AAJ KA SAWAL NO.2580
Hamara jute (shoes) aur tauliye (towels) ka karobar hai jo india me bante hain.
Lekin tauliye par jab tak ke MADE IN USA aur jute par jab tak MADE IN ITALY likha huva na ho grahak nahin kharidte.
Agar un mulkon ka label ho to hatho hath bik jaata hai, Indian jute aur tauliye jis par bairun (foreign) ka label laga huva aata hai uski quality bhi achchhi hoti hai agar ham bechte waqt bataa de ke yah indian hai is par sirf USA aur ITALY ka label laga huva hai to bechna jaiz hai ya nahin?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
INDIA ki bani huyi chizon par aisa jumlah likhna jis se uske AMERICA ya ITALY me banne ka da’awa kiya gaya ho sareeh (saaf) galat bayaani hai jiski shareeat me bilkul ijazat nahin.
Haan, kisi aur ne yah jumlah likh diya aur fir aap ko bechna pada to likhne ka gunah likhne wale ke sar hoga aap yah keh kar zimmedari se bari ho sakte hain ke agarche is par likh huva kuchh aur hai lekin yah INDIA ka bana huva hai,
Rahaa yah uzr ke log in chizon ko uske bagair kharidte nahin hain to uski wajah se galat bayaani jaiz nahin ho sakti.
FATAWA USMANI 3/104
THODI TABDILI AUR IBARAT KI AASANI KE SAATH
و الله اعلم بالصواب