KIN JANWARON KI QURBANI NA JAIZ
⭕AAJ KA SAWAL NO.2884⭕
Janwaron ke woh uyoob (khamiyan) kya kya hain jin se qurbani jaiz nahi hoti..??
♻JAWAB ♻
★ Qurbani ke janwaron ke uyoob pesh kiye jate hain jin ki Qurbani jaiz nahi.
1⃣. Jis ka ek seeng jad se ukhad gaya ho.
2⃣. Andhaa ho.
3⃣. Itna Kaanaa ho ke uska kaanaa pan saaf ma’alum hota ho.
4⃣. Itna langda ho ke khud chal kar Qurban Gaah tak na jaa sake.
5⃣. Itna beemaar ho ke uski beemari saaf taur par zaahir ho.
6⃣. Jiska kaan, Aankh, Punchh wagerah a’aza 1/3 (teesre hisse 33%) se ziyadah cut gaya ho.
7⃣. Paidaishi Daant na ho, ya aksar daant gir gaye hon ke ghaans-chaara na khaa sakta ho.
8⃣. Aisa paagal ho ke ghaans-chaara na kha sakta ho.
9⃣. Khujli wala janwar jo bahot dubla aur kamzor ho gaya ho.
🔟. Jiska Aanchal sukh gaya ho ya cut gaya ho ya 1/3 se ziyadah cut gaya ho.
1⃣1⃣. Bakri, Ghenti-dumbi ke 1 Aanchal ka siraa na ho, chahe cut gaya ho ya kisi aur wajah se na ho.
1⃣2⃣. Jis bhens,oontni ke Aanchal ki 2 sirey khatm ho gayi ho.
1⃣3⃣. Aisa janwar jiska khaana Na-Paaki aur Gandki ho.
1⃣4⃣. Jis gaay ya bhens ki zuban puri ya 1/3- 33% se zyadah cut gayi ho.
1⃣5⃣. Itna kamzor ya dubla janwar jiski haddi ka gooda baaqi na raha ho.
1⃣6⃣. Khunsa (hijdaa) jis me Nar aur Maada dono ki sharmgah ho.
📗Masaile qurbani m.rafat qasmi
📘Khulasatul fatawa 4/320
📕fatawa raheemiyah 3/383
✏ Mufti IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM, RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.