas pahenna kaisa hai?
Khusoosan muharram me ba’az log is ko aehtamam se pahente hain iska kya hukm hai.?
🔵Jawab🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Kaala libaas pahenna Huzoor صل اللہ علیہ وسلم se aur sahaba رضی اللہ عنہم se saabit hai isliye siyah libas pahenna ba’az fuqhaa ne mustahab qarar diya hai
📕FATAWA HINDIYYAH 5/330
Lekin khaas taur se is zamane me shiyon ka shiaar (khaas mazhabi nishani) hone ki wajah se muharram ke mahine me aur jahaan shiyon ka galbah aur zor ho wahaan us se hamesha bachna zaruri hai.
📕KITABUL FATAWA 6/92
📗AHSANUL FATAWA 8/63 SE MAKHOOZ
ASHOORAH KI CHHUTTI (HOLIDAY) KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.2565⭕
Ashoorah ko madrasah aur karobar bandh rakhna chahiye ya chalu?
🔵Jawab🔵
Ashoorah ke din madrasah aur karobar bandh rakhne me kai kharabiyan hai.
1. Shiyon ki mushabahat
2. Shiyon ki rasmo riwaj ki taqwiyat wa tayeed
3. Us din shiya hazraat apne mazhab ke liye be panaah mashaqqat aur sakht mehnat ka muzahirah-zahir karte hai, uske barkhilaf ahle sunnat chhutti rakhenge to be himmat kamzori aur aaram ka muzahirah-izhar hoga.
4. Us din bekar aur farig hone ki wajah se taziye ke juloos ya maatam wa marsiya ki majlis me shareek ho kar kai gunahon me mubtala ho jayenge.
📗AHSANUL FATAWA 1/395
و الله اعلم بالصواب
MOHARRAM KA KHICHDA HI PAKANE,USME CHANDA DENE AUR USKE KHANE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2568⭕
A
Kya farmate hain ulama e kiraam is baare me ke muharram me khichada hi pakaya jaaye?
khichde ke saboot ke taur par bayaan kiya jaata hai ke Hazrat Nooh علیہ السلام ki kashti aashoorah ke din judi pahad par thehri to unhone bataure shukranah khichda pakaya tha isliye ham bhi pakate hain.
Is riwayat ka kya hukm hai?
Barelvi aur deoband ke maane huve hawale se jawab dene ki guzarish.
B.
Aashoorah ke din khichda pakane walon ko chanda dena aur chanda wasool karna kaisa hai ?
C.
Khichda ham na pakaye aur kahin se aa jaae to le sakte hain ya nahin ?
🔵Jawab🔵
حامد و مصلیا و مسلما
A.
Hazrat Nooh علیہ السلام Ki kashti ne toofan se najaat paayi aur judi pahaad par thehri, Hazrat Nooh علیہ السلام ne bataure shukranah kashti me maujud 7 qism ke gallo (anaaj) ka huboob (khichada) banaya. is riwayat ko bhi devbandi wa barelvi ulamaa ke sartaaj hazrat maulana shah Abdul Haq muhadise dehlvi rahmatullahi alayhi ne mawzua (banavati) qaraar diya hai.
📚Maa Sabat bis sunnah 16/6
mawzua (banavati) hadees ki misaal dete huve farmate hain ke “ka fais salati, wal iktihaali, wa tabkhil huboob, zaalika qullu mawzuoon wa mafturaa”
Jaise namaz ki fazilat, surmaa dalne ki aur khichda pakane ki aur iske alawa tamaam fazilat mawzua aur iftraa (bohtaan) hai,
📚Barelvi aur ulama e deoband ki maani huyi kitaab maa sabat bis sunnah
Safa 17.
Lihaza khichda hi pakana zaruri nahi.
.
Ahlo ayaal ko pasand ho wohi pakana chahiye. usdin ahlo ayaal par wus’at (kuchh ziyadah) kharch karne ki fazeelat muft me taqsim hone wale khichde ki wajah se ba’azon ki chhut jati hai.
B.
Lihaza isko sawab samajh kar banana bid’at aur na-jaiz hai. is me jaani ya maali hissah lena bhi durust nahin, mashhoor kitab ‘al bidayah wa nihayah’ tareekh (itihas, history) ki paaye ki aham purani kitab hai, jise barelvi ulamaa bhi mante hain, usme saaf likha hai ke khichda pakana, us din khushi manana kharjiyon (ahle bait-khandane Nabi Salallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ke dushmano) ka shiaar (khas tareeqah) hai
📕 Al bidayah wan nihayah 8/203
C.
Agar ghar par koi khichda bheje to use lena bhi na chahiye, taake bidat aur rasm par tambeeh ho sake, aur pakane walon ki islah ho.
📗Kifayatul mufti 1/226
📕Bahishti zewar 6/61
📘Deenee masail aur un ka hal safa 85,86 se makhooz.
ASHOORAH KI WOH BAATEN JIN KE FAZAIL GALAT HAIN
⭕Aaj ka sawal number 2567⭕
Woh konse a’maal hain Jo Aashurah ke din ya’ani 10 muharram ko sunnat se saabit NAHIN hai ?
🔵Jawab🔵
❌ 1) Gusl karna ya’ani khaas aashurah ke din ki niyyat se
❌ 2) Kapde badalna
❌ 3) Khushboo lagaana
❌ 4) Surma lagaana
❌ 5) Makhsoos namaz Ada karna
❌ 6) Marsia khwani karna
❌ 7) Masjid me jamaa ho kar nawafil padhna
❌ 8) Maatam karna
❌ 9) Qabro par mitti dalna
❌ 10) Ta’ziya banana
❌ 11) Nange sar rahna
❌ 12) Nange pair rahna
❌ 13) Kaala kapda pahanna
❌ 14) sar par khaak daalna
❌ 15) sar ko peetna
❌ 16) bachchon ko qaidi faqeer banaana
❌ 17) Sharbat banaana
❌ 18) Sharbat pilana
❌ 19) Makhsoos qism ka khana banana
❌ 20) Sirf muharram hi me sabeel lagana;
📗 MAA SABAT BIS SUNNAH ME BARELVI AUR DEVBSNDI ULAMA KE MUATAMAD SHAH ABDUL HAQ MUHADDISE DAHELVI R.A. IN CHEEZON FAZAIL KI TAMAM RIWAYAT KO MAVZOOA-BANAWATI QARAR DIYA HAI
📚Fatawa Mahmoodia 3/274 aur uske aas paas se makhooz
و الله اعلم بالصواب
ASHOORAH ME ACHCHHA KHANA AUR ROZA RAKHNE ME TAKRAO
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1490⭕
Ashoorah ke din apne ahlo ayal par dastarkhan kushada karna chahiye ye riwayat muatabar hai? kyun ke ek taraf to achchha khilane ki targeeb hai aur dusri taraf saheeh riwayat se us din roza rakhna sabit hai to roze me achchha khana kaise khilayenge?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
is riwayat ke alfaz ye hai.
من وسع. یوم عاشورہ فی نفقتہ علی عیالہ وسع اللہ سائر سنتہ”
Jis me ashoora ke din apne ayal (bivi bachcho par kharch me wusat- kuchh zayada kharch kiya allah pure saal us par wusat karega)
Is riwayat me kahin bhi dastarHan ka ya khana khilane ka khas zikr nahi hai balke nafqa yani mutlaq kharch ka zikr hai nafqa me Bivi bachchon ko naqad paise dena, khane, pine, kapde, dawai wagairah zaroori tamam chezen dakhil hai aur iftari ke liye jitni bhi cheez khareedenge us ka kharch to din hi me ho jayega aur ashoora magrib baad hi shurooa ho jata hai to raat ko ya sahri achchha khana bhi khilaya jaye to bhi roze ke sath koi takrau na raha lihaza jab roza rakhne aur wusat karne me tatbeeq-jod mumkin hai isliye takrao ko daleel banakarriwayat ko mvzooa-manghadat kehna saheeh nahi.
Hafiz ibne hajar aur allamah siyooti Rahmatullahi alayhima ne is riwayat sabit aur saheeh qarar diya hai.
Hazrat jabir Radeeyallahu anhu aur sufyan ibne auyayna wagairah buzrogon is din kharch karne se pure saal ki wusat ka salo sal tajraba kiya hai.
Allama saawi maliki ne apne hashye sharhus sageer me charon mazhab ke imamon ka is dn ahlo ayal par kharch karne ko mustahab hone naqal kiya hai.
و الله اعلم بالصواب
𝙺𝚢𝚊 𝚜𝚊𝚏𝚊𝚛 𝚔𝚊 𝚖𝚊𝚑𝚒𝚗𝚊 𝚖𝚊𝚗𝚑𝚘𝚘𝚜 𝚑𝚊𝚒?
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2589⭕
Safar ka mahina shuru ho chuka hai. Aap Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ka irshad hai ke:-
Safar ke mahine me saari Aafate aur Musibate zamin par utarti hain is liye
in sab se Hifazat ke liye har Namaaz ke baad 11 martaba “YA BASITU YA HAFIZU” ka wird kare
👆🏻𝙺𝚢𝚊 𝚞𝚙𝚊𝚛 𝚠𝚊𝚕𝚒 𝚋𝚊𝚊𝚝 𝚜𝚊𝚑𝚎𝚎𝚑 𝚑𝚊𝚒⁉️
Kya safar ka maheena manhoos hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Islam me koi mahina, koi din, aur koi ghadi manhus aur bhari nahin nahoosat, Allah ki la’nat- fitkaar aur gazab, namaz chhodne se, soodi len den, zina, naach gana, be pardagi aur behayai wagairah gunah jo ghar ghar me aam hain us se aati hai lihaza isse bachne ka aehtamam karna chahiye aur kisi aafat ka nazil hona kisi mahine ke saath khaas nahin,
Aisa aqeedah islami aqeedah nahin. aisa ap-shugun gair qaum leti hain islam me iski ijazat nahin
Upar jo hadees paish ki gai hai woh mavzooa (manghdat, jhuthi) hai
lihaza galat aqeedah ke saath kisi khaas wird ka ehtamam bhi durust nahi.
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL NO.2602⭕
Kisi ka intiqal ho jaye to gharwalon ko kitne din ka sog manana jaiz hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Marhoom ki bewa ke alawa dusre gharwalon aur rishtedaron ko 3 din se ziyadah sog manana jaiz nahi. (Lihaza aaj-kal jo log 3 din baad bhi tay shuda nikah nahi karte ya nikah, eid wagairah khushi ke jaiz mauqe par nahi jaate yah saheeh nahi.)
📗JADEED MUAMALAT KE SHAREE AHAAM 3/253
و الله اعلم بالصواب
GULAM AHMAD QADYANI KO NABI MANNEWALE KA HUKM
AAJ KA SAWAL NO.2688
Huzoor sallahu alayhe wasallam ke baad bhi kisi ko nabi manna masalan mirza gulam ahmad qadyani ya shakeel bin haneef ko nabi mannewale ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵ؔ
حامدا و مصلیا مسلما
Huzoor salallahu alayhe wasallam qayamat tak ke liye akhri nabi hai aap ke baad bhi koi kisi aur ko kisi bhi tarah ka nabi maane woh tamam ahle sunnat wal jamaat ke nazdeek islaam ke dayre se khaarij, kafir aur jahannam ka mustahiq hai.woh musalman hai hee nahi agarche woh kalma aur quran padhta ho
📘FATAWA MAHMOODIYAH
📗FATAWA RAHEEMIYAH SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
4 JUMADUL UKHRA 1443 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
BIMARI KA CHEP LAGNE KI HAISIYAT
⭕AAJ KA SAWAL NO.2738⭕
Bimari ke chep lagne ka aqeedah Islam ke mutabiq hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Bimari hi se chep lagne ka aqeeda islam ke khilaf hai kyun ke hadees shareef me hai ke ek ki bimari dusre ko nahi lagti aur parindeh ke dayen bayen udne ki wajha se khair aur burai nahi hoti…
📗BUKHARI SHAREEF
Ek dusri hadees me hai ke ek dihati ne huzoor sallahu ko puchha ke ek registan me uunt hiran ki tarah tandurast hota hai lekin in me ek khujli wala unt mil jata hai to dusre unton ko bhi khujli ho jati hai aesa Kyun?
Huzoor sallahu alayhe wasallam ne irshad farmaya ke pehle unt ko khujki kese hui?(Yani pehle unt ko kharish allah ke hukm se hui to baqi unt ko kharish bhi allah ke hukm se hui)
📗MUSLIM SHAREEF
Ye baat sabit hui ke bimari agar allah ne muqaddar me likhi hogi to hi hogi warna Nahi hogi.
Rahi baat dusri hadees jis me hai ke juzami (rakt pit wale) se aesa bhago jaise ser se bhagte ho aur ek aur hadees me hai ke tandurast unt ko bimar unt ke paas mat lawo is jaisi hadees ka maqsad huzoor sallahu alayhe wasallam ka ummat par shafqat karte huwe kahin allah ke taqdeer se bimari lag gai to aqeedeh ki hifazat ke liye ke woh kharab na ho ke chep lag gaya balke ye aqeeda banega ke me to door raha fir bhi bimari ho gai to sabit ye howa ke bimari Allah ke hukm se hoti hai isliye mana farmaya.
📗MIRQAAT
📕FATAWA RAHEEMIYAH 1/222
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.
QADYANI AUR SHAKEELI LOGON KE UN KE NABI KE HAZ.ISA HONE KE DAWE RAD-TOD PART 1.
⭕AAJ KA SAWAL No. 2766⭕
Mirza gulam Ahmad qadyani aur shakeel bin haneef ye do firqe ummat ko gumrah kar ke un ke iman ko barbad kar rahe hai ye dono apne liye isaa aur mahdee hone ka dawa karte hai aur puri dunya me in ke is dawe ko Maan kar hazaron log gumrah ho chuke hai lihaza hame ye bataye ke isaa alayhissalam aur hazrat mahdee radee Allahu anhu ki Quran aur mutabar hadees me kya pehchan hai? taa ke in dono iman ke luteron me ye nishaniyan na paya jane ki wajha se un ka jhuta aur dhokebaz hona har ek ko maloom ho jaye aur gumrah log hidayat par aaye aur baqi log gumrah hone se bache .
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Aap ke samne pehle hazrat isa alayhissalam ke bare me maloomat pesh ki jati hai is ko padh kar apna Aqeeda mazboot karna zaroori hai.
HAZRATE ISA(alaihis salam) KA MUKHTASAR TA’RUF-PEHCHAN
NAAM:Aap ka laqab maseeh,aap ka naam ISA, aur maa ka naam MARYAM hai,aap Allah ta a’la ki khas qudrat kalimaye kun se bagair baap ke , sirf maa ke pet se paida huwe.(QURAN)
KHANDA’N: ap ke khandaan ka naam “BANI ISRA’IL” hai, aap ke bha’i ka naam HARUN naanaa ka nam IMRA’N aur naani ka naam HANNA BINTE FAAQOOZA hai.(QURAN WA TAFSEERE QURAN)
PEDAISH: ALLAH ke aakhri nabi hazrat MUHAMMAD (sallallahu alaihi wasallam)ke peda hone se lag bhag 600 saal pehle aap baitul muqaddas ke qareeb BAITUL LAHAM naami jagah par paida huwr, fir yahoodiyo ke zulm se bachaa ne ke liye ALLAH TAA’LA ne Ap ko aasman par zindah utha liya, aap abhi bi aasman par zindah hai,aur qayamat se pehle aasman se utar kar duniya me tashreef laayenge.(QURAN WA TAFSEERE QURAN)
NUZOOL: Hazrat ISA’ alaihissalam dimashq me mashriq ki taraf minaare par kesri rang ki 2 chaadar pahne huwe (jaise ihraam me hoty hai) 2 farishto ke kandho par haath rakh kar fajar ki namaaz ke waqt dobaarah duniya me tashreef layenge.📘(TIRMIZI 3/43)BSBU MAA JAA FEE FITNATIJ DAJJAL
SHAKAL: ap bahot khubsurat honge, darmiyane qad wa hight wale, sufed jis me laal mili ho aise rang wale honge, baal thode ghungaryaale aur kandhe tak lambe honge, safa’i aur chamak ki wajah se baal aise maalum honge ke un me se paani tapak raha ho, haalan ke wo bhige huwe nahi honge.(ABU DAWOOD KITABUL MALAAHIM BUKHARI KITABUL ANBIYA)
KAARNAAME: paida hone ke thode hi waqt ke baad gehwaare me ajeeb baat kahi , jo QURAN me hai (tarjamah) wo (bachcha ) bo laa ke me to ALLAH TAALA ka bandah hu,us(ALLAH) ne mujh ko kitaab di hai, aur mujh ko NABI banaya hai,
📗(SURAH E MARYAM AYAT 30)
dobarah duniya me insaaf kar ne wale haakim ban kar aayenge , lud saher ke darwaje ke paas DAJJAL ko qatl karenge, salib tor denge aur khinzeer ko qatl kar denge,yani badla huwa isaai mazhab khatam ho jayega jizya (tex) lene aur jihad karne ki zarurat nahi rahe gi,logo ke dilo se ek dusre ki bura’i khatm ho jawegi, aur log itne maaldar ho jawenge ke zaka’t lene wala koi nahi rahe ga,(TIRMIZI BABU MAA JAA FEE NUZOOLE ISAA)
WFAAT: Aap is duniya me akar nikah bhi farmaenge, aap ki aulad bhi hogi , lag bhag 40 saal wo zindah reh kar wafat payenge, musalman aap ki namaze janazah padh kar aap ko MADINAH MU NAWWARAH me ROZA E AQDAS ke paas chothi qabar me dafan farmayenge.
📕(MISHKAT BABU NUZOOLE ISA HASHYA E ABU DAWOOD KITABUL MALAAHIM)
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
QADYANI AUR SHAKEELI LOGON KE UN KE NABI KE HAZ.MAHDEE HONE KE DAWE RAD-TOD PART.2
⭕AAJ KA SAWAL No. 2767⭕
Mirza gulam Ahmad qadyani aur shakeel bin haneef ye do firqe ummat ko gumrah kar ke un ke iman ko barbad kar rahe hai ye dono apne liye isaa aur mahdee hone ka dawa karte hai aur puri dunya me in ke is dawe ko Maan kar hazaron log gumrah ho chuke hai lihaza hame ye bataye hazrat mahdee radee Allahu anhu ki saheeh hadees me kya pehchan hai? taa ke in dono iman ke luteron me ye nishaniyan na paya jane ki wajha se un ka jhuta aur dhokebaz hona har ek ko maloom ho jaye aur gumrah log hidayat par aaye aur baqi log gumrah hone se bache .
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
NAME WA LAQAB : Huzur (sal laal hu alayhi wasallam) ne farmaya ke” MEHDI ” ka naam mere naam jaisa aur unke walid ka naam bhi mere walid ke naam ki tarah hoga. Yani aap ka naam MOHAMMAD BIN ABDULLAH hoga aur MAHDI aap ka laqab hoga.
📗(ABU DAWOOD 2/588 KITABUL MAHDEE)
KHAND’N: Aap ka khanda’ni talalluq ahle bait ya’ni BANU HASHIM se hoga,asp apne Walid ki taraf se hazrt MOHAMMAD sallallahu alai hi wasal lam ki sa’habzadi hazrt FATEMAH ke bete hazrat HASAN ki aula’d me se HASANI saiyed aur walidah ki taraf se hazrat HUSAIN ki aulad me se husaini saiyed honge.
📙(ABU DAWOOD 2/589)
PEDA’ISH WA ZUHOOR:
Aap ki peda’is MADINAH munawwarah me hogi ,aur zuhoor MAKKAH mukarramah me hoga, ua ke ba’d deen felane ke ilye BAITUL “MUQADDAS”( mulke SHA’M tashreef legawenge.
📘(ABU DAWOOD 2/588)
SHAKL WA SURAT:
Gandumi rang, chharere-kasale badan, chhodi aur chamakdaar peshani, unchi aur patli na’k wale, bahot hi khubsurat honge.
📗(ABU DAWOOD 2/589,MUNTAKHAB KANZUL UMMAL ALA HAAMISHE MUSNADE AHMAD 6/34)
KAAR NAAME: dono hatho se bhar bhar ma’l logo me taqseem karenge, duniya me adl wa insa’f wali hukumat karenge.(MUSLIM 2/395)
KUL UMAR: Hazrat MEHDI zahir hone ke ba’d ziyadah se ziyadah 9 saal duniya me zin(87dah rahenge, fir wafa’t pa jawenge, aur musalma’n apki nama’ze jana’zah bhi padhayenge.
📕(TIRMIZI 2/47,ABU DAWOOD 2/589
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
⭕AAJ KA SAWAL No. 2768⭕
Hame hazrat isa alayhissalam aur hazrat mahdee radee allahu anhu ka ta’ruf-pehchan ho gai ab ham shakeel bin haneef ko Janna chahte hai ke kon hai? Us me hazrat isa alayhissalam aur hazrat mahdee radee allahu anhu ki alamat pai jati hai ya nahi?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Sakeel bin haneef ka taruf ham pesh karte hai aap khud hamare msj part 1 hazrat isaa alayhissalam aur part 2 hazrat mahdee radee allahu anhu ki nishaniyan padh kar shakeel bin haneef ka taqabul kar ke dekhe to pata chalega ke Allah ke dono bandon ke sath us ka door door ka bhi koi tallluq nahi hai woh apne dawe me ek number ka jhuthha,makkar, Aur dhokebaz hai.
SHAKEEL BIN HANEEF KA TA’RUF
(1) SHAKEEL ke abba ka naam HANEEF tha, us ke maanne wale use HAZRAT JI kehte hai,
(2) SHAKEEL ko ab tak MAKKAH MADINAH DIMASHQ (DAMASK) dekhna bhi naseeb nahi huwa
(3) SHAKEEL ke khandaan ke baare me kuchh pata nahi chala, ha khud us ke likh ne se intna zarur pata chal ta hai ke FATMI aur SAIYED nahi hai
(4)BHARAT KE RAJY BIHAR zila,DAR BHANGA post USMAN POOR ke gaanw RATAN POOR me 1968 ya 1969 me paida huwa, SHAKIL bahot chhup chhup kar rehta hai, is liye aam (public) logo ko us ki shakal maalum nahi,
al batta HAZRAT ISA (Alayhissalam) wa HAZRAT MEHDI(radee allahu anhu) ke baare me khub surti jin hadiso me bata’i gayee hai, SHAKEEL unko jhootha kehta hai, is se andazah hota hai ke wo khud khub surat nahi hai,
(6)san 1991 tak college me tha, fir bich mese college chhod kar ghar beth gaya, us ke baad ghar walo ke mukhalifat ki wajah se ghar chhod kar dilhi (dehly) aagaya,aur paart nar ship (bhagedaari) me dukaan lagaai, lekin woh bhi barabar lnahi chali.
(7) HADEES me bataya gaya hai ke hazrat mehdi(radee allahu anhu) apne zaahir hone ke baad ziyadah se ziyadah 9 saal zindah rahenge,aur SHAKEEL ne iswi san 2002 me mehdi hone ka daawah kiya,ab tak 19 saal ho chuke hai, aur wo zindah hai, is liye SHAKEEL bin hanif me Hazrat isa alayhissalam aur hazrat mahdee radee allahu anhu ki ek bhi alamat nahi payi jati,zameen aasman ka farq hai lihaza shakeel bin haneef apne mahdee aur isa hone ke dawen me yaqinan jhuta makkar aur chalbaz hai.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
JUTHHE NABI MIRZA GULAM AHMAD QADYANI TA’RUF WA SEERAT
⭕AAJ KA SAWAL No. 2769 PART.4⭕
ham Juthhe nabi mirza gulam Ahmad qadyani ko bhi Janna aur ummat ko batana chahte hai ye kon tha is ke bhi dawe hai ke jis me ye bhi hai ke main mahdee aur isaa hun part 1 aur part 2 me hazrat isa alayhissalam aur hazrat mahdee radee allahu anhu ke taruf ke baad is ka bhi ta’ruf ho ta ke donon shakhsiyaton se is ka bhi taqabul-, muwazana ho ta ke is ka Juthha hona bhi maloom ho jaye.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
MIRZA GULAM AHMAD QADYANI KA MUKHTASAR TA’RUF
NAAM wa LAQAB:
Mirza ji ka naam GULAM AHMAD tha, walid ka nam GULAM murtuza tha, aur walidah ka naam chirag biwi tha,bachpan me log inhe sindhi keh kar bulaya kar te the.(SEERATE MAHDEE)
KHANDA’N:
Mugal,Farsi,Fatimi, chini,Isra’ily, Yani Mirza ji zarurat ke moqe se apni khandani asliyat bhi tabdeel karte rahe hai,(RUHANI KHAZAIN 22/203,209,-17/116)
PEDA’ISH: Muttahidah Hindusta’n ke sub’a panjaab ke ZIL’A GURDAAS POOR, TEHSEEL BANAALA ke ek gaanw QAADYAN me peda huwe, Mirza ji ke ek jhoot ko sach karne ke liye taarikhe pedaaish me bhi bahot her fer ki gaee hai.1836-37 SEERATE MAHDEE 2/150,1832-35 SEERATE MAHDEE 3/76,1829,30 ya 1833,34 DEEERATE MAHDEE 3/194
SHAKL WA SURAT: Mirza ji dusre nabiyo ki tarah khub surat to kiya hote, khud hi bima’ri ki dukaan the, aankhe hameshah band rehti the, (kaana pan) Histirya aur mirgi-khench ka dora padta tha,sugar,sar dard,dil wa dimaag ki kamzori,aur naamardi ki bimaari thi, 1 din ya 1 hi raat me Taqreeban 100 /100 martabah peshab aata tha,zabaan me luknat thi,daadho me kide pad gaye the,.
📗(SEERATE MAHDEE 2/55,77,25,125),
📕RUHANI KHAZAIN 15/203,17/471)
ZUHOOR WA NUZOOL:
Hazrat MEHDI MADINAH me paida honge aur MAKKAH me zaahir honge, aur hazrat ISA dimashq me aasman se utrenge.aur MIRZA ji ko zindagi bhar na makkah jana naseeb huwa aur nahi dimashq dekh ne ka moqa mila.
KARNAAME:
Parai aurato se khidmat lena ,sharab aur sankhiya-zahar ka istemaal karna ,mukhalifeen ko kafir,mushrik kehna,gaaliya dena, aur zindagi bhar haj, Aitikaf,zakat, tasbeeh,aur roze ki taufeeq na hui,maloom huwa ke jo shakhsh khud apni zaat par islami ahkam jari na kar saka wo kahan duniya me islam wa insaaf waali hukumat qayam kar sak ta hai.
📗(SEERATE MAHDEE 3/119/210,
📘RUHANI KHAZAIN 15/53-,18/382
📙QADYANI MAZHAB KA ILMI MUHASABA 9,8,167)
WAFAT: MIRZA ji ko wabaa’i haiza (colera) ho gaya tha jis ki wajah se qe-ulti aur dast-jullaab hote the, 23 may mangal ke din MIRZA mar gaye, fir wahan se rail ke zariye qadyan la kar 27 may ko laash dafan ki gayee.
📗(SEERATUL MAHDEE 1/11,12-,
📘SEERATE MASEEHE MAVOOD,95,96)
NOT
Huzoo sallallahu alaihi wasallam ke baad ab kisi qism ka koi bhi nahi aa nahi sakta aur Nabi ki shaklo surat,hayat aur wafat khub surat aur behtreen hoti hai mirza qadyani ke ta’ruf pata chala ke us me Nabi hone ki to kya ek wali hone ki bhi koi sifat pai nahi jati.woh apne dawe me bilkul ek number jhuta,dhokebaz aur makkar hai.
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
MIRZA KE JUTHHE HONE KE LIYE SIRF US KE TAQRIBAN 50 DAWE HEE KAFI HAI
⭕AAJ KA SAWAL No. 2770⭕
Mirza gulam Ahmad qadyani ko nabi man puri dunya me ab hazaron log kafir ho gaye un ko fir se Islam me kaise laya jaye?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Mirza qadyani ko nabi mannewale mirza ke nabuvvat ke dawe ki nuhoosat se Allah jis ki aql chhin Lee ho aese shakhs ke mukhtalif dawe par gaur kar le to us ke jhute hone ka yaqeen ho jaye aur qadyani se kisi qism ki bahas na kare sirf us ke dawe aur us daagdar shakhsiyat jis ka kuchh bayan kal ke msg me bhi aa chuka hai usee par bahas kare to inshaallah allah us ko hidayat de dega.
Us ke dawo ka potla qadyani ki kitabon hee se aap ke samne khola jata hai.kufr ko naqal karna kufr na hoga us ke khabees dawon ki nuhoosat se Allah hamare iman ki hifazat kare.
(1) KHUDA ka beta bana.
📗(TAZKIRAH SAFA 325)
(2) KHUDA ki biwi bana.
📘(ISLAMI QURBANI 34)
(3)KUDA ka baap bana.
📕(TAZKIRAH 554)
(4)khud khuda bana.
📙(TAZKIRAH 152)
(5)me nutfah (mani) e KHUDA hun.
📗(TAZKIRAH 164)
(6)me maalike kun fa ya koon hun.
📘(TAZKIRAH 443)
(7)zindah karne wala aur marne wala hun.
📙(TAZKIRAH RUHANI KHAZAIN JILD 16 SAFA.56)
(8)me arshe KHUDA hun.
📕(TAZKIRAH 427)
(9) me tafreed (Anokha) wa tawheede KHUDA hun.
📗(TAZKIRAH 53)
(10)me KHATI MUL AMBIYA hun.
📘(RUHANI KHAZAIN.J.18 6S.212)
(11) me RAH MA TUL LIL AALLAMEEN hun.
📕(TAZKIRAH SAFA 64).
(12)me AHMAD hun.
📙(RUHANI KHAZAIN.J.15 S.54)
(13)me MOHAMMAD hun.
📘(RUHANI KHAZAIN 18/207)
(14)me maseehe zama’n,kaleeme khuda,MOHAMMAD,AHMAD hun.
📗(ye 4 dawe Farsi Sher me hai. RUHANI KHAZAIN.15/134 )
(15) me AADAM aur AHMADE MUKHTAR hun.
📘(RUHANI KHAZAIN 18,/477)
Baqi dawe kal pesh kiye jayenge inshallah
📕(SACHCHE AUR JHUTE NABI ME FARQ SAFA 222 HAZRAT MAULANA SAMEEN AKHTAR QASMI D.B.KI)
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
MIRZA KE JUTHHE HONE KA SUBOOT
⭕AAJ KA SAWAL No. 2774⭕
Mirza gulam Ahmad qadyani nabi nahin hai us ka sab se bada suboot aur daleel kya hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Mirza qadyani ke kazzab-dunya me sab se bada jhuthha hone ki daleel us ki zaat- us ke akhlaq hai jis ka kuchh bayan msg no 2769me guzar chuka hai us ke baad us ke ajeebo gareeb mukhtalif be waqoofi se bhare dawe hai aesa shakhs nabi to kya ek Shareef insan kehlane ke bhi laiq nahi.1 se 15 dawe msg no.2770 me pesh kiye ja chuke hai mazeed dawe ki fectary product 16 se 42 peshe khidmat hai. Angrez ke kehne par itne bade dawe ke liye koi achchha musalman taiyyar nahi huwa un koek ba waqoof mil gaya lihaza Jihad ko haram qarar dene ummat me ikhtilaf intishar paida karne ki un ki majboori is ghade ko bap kiya nabi bana diya.
(16) Me Rasool bhi hu aur Nabi bhi.📘(RUHANI KHAZAIN 18/211)
(17)me ibne Maryam se afzal hun.📕(RUHANI KHAZAIN 18/249)
(18)me MARYAM hun, me ISA hun, me ibne MARYAM hun.📗(RUHANI KHAZAIN 19/50,52)
(19)me madinatui uloom hun,📙(TAZKIRAH SAFA 325)
(20)me zindah ALI hun.
📓(MALFOOZAT 1/400)
(21)me HUSEN se badh kar hun.📒(RUHANI KHAZAIN 18/233)
(22)me MIKAA’IL hun.📘(RUHANI KHAZAIN 17/413)
(23)me QURA’N hun📕( TAZKIRAH SAFA 570)
(24)me BETUL LAH hun.📗 (TAZKIRAH SAFA 28)
(25) me HAJARE ASWAD hun.📘(TAZKIRAH SAFA 29)
(26)me MUJAD DID hun, MEHDI hun, MASEEH hun.📕(RUHANI KHAZAIN 16/51)
(27) me IMA MUZ ZAMA’N hun.(RUHANI KHAZAIN
📒(13/495)
(28)me KHALIFA TULLAH hun.(RUHANI KHAZAIN
📓(18/210)
(29)me ek MA JUNE MURAKKAB hun.
📙(RUHANI KHAZAIN 15/287)
(30)me KHA TIMUL AWLIYA hun.📗(RUHANI KHAZAIN 16/70)
(31) Me ZUL QARNAIN hun.📘(RUHANI KHAZAIN 21/314)
(32) Me ABDUL QA’DIR hun,📕(TAZKIRAH SAFA 296)
(33)Me MUHADDIS hun.
📒(TAZKIRAH SAFA 82)
(34) Me kirshan jee hun.
📓(MALFOOZAT 3/666)
(35)me GAZI hun.
📙(RUHANI KHAZAIN 6/375)
(36) me SULTANUL QALAM hun.📗(TAZKIRAH SAFA 58)
(37)me AARYON ka baadshah hun.📕(RUHANI KHAZAIN 22/521,522)
(38)Me RAJA KISHAN ke rang me hun.📘(RUHANI KHAZAIN 20/228)
(39)Me AMINUL MALIK aur JAY SINGH hun.
📙(TAZKIRAH SAFA 568)
(40)Me suvvar maar hun.
📓(ZIKRE HABEEB 162)
(41)Me karam khaki bashar(insan) ki jaay (Jagah) e nafrat aur insaano ki aar (Sharam) hun.(Yani me insan ki sharamgah hun)📒(BARAHINE AHAMADIYAH 5/97 RUHANI KHAZAIN 21/127)
(42)Me tama’m ambiya ka majmuaa hun,
KHUDA TA AALA ne mujhe tamam ambiya (alaihimussalam) ka mazhar theraya aur tamam nabiyo ke naam meri taraf mansoob kiye hai,
me aadam hun, me SHOEB hun, me NUH hun, me IBRAHIM hun, me ISHAQ hun,me ISMA’IL hun, me YAQUB hu, me YUSUF hu, Me MUSA HU, me DAWUD hu, Me ISA hu,aur AAN HAZRAT (sal lal lahu alai hi wasallam)ke naam ka me mazhare atam(Pura roop) hu, yani zilly zuhuoor par (saye ki tarah) MOHAMMAD aur AHMAD hun.
Kisi ne MIRZA GULAM ahmad qadyani ka kiya khub ta’aruf karaya hai.
📚(HAQEEQATU WAHEEHAASHYA 7 RUHANI KHAZAIN JILD 22 SAFA 7)
Kisi ne Mirza gulam Ahmad kya khoob ta’ruf karaya hai:
JHUT HAI BATIL HAI QADYANI DA’AWE AAPKE,
BAAT SACHCHI EK BHI NA PAAYEE HAM NE AAPKI
DHEET AUR BE SHARAM BHI AALAM ME HOTE HAI MAGAR,
SAB PE SABQAT LE GAYEE BE HAYA’I AAPKI
Padhe likhe qadyani bahot sanjidgi ke saath in daawo ko padhe, gor karen, aur tobah kar ke islam ke saaya e rahmat me daakhil ho jawen,ALLAH hame islam par istiqamat ata farmawe, aur gumrahi ke har fitne se hifazat aur hirasat ke saat amn wa imaan naseeb farmaye, Aameen.
📗 SACHCHE AUR JHUTE NABI ME FARQ SAFA 223 SE 225
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
TAMAM MUSALMANON (MASLAKON) KE NAZDEEK QADYANI AUR SHAKEELI BIL-ITTIFAQ KAFIR
⭕AAJ KA SAWAL No. 2798⭕
Qadyani aur shakili se talluqat rakhna un ko apni masjid me aane Dena kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Is haqeeqat se kisi ko inkaar nahi ho sakta ke ek sachche aur pakke musalman ke liye imaan se ziyaadah koi ne’amat azeez nahi, Islaam hi sab se badi ne’amat aur qeemti daulat hai, Ye ne’amate imaan musalmaano ko Aaqaaye do jahan nabiye aakhiruz zaman (sallallaahu alaihi wasallam) ki zaate baa barkat se mili hai, Isiliye tamam ehle imaan Aap(sallallaahu alaihi wasallam)se waalihaana aqeedat wa muhabbat ka rishta rakhte hain, Musalmaano ko neamate iman se mahroom karne aur muhammade arabi'(sallallahu alaihi wasallam) se unke rishtaye muhabbat wa aqeedat ko khatm karne ke liye khud islaam hi ke naam par mukhtalif gumraah firqe muslim muaasharah me sargarm e amal hain, Jese khud ko” AHMADIYAH MUSLIM JAMAAT” keh ne waala ” QAADYAANI FIRQA” jo ek lambe arse se apne kufriya aqeede ko phela raha hai, Isi tarah musalmaano me SAKEEL BIN HANEEF ke naam se ek dajjaali fitne ne sar uthaaya hai, Shakil bin haneef apne baare me mahdi aur Eisaa maseeh hone ka daawa karta hai, Ahaadees me hazrat mahdi ke zahir hone aur hazrat Eisa (alaihissalaam) ke nuzool ke mutalliq bayaan kardah alaamaat aur tafseelaat ki gumraah karnewali taawilaat (matlab) nikalta hai,
Is liye tamaam musal’maano par waazeh kiya jataa hai ke SHAKIL BIN HANEEF ke mahdi aur eisaa maseeh hone ka daawa sarasar jhoota hai, Ye shakhs khud bhi kaafir hai aur daairaye islaam se khaarij (baahar) hai, Aur jo log is ke haath par ya is ke numaaindo ke haath par bait hokar shakeel bin haneef ko mahdi aur eisa maseeh maan chuke hain, Wo bhi murtad aur daa’iraye islaam se khaarij hai,(in se nikah karna,in ke pichhe namaz Ya in ki janaze ki namaz padhna,in ko zakat,fitra dena bhi jaiz nahi) kyunki in ke dawon se quran aur hadees ka khul kar inkar lazim aata hai Musalmaan bhaa’iyon aur behnon ko baa khabar kiya jaata hai ke wo shakeel bin haneef ke dajjaali fitne se hoshiyaar aur chokanna rahen, Kahin bhi is fitne ki taraf se daawat dene waale log nazar aawen to ulama se rujua karen, Is fitne ke pero kaar se koi mel jol naa rakhen,( in koi cheez khareedna bechna ,in ke pichhe namaz Ya in ki janaze ki namaz padhna,in ko zakat,fitra dena bhi jaiz nahi.)
Na un se rishta naata rakhe aur nahi unhe apni masaajid me aane de, Neez tamaam muaamlaat me apne deen wa imaan ki hifaazat ke liye un se be ta’alluqi barte.
و الله اعلم بالصواب
TAMAM FIRQON KE ULAMA KE NAAM NICHE LIKHE HAI.
1.Mufti Abul Qasim nu’amani muhtamim Darul uloom devband.
2.Maulana khalid saifullah rahmani secretary all india muslim prosnal low
Maulana Shah aalam Gorakhpuri naib.. Darul uloom devband
3.qazi muhammad Kamil qasmi
4.Maulana shameem Ahmad qasmi
5.Maulana maqhoor Ahmad qadri nurani
6.Maulana jalulud deen umri
7.Mufti muhammad mukarram ahmad
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India