IJTIMAEE QURBANI ME JANWAR TAY KARNA ZAROORI

IJTIMAEE QURBANI ME JANWAR TAY KARNA ZAROORI

⭕AAJ KA SAWAL No. 2903⭕

Aaj kal baaz log bade janwar ki ijtimaee qurbani karne ke wakeel bante hain aur sab ki taraf se janwar khareedte hain lekin ye tay nahi karte ke kis janwar me kis ka hissa hai aur kon sa janwar kis ka hai?
Is tarah qurbani saheeh hogi?
Baaz log jab zabah karte hain us waqt tay karte hain aisa karna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Wakeel ke liye janwar khareedte waqt ya khareede huwe janwar ke paise lete waqt tay karna aur us ki taraf se janwar par qabza karna ya karwana zaroori hai warna qurbani saheeh nahi hogi.is ki aasan shakal ye hai ke saat saat hisse ki jitni Rasheed banti hai woh Rasheed no.us janwar par likhte rahe ya janwar pehle se khareede hai to janwar par ek do tin…no lagate jaye woh number Rasheed par likhte jaye ta ke qurbani saheeh ada ho aur aisa na kare ke aakhri din hisse ya janwar tay kare, agar zabah karte waqt tay kiya jayega to us ke pehle Kayi kharabi paida ho sakti hai masalan kabhi janwar mar jaye,bimar pad jaye,kho jaye,pakda jaye to kaise pata chalega ke kis ka nuqsan huwa hai aur kin logon ka janwar qurbani se reh gaya hai aese masail pesh na aayen isliye paise lete waqt ya khareedte waqt Malik ka tay hona zaroori hai.

و الله اعلم بالصواب

📗ALAMGIRI 1/13 SE MAKHOOZ
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *