Muharram


MUHARRAM ME SHADI KARNA | 1484

‘Muharram Me Shadi Karna’ Rukhsati Kar Ke Walima Karna, Bachhe Ki Khatna Karvana, Khushi Ka Koi Kaam Karna Jaiz Hai?

Jawab:   حامدا و مصلیا و مسلما

“Muharram Me Shadi Karna” Jaiz Hai, Shariat Me Uski Mumaniat Ki Koi Dalil Nahin, Baaki Waqia E Shahadat Ka Gam Woh Aisi Chiz Hai, Jo Isee Din Huva, Jisko Is Waqie Ka Gam Ho Woh Hamesha Gam Rakhta Hai, Aur Shariat Me Kisi Ke Intiqal Par 3 Din Se Zaaid Sog Manana Jaiz Nahin Rakha Gaya, Sirf Bivi Apne Shohar Ke Intiqal Par 4 Mahine 10 Din Iddat Me Sog Mana Sakti Hai.

Lihaza “Muharram Me Shadi Karna” Aur Walima Wagairah Is Din Me Aur Tamaam Ashra E Muharram Me Bila Shuba Jaiz Hai.

Imdadul Muftiyyin Jild:1 S:96

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti

Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

10 muharram ko Kala Libas pahenna | 1483

‘10 Muharram Ko Kala Libas Pahenna’ Kaisa Hai?

Khusoosan Muharram Me Ba’az Log Is Ko Aehtamam Se Pahente Hain Is Ka Kya Hukm Hai.?

Jawab:  حامد و مصلیا و مسلما

“10 Muharram Ko Kala Libas Pahenna”:

Kala Libas Pahenna Huzoor صل اللہ علیہ وسلم Se Aur Sahaba رضی اللہ عنہم Se Saabit Hai, Isliye Siyah Libas Pahenna  Ba’az Fuqhaa Ne Mustahab Qarar Diya Hai.

FATAWA HINDIYYAH 5/330

“10 Muharram Ko Kala Libas Pahenna”:

Lekin Khaas Taur Se Is Zamane Me Shiyon Ka Shiaar (Khaas Mazhabi Nishani) Hone Ki Wajah Se Muharram Ke Mahine Me Aur Jahaan Shiyon Ka Galbah Aur Zor Ho Wahaan Us Se Hamesha Bachna Zaruri Hai.

KITABUL FATAWA 6/92

AHSANUL FATAWA 8/63 SE MAKHOOZ

Mufti Imran Ismail Memon

Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India

MUHARRAM ME KHICHDA | 1487

Kya Farmate Hain Ulama E Kiraam Is Baare Me Ke ‘Muharram Me Khichada’ Hi Pakaya Jaaye?

Khichde Ke Saboot Ke Taur Per Bayaan Kiya Jaata Hai Ke Nooh علیہ السلام Ki Kashti Aashoorah Ke Din Judi Pahad Par Thehri To Unhone Bataure Shukranah Khichda Pakaya Tha Isliye Ham Bhi Pakate Hain.

Is Riwayat Ka Kya Hukm Hai?

Bareli Aur Deobandi Ke Maane Huve Hawale Se Jawab Dene Ki Guzarish.

Jawab:   حامد و مصلیا و مسلما

Hazrat Nooh علیہ السلام Ki Kashti Ne Toofan Se Najaat Paayi, Aur Judi Pahaad Par Thehri, Nooh علیہ السلام Ne Bataure Shukranah Kashti Me Maujud 7 Qism Ke Gallo (Anaaj) Ka Huboob (Khichada) Banaya. Is Riwayat Ko Bhi Dewbandi Wa Barelvi Ulamaa Ke Sartaaj Hazrat Maulana Shah Abdul Haq Muhadise Dehlvi Rahmatullahi Alayhi Ne Mawzua (Banavati) Qaraar Diya Hai.

Maa Sabat Bis Sunnah 16/6

Mawzua (Banavati) Hadees Ki Misaal Dete Huve Farmate Hain Ke “Ka Fais Salati, Wal Iktihaali, Wa Tabkhil Huboob, Zaalika Qullu Mawzuoon Wa Mafturaa”

Jaise Namaaz Ki Fazilat, Surmaa Dalne Ki Aur “Muharram Me Khichda” Pakane Ki Aur Iske Alawa Tamaam Fazilat Mawzuaa Aur Iftraa (Bohtaan) Hai.

Barelvi Aur Ulama E Deoband Ki Maani Huyi Kitaab {Maa Sabat Bis Sunnah Safa 17}

Lihaza “Muharram Me Khichda” Hee Pakana Zaruri Nahi.

Ahlo Ayaal Ko Jo Pasand Ho Woh Hee Pakana Chahiye. Us Din Ahlo Ayaal Par Wus’at (Kuchh Ziyadah) Kharch Karne Ki Fazeelat Muft Me Taqsim Hone Wale Khichde Ki Wajah Se Ba’azon Ki Chhut Jati Hai.

Mufti Imran Ismail Memon

Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India

KAALA LIBAAS

⭕AAJ KA SAWAL NO.2560⭕

Kaala libaas pahenna kaisa hai?
Khusoosan muharram me ba’az log is ko aehtamam se pahente hain iska kya hukm hai.?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Kaala libaas pahenna Huzoor صل اللہ علیہ وسلم se aur sahaba رضی اللہ عنہم se saabit hai isliye siyah libas pahenna ba’az fuqhaa ne mustahab qarar diya hai

📕FATAWA HINDIYYAH 5/330

Lekin khaas taur se is zamane me shiyon ka shiaar (khaas mazhabi nishani) hone ki wajah se muharram ke mahine me aur jahaan shiyon ka galbah aur zor ho wahaan us se hamesha bachna zaruri hai.

📕KITABUL FATAWA 6/92

📗AHSANUL FATAWA 8/63 SE MAKHOOZ

ASHOORAH KI CHHUTTI (HOLIDAY) KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.2565⭕

Ashoorah ko madrasah aur karobar bandh rakhna chahiye ya chalu?

🔵Jawab🔵

Ashoorah ke din madrasah aur karobar bandh rakhne me kai kharabiyan hai.

1. Shiyon ki mushabahat

2. Shiyon ki rasmo riwaj ki taqwiyat wa tayeed

3. Us din shiya hazraat apne mazhab ke liye be panaah mashaqqat aur sakht mehnat ka muzahirah-zahir karte hai, uske barkhilaf ahle sunnat chhutti rakhenge to be himmat kamzori aur aaram ka muzahirah-izhar hoga.

4. Us din bekar aur farig hone ki wajah se taziye ke juloos ya maatam wa marsiya ki majlis me shareek ho kar kai gunahon me mubtala ho jayenge.

📗AHSANUL FATAWA 1/395
و الله اعلم بالصواب

MOHARRAM KA KHICHDA HI PAKANE,USME CHANDA DENE AUR USKE KHANE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2568⭕

A
Kya farmate hain ulama e kiraam is baare me ke muharram me khichada hi pakaya jaaye?
khichde ke saboot ke taur par bayaan kiya jaata hai ke Hazrat Nooh علیہ السلام ki kashti aashoorah ke din judi pahad par thehri to unhone bataure shukranah khichda pakaya tha isliye ham bhi pakate hain.
Is riwayat ka kya hukm hai?
Barelvi aur deoband ke maane huve hawale se jawab dene ki guzarish.

B.
Aashoorah ke din khichda pakane walon ko chanda dena aur chanda wasool karna kaisa hai ?

C.
Khichda ham na pakaye aur kahin se aa jaae to le sakte hain ya nahin ?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

A.
Hazrat Nooh علیہ السلام Ki kashti ne toofan se najaat paayi aur judi pahaad par thehri, Hazrat Nooh علیہ السلام ne bataure shukranah kashti me maujud 7 qism ke gallo (anaaj) ka huboob (khichada) banaya. is riwayat ko bhi devbandi wa barelvi ulamaa ke sartaaj hazrat maulana shah Abdul Haq muhadise dehlvi rahmatullahi alayhi ne mawzua (banavati) qaraar diya hai.

📚Maa Sabat bis sunnah 16/6

mawzua (banavati) hadees ki misaal dete huve farmate hain ke “ka fais salati, wal iktihaali, wa tabkhil huboob, zaalika qullu mawzuoon wa mafturaa”

Jaise namaz ki fazilat, surmaa dalne ki aur khichda pakane ki aur iske alawa tamaam fazilat mawzua aur iftraa (bohtaan) hai,

📚Barelvi aur ulama e deoband ki maani huyi kitaab maa sabat bis sunnah
Safa 17.
Lihaza khichda hi pakana zaruri nahi.
.
Ahlo ayaal ko pasand ho wohi pakana chahiye. usdin ahlo ayaal par wus’at (kuchh ziyadah) kharch karne ki fazeelat muft me taqsim hone wale khichde ki wajah se ba’azon ki chhut jati hai.

B.
Lihaza isko sawab samajh kar banana bid’at aur na-jaiz hai. is me jaani ya maali hissah lena bhi durust nahin, mashhoor kitab ‘al bidayah wa nihayah’ tareekh (itihas, history) ki paaye ki aham purani kitab hai, jise barelvi ulamaa bhi mante hain, usme saaf likha hai ke khichda pakana, us din khushi manana kharjiyon (ahle bait-khandane Nabi Salallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ke dushmano) ka shiaar (khas tareeqah) hai

📕 Al bidayah wan nihayah 8/203

C.
Agar ghar par koi khichda bheje to use lena bhi na chahiye, taake bidat aur rasm par tambeeh ho sake, aur pakane walon ki islah ho.

📗Kifayatul mufti 1/226

📕Bahishti zewar 6/61

📘Deenee masail aur un ka hal safa 85,86 se makhooz.

ASHOORAH KI WOH BAATEN JIN KE FAZAIL GALAT HAIN

⭕Aaj ka sawal number 2567⭕

Woh konse a’maal hain Jo Aashurah ke din ya’ani 10 muharram ko sunnat se saabit NAHIN hai ?

🔵Jawab🔵

❌ 1) Gusl karna ya’ani khaas aashurah ke din ki niyyat se

❌ 2) Kapde badalna

❌ 3) Khushboo lagaana

❌ 4) Surma lagaana

❌ 5) Makhsoos namaz Ada karna

❌ 6) Marsia khwani karna

❌ 7) Masjid me jamaa ho kar nawafil padhna

❌ 8) Maatam karna

❌ 9) Qabro par mitti dalna

❌ 10) Ta’ziya banana

❌ 11) Nange sar rahna

❌ 12) Nange pair rahna

❌ 13) Kaala kapda pahanna

❌ 14) sar par khaak daalna

❌ 15) sar ko peetna

❌ 16) bachchon ko qaidi faqeer banaana

❌ 17) Sharbat banaana

❌ 18) Sharbat pilana

❌ 19) Makhsoos qism ka khana banana

❌ 20) Sirf muharram hi me sabeel lagana;

📗 MAA SABAT BIS SUNNAH ME BARELVI AUR DEVBSNDI ULAMA KE MUATAMAD SHAH ABDUL HAQ MUHADDISE DAHELVI R.A. IN CHEEZON FAZAIL KI TAMAM RIWAYAT KO MAVZOOA-BANAWATI QARAR DIYA HAI

📚Fatawa Mahmoodia 3/274 aur uske aas paas se makhooz

و الله اعلم بالصواب

ASHOORAH ME ACHCHHA KHANA AUR ROZA RAKHNE ME TAKRAO

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1490⭕

Ashoorah ke din apne ahlo ayal par dastarkhan kushada karna chahiye ye riwayat muatabar hai? kyun ke ek taraf to achchha khilane ki targeeb hai aur dusri taraf saheeh riwayat se us din roza rakhna sabit hai to roze me achchha khana kaise khilayenge?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
is riwayat ke alfaz ye hai.
من وسع. یوم عاشورہ فی نفقتہ علی عیالہ وسع اللہ سائر سنتہ”
Jis me ashoora ke din apne ayal (bivi bachcho par kharch me wusat- kuchh zayada kharch kiya allah pure saal us par wusat karega)
Is riwayat me kahin bhi dastarHan ka ya khana khilane ka khas zikr nahi hai balke nafqa yani mutlaq kharch ka zikr hai nafqa me Bivi bachchon ko naqad paise dena, khane, pine, kapde, dawai wagairah zaroori tamam chezen dakhil hai aur iftari ke liye jitni bhi cheez khareedenge us ka kharch to din hi me ho jayega aur ashoora magrib baad hi shurooa ho jata hai to raat ko ya sahri achchha khana bhi khilaya jaye to bhi roze ke sath koi takrau na raha lihaza jab roza rakhne aur wusat karne me tatbeeq-jod mumkin hai isliye takrao ko daleel banakarriwayat ko mvzooa-manghadat kehna saheeh nahi.
Hafiz ibne hajar aur allamah siyooti Rahmatullahi alayhima ne is riwayat sabit aur saheeh qarar diya hai.
Hazrat jabir Radeeyallahu anhu aur sufyan ibne auyayna wagairah buzrogon is din kharch karne se pure saal ki wusat ka salo sal tajraba kiya hai.

Allama saawi maliki ne apne hashye sharhus sageer me charon mazhab ke imamon ka is dn ahlo ayal par kharch karne ko mustahab hone naqal kiya hai.

و الله اعلم بالصواب

9 10 Muharram Ki Fazilat | Viral Banawati Fazilat |1478

Sawal:

9 10 Muharram Ki Fazilat‘ Ke Bare Me Wahatsapp Par Ek Riwayat Viral Huyi Hai, Ke Jisne Muharram Ki Navmi, Daswi Ko Rozah Rakha Use 1000 Hajj, 1000 Umrah Aur 1000 Shahidon Ka Sawab Milega Aur Uske Ek Saal Ke Gunah Muaf Honge Aur Do Saal Ki Ibadat Ka Sawab Milega Aur Jo Ye Dusre Ko Bhejega Use 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Milega.

Kya “9 10 Muharram Ki Fazilat” Wali Yeh Riwayat Sahih Hai?

Jawab:  حامدا و مصلیا و مسلما

9 10 Muharram Ki Fazilat“: Itni Badi Fazeelat To Ramzan Ke Farz Rozah Ki Bhi Warid Nahi Huyi Hai, Haalan Ke Farz Ka Sawab Nafl Se Bahut Hi Ziyadah Hota Hai.

Aur Dusron Ko Sirf Bhejne Me 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Mil Jayega, Aisa Bhejne Aur Batane Ka Sawab Bhi Kisi Bhi Ibadat Ke Baare Me Muatabar Riwayat Me Warid Nahin Huva Hai.

Aur “9 10 Muharram Ki Fazilat” Ke Silsile Me Yeh Riwayat Kisi Bhi Sahih Ya Zaeef Ahaadees Ki Kitabon Me Mavjood Nahin.

Lihaza Yeh Riwayat Mavzooa (Banawati) Hai Ise Aage Bhejne, Or Dusron Ko Is Ki Yeh Fazeelat Batana Bhi Jaiz Nahin. Aisa Aadmi Sakht Gunehgar Hai.

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti

Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

PEHLI MUHARRAM KO 113 BAAR BISMILLAH LIKHNA

⭕AAJ KA SAWAL⭕

Kya ye baat saheeh hai ke jo shakhs pehli muharram ko 113 baar puri bismillaahir rahmaanir raheem likh kar apne paas rakhega woh pura saal aafat bala aur museebat se mahfooz rahega?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما

Han Mufti e aazam hazrat mufti muhammaf shafeea Rahmatullahi alayhi ne jawahirul fiqah j 2, safa 187 par ye baat likhi hai aesee cheezen buzrogon ke tajrabaat me se hoti hai is ko sunnat aur zaroori samjhe bagair karna chaho to kar sakte hai mana nahi.

📥ON LINE FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND NO. 144001200021

و الله اعلم بالصواب

MUHARRAM KE ROZON KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2558⭕

Muharram ke mahine ke roze ki kya fazeelat hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Hazrat Abuhurairah radiyallahu anhu se riwayat hai ke Rasoolallah Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ne farmaya: Ramadan ke baad sab se afzal roze Allah ke mahine muharram ke roze hain aur farz namaz ke baad sab se afzal namaz raat ki namaz (Tahajjud) hai.

📗SAHEEH MUSLIM HADEES NO.2755

Yah fazeelat poore mahine me kabhi bhi aur jitne chahe utne roze rakhne se hasil ho jayegi Insha’Allah is se muraad aashoorah (10 muharram) ka roza nahi hai, uski fazeelat Mushtaqil alag hai.

حَدَّثَنِي قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ ، حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ ، عَنْ أَبِي بِشْرٍ ، عَنْ حُمَيْدِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْحِمْيَرِيِّ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : ” أَفْضَلُ الصِّيَامِ بَعْدَ رَمَضَانَ ؛ شَهْرُ اللَّهِ الْمُحَرَّمُ، وَأَفْضَلُ الصَّلَاةِ بَعْدَ الْفَرِيضَةِ ؛ صَلَاةُ اللَّيْلِ “.‌(الصحیح لمسلم كِتَابٌ : الصِّيَامُ. | بَابٌ : فَضْلُ صَوْمِ الْمُحَرَّمِ. )

و الله اعلم بالصواب

MUHARRAM KE MAHINE ME KYA KARE KYA NAHIN

⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 2563

MUHARRAM KE MAHINE ME KYA KARNA CHAHIYE KYA NAHIN?

MASHHOOR BID’ATEN KYA KYA HAIN?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

 Muharram ke Mahine ko Maatam aur Sog ka Mahina Qarar dena Jaiz nahin, Haraam hai, aur Muharram ke mahine me Shaadi wagairah ko Na-Mubarak aur Na-Jaiz samajhna sakht Gunah aur Ahl-e-Sunnat Wal jama’at ke Aqeede ke khilaf hai,

Islam ne jin chizon ko halaal aur Jaiz qarar diya ho, aeteqadan ya amalan unko Na-Jaiz aur Haraam samajhne me Iman ka Khatrah hai.

📔 Fatawa Raheemiyah 3/191.

🔟 Muharram ko Zikr e Shahadat ka bayaan karna agarche sahih riwayaton se ho, ya Sabeel lagaa kar sharbat pilana ya Chanda Sabeel sharbat me dena, ya doodh pilana yah sab sahih nahin hai aur Rawafiz (Shiyaon) se mushabahat (Similarities) ki wajah se Haraam hai.

📔 Fatawa Rasheediya
139

🕌 Taziya saazi ka na-jaiz hona aur uska Khilaafe Deen o Imaan hona Azhar minash shams hai,(suraj ki tarah khuli huyi baat hai) Qur’an e majeed me hai

اتعبدون ما تنحتون
Kya tum aisi chizon ki ibadat karte ho jisko tumne tarasha aur banaya hai❓

Zaahir hai ke Taziya insaan apne haath se taraash kar banata hai aur fir Mannat maani jaati hai aur usse muraaden maangi jaati hain, uske saamne aulaad o sehat ki duaen ki jaati hain, Sajadah kiya jaata hai, uski ziyarat ko Hazrat Hussain razi Allahu anhu ki ziyarat samjha jaata hai,
Kya yah sab baaten Imaan ki Rooh aur Islam ki taleem ke khilaf nahinyah sab baaten Bid’at aur Na-Jaiz hain.

📔 Fatawa Raheemiya 2/275,
Fatawa Rasheediya 576.

 Aashoorah ke din ke Mutalliq shariat ne khaas  Chizen batlayi hain:

 Rozah rakhna,

 Ahlo Ayaa (ghar walo) par khaane peene me wus’at karna.

Hadees Shareef me hai ke Jisne Yaum e aashoorah ke din apne baal bachon par khaane me wus’at (kushadgi) ki to Allah Ta’ala poore saal Rozi me izafa karenge, iske alawah us din ke liye aur koi Hukm nahin hai.

📔 Fatawa Raheemiya 2/380.

 Masail e Shirk o bid’at

و الله اعلم بالصواب

ASHOORAH KE ROZE ME QAZAA KI NIYYAT KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.2564⭕

Ashoorah ke rozah me ramazan ke qazaa rozon ki niyyat kare to Qazaa aur Ashoorah ka rozah dono adaa ho jayenge?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Qazaa rozah ki asal niyyat kare aur saath me Ashoorah ki bhi niyyat kare to qazaa rozah adaa hone ke saath Ashoorah ka sawab nahi milega.

📕fatawa darul uloom qadeem 3/40

📘AHSANUL FATAWA 4/341

AASHORAH KE ROZAH KI FAZILAT, WAQT, EK ROZAH RAKHNE AUR BAGAIR SAHRI KE ROZAH KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.2566

1. AASHORAH KE ROZAH KI KYA FAZILAT HAI?

2. ROZAH KON SE DIN RAKHNA HAI?

3. EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN?

4. BAGEIR SAHRI KA ROZAH RAKH SAKTE HAIN?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1. AASHORAH KA ROZAH RAKHNE SE GUZISHTAH EK SAAL KE SAGEERAH GUNAH MUAAF HO JATE HAIN.

2. JAHAN 29 KA CHAND KA AELAN HUWA THA WAHAN IS SAL 1443 HUJRI ,2021 ISWI ME ASHOORAH JUMERAT KO HAI LIHAZA BUDH JUMERAT YA JUMERAT JUMA KO ROZA RAKHE AUR JAHAN 29, KE CHAND KA AELAN NAHI HUWA THA WAHAN ASHOORAH JUMA KO HAI LIHAZA JUMERAT JUMA YA JUMA SANICHAR KA ROZA RAKHE

DO ROZE NA RAKH SAKTE HO TO EK ROZAH RAKHNA BHI JAIZ HAI. LEKIN MUNASIB NAHIN HAI. HAZ. MAULANA MANZOOR NUAMANI R.A. FARMATE THE KE YAHOODIYON KI TARIKH KA TIME TABLE AB ALAG HO GAYA HAI LIHAAZA AB MUSHABAHAT KI
KHARABI MERE KHAYAAL ME BAAQI NAHIN RAHI.

3. EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN LEKIN EK ROZAH RAKHNA MAKRUHE TANZIHI HAI LEKIN US EK ROZAH KA SAWAB TO MILEGA

📗FATAWA MAHMUDIYAH JILD.10 SAFAH 193 DABHEL BA HAWALA MARAQIYUL FALAH 640 WA AALAMGIRI 1/202 SE MAAKHOOZ

4. BAGEIR SAHRI KE AASHORAH KA AUR NAFIL ROZAH RAKH SAKTE HAIN. LEKIN SAHRI KI SUNNAT CHHUT JAYEGI.SUBAH SADIQ KE BA’AD ROZAH KO TODNEWALI CHEEZ PAISH NA AAYI HO TO TAQWEEM-JANTARI ME DIYE HUWE ZAWAL(AADHA DIN) SE PEHLE TAK NIYTAT KAR SAKTE HAIN.YANI AKSAR DIN NIYYAT PAI JANI CHAHIYE

📚KITABUL MASAIL 2/147

و الله اعلم بالصواب

MUHARRAM ME SIRF EK ROZA RAKHNA AUR BAGEIR SEHRI KA ROZA RAKHNE KA HUKM | 1488

Sawal:

  1. Aashorah Ke Rozah Ki Kya Fazilat Hai?
  2. Rozah Kon Se Din Rakhna Hai?
  3. Ek Rozah Rakh Sakte Hain?
  4. Bageir Sahri Ka Rozah Rakh Sakte Hain?
  5. Aashurah Ke Rozah Ke Saath Qazaa Ki Niyyat Karne Ka Kya Hukm Hai?

Jawab:   حامد و مصلیا و مسلما

“Muharram Me Sirf Ek Roza Rakhna Aur Bageir Sehri Ka Roza Rakhne Ka Hukm”: Aashura Ka Roza Rakhne Se Guzishta Ek Saal Ke Sageera Gunah Muaaf Ho Jate Hain.

Do Roze Na Rakh Sakte Ho To Ek Rozah Rakhna Bhi Jaiz Hai. Lekin Munasib Nahin Hai. Haz. Maulana Manzoor Nuamani R.A. Farmate The Ke Yahoodiyon Ki Tarikh Ka Time Table Ab Alag Hai Lihaaza Ab Mushabahat Ki Kharabi Mere Khayaal Me Baaqi Nahin Rahi.

Ek Rozah Rakh Sakte Hain Lekin Ek Rozah Rakhna Makruhe Tanzihi Hai Lekin Us Ek Rozah Ka Sawab To Milega.

“Muharram Me Sirf Ek Roza Rakhna Aur Bageir Sehri Ka Roza Rakhne Ka Hukm”

fatawa Mahmudiyah Jild.10 Safah 193 Dabhel Ba Hawala Maraqiyul Falah 640 Wa Aalamgiri 1/202 Se Maakhooz.

Bageir Sahri Ke Aashorah Ka Aur Nafil Rozah Rakh Sakte Hain. Lekin Sahri Ki Sunnat Chhut Jayegi.

Aashurah Ke Rozah Ke Saath Agar Qazaa Ki Niyyat Kare To Asal To Qaza Roza Hi Ada Hoga Ashoorah Ki Fazeelat Milne Ke Baare Me Ikhtilaf Hai Ba’az Ulama Kehte Hain Us Din Rozah Ke Aetamam Ki Wajah Se Ummeed Hai Ke Aashoorah Ki Fazeelat Bhi Mil Jayegi.

Subah Sadiq Ke Ba’ad Rozah Ko Todnewali Cheez Paish Na Aayi Ho To Zawal Se Pehle Niytat Kar Sakte Hain.

Fatawa Raheemiya Aur Kitabul Fataawa

Fatawa Qasmiya 21/396

Mufti Imran Ismail Memon

Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India