Islami Aqaid


TAQDEER PAR IMAN KA TAQAZA 1960

Taqdeer par iman lane ka kya taqaza hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Har na pasand cheez aur nuqsan se bachne ke asbab ikhtiyar kare aur nuqsan se bachne ki. Puri kishish kare fir bhi nuqsan ho jaye to pareshan na ho yun samjhe yahi mere muqaddar me tha allah hamara malik hai hame us ke fesle par razi rehna wajib hai yahi tadeer par iman ka taqaza hai.

ISLAMI AQAID SAFA 39

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH : 3 RABEEUL AAKHAR 1441 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai

(1) kya makhloot-mix talim ka jawaz shariat me he?

Agar he to kitni umar tak ke bachche bachchiyan ek sath baith kar talim hasil kar sakte he?

Agar jawaz shariat me nahi to fir zimmedaar afraad alahida intizam kyu nahi karte? Jabke ulma-e-haq us par zor dete he.

JAWAB

10 saal ki umar hone par bachcho (Bhai bahan) ke bistar alag kar dene ka hum farmaya gaya he.

Is se ye bhi maloom ho sakta he ke bachche bachchiyan zyada se zyada 10 ya 11 saal ki umar tak ek sath padh sakte he. uske bad makhloot talim nahi honi chahiye.

Daure hazir me makhloot-mix talim be-huda tahzib ki paida ki hui bidat he. Jo kehne ki bhi qabil nahi itni behyai aur besharmi aur buraiyon par mushtamil he.

Maloom nahi humare muqtada-zimmedar hazrat is nizame talim me kyu tabdili-chengis nahi farmate. Balki judaganah (alag-alag) talim ka mutalaba sirf ulma-e-kiram hi nahi balke deendar talba Or talibat ka bhi he.

Aapke masail Or unka hal (jild: 8 safa: 218)

Khawateen ka fiqhi encyclopedia (safa:196)

Maulana Muhammad Shahid Mansuri Surti

TASDEEQ WA TASHEEL IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA

PUL SIRAAT KI KIFYAT 1837

Kya ye baat saheeh hai ke pul siraat baal se baarik aur tlwaar se tez hai aur 500 saal ka raastaa hai?

Us par kon kis tarah guzrega?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Baal se baarik aur talwaar se tez ye baat saheeh hai lekin 500 saal ka raasta hai talash ke ba wajood nahi mila.

Pul siraat andhera raasta hai jo jitna iman,taqwa, aamal, istiqamat me barha huwa hoga woh itni tezi se iman ke noor me guzrega baaz bijli ki raftaar se, baaz hawa ki baaz tez ghode ki baaz tez unt ki raftaar se guzrenge.

Aur dunya me jis ka qadam siraate mustaqim-hidayat ke raaste se fesla hoga us ka qadam wahan bhi fislega Aur us lohe ke chimtiya-tez pakkade hogi jo log fitno-gunahon me mubtala huwe honge un ke qadam un chimtiyon-tez pakkado ki wajha se zakhmi honge

TAFSEERE IBNE KASEER SURAH E MARYAM AAYAT 5

AQEEDATUT TAHAAWI M`A HAWAASHI SAFA 116

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
ZEE QA`DAH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

PUL SIRAAT KI HAQEEQAT 1835

Pul siraat kisi kehte hai use maanna zaroori hai?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Jannat me jane ke liye dozakh par maidane mahshar ke qareeb ek pul hoga us par se sab ko guzarna hoga is ko manna zaroori hai Us ka inkaar karnewala kafir hai.

UMDATUL FIQAH 1/ 51

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
26 ZIL HIJJAH AH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

IMAAN AUR ISLAM KA MATLAB 1830

Islam aur imaan me kya farq hai ?
muamin ka darja barha huwa hai ya muslim ka ?
dono me inaamat aur sawab kis ko zayada milega ?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Imaan shareeat ki zubaan me dil se sachcha maanne ka naam hai, aur islam zahir ke aetibar se Allah ke hukmon par amal aur nabi SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ke tareeqe ka naam hai.

lekin Allah aur us ke rasool ko dil se schcha manna ke aetibar ka kam se kam darja ye hai ke zaban se kalmah padhe, aur zahir amal ka aetibar usee waqt hai jab ke us ko dil se bhi maane,

imaan andar ke aamal ko kehte hai, aur islam baahar ke aamal ko kehte hai, imaan sharooat hai, islam us ka akheer-end hai, imaan ki shurooat andar se ho kar us ka asar baahar aata hai aur islam zahiri aamal se shurooa hokar andar ki tasdeeq tak pahonchta hai.

iman aur islam dono ek dusre ke liye zaroori hai, lugat- dictionary ke aitibar se dono me farq ho sakta hai lekin sharaee mafhoom ke aetibar se dono ek hai.

lihaza muamin aur muslim dono ko sawab aur maqam barabar milega.

ON LINE FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND SAWAL NO. 171943 BA HAWALA MA’RIFUL QURAAN

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH : 21 ZEELHIJJAH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

YAAJOOJ MAJOOJ 1828

Yajooj majooj ke bare me kya aqeeda rakhna chahiye?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Yajooj majooj zabardast insaan hai, jo dajjal ke qatl hone ke baad Allah un ko nikalenge, jo bada fasaad machayenge, isaaa Alayhissalam ki badduaa se unko bimari hogi, jis se woh sab khatm ho jayenge.

MUSLIM SHARERF HAZRAT NAWAAS IBNE SAMAAN RD. KI RIWAYAT SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
19 ZEELHIJJAH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

ZAMEEN SE NIKALNE WALA JANWAR 1829

Quraan me “daabbatul ard” nikalne ka zikr hai.
us ki kya haqeeqat hai ?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Hazrat huzaifa RadeeAllahu anhu se riwayat hai ke :
Qayamat us waqt tak qaim na hogi jab tak ke tum pehli das (10) nishaniyon ko na dekh lo, jis me ye azeeb tarah ki pedaish ka janwar bhi jo qayamat ki bilkul aakhri alamaton me se hai.

Ibne kaseer abu dawood tayalisi ke hawale se naqal kiya hai ke :

ye janwar makkah me safa pahadi se apne sar par se mitti jhadte huwe niklega aur hajre aswad aur maqame ibrahim ke darmiyan pahonch jayega, us ko dekhkar log bhagne lagenge, ek jamat thaher jayegi, ye un ke chehre ko sitaron ki tarah roshan kar dega, fir zameen ki taraf niklega, har kafir ki peshani par kafir hone ka nishan laga dega, koi us ki pakad se bhag na sakega, ye musalman aur kafir ko achchhi tarah pahechanega.

MAARIFUL QURAAN SURAHE NAML AAYAT NO. 82 KI TAFSEER

NOTE : iS JANWAR KE BAREY MUKHTALIF QISM KI MANGHADAT BAATEN MASSAGE ME CHALTI REHTI HAI KE US KA MUNH FULAAN JANWAR KI TARAH, PAIR FULAN JANWAR KI TARAH, WAGAIRAH BAATEN SAHEEH ṄAHI HAI.

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
20 ZEEL HIJJAH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

DAJJAL KO KAUN QATL KAREGA AUR ISAA A S KA QAYAM 1827

Sawal: Dajjal ko kon qatl karega?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Hazrat isaa Alayhis salam aasman se dajjal ko qatl karne ke liye utrenge aur use qatl karenge.
hazrat isaa Alayhis salam ke alawah kisi ko us ke qatl karne ki qudrat na hogi

ISLAMI AQAID SAFA 32

fir isaa Alayhis salam 40 (chalis) saal tak quran hadees ke mutabiq insaf ke sath hukoomat karenge.

MUSNADE AHMAD 24468
IBNE ABEE SHAYBAH 15/134 NO. 19420

ZUHOORE MAHDEE KAB? KAHAN? KIS TARAH? SAFA 183

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH:
18 ZEE HIJJAH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

HAR CHEEZ KA IKHTIYAR ALLAH HI KA HONE KI DALEEL 1764

SAWAL:

Har cheez ka ikhtiyar sirf ALLAH hee ko hai us ki daleel quraan se kya hai ?

JAWAB: حامدا و مصلیا مسلما

Quraane kareem se daleel

وَلَا تَدْعُ مِنْ دُوْنِ اللّـٰهِ مَا لَا يَنْفَعُكَ وَلَا يَضُرُّكَ ۖ فَاِنْ فَـعَلْتَ فَاِنَّكَ اِذًا مِّنَ الظَّالِمِيْنَ

وَاِنْ يَّمْسَسْكَ اللّـٰهُ بِضُرٍّ فَلَا كَاشِفَ لَـهٝٓ اِلَّا هُوَ ۖ وَاِنْ يُّرِدْكَ بِخَيْـرٍ فَلَا رَآدَّ لِفَضْلِـهٖ ۚ يُصِيْبُ بِهٖ مَنْ يَّشَآءُ مِنْ عِبَادِهٖ ۚ وَهُوَ الْغَفُوْرُ الرَّحِيْـمُ,

“Aur mat pukaro ALLAH ke alawa kisi aese ko jo na bhala kare tera na bura, fir agar tu aesa karega to tu bhi us waqt zalimon yani mushrikon me se ho jawoge, agar pahoncha dewe tujh ko ALLAH taala kuchh taklif to koi nahi us ko hatane wala, us ke siwa, aur pahonchana chahe tuj ko koi bhalai to koi ferne wala nahi us ke fazl ko”.

SURAH E YUNUS AYAT 106,107

WALI AUR KARAMAT 1660

Wali aur karamat kise kehte hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

1. Jab musalman Allah ta’ala ki khub ibadat karta hai,

2. Gunahon se bachta hai,

3. dunya se muhabbat nahi rakhta,

4. Huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ki har tarah se khub itaa’at karta hai,

to woh Allah ka pyara aur dost ban jata ha, aise shakhs ko wali kehte hai.

aurKabhi wali se aisi (mushkil, naa mumkin) b aaten hone lagti hai jo Auron se nahi ho sakti, aisi baton ko karamat kehte hai.

BAHISHTI ZEWAR 1/41

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
29 JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

SAHABA (RadiAllahu Anhum) KE BARE ME AQEEDA 1663

Wali aur karamat kise kehte hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

1. Jab musalman Allah ta’ala ki khub ibadat karta hai,

2. Gunahon se bachta hai,

3. dunya se muhabbat nahi rakhta,

4. Huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ki har tarah se khub itaa’at karta hai,

to woh Allah ka pyara aur dost ban jata ha, aise shakhs ko wali kehte hai.

aurKabhi wali se aisi (mushkil, naa mumkin) b aaten hone lagti hai jo Auron se nahi ho sakti, aisi baton ko karamat kehte hai.

BAHISHTI ZEWAR 1/41

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
29 JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

KISI NABI SE GUNAH HONA 1648

Wali aur karamat kise kehte hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

1. Jab musalman Allah ta’ala ki khub ibadat karta hai,

2. Gunahon se bachta hai,

3. dunya se muhabbat nahi rakhta,

4. Huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ki har tarah se khub itaa’at karta hai,

to woh Allah ka pyara aur dost ban jata ha, aise shakhs ko wali kehte hai.

aurKabhi wali se aisi (mushkil, naa mumkin) b aaten hone lagti hai jo Auron se nahi ho sakti, aisi baton ko karamat kehte hai.

BAHISHTI ZEWAR 1/41

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
29 JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

AASMANI KITAB AUR SAHEEFE 1648

Asmani kitab aur saheefe kisekehte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Allah taala ne Hazrat jibrail Alayhis salam ke zariye se aasman se chhoti badi bahut si kitab apne nabiyon par utaari,

taake woh apni apni ummat ko deen ki baten bataye.

un me se chhoti kitab ko saheefe aur badi kitab ko allah ki kitab kehte hai.

ISLAMI AQAAID SAFA 12

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :

12 JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

WASEELAH LENA 1650

Wafat ke baad Huzur Salallahu Alayhi Wasallam, Anbiya (As.), Siddiqeen, Shuhada, aur Awliya R. A. ka waseelah ulamaa e dewband ke nazdeek jaiz hai ya na-jaiz?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Hamare nazdeek aur hamare mashaikh ke nazdeek duaon me in tamaam ka waseelah jaiz hai,

unki hayaat me ho ya wafat ke baad is taur par kahe ke ya Allah me fulan buzrug ke waseelsh se tujh se dua ki qabooliyat aur haajat baraayi chahta hun ya isee jaise aur kalimaat kahe.

Al muhannad yani Aqaide ulamaa e dewband safa 10

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon hanafi.

Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

TAURAT INJEEL KA TAAARUF AUR HUKM 1651

Asmani kitaben kon kon si hai aur kis kis nabi par nazil hui us ko ham padh sakte hai ya nahi?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Asmani mash’hoor kitaben 4 hai

taurat hazrat moosa Alayhis salam par,

injeel hazrat isaa Alayhis salam par,

zaboor hazrat dawood Alayhis salam par

aur qayamat tak ke liye akhri kitab

Quran hamare nabi huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM par nazil hui.

Dusri kitabon ko gumrah aur aawarah mijaz logon ne bahut kuchh badal dala hai,

woh kitaben sab haq aur sach thi us asal kitab par hamara iman hai usee me apne apne zamane ke nabiyon ki ummat ke liye najaat rahi,

lekin ab asal shakal me woh kitaben mahfooz nahi.

lihaza jo baten quraan aur hadees ke muwafiq hogi use ham maanenge aur jo mukhalif hogi use nahi maanenge aur jo na muwafiq ho na mukhalif us bare me ham khamosh hai.

ISLAMI AQAID SAFA 17,18 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

DUSRI ASMANI KITAB PAR AMAL 1652

Dusri aasmani kitab bhi allah taala ne hi nazil ki hai to us par amal kar sakte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Quraan nazil hone ke baad agli tamam aasmani Kitab mansookh aur cancel ho gai,

ab woh kitaben asli shakal par mahfooz nahi aur un par amal karna jaiz nahi.

quraan ki hifazat ka wada allah taaala ne kiya hai jaisa nazil huwa tha aaj bhi wesa hi mavjood hai.

us me kisi qism ki kami hui hai na izafa aur qayamat tak isi tarah mahfooz rahega

ISLAMI AQAID SAFA 18

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

PAIGAMBAR Alayhissalam KO BHEJNE KA MAQSAD 1641

Allah nabiyon (Alayhissalam) ko kyun bhejte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Insano ko sidha rasta batane aur Uske ahkaam yani Allah kin cheezon se khush hote hai aur kin cheezon se naraz hote hai,

zindagi ka maqsad aur usey guzarne ka saheeh tareeqa kya hai, is ko batlane ke liye Allah nabiyon-paigambaron (Alayhissalam) ko bhejte hai.

BAHISHTI ZEWAR AUR ISLAMI AQAID SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :

10 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

AB NABI KON? 1643

Hazrat muhammad salaah alaihi wasallam ke baad ab dunyaa me nabi kon hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Huzoor sallahu alayhe wasallam tamam nabiyon me akhhri nabi hai ab hamare nabi hazart muhammad sallahu alayhi wasallam ke baad kisi qism ka koi nabi dunya nahi aayega ye hamara iman hai is baat ko maanna zaroori hai.

BAHISHTI ZEWAR AUR ISLAMI AQAAID

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

TAQDEER KA MATLAB 1635

Taqdeer kise kehte hai?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Dunya me jo kuchh bhala bura hota hai. Sab ko allah ta’la us ke hone se pehle janta hai aur apne janne ke lihaz se use paida karta hai.

taqdeer isee ka naam hai aur buri cheez ke paida karne me bahut se raaz-bhed hai jin ko har ek nahi janta.

Bande ko allah ne samjh aur irada diya hai jis se woh sawab aur azab ke kaam apne dil-marji se karta hai magar bande ko kisi kaam ke paida karne ki taqat nahi gunah ke kaam se allah taala naraz aur sawab ke kaam se khush hote hai

BAHISHTI SAMAR

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

ALLAH KA KOI BHI HUKM NA MUMKIN NAHI 1633

Allah ka koi hukm aesa hai jo bandon ke liye na mumkin ho masalan koi kahe ke nigah ko hifazat mumkin nahi Fula hukm is taraqqi aur fitne ke daur me mumkin nahi us ka kehna saheeh hai?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Allah taala hakeem-badi aql aur honshyari wala hai allah ko maloom hai ke mere bande kya kare sakte aur kiya nahi kar sakte hai lihaza allah ka koi bhi hukm insaan ki taqat se bahar nahi shareeat par amal har zamane me mumkin hai hukm dene se pehle allah taala ke ilm me qayamat tak ke haalat the lihaza shareeat par amal har daur me mumkin hai

MOEENUL AQAID SAFA 5 SE MALHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH: 3
JUMADUl UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

MARNE KE BAAD ZINDA KAISE HONGE ? 1614

Aadmi gal sad kar yajal kar mitti ho jaata hai, haddi bhi chura chura ho jaati aur insan mitti me mil jata hai to Allah ta’ala dobarah kaise zindah karega?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Allah ki zaat woh hai jis ne insan ko mitti se paida kiya hai, woh is tarah ke isan mani (virya, sperm) se paida hota hai mani khun se banti hai aur khun sabzi, fal ya gosht se banta hai janwar ka gosht chaare se banta hai sabzi aur chaara zameen se ugta hai

Pataa yeh chala ke insaan mitti se paida huva hai jis Allah ne use pehli baar mitti se paida kiya uske marne ke baad woh mitti ho jayega fir usko dobarah mitti se paida karna kya mushkil hai.

SURAH E TAAHA AYAT 55 KA KHULASA

Zameen banjar ho jati hai us par barish hoti hai to darkht, sabza-gaas ug jaati hai isee tarah insaan mitti ho jayega to Allah hayaat ki barish barsayega insaan bhi darkht ki tarah ug niklega.

Is tarah maut ke baad dobarah zindah karega

SURAH E QAAF AYAT 11 KA KHULASA

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
14 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

DUNIYA SE PEHLE KYA THA? 1615

Jab ye dunya, suraj, chaand, asmaan, zameen nahi the to pehle kya tha ?
Insan kab se hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Pehle is dunya me na insan tha, na farishte, na aasmaan, na zameen tha,
sirf ek Zaat jo hamesha se thi aur hamesha rahegi, Apni tamam sifat ke sath mavjood thi.

fir us be misal Allah ta’ala ne apni chahat aur irade se zameen, aasman aur tamam makhlooqat aur akheer me aadam alayhissalam aur un ki awlad ko paida kiya.

MUEENUL AQAID SAFA 12

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
15 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

INSAN KI PEDAISH KA MAQSAD 1616

Allah ne insan ko kyun paida kiya hai?
Kya khana, pina, kamana ye hamara maqsad hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Allah taala ne insan ko apni farmabardari aur bandagi aur makhlooq me adlo insaaf ke liye paida kiya hai,

aur is fareeze ko aasani se ada karne ke liye us ko zameen me haakimiyat aur dusri makhĺooq par use badai di hai (har makhlooq ko insan tabe kar sakta hai, aur woh insan ka hukm manti hai, insan me jitni aql hai utni kisi makhlooq me nahi, isliye woh sab se behtar hai)

Khana kamana (charna giza ko dundhna) to janwar
Bhi karta hai, ye hamara maqsad hargiz nahi ho sakta hai.

MUEENUL AQAID SAFA 12

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
16 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

ALLAH KA ARSH PAR HONE WAGAIRAH KE BARE ME AQEEDA 1617

Kya kehte ahle sunnat dewbandi ulạmaa Allah ta’ala ke is qism ke qaul ke:

“Rahman arsh par mustawi huwa -betha”

“Allah ka hath wagairah” insani amal aur aazaa ke bare me ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

is qism ki aayat me hamara mazhab ye hai ke, in par iman late hain, aur kefiyat se bahas nahi karte,

yaqeeni taur par jante hai ke Allah Taala makhlooq ke awsaaf (uthna bethna chalna firna wagairah) awsaaf se paak hai,

yani Allah Ke arsh par bethna to mante hai;  lekin woh kis tarah bethte hai bethne ke liye jism chahiye, Allah jism se paak hai,

lihaza bethne ka kya treeqah aur us ki kya haalat hoti hai us se ham bahas nahi karte, jis tarah Allah ki shan ke munasib hai bethte hai.

ye hamare mutaqaddimeen (chhathhi sadi tak ke ulamaa) ki raay hai.

aur hamare mutakhkhireen ne un alfaz ki saheeh lugat- dictionary (mayne) ko dekhte huwe us ki taweel -munasib matlab nikala hai,

take kam samjh rakhne wale log bhi samjh sake, aur yun kaha ke arsh par bethne se muraad Allah ka gaalib aana hai.

aur Allah ka hath se muraad us ki madad hai,

Allah ke chahre se muraad us ki izzat hai,

ye mayne bhi saheeh hai lekin Allah ke liye jaga, simt disha aur makaan thehraana saheeh nahi, Allah in khatm ho jani wali cheezon se paak hai.

AQAIDE ULAMAA E DEWBAND SAFA 18

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
17 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

MURDA KHATM HONE KE BAAD JAZA AUR SAZA KAISE ? 1618

Insan markar mitti ho jata hai to murde ko azab aur achchha badla kaise milta hai ?

JAWAB

insan to markar khatm ho jata hai, lekin rooh gair mahsoos kefiyat_tareeqe se zinda aur baqi rehti hai, jo apni zindagi ki neki aur gunah ka achchha bura badla pati hai.

MUEENUL AQAID SAFA 13

ISLAMI TAREEKH :
18 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

SHAITAN KO BHI MAUT 1627

Kya shaitan ko bhi maut waqia hogi ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Pehle tamaam insaanon ki rooh qabz karenge,
fir malekul maut shaitan ki taraf mutawwajeh honge,
woh charon taraf bhagega,
farishte aag ke hathodon se use wapas lotayenge, aur us kisi rooh qabz karenge,
aur us akele mal’oon ko itni taklif hogi jitni Sare insano ko rooh nikalte waqt taklif hui hogi.

AASARE QAYAMAT AUR FITNAH E DAJJAL SAFA: 44

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH:
27 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

AQAAID DURUST KARNE KI AHMIYAT 1628

Aqaaid-aqeede jaanna zaroori hai ?
us ka kya faida hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Tamaam deenee uloom me aqeede janne ki aur usey durust karne ki ahmiyat sab se zayada hai,

kyun ke tamaam aamal ki qubooliyat ka daromadar isi par mavqoof hai,

insan umar bhar nekiyan karta rahe lekin aqeede me nuqsan hoga to saari nekiyan barbad ho jayegi,

agar aqeeda saheeh ho to kam se kam hamesha ke azaab se to najat mil jayegi.

ISLAMI AQAID SAFA 15

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
28 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

IMAN KA MATLAB 1629

Iman kise kehte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما
Iman ko lugwi-desnory mane dil se tasdeeq aur yaqeen karnaa aur shareeat ki istilah-makhsoos zubaan me allah aur rasool ke un ahkam ko dil se yaqeen karna aur zuban se iqraar karna jo yaqeeni zariye se ham tak pahonche hai?

MUEENUL AQAID SAFA 18

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
29 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

ISLAAM KA MATLAB 1630

Islam kise kehte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما
Islam ka lugwi-desnory m’ane maanna aur salaamti ke hai aur shareeat ki istilah-makhsoos zubaan me allah aur rasool ke un ahkam par amal karna jo yaqeenii zariye se ham tak pahonche hai.
Zahiri amal ka naam islaam aur batini-andar ke yaqeen ka naam iman hai.

MUEENUL AQAID SAFA 18 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

QAYAMAT KA MATLAB 162O

Qayamat kise kehte hai?

JAWAB

Ek din aayega ke suraj, chaand, sitare ko Allah ta’ala tod denege, asman aur zameen fat jayenge, pahad udaa diye jayenge, aur puri dunya ke tamam mare huwe insano ko zinda kiya jayega,

woh din bada sakht aur bhayanak hoga, log apne achchhe bure aamal ke aetibar se raahat aur taklif me honge, is din ko qayamat kaha jata hai.

MUEENUL AQAID SAFA 13 SE MAKHOOZ

ISLAMI TAREEKH :
20 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

FARISHTE KA MATLAB 1622

Farishte kise kehte hai?

JAWABA

حامدا و مصلیا و مسلما

Allah taala ne noor se ek makhlooq paida ki hai jin ko hamari nazron se chhupa diya hai un ko farishte aur malaaikah kehte hai ye na mard hote hai na aorat.

ISLAMI AQAID SAFA 15

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
22 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

FARISHTON KE KAAM 1624

Farishte kya karte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Farishton ke zimme bahut se kaam hai,
woh Allah ke hukm ke bilkul khilaf nahi karte,
Allah jo kehte hai wahi karte hai,
woh har waqt zikr tasbeeh aur ibaadat me lage rehte hai,
woh kabhi thakte nahi hai.

ISLAMI AQAID SAFA 15

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH:
24 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

FARISHTON KI TAADAD | 4 MASHHOOR FARISHTE 1625

Farishte kitne hai aur un ke kya kya kaam hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Farishten be shumar hai un ki saheeh ginti allah hi ko maloom hai un me se 4 bade muqarrab aur mashoor ke naam aur kaam ye hai.

1.Hazrat Jibraeel alayhis salam allah ki kitaben ahkaam aur paigam nabiyon aur rasloon tak pahonchate the.

2.Hazrat meekail a.s.ke zimme barish barsana aur makhlooq tak rozee pahonchana hai.

3.Hazrat israafeel a.s.ke zimme qayamat ke din soor funkna hai.

4.Hazrat izraail a.s.ke zimme makhlooq ki jaan nikalna muqarar hai.

ISLAMI AQAID SAFA 15

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH: 25
JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

FARISHTON KI TAQAT 1626

Farishton ki taqat kitni hoti hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Farishton ki taqatbahut hi zayada hoti hai akle woh kaam kar lete hai jo lakhon insan mil kar bhi nahi kar sakte hai

ISLAMI AQAID SAFA 15

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Baal Mubarak Ke Dekhne (Ziyarat Karne )Ka Kya Hukm Hai?

Sawal:

Baal Mubarak Ke Dekhne (Ziyarat Karne )Ka Kya Hukm Hai?

Jawab:

Hadees Shareef Se Sabit Hai Ke Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam Ne Apne Baal Mubarak Sahaba ?Radeeyallahu Anhum  Ko Taqseem Farmaye The.

Fatawa Ibne Taymiyah Me Hai Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam Ne Apne Baal Mundwakar Aadhe Sar Ke Baal Abu Talha Radiyallhu Anhu Ko Diye Aur Aadhe Logon Ke Darmiyan Taqseem Farma Diye.

Agar Kisi Ke Paas Ho To Tajjub Ki Baat Nahi.Agar Us Ki Saheeh Aur Qabile Aetimad Sanad (Puri Chain Ho Ke Ham Tak Kis Kis Ke Zariye Pahoncha) Ho To Us Ki Ta’azeem-Ziyarat Karna Bahot Badi Khush Naseebee Hai.

Agar Sanad Na Ho Aur Banawati Hone Ka Bhi Yaqeen Na Ho To Khamoshi Ikhtiyar Ki Jaye Na Us Ki Tasdeeq Kare-(Sachcha Samjhe) Na Takzeeb-(Jhutlaye).Na Ta’azeem Kare Na Tauheen Kare.

Baal Mubarak Aur Dusre Nabavi Tabarrukat Khairo Barkat Ko Vajib Karnewale Hain Aur Us Ki Ziyarat Se Ajro Sawab Milta Hai.

Use Dekhne Me Mardo Aur Aurato Ka Melap Na Ho Hazrat Aaishah Radiyallahu Anha Apne Zamane Ki Aurto Ke Mutalliq Farmati Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Is Zamane Ki Aurto Ko Dekhte To Un Ko Masjid Me Jane Se Manaa Farmate.

Lihaza Aurto Ko Jamaa Na Kiya Jaye.

(Tabarrukate Mubarakah Ko Hamare Gunehgar Hath Na Lagaye Jaye.Sirf Ziyarat Par Bas Kiya Jaye.)

Tabbarukat Se Barkat Hasil Karne Ka Saheeh Aur Jaiz Tareeqah Yeh Hai Ke Khas Tareekh Tay Kiye Bagair Logon Ko Jamaa Karne Ka Ehtimam Kiye Bagair Jab Dil Chahe Ziyarat Kare Karaye.

Sahaba Ke Zamane Me Dastoor Tha Ke Kisi Nazar Wagairah Ki Takleef Ho Jati To Ummul Mumineen Hazrat Umme Salmah Radiyallahu Anha Ke Paas Pani Ka Piyalah Bhej Diya Jata.Aap Ke Paas Baal Mubarak The.Unko Chandi Ki Nalki Me Mahfooz Rakha Tha.Pani Me Us Nalki Ko Dal Dete The.Aur Woh Pani Mareez Ko Pilaya Jata Tha.

( Qustalani Sharhe Bukhari J.8/ S.382)

Hazrat Asmaa Radiyallahu Anha Ke Paas Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam Ka Kurta Mubarak Tha.Farmati Hai Ke Ham Use Pani Me Dhokar Woh Pani Apne Bimaron Ko Bagarze  Shifa Mareez Ko Pila Diya Karte Hain.

(Saheeh Muslim 2/190)

( Fatawa Raheemiyyah Jadeed Babul Ambiyaa

Jild 3/Safa 40 Se 42 Ka Khulasa Urdu Ki Asani Ke Sath)

Ham Aehle Sunnat Wal Jamaat Tabarrukat Se Barkat Hasil Hone Ko Mante Hai.Lekeen Use Sab Kucch Na Samjhe.Najat To Aamal Se Hogi Bila Amal Wa Ittiba E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Sirf Zahiri Muhabbat Ka Dhong Aur Muhabbat Ke Dawe Kafi Nahi.

Gair Muqallid-Naam Ke Aehle Hadees Asal Wahabi Tabbarukat Se Barkat Hasil Karne Ko Nahi Mante.

Allah Hame Sachchi Aur Kamil Muhabbato Ishqe Rasol Salallahu Alayhe Wasallam Naseeb Farmayen.Ameen.

Barelwi Or Deobandi Ke Ikhtelaf Ko Kaise Khatm Kiya jaye ?

Sawal:

Wo Aqaeed&Masail Jin Me Barelvi Aur Deoband Ke Ulamaa Ke Darmiyan Ikhtilaf Hai Ittifaq Nahi Jis Ki Se Puri Ummat Ikhtilaf,Jaghdon Aur Bahso Mubahason Ka Shikar He Jiski Wajah Se Hum Paresan He Or Dushman Iska Fayeda Utha Rahe He.Aaj Ke Mahol Me Kisi Tarah Apas Me Ittifaq Paida Karne Ki Sakht Zaroorat Hai.Ikhtilaf Khatm Karne Un Aqaid Ko Quraan Wa Hadees Se Bhi Bataya Jata Hai Lekeen Barelvi Hazrat Ko Samjh Me Nahi Aata.To Kiya Karna Chahiye?

Un Ko Kaise Samjhaye

Jawab:

Baat Aap Ki Saheeh Hai Us Ka Ilaj Ye Hai Ke Un Ke Aqaid Wa Masail Unhee  Ki Kitabon Se Pesh Kiye Jaye To Woh Maulana Ahmad Raza Sahab Ki Wasiyyat Ke Mutabiq Maan Lenge Insha Allah.

Lihaza Dewbandi Aqaid Wa Baaz Masail Un Hee Ki Kitabon Se Amanatdari Ke Sath Pesh Kiye Jate Hai Ummeed Hai Ke Kuchh Apas Ki Nafrat Wa Ikhtilaf Door Honge.

“Ek He Sab Ka Nabi,

Deen Bhi, Imaan Bhi,

Haram-E-Paak Bhi,

Quran Bhi Ek,

Kya Badi Baat Thi, Hote Jo Muslaman Bhi Ek”

1, Mufti Ahmed Yarkhan

Tafsire Naeemi S-54 Parah-11 Me

و اياك نستعين

Wa-Iyyaqanastaeen Ki Tafsir Me Farmate He Ke “Jis Tarah Hum Sirf Teri Hi Ibadat Karte He.

Usi Tarah Sirf Tuj Hee Se Har Kaam Me Madad Mangte He.

Hum Mushrik Nahi Ke Ba’z Kamo Me Tujse Madad Le Or Ba’z Me Tere Siwa Kisi Or Se.

Har Kaam Me Tujhi Par E’atemad He Or Teri Hi Madad Sachchi He.

Isme Bande Ko Ta’lim He K Koi Madad Bhi Kar De To Ye Samje K Allah Ki Madad He.

To Haqiqi Madadgar Allah Hi Huwa

Kisi Ko Apna Haqiqi Madadgar Na Samje

Lihaza Allah Ko Chhodkar Kisi Aur Par E’atemad Karna Naadani (Jahalat) He.

Barelviyon Ke Nazdeek Allah Ke Siwa Anbiysa Wa Awliya Se Madad Mangna Farz Wa Wajib Nahi Balke Sirf Jaiz Ya Behtar Hai.Dewbandi Hazrat Shirk Kehte Hai Jo Haraam Hai Haraam Aur Halal Me Ikhtulaf Ho To Salamati Us Se Bachne Me Hai.

2, Janazah Ke Sath Chalne Walo Ko Sukoot (Khamoshi) Ki Haalat Me Chalna Chahiye.

(Mv Amjad Ali, Bahare Sariyat J-4, S-139)

3. Qabar Unchi Banana Khilafe Sunnat He.

Meri Walidah, Mere Bhai Ki Qabr Dekhe 1 Balisht Se Unchi Na Hogi.

(Mv Ahmed Raza Malfoozat, Hissa-2, Safa-85)

4. Maiyyat Ke Pehle, Ya Tisre, Ya Hafte Ke Baad Jo Khane Taiyyar Kiye Jate He Sab Makrooh Aur Mamnooa (Mana) He.

(Mv Ahmed Raza, Jaliyus Saut Safa-407)

5. Ye Samjna Ke Khane Pine Ki Chize Samne Hogi Jab Hi Fatiha Hoga, Ye Galat He.

(Mv Ahmed Raza, Ruhon Ka Aana, Safa-12)

6. Irfan-E-Hidayat Me, Mv.Irfan,, Farmate He “Afsosh K Is Zamane Me Urs Ko Mela Banaya Gaya He, Randiyon Ka Naach Hota He, Dhol, Tabla, Bajate He, Aur Ajeeb To Ye He Ke Ise Jaiz Or Allah K Qurb Ka Vasila Samja Jata He.”

Padhe Likhe Aur Sajjadgane Dargah Bhi In Balaaon Me Mubtala Nazar Aate He.

7. Malfuzate Mv Ahmed Raza Me He Ke “Ye Na Puchho Ke Aurto Ka Mazar Pe Jana Jaiz He Ya Nahi, Ye Puchho Ke Us Aurat Par Kis Qadar La’nat Hoti He. Aurat Jis Waqt Ghar Se Mazar Jane Ka Irada Karti He Lanat Suru Ho Jati He, Siway Roza-E-Anwar K Kisi Mazar Par Jane Ki Izazat Nahi.”

Mlfuzat-2 S-117

8. Mv Faroow Ashrafi Razvi Farmate He: “Loban, Agarbati Qabar Par Jalana Bad Fali Ka Sabab He, Aur Sirf Qabar Ke Liye Jala Kar Aaye To Manaa, Fuzul Aur Maal Ko Barbad Karna He, Maiyyat Nek He To Uski Qabar Me Jannat Ki Khusbhu Aati He, Duniya Ki Agarbatti Loban Se Uska Kya Muqabla? Aur Ma’azallah Maiyyat Ko Azaab Ho Raha Ho To Duniya Ki Loban, Agarbatti Se Koi Fayeda Nahi.”

(Gulistan-E-Awliya, Safa-11) (Ruhon Ka Aana, S-7) (Fool Ko Bhi Is Par Samja jaa Sakta Hai).

9. Mv Ahmed Raza Farmate He: “Taziya Banana Bid’at He, Usse Shaukat, Dabdaba Nahi Ho Sakta, Maal Ka Jaae (barbad) Karna He, Uske Liye Sakht Waeed Aayi He…”

10. Taziya Ko Hajat Rawa Samajna Jahalat He, Usse Mannat Mangna Bewaqufi, Na Karne Ko Nuqsan Samajna Aurto Wala Waham He.

(Risala Mohram Taziya Sf 59,60)

11. Allama Gulam Rasul Gohar Farmate He: “Azan Se Pehle “A’uzu” Padhna Nahi He, Uska Hukm Quran Ke Sath Khas He, Bismillah Padhna Barkat He, Magar Buland Awaz Se Aur Loud Speaker Me Padhna Fuzul He, Aahista Se Padhna Kafi He, Asal Me Ye Deobandio Ki Mukhalifat Karne K Liye Suru Huwa He..”

Aala Hz.Ne Likha K Azan K Baad Salato Salam Jo Islam Me Pehle Nahi Tha, Ye Taklif Dene Wala He.

(Ba Hawala, Anwarus Sufiyyah- Janvari-1978, Sumaraa No-4).

12. Is Zamane Me Aurto Ka Qabar Ki Zyarat K Liye Jana Makruh, Balke Haram He.

(Mv Muhammad Hasmat Ali Barelwi Sab, Jam’ul Masail-1, Page-110)

13. Ziyarte Roza-E-Anwar K Waqt Na Diwar Ko Hath Lagaye, Na Chume, Na Chimte, Na Tawaf Kare, Na Zamin Chume, Ye Bi’dat He.

(Mvahmedraza Hursate Ajda’a Tazim S63

14. Mv Ahmed Raza Farmate He: “Daastan-E-Azeeb, Bibi Saiyeda Ki Kahani, 10 Bibiyo Ki Kahani, Wagerah Kitabon Ki Koi Asal Nahi, Ise Na Padha Jaye.

(Ruho Ka Aana, Safa-3)

15. Mufti Ahmed Yarkhan Farmate He: “Nabi Jins-E-Basar Hi Hote He Or Insan Hi Hote He.

(Ja’al Haq Bab-1′ S-164, Jasim Book Depo Delhi)

16. Mv. Ahmed Razakhan Frmate He: “Huzur Salallahu Alaihi Wasallam  Ko) Ataa-E-Ilaahi Se Baa’z Ilm Hi Milna Ham Mante He, Na Ke Jameea (Tamam Chiz Ka)

(Khalisul Eatiqad, S-23).

17. Ahmed Yarkha Frmate He: “Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Dusre Ambiya Alayhimus Salam  Ko Rab Ne Apne Ba’z Guyoob (Gaib) Ka Ilm Diya, Ye Zaruriyate Deen Me Se He Iska Inkaar Kufr He”.

(Ja’l Haq S-39)

Note: Jab Kufr Aur Iman Me Ikhtilaf Ho To Kufr Se Bachna Muqaddam Hai Qabr Aur Medane Mahshar Me Ye Ilhtilafi Aqaid Nahi Puchhe Jayenge.Gair Muslim Ko Musalmsn Banana To Zayada Se Zayada 5 Kalme Parha Dena Kafi Hai Khas Barelvi Aqaid Ko Qabool Karana Musalman Banane Ki Liye Zarooree Nahi.Fir In Awaid Ko Na Mannewalon Ko Kyun Kafir Kaha Jata Hai.

Note:

In Kitabon Me In Hawalo Par Ye Baten Hai Ke Nahi Kisi Ko Puchhne Ke Bajaye  Khud Dekhe Nuskhe Ke Farq Ki Wajha Se Ye Baten Usee Safe Par Na Ho To Ek Do Safe Aage Pichhe Bhi Dekh Liya Jaye.Is Me Jhuth, Aur Khiyanat Se Kaam Nahi Liya Hai.اَلْحَمْدُلِلّه

Ham Ye Bhi Bata Dete Hai Is Ki Baaz Baton Ko Dusree Kitabon Me Us Ke Khilaf  Bhi Likhi Hai Jab Barelviyon Ki Kitab Me Dono Qism Ki Baten Hai To Un Ka Baton Ko Maan Lene Ki Guzarish Hai Jis Se Ummat Me Jod Paida Ho Aur Tod Khatm Ho.

Ikhtilafi Baat Par Date Rehne Se Bada Nuqsan Hai Allah Taala Ittifaq Aur Jod Paida Karne Ki Taufeeq Den Ameen.

BISMILLAH KI JAGAH 786 NUMBER KA ISTE’AMAL KARNA

Bahot se log khat, card, mobile msgs, ghar ke baahar ya ghar me, wagairah Jagah me 786 number likhte hai, aur yeh kehte hai ke Ye BISMILAH ka adad number hai.

kya yeh sahih hai ?

Yeh kisne aur kyun shuru’a kiya ?

Kya Isme Bismilah Ki Barakat hasil hoti hai ?

ba’az kehte hai ke ye Shri Raam Ya Shri Krishna ka adad hai, to kya yeh gairon ka tariqah hai ?

JAWAB

Hazrat mufti nizamuddeen azami رحمت اللّہ عليہ, sabiq (old) mufti darul uloom deoband, india. tahreer farmate hain ke lafze اللّہ Allah ke ‘laam’ ko double shumar kar liya jaye, aur رحمان Rahman ke ‘alif’ ko shumar na kiya jaye, to ta’adad 786 ho jati hai. pas is adad se yaqeenan zahan Bismillah ki taraf muntaqil ho sakta hai, balke is adad ko dekh kar ya sun kar Bismillah mukammal (pura) zahan me aa jata hai, aur ho sakta hai ke koi zubaan se keh bhi de to iske maqsad se yeh adad likhne ki garz yeh bhi ho sakti hai ke har khat (letter) ki ibaarat ki shur’uaat me intiqaak e zahni Bismillah ki taraf ho jaye aur Bismillah ka adab bhi baaqi rahe, isliye bahut mumkin hai ke is tareeqah e kaar se Bismillah kehne ya zahan me usey hazir karne ki jaanib talqeen aur mutawajjeh karne ki garz (maqsad) se yeh tareeqah chal padaa ho, agar che yeh ma’alum na ho ke yeh tareeqah kab se jaari huwa kuchh muzir (nuqsan) na hoga. balke istihsaan (uska achchha hona) baaqi rahega aur biaynihi (same) Bismillah parhne ki barakat agarche hasil na ho lekin zariyah zarur ban sakta hai, aur yeh be’adabi se bachaane wala hai, isliye is tareeqah ko bura kehna bhi qabile gaur baat hogi.

MUNTAKHAB NIZAMUL FATAWA 3/435

Note: Adab ki wajah se likhne ki gunjaish usi waqt hogi jab ke uske baad ki tahreer me aur kahin Allah ka naam ya kisi ayat wa hadees ka zikr na ho, warna be adabi na ho us wajha se likhne ki koi gunjaish nahi. balke ek rasam samjhi jayegi, jis ka riwaj dena karahat-makrooh hone se khali nahi.

Hazrat mufti yusuf ludhyanvi رحمت اللّہ عليہ isee barey me tahreer farmate hain ke 786 bismillah shareef ke adad hain, buzurgon se iske likhne ka mamool chala aata hai. galiban is ko riwaj isliye huwa ke khutoot-lettres aam taur par faad kar fenk diye jate hain, jis se bismillah shareef ki be adabi hoti hai, is be adabi se bachane ke liye galiban buzrogon ne bismillah shareef ke aadad likhne shurooa kiye, is ko gairon ki taraf mansoob karna to galat hai, albattah agar be adabi ka andesha na ho to bismillah shareef hi likhna behtar hai

AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 6/348 NAEEMIYAH

Bande ke piro murshid, yadgare salaf hazrat aqdas mufti ahmad sahab khanpuri d.b. tahreer farmate hai ke “ye koi sharaee cheez nahi hai. aur is tarah likh dene se khat ke shurooa me bismillah likhne ka haq ada huwa nahi samjha jayega”

MAHMOODUL FATAWA 5/625

Tino [3] fatwon ka khulasah ye hai

786 AGAR BISMILLAH SHAREEF KI BEADABI NA HO IS MAQSAD SE AESI JAGA LIKHA JAYE JAHAN BE ADABI HONE KA KHATRA HAI TO USEY IS SHART PAR LIKHA JAYE KE AAGE KAHIN ALLAH WA RASOOL صل اللہ عليہ وسلم KA NAAM NA LIKHA HO.

JAHAN BE ADABI HONE KA KHATRA NA HO YA AAGE ALLAH KA NAAM AA RAHA HO TO WAHAN BISMILLAH HEE LIKHNE CHAHIYE.

PEHLI MUHARRAM KO 113 BAAR BISMILLAH LIKHNA

⭕AAJ KA SAWAL⭕

Kya ye baat saheeh hai ke jo shakhs pehli muharram ko 113 baar puri bismillaahir rahmaanir raheem likh kar apne paas rakhega woh pura saal aafat bala aur museebat se mahfooz rahega?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما

Han Mufti e aazam hazrat mufti muhammaf shafeea Rahmatullahi alayhi ne jawahirul fiqah j 2, safa 187 par ye baat likhi hai aesee cheezen buzrogon ke tajrabaat me se hoti hai is ko sunnat aur zaroori samjhe bagair karna chaho to kar sakte hai mana nahi.

📥ON LINE FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND NO. 144001200021

و الله اعلم بالصواب

MUHARRAM KE ROZON KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2558⭕

Muharram ke mahine ke roze ki kya fazeelat hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Hazrat Abuhurairah radiyallahu anhu se riwayat hai ke Rasoolallah Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ne farmaya: Ramadan ke baad sab se afzal roze Allah ke mahine muharram ke roze hain aur farz namaz ke baad sab se afzal namaz raat ki namaz (Tahajjud) hai.

📗SAHEEH MUSLIM HADEES NO.2755

Yah fazeelat poore mahine me kabhi bhi aur jitne chahe utne roze rakhne se hasil ho jayegi Insha’Allah is se muraad aashoorah (10 muharram) ka roza nahi hai, uski fazeelat Mushtaqil alag hai.

حَدَّثَنِي قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ ، حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ ، عَنْ أَبِي بِشْرٍ ، عَنْ حُمَيْدِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْحِمْيَرِيِّ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : ” أَفْضَلُ الصِّيَامِ بَعْدَ رَمَضَانَ ؛ شَهْرُ اللَّهِ الْمُحَرَّمُ، وَأَفْضَلُ الصَّلَاةِ بَعْدَ الْفَرِيضَةِ ؛ صَلَاةُ اللَّيْلِ “.‌(الصحیح لمسلم كِتَابٌ : الصِّيَامُ. | بَابٌ : فَضْلُ صَوْمِ الْمُحَرَّمِ. )

و الله اعلم بالصواب

BACHCHA PAIDA HO TO MASNOON AMAL

⭕AAJ KA SAWAL NO.2559⭕
Bachche ki viladat par kiya -kiya karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

Bachche ki viladat par Sab se pehle us ke dayen kaan me azan aur bayen kaan me iqamat kahi jaye.
Fir tahneek kari jaye yani kisi Allah Wale se khujoor chabwakar pehle se taiyyar rakhi jaye bachche ko maan ke dudh se bhi pehle ye khujoor me se ek chapti-thoda sa us ke talu par laga diya jaye bachche pet me sab se pehle kisi Allah Wale ka luaab- thook wali cheez jayegi jis ke Nek Asrat bachche par padenge.
Fir satwen din Us ka nam anbiya alahimus salaam, sahaba RADEEYALLAHU ANHUM ya awliyaa e kiram Rahmatullahi alayhim ke namon me se koi nam rakha jaye Fir Us ke sar ke bal mundwaye jaye aur us bal ke wazan Ke barabar sona ya chandi Ya Us ki qeemat sadqah ki jaye aur dil chahe to us bachche ke sar par zafraan mala jaye.
Fir satwen din aqeeqah kiya jaye ya satwen ka khiyal karte huwe 14ve din ya 21ve din aqeeqah kiya jaye masalan bachcha peer ke din paidah huwa hai to itwar Ke din aqeeqah kare
Ladka ho to do bakre ya bade me do hisse aur ladki ho to ek bakra ya bade me ek hissa rakhe aqeeqah ki barkat se bachche se aafat bala tal jati hai.
Not:Ladke ke do bakre afzal hai Agar koi ladke ke ek Bakra zabah karna kare to bhi aqeeda ada ho jayega

Aqeeqah ke janwar aur gosht ke wahee sharten aur masail Hai jo qurbani ke janwar aur gosht ke hai.

MUHARRAM KE MAHINE ME KYA KARE KYA NAHIN

⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 2563

MUHARRAM KE MAHINE ME KYA KARNA CHAHIYE KYA NAHIN?

MASHHOOR BID’ATEN KYA KYA HAIN?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

 Muharram ke Mahine ko Maatam aur Sog ka Mahina Qarar dena Jaiz nahin, Haraam hai, aur Muharram ke mahine me Shaadi wagairah ko Na-Mubarak aur Na-Jaiz samajhna sakht Gunah aur Ahl-e-Sunnat Wal jama’at ke Aqeede ke khilaf hai,

Islam ne jin chizon ko halaal aur Jaiz qarar diya ho, aeteqadan ya amalan unko Na-Jaiz aur Haraam samajhne me Iman ka Khatrah hai.

📔 Fatawa Raheemiyah 3/191.

🔟 Muharram ko Zikr e Shahadat ka bayaan karna agarche sahih riwayaton se ho, ya Sabeel lagaa kar sharbat pilana ya Chanda Sabeel sharbat me dena, ya doodh pilana yah sab sahih nahin hai aur Rawafiz (Shiyaon) se mushabahat (Similarities) ki wajah se Haraam hai.

📔 Fatawa Rasheediya
139

🕌 Taziya saazi ka na-jaiz hona aur uska Khilaafe Deen o Imaan hona Azhar minash shams hai,(suraj ki tarah khuli huyi baat hai) Qur’an e majeed me hai

اتعبدون ما تنحتون
Kya tum aisi chizon ki ibadat karte ho jisko tumne tarasha aur banaya hai❓

Zaahir hai ke Taziya insaan apne haath se taraash kar banata hai aur fir Mannat maani jaati hai aur usse muraaden maangi jaati hain, uske saamne aulaad o sehat ki duaen ki jaati hain, Sajadah kiya jaata hai, uski ziyarat ko Hazrat Hussain razi Allahu anhu ki ziyarat samjha jaata hai,
Kya yah sab baaten Imaan ki Rooh aur Islam ki taleem ke khilaf nahinyah sab baaten Bid’at aur Na-Jaiz hain.

📔 Fatawa Raheemiya 2/275,
Fatawa Rasheediya 576.

 Aashoorah ke din ke Mutalliq shariat ne khaas  Chizen batlayi hain:

 Rozah rakhna,

 Ahlo Ayaa (ghar walo) par khaane peene me wus’at karna.

Hadees Shareef me hai ke Jisne Yaum e aashoorah ke din apne baal bachon par khaane me wus’at (kushadgi) ki to Allah Ta’ala poore saal Rozi me izafa karenge, iske alawah us din ke liye aur koi Hukm nahin hai.

📔 Fatawa Raheemiya 2/380.

 Masail e Shirk o bid’at

و الله اعلم بالصواب

ASHOORAH KE ROZE ME QAZAA KI NIYYAT KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.2564⭕

Ashoorah ke rozah me ramazan ke qazaa rozon ki niyyat kare to Qazaa aur Ashoorah ka rozah dono adaa ho jayenge?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Qazaa rozah ki asal niyyat kare aur saath me Ashoorah ki bhi niyyat kare to qazaa rozah adaa hone ke saath Ashoorah ka sawab nahi milega.

📕fatawa darul uloom qadeem 3/40

📘AHSANUL FATAWA 4/341

AASHORAH KE ROZAH KI FAZILAT, WAQT, EK ROZAH RAKHNE AUR BAGAIR SAHRI KE ROZAH KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.2566

1. AASHORAH KE ROZAH KI KYA FAZILAT HAI?

2. ROZAH KON SE DIN RAKHNA HAI?

3. EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN?

4. BAGEIR SAHRI KA ROZAH RAKH SAKTE HAIN?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1. AASHORAH KA ROZAH RAKHNE SE GUZISHTAH EK SAAL KE SAGEERAH GUNAH MUAAF HO JATE HAIN.

2. JAHAN 29 KA CHAND KA AELAN HUWA THA WAHAN IS SAL 1443 HUJRI ,2021 ISWI ME ASHOORAH JUMERAT KO HAI LIHAZA BUDH JUMERAT YA JUMERAT JUMA KO ROZA RAKHE AUR JAHAN 29, KE CHAND KA AELAN NAHI HUWA THA WAHAN ASHOORAH JUMA KO HAI LIHAZA JUMERAT JUMA YA JUMA SANICHAR KA ROZA RAKHE

DO ROZE NA RAKH SAKTE HO TO EK ROZAH RAKHNA BHI JAIZ HAI. LEKIN MUNASIB NAHIN HAI. HAZ. MAULANA MANZOOR NUAMANI R.A. FARMATE THE KE YAHOODIYON KI TARIKH KA TIME TABLE AB ALAG HO GAYA HAI LIHAAZA AB MUSHABAHAT KI
KHARABI MERE KHAYAAL ME BAAQI NAHIN RAHI.

3. EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN LEKIN EK ROZAH RAKHNA MAKRUHE TANZIHI HAI LEKIN US EK ROZAH KA SAWAB TO MILEGA

📗FATAWA MAHMUDIYAH JILD.10 SAFAH 193 DABHEL BA HAWALA MARAQIYUL FALAH 640 WA AALAMGIRI 1/202 SE MAAKHOOZ

4. BAGEIR SAHRI KE AASHORAH KA AUR NAFIL ROZAH RAKH SAKTE HAIN. LEKIN SAHRI KI SUNNAT CHHUT JAYEGI.SUBAH SADIQ KE BA’AD ROZAH KO TODNEWALI CHEEZ PAISH NA AAYI HO TO TAQWEEM-JANTARI ME DIYE HUWE ZAWAL(AADHA DIN) SE PEHLE TAK NIYTAT KAR SAKTE HAIN.YANI AKSAR DIN NIYYAT PAI JANI CHAHIYE

📚KITABUL MASAIL 2/147

و الله اعلم بالصواب

SHAREEAT AUR SUNNAT KA MAZAQ UDANA, SHAK KARNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2622⭕

Iman kab durust hota hai?
Sunnat ka mazaq udane ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Iman tab durust hota hai jab Allah aur Rasul (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ko sab baaton me sachcha samjhe aur un sab ko maan le,

Allah aur Rasul (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ki kisi baat me shak karna ya usko jhuthlana ya usme aib nikalna ya uske saath mazak udana, In sab baato se imaan jata rehta hai.

📗BAHISHTI ZEWAR MARDO KE LIYE SAFA NO.12

و الله اعلم بالصواب

 

BAAL MUBARAK

AAJ KA SAWAL NO:2626⭕

BAAL MUBARAK KE DEKHNE KA KYA HUKM HAI?

JAWAB

حامد و مصلیا و مسلما

HADEES SHAREEF SE SAABIT HAI KE HUZUR ﷺ NE APNE BAAL MUBARAK SAHAABA ​RADEEYALLAHU ANHUM KO TAQSEEM FARMAYE THE.

FATAWA IBNE TAYMIYAH ME HAI HUZOOR ﷺ NE APNE BAAL MUNDWAKAR AADHE SAR KE BAAL ABU TALHA RADIYALLHU ANHU KO DIYE AUR AADHE LOGON KE DARMIYAN TAQSEEM FARMA DIYE.

AGAR KISI KE PAAS HO TO TAJJUB KI BAAT NAHIN. AGAR USKI SAHIH AUR QABILE AETIMAD SANAD (PURI CHAIN HO KE HAM TAK KIS KIS KE ZARIYE PAHONCHA) HO TO USKI TAAZEEM (ZIYARAT) KARNA BAHOT BADI KHUSH NASIBI HAI.

AGAR SANAD NA HO AUR BANAWATI HONE KA BHI YAQEEN NA HO TO KHAMOSHI IKHTIYAR KI JAAYE NA USKI TASDEEQ KARE (SACHCHA SAMJHE) NA TAKZEEB (JHUTLAYE). NA TA’AZEM KARE NA TAUHIN KARE.

BAAL MUBARAK AUR DUSRE NABAVI TABARRUKAT KHAIRO BARAKAT KO VAJIB KARNE WALE HAIN AUR USKI ZIYARAT SE AJR O SAWAB MILTA HAI.

USE DEKHNE ME MARDO AUR AURAT KA MELAP NA HO, HAZRAT AAISHAH RADIYALLAHU ANHA APNE ZAMANE KI AURTO KE MUTALLIQ FARMATI HAIN KE RASULULLAH ﷺ IS ZAMANE KI AURTO KO DEKHTE TO UNKO MASJID ME JAANE SE MANAA FARMATE.
LIHAZA AURTO KO JAMAA NA KIYA JAAYE.

(TABARRUKATE MUBARAKAH KO HAMARE GUNEHGAR HAATH NA LAGAAYE JAYEN. SIRF ZIYARAT PAR BAS KIYA JAAYE.)

TABBARUKAT SE BARAKAT HAASIL KARNE KA SAHIH AUR JAIZ TARIQAH YEH HAI KE KHAAS TARIKH TAY KIYE BAGAIR LOGON KO JAMAA KARNE KA EHTIMAM KIYE BAGAIR JAB DIL CHAHE ZIYARAT KARE AUR KARVAYE.

SAHAABA KE ZAMANE ME DASTOOR THA KE KISI NAZAR WAGAIRAH KI TAKLEEF HO JAATI TO UMMUL MUMINEEN HAZRAT UMME SALMAH RADIYALLAHU ANHA KE PAAS PAANI KA PIYALAH BHEJ DIYA JAATA. AAP KE PAAS BAAL MUBARAK THE.UNKO CHANDI KI NALKI ME MAHFOOZ RAKHA THA, PAANI ME US NALKI KO DAAL DETE THE, AUR WOH PAANI MARIZ KO PILAYA JATA THA.

📗QUSTALANI SHARHE BUKHARI J.8/ S.382

HAZRAT ASMAA RADIYALLAHU ANHA KE PAAS HUZUR ﷺ KA KURTA MUBARAK THA, FARMATI HAIN KE HAM USE PAANI ME DHO KAR WOH PAANI APNE BIMARON KO BAGARZ E SHIFA MARIZ KO PILA DIYA KARTE HAIN.

📘SAHIH MUSLIM 2/190

📗 FATAWA RAHEEMIYYAH JADEED BABUL AMBIYAA
JILD 3/SAFA 40 SE 42 KA KHULASA URDU KI AASANI KE SAATH)

HAM AEHLE SUNNAT WAL JAMA’AT TABARRUKAT SE BARAKAT HAASIL HONE KO MANTE HAIN, LEKIN USE SAB KUCCH NA SAMJHE.

NAJAAT TO A’AMAAL SE HOGI BILA AMAL VA ITTIBA E NABI ﷺ SIRF ZAAHIRI MUHABBAT KA DHONG AUR MUHABBAT KE DAWE KAAFI NAHIN.

GAIR MUQALLID (NAAM KE AEHLE HADEES) ASAL WAHAABI TABBARUKAT SE BARKAT HAASIL KARNE KO NAHIN MANTE.

ALLAH HAME SACHCHI AUR KAAMIL MUHABBATO ISHQE RASUL ﷺ NASEEB FARMAYEN, AAMEEN

🌙 ISLAMI TARIKH: 11 RABEEUL AVVAL 1443 HIJRI

و اللہ اعلم

 

HUZOOR SALALAHU ALAYHI WASALLAM KE HUQOOQ

⭕AAJ KA SAWAL NO.2628⭕

HUQOOQ KI ADAYGI BAHUT ZAROORI HAI AUR HAR EK SE TALLUQ KE KUCHH AADAB HOTE HAIN JISKE ADA KARNE SE DUNIYA VA AKHIRAT ME KAMYABI MILTI HAI.

RASOOLULLAH SALALAHU ALAYHI WASALLAM KE KYA HUQOOQ WA AADAB HAIN?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki baargah ke aadab wa huqooq darje zail hain.

1️⃣.Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM par iman lana,

2️⃣.Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki ita`t va pairavi karna,

3️⃣. Sab se ziyadah Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM se muhabbat karna,

4️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke mutalliq sab se afzal hone ka aetiqad karna,

5️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke khaatamun nabiyyeen hone ka aetiqad rakhna,

6️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke mutalliq masoom va begunah hone ka yaqeen karna,

7️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki adnaa (mamooli) mukhalifat se bhi apne aap ko bachana,

8️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki muhabbat me gulu (had se aage badhna Ya’ani Allah ta’ala ke saath makhsoos sifaat ko Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke liye sabit manne) se bachna

9️⃣. Kasrat se Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM par duroodo salaam bhejte rehna,

🔟. Ahle bait aur Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki aalo awlad se muhabbat rakhna,

1️⃣1️⃣. Sahaba Radeeyallahu anhum se muhabbat rakhna.

1️⃣2️⃣. Aap ke laye huwe deen ko failane me apni ziyadah se ziyadah jaano maal lagana

📗SUNANO AADAB SAFA22 SE 24 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

 

TAQDEER KI HAQIQAT

AAJ KA SAWAL No. 2675

Saheeh hadeesh se saabit hai ke insaan ke paida hone se pehle hi uske muqaddar me likh diya jaata hai ki vah jannati hai ya dozakhi ,to phir aisi soorat me usko a’amal ka qusoorvaar kyun qarar diya jata hai, aur usko uske gunaaho ki saza kyun di jaati hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Taqdeer Asal Allah ke ilm kaa naam hai. Ya’ani Allah ne insaan ko iradah va ikhtiyaar ki quvvat dee hai. Vah neki bhi kar sakta hai, aur buraai bhi, aur jo kuchh karna chaahe Allah Ta’ala ki mashee’t – chahat usme rukawat nahi hogi. Lekin insaan karega kya? Aur kis raah ko ikhtiyaar karega? Ye baat Allah ta’ala ke ilm me pehle se hee maujud hai. Aur ilm-e-ilahi ke mutaabiq hee ye baat likhi jaati hai.:

(1) Aisa nahi hai ke Allah ta’ala ne insaan ko uspar majboor kar diya hai, insaan ko iradah va ikhtiyaar ki jo quvvat dee gayi hai, Allah ta’ala ki hidayat aa Jaane ke baawjood us salahiyat ko galat istimaal par insaan ko saza dee jaati hai. Ye aisa hi hai jaise koi ustaaz-teacher apne shaagird- studant ke haal se vaaqif ho, aur vah uske kaamiyab ya naakaam hone ki peshingoyu- bhartiya waani kare, aur uski peshingoyi me mutaabiq hi vah kaamiyab ya nakaam ho, to zaahir hai ki is soorat me us ustaaz us ki naakaami par Zimmedaar nahi qarar diya jaa sakta. Farq ye hai ki insaan ka ilm naaqis-adhura hai, isliye uski peshingohi saheeh bhi ho sakti hai aur galat bhi. Lekin Allah ta’ala ka ilm kaamil aur shurooa kaaynaat-Dunya se akheer tak shaamil hai. Isliye Allah ne jo baat farmai hai, aaindah uske khilaaf baat pesh nahi aa sakti.

📗KITABUL FATAWA 1/287

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

PAISE LEKAR MUSALMAN HONE KA HUKM

AAJ KA SAWAL No.2685 

Kisi non Muslim ko paise ki lalach dekar musalman banaya jaye to allah ke nazdeek woh musalman samjha jayega?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Islam naam hai zaban se allah ke ek hone aur muhammad salallahu alayhe wasallam Ke paigambar-ishdoot hone ka iqrar karna aur dil se bhi use sach jaanna.
paise ki lalach me aakar ya jaan jane ya pitai ke dar ki wajha se sirf zaban se islam qabool kar liya to us ka aetibar nahi. Aesa shakhs musalman nahi hai.
Quran me allah farmate hai, “لَاۤ اِکْرَاہَ فِی الدِّیْنِ”
Deene Islam lane ke liye zabardasti ki koi gunjaish -ijazat
nahi hai.
📗(SURAH E BAQARAH AYAT 256)
Dusri jaga par alallah farmate hai, “یٰۤاَیُّہَا الرَّسُوْلُ لَا یَحْزُنْکَ الَّذِیْنَ یُسَارِعُوْنَ فِی الْکُفْرِ مِنَ الَّذِیْنَ قَالُوْۤا اٰمَنَّا بِاَفْوَاہِہِمْ وَ لَمْ تُؤْمِنْ قُلُوْبُہُمْ
woh log jo zaban se iman late hai aur dil se yaqeen nahi karte un ka aur yahoodiyon ka kufr ki taraf lotna aap ko gam me na dale (kyun ke woh musalman hee nahi.)
📗SURAH MAAIDAH AYAT 41
iman ka talluq dil se hai dil ki razamandi hai ya nahi is ka upar se pata nahi chalta lihaza koi paisa lekar ya dar se dikhane ke liye namaz wagairah Islam ki cheezin par amal karta ho to bhi allah ke nazdeek aesa shakhs musalmaan nahi gina jayega lihaza Islam qabool Karane me zabardadti mumkin nahi,

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓 ISLAMI TAREEKH :
29 JUMADIYUL UKHRA 1442 HIJRI

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

NAJAAT KE LIYE AKHRI NABI PAR PURA IMAN LANA SHART

AAJ KA SAWAL NO.2688

Jo shakhs Allah ko maane aur Huzur Salallahu Alayhi Wasallam ko aakhri nabi na maane jaise ke yahoodi, nasara (Christian), qadiyani aur ba’az hindu jo allahh ko to mante hai lekin nabi ko nahi mante unki najaat hogi ya nahin?

Kyun ke hadees me aata hai ke jiske dil me raay ke dane ke barabar bhi iman hoga woh jannat me jayega

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Hamesha ki najaat ke liye iman shart hai aur kufr aur shirk ka gunah muaaf nahin hoga Allah taala ne apne ek hone ki aur Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam ke nabi hone ki gawahi khud Allah ne dee hai
شَہِدَ اللّٰہُ اَنَّہٗ لَاۤ اِلٰہَ اِلَّا ہُوَ ۙ
SURAH E ALE IMRAN AYAT 18
Aur aakhri nabi hone ka bhi saaf aelan kiya
مَا کَانَ مُحَمَّدٌ اَبَاۤ اَحَدٍ مِّنْ رِّجَالِکُمْ وَ لٰکِنْ رَّسُوْلَ اللّٰہِ وَ خَاتَمَ النَّبِیّٖنَ ؕ وَ کَانَ اللّٰہُ بِکُلِّ شَیْءٍ عَلِیْمًا
Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) tum me se kisi ke walid nahi lekin woh Allah ke rasool aur aakhri nabi hai.
(SURAH E AHZAB AYAT 40)
to Allah ta’ala ko saheeh taur par maanna usi waqt kahaa jayega jab Allah ki gawahi ko maane jo Huzur Salallahu Alayhi Wasallam ko aakhri nabi nahin maanta ya un par iman nahin laata ya iman lata hai aur rasool sallallahu alaihi wasallam ko aakhri nabi bhi manta hai lekin Mirza gulam ahmad qadyani ko bhi nabi manta hai
woh Allah ki gawahi ko jhuthhlata hai aur inkar karta hai aisa aadmi Allah ko manne wala nahi jannat me jaane ke liye Huzur Salallahu Alayhi Wasallam ko maanna aur aakhri nabi bhi manna aur un ke baad kisi nabi ko na manna aur unke deen ko qubul karna zaruri hai, wohi musalman hai gair muslim ki sirf Allah ko manne ki wajhase bhi najaat nahin hogi.

📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL JILD 1 SAFA 43 SE MAKHOOZ.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.