HAJ KE BAD HAJI KI DUA KI KAB TAK QUBOOL?

HAJ KE BAD HAJI KI DUA KI KAB TAK QUBOOL?

⭕AAJ KA SAWAL NO.2946

Haaji se dua karvane ki kya fazilat hai aur haaji ki dua kab tak qubul hoti hai ?

🔵jawab🔵

Ek hadees me aaya hai ke mujahid aur haaji Allah ka wafd-jama’at hai, jo mangte hain woh unko milta hai, jo dua karte hain qabool hoti hai.

Hazrat Umar Rd. Ki Rivayat Me Hai K Haaji Ki Dua Zilhajj K Ayyam aur Muharram Va Safar aur Rabiul Awwal K 10 Din Tak Qubul Hoti Hai.

📚Musannaf Ibne Abi Shaibah

Ek Rivayat Me Hai K Haaji Ki Dua 20 Rabi Ul Awwal Tak Qubul Hoti Hai.

📚Fazail E Hajj.

Ek Rivayat Me Hai K Haaji Ki Dua Makkah Muazzamah Me Dakhil Hone Se Ghar Vapsi Tak Qubul Hoti Hai. Aur Qubuliyat K Mazid 40 Din Ataa Hote Hain.

📚Kitab Ul Masail Jild / 3

Purane buzurgo ka ma’amul tha ke woh haajiyon ko rukhsat karne bhi jaate the aur un ka istiqbal bhi karte the aur un se dua ki darkhast karte the

و الله اعلم بالصواب

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *