Hadis and Sunnat


HADEES BAYAN KARNE ME AEHTIYAAT

Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Irshad He Jo Meri Taraf Se Jhut Naqal Kare (Yani Galat Hadees Bayan Kare Ya Bheje ) Woh Apna Thikana Jahannam Me Banaye. (Bukhari )

Hazrat Abdullah Ibne Masuood R.A.Jo Ibtidae Islam Me Musalman Ho Gaye The, Habsha Aur Madine Ki Hijrat Jinhone Ki Thi Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ke Khaas Khadim The, Wuzu Ke Pani Ka Intizaam Jute Uthana Takiya Pesh Karna Inhi Ke Zimme Tha. Tamam Jangon Me Sharik Rahe, Aap Sallallahu Alayhi Wasllam K Ghar Gaye Aur In Ki Walida Ka Kasrat Se Aana Jana Tha Isliye Log In Ko Ahle Bait ( Ghar Ka Membar ) Samjhte The, Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ka In Ke Bare Me Irshad He Ke, “Ibne Masuood Jo Hadees Tum Ko Bayan Kare Use Sach Samjho” Itne Muatamad Aur Yaad Dasht Pakki Hone Aur In Sab Baton Ke Ba-Wajud Abu Amr Shaybani R.A. Kehte He Ke Me Ek Saal Tak Ibne Masuoid R.A. Ke Pas Raha Mene Kabhi Bhi Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Taraf Mansub Kar Ke Baat Karte Nahi Suna, Lekin Agar Kabhi
Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Taraf Koi Baat Mansub Kar Dete The To Badan Par Kapkapi Aa-Jati Thi.

Amr Ibne Maymoon R.A. Kehte He Ke Ek Martaba Hadees Bayan Karte Huwe Zaban Se Ye Nikal Gaya Ke “Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Ye Irshad Farmaya” To Badan Kaanp Gaya Aankhon Me Aansu Bhar Aaye Peshani Par Pasina Aa Gaya Ragen-Nase Ful Gayi Aur Farmaya “Insha Allah Yahi Farmaya Tha Ya Is Ke Qareeb Qareeb Tha Ya Us Se Kuchh Jyada Ya Is Se Kuchh Kam”

(Musnade Ahmad Muqaddamae Awjas)

Faaida: Ye Thi Un Hazraat Ki Aehtiyat Hadees Sharef Ke Bare Me Ye Hazrat bawajud Ye Ke Masa’il Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ke Irshadat Aur Halaat Hi Se Batate The Magar Ye Nahi Kehte The Ke Huzur Sllallahu Alayhi Wsllam Ka Irshad He, Ke Khuda Na Khawastah Jhuth Nikal Jaye Us Ke Bil-Muqabil Ham Apni Halate Dekhte He Ke Be-Dhadak Be-Tahqeeq Hadees Naqal ( Sms ) Kar Dete He, Zara Bhi Nahi Jijhakte.

Halan Ke Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Taraf Mansub Kar Ke Baat Naqal Karna Badi Sakht Zimmedari He.

Ummid He Ke In Baton Ko Padhne Ke Baad Bagair Hawale Ki Hadees Aur Koi Bhi Baat Allah Ki Taraf Mansub Ho Sms Hargiz Nahi Karenge. Insha Allah.

9 10 Muharram Ki Fazilat | Viral Banawati Fazilat |1478

Sawal:

9 10 Muharram Ki Fazilat‘ Ke Bare Me Wahatsapp Par Ek Riwayat Viral Huyi Hai, Ke Jisne Muharram Ki Navmi, Daswi Ko Rozah Rakha Use 1000 Hajj, 1000 Umrah Aur 1000 Shahidon Ka Sawab Milega Aur Uske Ek Saal Ke Gunah Muaf Honge Aur Do Saal Ki Ibadat Ka Sawab Milega Aur Jo Ye Dusre Ko Bhejega Use 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Milega.

Kya “9 10 Muharram Ki Fazilat” Wali Yeh Riwayat Sahih Hai?

Jawab:  حامدا و مصلیا و مسلما

9 10 Muharram Ki Fazilat“: Itni Badi Fazeelat To Ramzan Ke Farz Rozah Ki Bhi Warid Nahi Huyi Hai, Haalan Ke Farz Ka Sawab Nafl Se Bahut Hi Ziyadah Hota Hai.

Aur Dusron Ko Sirf Bhejne Me 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Mil Jayega, Aisa Bhejne Aur Batane Ka Sawab Bhi Kisi Bhi Ibadat Ke Baare Me Muatabar Riwayat Me Warid Nahin Huva Hai.

Aur “9 10 Muharram Ki Fazilat” Ke Silsile Me Yeh Riwayat Kisi Bhi Sahih Ya Zaeef Ahaadees Ki Kitabon Me Mavjood Nahin.

Lihaza Yeh Riwayat Mavzooa (Banawati) Hai Ise Aage Bhejne, Or Dusron Ko Is Ki Yeh Fazeelat Batana Bhi Jaiz Nahin. Aisa Aadmi Sakht Gunehgar Hai.

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti

Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

FARZ KI TAAREEF [Farz Kise Kehte He]
Farz Ki Taareef‘: Farz Kise Kehte Hai? Jo Us Ka Inkar Kare Us Ka Kya Hukm Hai?
Jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
Farz Ki Taareef“: Farz Us Hukm Ko Kehte Hai, Jo Daleele Qat’ee Aur Yaqeeni Se Sabit Ho, Yani Quraan Ki Aesi Aayat Aur Aesi Saheeh Hadees Se Sabit Ho, Ke Us Aayat Aur Us Hadees Ke Ma’ni Aur Matlab Me Dusre Maani Aur Matlab Ka Aehtimal Na Ho, Yani Us Ka Mafhoom Saaf Aur Ek Ho.
Ya Sahaba Sur Tabieen Ke Ijma’a (Ittifaq) Ek Raay Hone Se Sabit Ho.
Us Ka Inkaar Karnewala Kafir Hai, Aur Bagair Uzr Ke Chhodne Wala Fasiq Aur Sakht Gunehgar Hai.
Jawahirul Fiqa 1/105
و الله اعلم بالصواب
Islami Tareekh : Safarul Muzaffar 1440 Hijri
Farz Ki Taareef“By : Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti.
Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat.

SAHABI KI TAREEF 1653

Sahabi kise kehte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Jis ne huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ko iman ki halat me dekha ho ya mulaqat ki ho aur iman ki halat me intiqal huwa ho use sahabi kehte hai.

ISLAMI AQAID SAFA 24

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI.

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

1 RAJAB KO DUAA QABOOL HONA 1662

Kya rajab ki 1 tareekh ko ibadat i fazeelat sabit hai aut duaa qabool hona sabit hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Rajab ki 1 tareekh ko ibadat ke fazail saheeh sanad se sabit nahi.

baaz fazail shiyon ki kitabon me hai jo saheeh nahi.

AL MANARUL MUNEEF SAFA 96

Aur duaa ki qabooliyat sahaba se sabit hai.
Hazrat se riwayat hai ke 5 raton me duaa rad nahi hoti hai.

1.Rajab ki pehli raat,

2.15vi shaban ki raat,

3.jumaa ki raat,

4.eedul fitr ki raat,

5.yame nahar baqraa eed ki raat

Ibne asakir tareekhe dimashq 10/408

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
RAJABUL MURAJJAB 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

ROOHON KA AANA 1941

Kya marhoom ki rooh ghar par aa sakti hai ?
is bare hazrat Ali Radeeallahu anhu ki riwayat hai to us ka kya jawab hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Murde ki rooh agar nek hai to woh badbudar dunya me nahi aayegi, yahan ke ahwal dusre nek murdon ke zariye un ko maloom ho jate hai,

aur rooh bad (buri) hai to azaab ke farishte un ko chhodte nahi hai.

MARNE KE BAAD KYA HOGA

Lihaza rooh aane ke bare me jitni bhi riwayat hai sab mavzooa manghadat aur banawati hai.

ye baat hazrat mulla ali qari rh. ne jinhe barelvi hazrat bhi mante hai apni kitab “Tabqatul hanfiyyah” me kahi hai.

FATAWA MAHMOODIYAH 1/609

Aur ye riwayat aql ke bhi khilaf hai ke jab un ki pukar chikh chikh kar kehne ke ba wajood koi sunta nahi hai, mayoos ho jati hai to har hafte kyun aati hai, isaale sawab ki aisi muhtaj har rooh nahi hoti hai, us riwayat me sab ko muhtaj bana diya hai

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH : 14 RABEEUL AAKHAR 1441 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

BAAL MUBARAK 

AAJ KA SAWAL NO:2626⭕

BAAL MUBARAK KE DEKHNE KA KYA HUKM HAI?

JAWAB

حامد و مصلیا و مسلما

HADEES SHAREEF SE SAABIT HAI KE HUZUR ﷺ NE APNE BAAL MUBARAK SAHAABA ​RADEEYALLAHU ANHUM KO TAQSEEM FARMAYE THE.

FATAWA IBNE TAYMIYAH ME HAI HUZOOR ﷺ NE APNE BAAL MUNDWAKAR AADHE SAR KE BAAL ABU TALHA RADIYALLHU ANHU KO DIYE AUR AADHE LOGON KE DARMIYAN TAQSEEM FARMA DIYE.

AGAR KISI KE PAAS HO TO TAJJUB KI BAAT NAHIN. AGAR USKI SAHIH AUR QABILE AETIMAD SANAD (PURI CHAIN HO KE HAM TAK KIS KIS KE ZARIYE PAHONCHA) HO TO USKI TAAZEEM (ZIYARAT) KARNA BAHOT BADI KHUSH NASIBI HAI.

AGAR SANAD NA HO AUR BANAWATI HONE KA BHI YAQEEN NA HO TO KHAMOSHI IKHTIYAR KI JAAYE NA USKI TASDEEQ KARE (SACHCHA SAMJHE) NA TAKZEEB (JHUTLAYE). NA TA’AZEM KARE NA TAUHIN KARE.

BAAL MUBARAK AUR DUSRE NABAVI TABARRUKAT KHAIRO BARAKAT KO VAJIB KARNE WALE HAIN AUR USKI ZIYARAT SE AJR O SAWAB MILTA HAI.

USE DEKHNE ME MARDO AUR AURAT KA MELAP NA HO, HAZRAT AAISHAH RADIYALLAHU ANHA APNE ZAMANE KI AURTO KE MUTALLIQ FARMATI HAIN KE RASULULLAH ﷺ IS ZAMANE KI AURTO KO DEKHTE TO UNKO MASJID ME JAANE SE MANAA FARMATE.
LIHAZA AURTO KO JAMAA NA KIYA JAAYE.

(TABARRUKATE MUBARAKAH KO HAMARE GUNEHGAR HAATH NA LAGAAYE JAYEN. SIRF ZIYARAT PAR BAS KIYA JAAYE.)

TABBARUKAT SE BARAKAT HAASIL KARNE KA SAHIH AUR JAIZ TARIQAH YEH HAI KE KHAAS TARIKH TAY KIYE BAGAIR LOGON KO JAMAA KARNE KA EHTIMAM KIYE BAGAIR JAB DIL CHAHE ZIYARAT KARE AUR KARVAYE.

SAHAABA KE ZAMANE ME DASTOOR THA KE KISI NAZAR WAGAIRAH KI TAKLEEF HO JAATI TO UMMUL MUMINEEN HAZRAT UMME SALMAH RADIYALLAHU ANHA KE PAAS PAANI KA PIYALAH BHEJ DIYA JAATA. AAP KE PAAS BAAL MUBARAK THE.UNKO CHANDI KI NALKI ME MAHFOOZ RAKHA THA, PAANI ME US NALKI KO DAAL DETE THE, AUR WOH PAANI MARIZ KO PILAYA JATA THA.

📗QUSTALANI SHARHE BUKHARI J.8/ S.382

HAZRAT ASMAA RADIYALLAHU ANHA KE PAAS HUZUR ﷺ KA KURTA MUBARAK THA, FARMATI HAIN KE HAM USE PAANI ME DHO KAR WOH PAANI APNE BIMARON KO BAGARZ E SHIFA MARIZ KO PILA DIYA KARTE HAIN.

📘SAHIH MUSLIM 2/190

📗 FATAWA RAHEEMIYYAH JADEED BABUL AMBIYAA
JILD 3/SAFA 40 SE 42 KA KHULASA URDU KI AASANI KE SAATH)

HAM AEHLE SUNNAT WAL JAMA’AT TABARRUKAT SE BARAKAT HAASIL HONE KO MANTE HAIN, LEKIN USE SAB KUCCH NA SAMJHE.

NAJAAT TO A’AMAAL SE HOGI BILA AMAL VA ITTIBA E NABI ﷺ SIRF ZAAHIRI MUHABBAT KA DHONG AUR MUHABBAT KE DAWE KAAFI NAHIN.

GAIR MUQALLID (NAAM KE AEHLE HADEES) ASAL WAHAABI TABBARUKAT SE BARKAT HAASIL KARNE KO NAHIN MANTE.

ALLAH HAME SACHCHI AUR KAAMIL MUHABBATO ISHQE RASUL ﷺ NASEEB FARMAYEN, AAMEEN

🌙 ISLAMI TARIKH: 11 RABEEUL AVVAL 1443 HIJRI

و اللہ اعلم

 

BACHCHE KO TAHNEEK KARANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2651⭕

Mere yahaan bachcha paida huwa shareeat me bachcha paida ho to kya karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

1️⃣. Bachcha paida ho use tahneek karayi jaae ya’ani ghutti dee jaae ya’ani kisi naik saleh ya buzrug shakhsh se khajoor chabwayi jaae aur woh khajoor bachche ke taalu par chipka dee jaye bachche ke pet me sab se pahle us naik aadmi ka luaab (thuk) wali giza jayegi, Jis ka asar us ki puri zindagi par padega Is ki shareeat me badi aehmiyat hai, aajkal is sunnat par amal karne wale bahut hee kam log hain.

Baaqi kal….
اِ نْ شَآ ءَ اللّهُ  

📗HADYAH E KHAWATIN

📘BAHISHTI ZEWAR

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Hazrat Aishah Rd. se chhoti umar me nikah karne ki wajah

AAJ KA SAWAL NO.2667

Gairon ki taraf se yah aetraz kiya jata hai ke Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne Hazrat Aishah Rd. se jin ki umr sirf 6 saal thi, jo bety ki umr hain un se is umr me nikah kyun kiya?

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Nikah 6 saal ki umr me huwa tha lekin rukhsati (bidayi) 9 saal ki umr (garm mulkon ki balig-pakki umrwali hone ki umr) me hui thi Arab me badi umr wale ka chhoti umr wale se nikah karna aam tha, koi tajjub ki cheez nahi tha isliye kuffar aur yahodiyon ne Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM par bahot se e’atiraz-ishkal kiye lekin yeh eatiraz kisi ne nahi kiya aur Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ko (Allah ki panah) bure alqab jaise jadugar, diwana wagairah kaha lekin aajkal ke kafiron ne jin laqab ka isteamal kiya woh kisi ne nahi kiya agar yeh us samaj me bura hota to zaroor un alfaz ka isteamal karte.

kyun ke us waqt ke kafir koi mavqah huzoor salallahu alayhi wasallam ko badnam karne ka haath se jaane nahi deta the.

Hazrat Aishah Rd. islam ke dusre khalifa (badshah) Hazrat Abubakr (radeeallahu anhu) ki beti thi.

Is kam umr ki shadi ki asal wajah nubuwwat aur khilafat ke darmiyan talluq ki mazbuti thi, kyun ke Nabi Karim SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke baad khilafat ka silsila ALLAH ko Hazat Abubakr Rd. se chalana tha khilafat ko nabi ke ghar se bhi jorna maqsood tha.

Arab ki garam (hot) aabohawa Insani badan ke badhane (development) me Important (khaas) role ada karti hai aur dusri baat yeh ke jis tarah ALLAH Ta’ala kuchh logon ko height body umar aur brain power ability dusray logon se badh kar deta hai.

ALLAH to buhat badaa hai, agar woh kisi baat ka hukm de ya’ani chhoti umr ki ladki se badi umr ki ladki Ka kaam lena chahe to woh ho jaata hai.

Aur islam me qaidah hai ke bachpan me maa-baap nikah kara de to ladki ke balig hone ke baad use yeh ikhtiyar (chhut) hota hai ke chahe to woh nikah ko baaqi rakhe chahe to tod de yeh bidaayi Hazrat Aishah radiyallahu anha ki ijazat aur khushi se hui thi, aur poori zindagi apne is nikah par fakhr (garv) karti thi. aur us waqt musalman ki 9 saal ki har ladki aur us ke maa-baap huzoor salallahu alayhi wasallam ke saath nikah me dene ke liye betab the yeh us zamane zarra barabar aib (buri cheez) na thi

Lekin yeh sachchai woh log nahi mante jin ke dilon per muhar (seal) lagaa diya gaya hai. Allah ta’ala Qur’an me irshad farmate hain ke
‘’Allah ne in (kuffar) ke dilon aur un ke kaano per mohar laga di hai aur un ki ankhon per pardah pad gaya hai (isliye un ki samajh me nahi aata) woh sakht azaab ke mustahiq hain.

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE EK SE ZAYADAH BAARAH NIKAH KARNE WUJOOHAT.

AAJ KA SAWAL NO.560

HUZOOR ﷺ NE 11 NIKAH KYUN KIYE IS KI KIYA WUJOHAAT AUR HIKMATEN HAIN?

🔵JAWAB🔵

EK MARD KE LIYE BAHOT SI BIVIYAN RAKHNA ISLAM SE PEHLE TAQRIBAN DUNYA KE TAMAAM MAZAHIB ME JAIZ SAMJHA JATA THA HINDUSTAN, IRAN,MISR,YUNAN,BABIL WAGAIRAH MULKON KI HAR QAUM ME KASRAT SE SHADIYON KI RASM JAARI THI AUR US KI FITRI ZAROORAHTON SE AAJ BHI KOI INKAR NAHI KAR SAKTA
KRISHNA JO HINDUON ME BADE WAJIBUT TAZEEM MANE JATE HAI UN KI SENKADON BIBIYAN THI.

GOOGLE PAR SEARCH KAR KE DEKHA TO LIKH HAI KE UN KI 16108 SOLAH HAZAR EK SO AANTH PATNIYAN THI Jo log aetraz karte hai woh apne mazhab me bhi jhank kar dekh le to kabhi dusron ke mazhab ke Peshwa par ungali nahi uthayenge
* MANUJI JO HINDUON AUR AARYANON ME SAB KE NAZDEEK PESHWA AUR BUZRUG MANE JATEN HAIN DHARM SHASHTRA ME LIKHTE HAIN “AGAR EK AADMI KI CHAR PANCH AORTEN HON AUR UN ME SE EK SAHIBE AVLAAD HO TO BAQI BHI SAHIBE AVLAAD KEHLATI HAI.
📓(MANU ADHYAY 9 SHLOK 183)

HUZUR ﷺ NE 11 AURTON SE NIKAAH KIYAA ISKI BAHOT SEE MASLEHATEN AUR HIKMATEN HAI,
UN ME SE CHAND YE HAI,

1.nabi salallahu alayhi wasallam ka har ek amal ummat-e-musalimah aur puri insaniyat ke liye dastur,qanoon sabaq ki haisiyat rakhta hai isliye aap ki zindagi ka har pehlu ummat ke samne allah ko lana tha aur andar ki zindagi ke haalat,
jese tanhai Ki ibaadat ka tareeqah us ki mashqqat aur shauq ummat ke samne lana tha.

2.mukhtalif umar aur mukhtalif khandan aur mukhtalif mijaaz ki aurton Ke sath sadgi se nikah karne ka insano ko tareeqah maloom ho huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ko ma’alum tha ke log khandani riwaj ki wajha se nikah me bahot kharch karenge un ke liye saadgee ke namoone pesh kiye.

3.aisi mukhtalif aurton ke sath rehne ka, un ki tarbiyat karne ka,un ko bardasht karne ka,un ke samne akhlaq pesh karne ka tareeqah ummat ko ma’alum ho,

4.ghar ki chaar deewari jahaan koi dekhne wala nahi hota aur insaan apni bivi bachchon se betakalluf hota hai fir bhi un ke saath husne akhlaq aur un ke huqooq ki puri adaygi ka tareeqah ummat ke samne aaye.

4. bivi ke sath ki tanhai ke masail jis ko bivi hee dekh aur jaan sakti hai woh bhi ummat tak pahonchane wali kasrat se ho.

5.Aurton ki paaki napaaki ke masail jise gair mahram auraten puchhne me sharm karti hain biviyon ke zariye ummat tak pahonch jaye.

6.aisi aurton ko madad karne ke liye aur Un ke gam ko door karne ke liye jin ke shauhar-husband jihad me shaheed kar diye gaye aur woh be sarosaman be sahaara reh gai to un ki dildaari,madad aur sahaara dene ke liye nikah kiye.

7. mukhtalif qaumo ke logon ki musalmano ke sath ladaai thi aur woh dushmani rakhte the, unke saath achchhe talluqaat aur rishtedari qaim ho jaye.
Kyunki nikaah ki wajah se Allah ke nabi sallallahu alaihi wasallam unke rishtedaar ban jaye aur unke dushman dost ho jaye aur khun kharaaba ruk jaaye wagairah.

aap ne sab se pehla nikah 25 saal ki umr me ek 40 saal ki burhi bewa hazrat khadeejah radee allahu anha se kiya jo do shohron ko nikah me rah chuki thi dono se awlad thi do ladkon aur teen ladkiyon ki is tarah 5 bachchon ki maa thi.ye nikah ki darkhast khud hazrat khadeejah radee allahu anha ki janib se thi jis ko baargahe nabuwwat me rad-mana na kiya gaya aur nikah kar ke apni aksar umr yani 25 saal un hee ke sath guzaree.aur sab awlad bhi un se hui jab umre shareef 50 saal se bhi aage badh gai tab baqi das nikah sharee zaruraton ki wajha se mukhtalif haalaat me kiye gaye ye sab ki sab bibiyan hazrat aaisha radee allahu anha ke siwa bewa thi aur baaz awladwali thi.aur sab aurten aap SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke nikah me khush aur sukhi thi.
in sab baton ko dekhkar koi saheeh aql rakhnewalaa aasani se yeh faisalaa kar sakta hai ye tamaam nikah (allah ki panah) nafsani khwahishat pura karne ke liye nahi the.
Jab hazrat khadeejah radee allahu anha ka intiqal huwa us waqt laakhon log islam me dakhil ho chuke the khubsoorat se khubsoorat aur tamaam kunwaree aurten nabi sallallahu alaihi wasallam ke nikaah me aane ko fakhr aur dunya aakhirat me kaamiyabi samjhti thi fir bhi aap ne islami faidah ke liye bewaon se nikah kiya.
huzoor salallahu alayhi wasallam ko jan se maarne ki aur har tarah se badnaam karne ki mushrikeen aur yahoodiyon ne koshish ki bahut se ilzaamat lagaye nabi sallallahu alaihi wasallam ko jadugar pagal shaaeer kaha gaya lekeen in sab nikahon ko dekh kar kisi ne bhi (allah ki panah) shawat parast wagairah is line ke bure alqab kisi ne bhi nahi diye kyun ke huzoor salallahu alayhi wasallam ki pakeezah pakdaamani wali puri zindagi un ke samne thi.
📗SEERATE KHATAMUL AMBIYAA AUR
📘SEERATE MUSTFA SE MAKHOOZ HAZFO IZAFE KE SATH

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📱 roman Urdu me masaail dekhne ke liye zarur dekhiye

RAMZAN KA AAKHRI JUMUAH AIK GALAT HADIS KI TARDID

⭕Aaj ka sawal no. 2832⭕

Ramzan ke aakhri juma ko 4 raakat qaza e umri ki niiyat se padhne se tamam umr ki qaza namaze adaa ho jayegi ?

🔵Jawab🔵

Pichle kuch saalo se Jese hi Ramazan ka aakhri Jumuah aata hai social media me aik galat aur juthi hadis badi tezi se chal padti hai jis ka khulasa ha ki

“jis aadmi ki zindagi me bahut si namaze qaza huyi ho aur use uski tadad bhi na maalum ho to agar wo ramazan k aakhri jumuah ko 4 rakat qaza e umri ki niyat se parh le aur usme ye surah itni baar aur ye surat itni baar parhe to pichhli qaza namazo ka kaffarah ho jayega…….”

Awwal to ye baat masail k aitibaar se bilkul durust nahi hai kyunki qaza namazo ko pura parhna aikdam zaruri hai,

Niz is hadis k baare me Ulama e hadis k aqwaal bhi dekh le:

قال الشيخ العلامة عبد الحي اللكنوي: “حديث من قضى صلوات من الفرائض في آخر جمعة من رمضان كان ذلك جابراً لكل صلاة فائتة من عمره إلى سبعين سنة. قال علي القاري في موضوعاته الصغرى والكبرى باطل قطعياً……..

(الآثار المرفوعة في الأخبار الموضوعة ص 85)

Hazrat Allahma Abdul Hai lkhnavi ra frmate hai ki Mulla Ali Qari R. A. ne use aikdam batil aur juthi likha hai,

وقال الشيخ الشوكاني: “حديث من صلى في آخر جمعة من رمضان الخمس الصلوات المفروضة في اليوم الليلة قضت عنه ما أخل به من صلاة سنته.

هذا: موضوع لا إشكال فيه ولم أجده في شيء من الكتب التي جمع مصنفوها فيها الأحاديث الموضوعة………

(الفوائد المجموعة ص 54)

Allahma shawkani ra frmate hai ki ye hadis aikdam juthi hai jisme koi shak nahi,muje un kitabo me bhi nahi mili jisme mozua (juthi) ahaadis ko jama kia gaya hai

Khulasa e kalam ye ki ye aikdam juthi hadis hai lihaza

1. Aise hadiso ko social media me felane se bachna chahiye wrna Aap SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ki is riwayat ka hum bhi misdak ban jayenge ki

(من كذب علي متعمداً فليتبوأ مقعده من النار)رواه البخاري

“jisne meri janib jaan buj ker juthi baat(hadis) mansub ki wo apna thikana jahannum me talash kr le”

2. Deen ki koi bhi baat kisi moatabar aamile deen se puche bina social media me hargiz na felaye.

Allah taala humse deen ki saheeh samaj ata frmaye.

Jazakallahu khairan

✍🏻(Shaikhul hadis) Hazrat Mufti Khalil Ahmed Kawiwala db

و الله اعلم بالصواب

✅Tasdeeq
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.