KALI CHAUDAS KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.2643⭕

Kya kali chaudas ki raat bahut bhari hoti hai?

Isme aatma bhatakti hai aur jaadu hota hai is raat me baahar nahi nikkallna chahiye?

Ek maulana ne bataya ke Hadees se bhi is ki taeed hoti hai jisme hai ke saal me ek raat aisi aati hai jis me aasman wabaa utarti hai lihaza is raat me padhne ke kuchh wazeefe bhi bataye the to kya yah baaten saheeh hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Islam me koi raat ya deen bhari ya manhoos nahi hota lihaz yah aqeeda galat aur hindu qaum ka aqeeda aur waham hai,

Shareeat me aisa aqeeda rakhne ki ijazat nahi rahi baat us hadees ki jisme hai ke saal me ek raat aati hai jaise me bimariyan nazil hoti hain, jo bartan dhhanke huwe hote hain aur jin mashkizon (paani ke ghrhon) ka munh bandh hota hai usme nahi utarti (MUSNADE AHMAD)

Is raat se murad konsi raat hai wo tay nahi hai lihaza apni taraf se kali chaudas ko tay kar dena saheeh nahi,

Lihaza bala nazil hone ka imkan har raat me hai isliye bartan dhankne ka hukm har raat me hai,

Is hadees me waba se bachne ka ilaj bartan dhankna bata diya hai lihaza uske ilaj ke taur par apni taraf se wazeefe batana bhi saheeh nahi jo cheez aql ke khilaf hasees se sabit ho us par apni aql laga kar dusri cheez ko sabit nahi kar sakte,

Lihaza is raat me koi khas wazeefa, surat padhna bhi saheeh nahi jo wazaif dua hadees se sabit hai woh is raat me balke har raat me padhne chahiye.

📗MAHMOODUL FATAWA JILD SAFA SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab

🕌Ustad e Darul Ul oom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *