Islamic History & Life History


MEELAD KI SHURUAAT 1906

Rasmi meelad ka silsila kab aur kahan se shurooa huwa ?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Mahfile meelad chhathi (6th) sadi guzarne ke baad sultaan arbal ke zamaane se shrooa huwa hai, jaisa ke taarikh ibne khalqaan me hai, aur usi waqt se ulama us ki tardeed (mukhalifat) karte aa rahe hai.

FATAWA MAHMOODIYAH 3/87
KITAABUN NAWAAZIL 1/551

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
9 RABEEUL AWWAL1441 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

ilami (baat) msg sikhaana (felana) ibadat se behtar hai

DAJJAL KO KAUN QATL KAREGA AUR ISAA A S KA QAYAM 1827

Sawal: Dajjal ko kon qatl karega?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Hazrat isaa Alayhis salam aasman se dajjal ko qatl karne ke liye utrenge aur use qatl karenge.
hazrat isaa Alayhis salam ke alawah kisi ko us ke qatl karne ki qudrat na hogi

ISLAMI AQAID SAFA 32

fir isaa Alayhis salam 40 (chalis) saal tak quran hadees ke mutabiq insaf ke sath hukoomat karenge.

MUSNADE AHMAD 24468
IBNE ABEE SHAYBAH 15/134 NO. 19420

ZUHOORE MAHDEE KAB? KAHAN? KIS TARAH? SAFA 183

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH:
18 ZEE HIJJAH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

jay hind ya jay bharat bolna kaisa hai? 1597

Muslim studant ko school me hazri dete waqt jay hind ya jay bharat bolna kaisa hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Jay hind aur jay barat ka ma’na hai hind aur bharat ka sar buland ho taraqqi kare.

jay hind ka nara azadi ki jang ke muslim sipehsalar abid hasan safrani ne 1941 me diya tha.

lihaza ise kehne me koi haraj-problem nahi.

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
27 RABIUL AAKHAR 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

DUNIYA SE PEHLE KYA THA? 1615

Jab ye dunya, suraj, chaand, asmaan, zameen nahi the to pehle kya tha ?
Insan kab se hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Pehle is dunya me na insan tha, na farishte, na aasmaan, na zameen tha,
sirf ek Zaat jo hamesha se thi aur hamesha rahegi, Apni tamam sifat ke sath mavjood thi.

fir us be misal Allah ta’ala ne apni chahat aur irade se zameen, aasman aur tamam makhlooqat aur akheer me aadam alayhissalam aur un ki awlad ko paida kiya.

MUEENUL AQAID SAFA 12

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
15 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

HINDUSTAN SE ISLAM AUR MUSALMANO KA TA’ALLUQ 1619

Hindustan se islam aur musalmano ka kya ta’alluq raha hai aur muslaman is sar zameen se kyun muhabbat karte hai ?

Musalman Hindustan ko unke baapdada ka desh kyun kehte hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Hindustan se hame muhabbat honi chahiye aur yeh hamaare baap-dada ki sar zameen hai is ki kai wujuhaat hai.

HINDUSTAN MUSALMANO KE LIYE PARAAYA MULK YA AJNABI ZAMEEN NAHIN HAI, YAHAAN PAYGAMBAR [علیہ السلام ] SE LEKAR  UNKE BAAP DAADA DAFAN HUE HAIN

Puri duniya ke musalmano ka yeh aqeeda [shradhdha] hai ke insaan ki zaat ke paida hone ki ibteda [shuruaat] hazrat Aadam [علیہ السلام ] se huwi hai,

duniya me jitney insaan guzar gaye aur jo haal me [abhi] hai, usme gorey ho ya kale, Hindustani ho ya afriqi, America Europe ke rehne wale, arab ho ya ajam, ye tamaam insaan hazrat aadam [علیہ السلام ] ki aulaad me se hai,

islaam mazhab ka ye aqeeda hai, aur Christian aur yahudi ka bhi yahi aqeeda hai,

musalmaan hazrat aadam [علیہ السلام ] ko unke dada maante hai, isliye unke dada ka jo watan tha wo hee watan muslamano ka aslee watan hai,

hindustaan jaise badey mulk me Allah ta’ala ne apne kisi khaas paygambar ko zarur bheja hoga,

Aaiye, hum aisi kuchh chizon par gour kare jisse ye pataa chalta hai ke Hindustan ki puratan kaal [ibtedai zamane] se chali aa rahi jaaho jalaali kaisi thi.

1. allama ibnne kaseer ne apni tafseer me likha hai ke suddee Rahmatullahi alayhi farmate hai Hz. Aadam [علیہ السلام ] jannat me se Hindustan ki zameen par utre, wahan aap ke sath ‘’hajre aswad’’ aur jannat ke darakht ke kuchh patte the.

un patton ko adam علیہ السلام ne jannat me se nikaale jane ki wajha se afsos karte huwe dabaya to Us me se khushbu paida hui Aur us patte ko hindustan me fela diye usee se khushbu dar darakht paida huwe (ood ki khushbu ki asal yahi hai)

(TAFSEERE IBNE KASEER JILD 1 SAFA 102)

2. hazrat aayesha siddiqa [رضی اللہ تعالٰی عنہا ] unki riwayat me bayan kar ke farmati hai ke:

Hz. Aadam [علیہ السلام ] ‘’Sinhaldeep” yani “Lanka” ke pahaad par utre aur Maa Hawwa [al.] “Jiddah” me utre the, hz. Aadam [علیہ السلام ] bahot lambe arse tak Maa Hawwa [علیہ السلام ] ki talaash karte rahe, “Muzdalifa” jagah par dono ka milaap huwa, uske baad Allah ke hukm se hz. Aadam [al.] ne Khana e kaaba ki taameer ki, aur Hindustan me aakar rehne lage
hz. Aadam [علیہ السلام .] ki aulaaad me hz.Shees [علیہ السلام .] bhi the, aap ki mazaar Mubarak “Ayodhya” Faizabaad me hone ka bataya jata hai,

ek riwayat ye bhi hai ke, hz. Aadam [علیہ السلام .] ne Hindustan se 40 haj paidal kiye the.tareekhee
riwayaton ye niche likhi gayi chizen saabit hoti hai,

1. HINDUSTAN: Allah ke sab se pehle paygambar hz. Aadam [علیہ السلام ] ne jahaan qadam rakha wo zameen hai.

2. hz. Aadam [علیہ السلام ] Nabi the, is liye sab se pehle nubuwwat ka suraj Hindustan me tulu’a huwa.

3. duniya me sab se pehle “Ruhul Quddus” hz. Jibraeel [al.] sab se pehle Hindustan me naazil huwe the.yani sab se pahli wahee-allah taala ka farman hindustan me utra

4. ibne asaakar [rh.] ne hz. sa’ad (رضی اللہ تعالٰی عنہ ) ke hawale se likha hai ke, Allah ta’ala ne hz. Aadam [علیہ السلام] ke liye ‘’Dahnaa’’ ki mitti li thi, research Karne walon ka bayaan hai ke ‘’Dahnaa” Hindustan ka hi koi maqaam hai.
(Taarikhe dimashq 7/437)

5. hz. Ibne abbas [رضی اللہ تعالٰی عنہ] se riwayat hai ke: Allah ta’ala ne aadam ki qayamat tak paida hone wali awlaad se jo “Ahad e Alast”(me tamam insaan ka rab-khuda hun) liya tha, wo bhi Dahnaa maqaam par liya tha.

6.Hazrat Muhammad sallallahju alayhi wasallam ka paak noor hz. Aadam [علیہ السلام ] ke saath Hindustaan me roshan huwa.

7. Tabrani,abu naeem aur ibne asaakir ne hz. Abu huraira [رضی اللہ تعالٰی عنہ ] se riwayat hai ke hz. Aadam [علیہ السلام ] duniya me aa kar AkelePan ki wajah se bahot dukhi aur gamgeen the, Allah ke hukm se hz. Jibraeel [علیہ السلام ] aap ko himmat dene aaye aur azaan padhani shurooa ki, us waqt “Muhammad” ka tazkirah sun kar ghbrahat door ho gai aur sukoon hasil huwa hz. Aadam [علیہ السلام ] ne puchha ke “Muhammad” kon hai..?
Hz. Jibraeel [علیہ السلام] ne kaha ke aap ki aulaad me se aakhri tamam insanon ke nabi hai,
(GULDASTAH E TAFAASIR HISSA 1 SAFA 175)
Is riwayat par se ye saabit huwa ke, duniya me sab se pehle Allah aur rasul صل اللہ علیہ وسلم ka naam Hindustan me buland kiya gaya, is zameen par hz. Aadam [علیہ السلام ] ko “Khatimul anbiya” sallallahu alahi wasallam ki nubuwwat ki khabar di gayi.yani islaam ki dawat aur us ki shurooaat isee sarzameen par hui

8. Tabrani aur dalaaile nubuwwah ki  kitaabon se ye baat pataa chalti hai ke, Hindustan ki zameen ne taamam duniya se pehle jannat ki ne’amaton se faaidah haasil kiya hai, yahin ‘’hazre aswad” utra, yahin jannat ke darakhton ke patte utre aur yahin jannat ke fal naazil huwe.ibne haatim ne riwayat ki hai ke tarah tarah beej bhi jannat se laaye

9. allama bayhaqee aur ibne asaakar ki riwayat me aaya hai ke, Allah ta’ala ne hz. Aadam [علیہ السلام ] ko har cheez ke kaam karne ka tariqah sikhaya tha, ye ta’alim qudrati ilhaam (allah ki taraf se dil me dalkar) di gayi thi, shaikh al roomi rh. Likhte hai ke aisee kaarigari (hunar) ki ta’adaad ek hazaar thi, isi liye hindustaan ki kalaa-hunar ke kaarigiro ko duniya me ‘’Ustaad” (hunar ke maahir) ke naam se pehchana jaata hai.

10. ibne asaakir aur ibne abid dunya ne ali رضی اللہ تعالٰی عنہ se riwayat se likha hai ke, hz. Aadam [علیہ السلام] duniya me utre usse pehle duniya me sone-chaandi ka naamo nishaan bhi nahi tha, Haq Ta’ala ne apni Qudrat se sonaa chaandi ko paida kiya aur Allah ke karam se Hindustan sone chaandi aur qeemtee jawahiraat ka khazana hai,ye tamaam barkaten hz. Aadam [علیہ السلام ] ki duaao ki barkat se hai.

11. jis waqt hz. Aadam [علیہ السلام] jannat me se Hindustan ki zameeen par utaare gaye us waqt aap jannat ke darkhton ke patto se apne badan ko dhaankte the, kuchh dinon ke baad wo patte sukh kar bagair kaam ke aur khatm ho jate the, Allah ta’ala ne hz. Aadam [al.] ko ilhaam-dil me dalne ke zariye kapdaa bunne ka hunar sikhaaya,aur aap ne kapdaa bun kar pehna, is tarah kapdaa bannane ke hunar ki kalaa kaarigari ka sab se pehla markaz Hindustan bana.

12. hz. Ibne abbas رضی اللہ تعالٰی عنہ se riwayat hai ke, hz. Nooh [علیہ السلام ] Hindustan me rahe the, yahin pat “Tannur” tha, jahaan se toofan shuru huwa, is “Tannur” ko hz. Aadam [علیہ السلام ] ne ta’amir kiya tha, yahin par ek pahaad ke upar hz. Nooh [علیہ السلام ] ne apni kashti ta’amir ki thi.

13. Hindustan me hz. Aadam [علیہ السلام] ki vafaat hui thi. aur hz.Aadam [علیہ السلام ] ke janaaza  ki namaz hz. Shish [علیہ السلام ] ne padhayi thi.

14. Dakhsin (south) Hindustan ke purw (east) ke kinare Rameshwar dreep
aur uttar (north) shirilanka ke pashimi (west) kinare mannardreep ko jodnewala pul (bridge) ko adam علیہ السلام ne banaya, aaj bhi ye pul adam pul-ramsetu ke naam se mavjood hai

IS TARAH HINDUSTAN MUSLAMANO KE LIYE KOI PARAYA MULK NAHI HAI, KE PARAAYI ZAMEEN NAHI HAI, YAHIN PAR UNKE PAYGAMBARON SE LEKAR UNKE BAAP DAADA DAFN HUWE HAI.

GULDASTAH E TAFAASIR 1/175,176 SE MAKHOOZ

khabare aaj tak weekly, magrol saurashtra ke 13 February 2009 me se liya gaya.

star publishers bharuch ki Gujarati kitaab “satya satya ane satya” ka tarjuma.
(star publishers wale marhum fazal bhai ki Allah Taalaa baal baal karwat karwat magfirat farmaye)

ISLAMI TAREEKH :
19 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

EID-E-MILAD KI BIDDAT’ KI TAARIKH

iraq ke shahar mosul ka ilaaqa irbil ka badshah,
“malik muzaffar abu sayeed” ne sabse pehle,

“nabi  ki wafaat ke “614 saal baad”,
mutabik 625 hijri me],
‘eid milad ki biddat’ ko aijaad diya.

Is se pehle, zamana is biddat se paak tha.
Malik muzaffar, milad ki mehfil me, jis par

– 100 ghode,
– 5,000 bakriyon ka gosht,
– 10,000 murgiyan,
– 30,000 halwe ke pede
– 1,00,000 pyaaliyan,
ka dastar-khwaan sajaaya aur naachne gaane walon ko bulaya aur
unki ‘mehfil-e-samaa’ munaqid ki gayi,
jisme nachne gane walon ne zohar se le kar agle din fajr tak,
raat bhar naacha, kooda, jhooma aur dhol peeta.
(jiske liye wo mashhoor hain)”

(al-bidaayah wa’l-nihaayah;
vol 13, pg 160.
(ibn katheer)

“ahle-biddat” ne
apni biddat ko ‘zinda rakhnekeliye’
quran ko tak nahi bakhsha.

Jashne eid-milad-un-nabi  ki biddat ko zinda rakhne ki naakam koshish karte hue,

“surah yunus(10):58”

Ke alawa kai aur qurani aayaton ko bhi ba-taur saboot pesh kar, awaam ko gumrah karte hain.

Chand aayatein pesh hain:

# surah al-fath(48):28.

“wohi hai, jisne apne rasool ko hidayat aur deen-e-haqq ataa farma kar bheja
taake isey tamaam adyan par ghalib karde.
Aur allah hi gawaah kaafi hai.”

(surah as-saff(61):6)

“jab eisa (as) ne kaha;
…….aur us rasool ki basharat sunaane wala hun,
jo mere baad tashreef laa rahe hain, jinka naam ahmad hai. phir jab wo waazeh nishaaniyan le kar unke paas tashreef le aaye, to woh kehne lage,
‘yeh to khula jadoo hai’.”

# surah ad-dhuha(93):11.

“apne rabb ki nematon katazkirah karte rahein.”

# surah at-tawba(9):128.

“beshak!
Tumhaare paas, tum me se ek rasool tashreef laaye hain.
Tumhaari takleef aur mashaqqat me padna,
un par sakht guzarta hai.
Woh tumhare liye bade taalib aur aarzoo-mand rehte hain.
Momino ke liye nihayat shafeeq, be-hadd rehem farmane wale hain.”

# surah aal-e-imran(3):164.

“allah ka ehsaan, ke usne musalmaano ke liye unhi me se ek rasool bheja.”

# surah al-anbiya(21):107.

“aur hum(allah) ne aap [nabi ]ko,
tamaam jahaanon ke liye rehmat bana kar bheja.”

In qur’ani aayaton me se, kisi ek aayat me bhi,
pyare nabi(saw) ke “yaum-e-paidaaish” ka zikr nahin hai.

Jab zikr hi nahin hai, phir to ’jashn manaane’ ki baat jahaalat hai.

Quran aur allah ke deen ko,
‘apne aur apne bade/buzurg/maulviyon ke zehnon’ se samajhne ka nateeja hai ke, jhooti daleelein pesh karke, ‘allah, rasool 
 aur sahaba (ra) par
bohtan bandhna aur fir
siraat-e-mustaqeem se bhatak jaana hai.

“agar who (log) waise imaan laayein,
jaisa sahaba (ra) ne imaan laaya
to fir waaqi’i hidayat paajayenge.”

(baqara(2):137)

“aur us se badh kar zaalim kaunhoga,
jo allah par jhoota bohtaan baandhe”

(anaam(6):93)

Nabi  ne farmaya:
jo shakhs meri taraf aisi baat mansoob kare,
jise maine nahin kaha hai,
woh apna thikana jahannum me bana le.

(bukhari 109.)

ALLAH AUR RASOOL ﷺ NE KYA HAME NAHI BATAYA K KAUN KAUN SI EID HAIN ISLAM ME? KYA HAME LAGTA HAI K HAMARE PYARE NABI NE HUM SE KOI NEKI KA KAAM CHUPAYA HAI?

ALLAH AUR RASOOL  NE KYA HAME NAHI BATAYA K KAUN KAUN SI EID HAIN ISLAM ME? KYA HAME LAGTA HAI K HAMARE PYARE NABI NE HUM SE KOI NEKI KA KAAM CHUPAYA HAI?

Nauz billah aisa sochna bhi gunha hai,

Kya ham apne app ko Allah aur rasool  Se bada mante hai, jo dil ne chaha wo karenge…??

Kisi bhi sahi ahadees se eid milad un nabi saabit nahi hai. ye teesri eid bidat hai aur bidat seedhi jahannum lejati hai.

Milaad manana jaiz nahin hai kiun k hamre sahaba main se kisi ne nahin manaya.

Note:

12 rabi-ul-awwal ka din nabi  ki zindagi main 63 bar aya..
Aur khulafa-e-rashideen mai se

abu bakar(r.a)ki khilafat main 2 bar..
Umar(r.a)ki khilafat main 10 bar..
Usman(r.a)ki khilafat main 12 bar
aur ali(r.a) ki khilafat main 4 bar aya,

kya in me se kisi ne bhi eid-milad-un-nabi manaya? Kya sahaba, tabaen or aima-arba main se kisi aik ne bhi ye din manaya? Nahi na? To jan len ke ye teesri eid biddat hai aur “har biddat gumrahi hai jis ka anjam jahannum ki aag hay”.
Jo jo kehta hai kh eid-milad-un-nabi manana jaiz hai to un logo se guzarish hai ke woh is baat ko quran-o-hadees ki roshni mai saabit karde.

Huzur mohammad ﷺ se sab se ziyada mohbbat honi chahiye, har musalmaan ko honi chahiye, is mein koi shak nahi hona chahiye, or kasrat se darood-o-salam parhna chahiye, magar kia yeh mohabat ka tareeka sahi hein ke

road blocks kar ke, loud speakers par music ke saath naate parhi jaye

ya shirkiya kalmat gaaye jai? Dance kiya jai?,

road par jaloos nikaltay hein or zubaan par ek doosray se hasi mazaak galiya sub tarha ki batay?

Aisa to nahi hona chahiye, aisa din guzarnay se behtar hein ke is tarha khushi na manayee jaye, apnay apnay gharon mein baith kar kasrat se darood parha jaye, jaloos nikalna, hospital ke aur  tamam raston ko block kar dena, ke koi hospital na pohonch sakay, or mareez raastay hi mein dum tor dey, logon ko apne apne rozana ke kaamom me taklif ho, yeh hamaray nabi  ki taleemat nahi hein,

nabi  ki sunnat par amal kar ke hi un ko razee kar saktay hein, woh hum kartay nahi aur na karnay ko kehtay hein,

haan jaloos bara hona chahiye, speaker zordar honay chahiye, lighting roshni chamakdar honi chahiye, wagerah wagerah. Ai

si khushi manana kis kaam ki?

Note: durud padhne k liye bhi koi khas din mukarrar na ki jaye siwae agar wo saabit ho balki jitna zyada ho sake padha jaye, agar mumkin ho to roz padha jaye, zyada se zyada tadad me padha jaye.

Khushi to uske liye hai jo Allah aur uske pyare nabi  ki ita’at kare aap se sahi muhabbat kare . Aap ka paiygam pure aalam mein pohchae.

Aap  se mohabbat ka taqaza yeh hai k unki taleemaat ko follow kia jae…sahih adadith me kahi milad manane ka hukum nahi dia gaya … zaeef ahadith kabhi bhi proof nhi ho sktein ..zaeef ahadees ko proof banaty hue allah se darie ….

Allah swt hume nabi s.a.w ki sunnato per chalne ki aur bidat jaisi gumrahi se bachne ki tofeeq ata farmaye. Ameeeen.

EID-E-MILAD TAREEKH K AINE ME

EID-E-MILAD
TAREEKH K AINE ME

Rasool Allah  Ne Farmaya: Jis Ne Humare Is Deen Mein Koi Nai Cheez Ijzat Ki Jo Deen Mein Nahi “Woh Mardood Hai”(Muslim)

1- MiladunNabi ka Agaaz 604 hijri me Mulk-e-Arbal k Governer Malik Muzaffer ne kya.
Malik Muzafer ka sath dene wala us wakt ka Alim Ibne Dahya tha. .
(TARIKH IBNE KHALQAAN:274/3)

2- Hafiz Ibne Kaseer frmate he: MiladunNabi ka Agaaz chhahti (6th) sadi hijri me huwa.
Is ko Ijaad Shia Rafziyo ne kya.
(AL-BIDAYA:256/ –­ ­13)

3- Hafiz Ibne Hajar frmate he:
Ibne Dahya dunya parast molvi tha, Aima or Ulma-e-Salaf ki shan me Gustakhi kerta, or jhuta shaks tha.
Or frmate he:
“Ye Bidat Khairul Quroon k Zamane me nehi thi… Ab jiska dil chahe wo khairul Quroon ki Ittiba kere ya Shia Rafziyo ki Bidat par amal kare.
(LISANUL MIZAAN:295 ,296/2)

12 WAFAT KO AB EID MILAD UN NABI BANA DIYA
aj se taqriban 30 ya 40 sal pehle 12 Rabi ul awal ko wafat kaha jata tha kyo ke us din wo zaat is duniya se wafat pai thi jis ka koi saani nahii hai or na kabhi ho sakta hai,
wo azeem shaksiyat mohammad 
 hai jo ke aman ka paikar the.
12 rabi ul awal ko nabi s.a.w ne wafat payi thi,
12 rabi ul awal ko ye alam tha sahaba r.a ka ke har shaks gham me dukh me dooba hoa tha.
Magar bare afsos ki bat hai ke aaj jab 12 rabi ul awal aata hai to logo ke chehro pe khushi ajati hai, julos nikale jate hen, lighting ki jati hain, or har tarha ki khurafaat ki jati hain.
Ye zalim nabi s.a.w ki wafat ke din khushiyan manate hen eid miladunnabi manate hen,
inhe Allah se darna chahiye ke is harkat par kahin un par Allah ka azab na aa jay.
Eid milad un nabi manana biddat hai,
tamam log is se khud bhi bachen or dosron ko bhi bachayen.

12 rabi awal ki asliyat

“Piyare Nabi  ka Ism-e-Mubarak ‘Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abdul Munaf’ tha. Aap  ki Wiladat Ba-Sa’adat Sha’ab Bani Hashim, Makka Mukarrama, Mosam-e-Bahar me 9 Rabi-ul-Awwal Ba-Mutabiq 22, April 571, Waqiyah Aam Al-Feel k 55 din bad Peer k din Subah Sadiq k waqt hui”
[Tarikh-e-Khizr i:1/ 62, Al-Rahiq-ul-Makhtum: 83, Rehmat-ul-lil-A ‘alameen:40]

Pyare Nabi Hazrat Muhammad  Sahi Rawayaat k mutabiq 9 Rabi-ul-Awwal ko is Dunia me Tashreef laye aur Paigham-e-Haq pohnchate huwe 63 Sal ki Umar me 12 Rabi-ul-Awwal ko Apne Khaliq-e-Haqiqi se ja mile,

Lekin kuch Gustakh-e-Rasul ne 12 Rabi-ul-Awwal ko Eid ka din qarar de diya he. Is din Wo Dhol bajate hai, Saaz-o-Awaz ki Mehfilen sajate hn ar Shirkiya Na’aten parh kar Mubalgha Aarai karte hai.

Sahi Rawayaat k Mutabiq Nabi S.A.W 9 Rabi-ul-Awwal ko peda hue ar 12 Rabi-ul-Awwal ko Wafat payi

Ar agr Bil-Farz ye Tasleem bhi kar liya jaye ke Ap 12 Rabi-ul-Awwal ko hi peda hue the aur isi din Wafat payi Tab bhi ….

ye Dastoor he ke Gham har Khushi par Ghalib aata he, Agar in me se kisi ka Baap Usi din Fot hota he Jis din Wo peda hua tha To sari Zindagi Us din Uski Barsi manai jati he, Zara Us k marne par Dhol baja kar aur Naye kapde pehen kar to dikhaen?