QUNOOTE NAAZILAH VITR E KAB PARHE? 1836
QUNOOTE NAAZILAH VITR ME KAB PARHE?
AAJ KA SAWAL NO.1836
Akabireen ki taraf se hidayat aayi hai ke qunoote naazilah infiradi taur par vitr me bhi parhe to ise kab padhni hai? duaa e qunoot ki jaga par? Aur ruqooa se pehle ya rukooa ke baad?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Vitr me rukooa se pehle Padhe, aur Afzal ya hai duaae qunoot ke baad qunoote naazilah padhe, aur sirf qunoote naazilah padhni ho to woh bhi padh sakte hai ye duua bhi sabit hai.
UMDATUL FIQAH 2/292
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
27 ZIL HAJJAH 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
AZAAN SE PEHLE NAMAZ KA HUKM 1515
Azaan se pehe namaz ka Hukm’ Kya He? Kya Namaz padh sakte hain?
JAWAB: حامدا و مصلیا و مسلما
“AZAAN SE PEHLE NAMAZ KA HUKM”: Agar namaz ka waqt dakhil ho (shuru ho gaya ho) gaya ho, to azaan se pehe namaz padh sakte hain, azaan hone ke ba’ad padhna zaruri nahin.
SHAAMI BAABUL AZAAN SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :6 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI
“AZAAN SE PEHLE NAMAZ KA HUKM” By:
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
AZAN AUR IQAMAT KA HUKM 1511
‘AZAN AUR IQAMAT KA HUKM‘ kya hai? kin namazon me kehni chahiye?
JAWAB: حامدا و مصلیا و مسلما
“AZAN AUR IQAMAT KA HUKM” farz namaz ke liye sunnate muakaddah hai, chahe namaz ada padh raha ho ya qaza, akela padh raha ho jamaat se.
Albattah jamat se qaza namaz masjid me padh raga ho to azan aur iqamat na kahe, is me apne namaz chhodne ka gunah ka izhar hai.
han akela qaza padhe to itni aahista awaz se kahe ke sirf khud sun le.
MARAQIYUL FALAH BABUL AZAAN
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :2 SAFAR 1440 HIJRI
“AZAN AUR IQAMAT KA HUKM“
Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
Safar Me Kis Ki Niyyat Ka Aetibar | 1492
Hamari Surat Ki Musafir Jamaat Ko Bihar Ke Ek Shahar Me 40 Din Ka Rukh Diya Gaya Hai, Kabhi Imam Sahab Nahin Hote To Mujhe Wahaan Ki Masjid Wale Namaz Padhane Ki Darkhast Karte Hain.
To Hamare Ameer Sahab Mujhe Zohar, Asr, Isha Ki Namaz Jis Me Qasr Hoti Hai, Manaa Karte Hain, Ke Ham Musafir Hain, Mene Muqeem Ki Niyyat Nahin Ki Hai.
To Kya Ham Ameer Ki Niyyat Ke Taabe Ho Kar Musafir Samjhe Jayenge? ‘Safar Me Kis Ki Niyyat Ka Aetibar’
Jawab حامدا و مصلیا و مسلما
“Safar Me Kis Ki Niyyat Ka Aetibar”: Mazkoorah Surat Me Aap Ki Jamat Muqeem Ho Gayi Hai, Aap Ki Jamaat Ke Us Ameer Ki Niyyat Ke Tabe Nahin Honge, Balke Aap Ki Poori Jamaat Bihar Ke Us Shahar Ke Ameer Ya Mashwarah Ke Faisal Ke Tabe Hogi.
Aap Ke Ameer Sahab Ne Musafir Ki Niyyat Ki Hai Uska Aetibar Na Hoga.
و الله اعلم بالصواب
Kitabul Masail 1/558
Alamgiri 1/139 Se Makhooz
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti.
Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
kiya istikharah ke liye namaz padhna ya sona zarooree hai?
Istikhaarah ki mukhtasar duaa kon see hai?
kiya istikharah ke liye namaz padhna ya sona zarooree hai?
JAWAB
Hazrat Abu bakar Siddiq Rd. Farmate hai ke
Aap Sallallahu alaihi wasallam
Jab kisi kaam ke Shuru karne Ka irada Farmate
Toa
Ye Duaa karte the.
الهم خر لی ولختر لی
“Allahumma khirlee wakhtarlee.””
Tarjumaa
Ay Allah mere Liye khair ko pasand farma
Aur Mujhe chun kar chhant kar de
baihaqee fee shoabil iman/204
Al” jaameus”$ageer
tirmizee.2/191
Istikharah ke liye namaz padhna aur sona zarooree nahi
ISLAAHI KHUTBAAT
HADEES KE ISLAAHEE MAZZAMEEN
FAIDAH
Ye inabate Rujua”
illallah hai ke har kaam ke shuru.me
Allah taala se
madad Aur iaayat chahe
Ke usi Qudrat me Tamam bhalaaiya Aur Achchhaiya hai.
Aur
Usike qabze me har kaam Ka Achchha Anjaam hai
Aur
Momin ki shaan hai ke
Woh
Apne Har kaam ko khuda ke hawale kare
Aur usise khair chahe .
Ye Dua mukhtasar istekhara bhi hai jab koi kaam Ka fouri karna ho
To ye Dua padhte rahe
InshaaAllah koi khair ki baat dil me Allah taala ki.taraf se Aajayegi.
Buzurgo Ka mamul bhi hai.
Kiya train me namaz padhna ho to qibla rukh hona aur qiyam -khade ho kar namaz padhna zarooree hai?
sawal
Kiya train me namaz padhna ho to qibla rukh hona aur qiyam -khade ho kar namaz padhna zarooree hai?
jawab
Train me namaz kisi jankstion(woh jaga jahan train zatada der rukti hai) ya station par utar kar namaz padhni chahiye.
Station aane ka intizar kiya jaye agar namaz waqt makrooh ya qaza hone ka khatra ho to train me hee khade ho kar qibla rukh namaz padhe.puree namaz me akhirvtak wibla rukh hona zarooree hai.jaise jaise train qibla rukh se ghume namazee ko bhi chahiye woh bhi chalu namaz me qible ki taraf ghum jaye.
Bhid bahot zayada ho jis se qibla rukh hona mumkin na ho ya khade hokar namaz padhne me gir jane ya zayada mashaqqat ho to farz namaz bhi beth kar padhne ki gunjaish hai.agar itni bheed hai ke harkat bhi na kar sake rukooa, sajda ka isharah kar ke namaz ishare se padhe.aese haalaat me bhi namaz chhodne ki ijazat nahee
Lekeen aesee namaz ko qudrat hone par lotana ya qaza karna zarooree hai.padhne ka faidah ye hoga ke namaz chhodne ka gunah na hoga aur lotane se pehle maut aa gai to is namaz ko.puchh na hogi.
aur zayada mashaqqat ya zayada bhid na ho to qayam karna aur qibla rukh hona zarooree hai.mamooli masgaqqat ya mamooli bheed ki wajha se farz namaz me qayam chhod dega to namaz na hogi.
( fatawa darool uloom zakariya 2/120 se124 ba hawala jadees fiqhee masail 1/128. fatawa mahmoodiyah 5/524 jamiaa farooqiya, ahsanul fatawa 4/88 aur digar kutube fiqhe arabiyyah)
(Fatawa abdul gani safa 208)
Not: baaz traino me darwaze paas zayada jaga hoti hai wahan do do ki jamat bhi aasani se kar sakte hai.
samne se gair muslim log guzarte ho to bhi namaz ho jayegi.ise uzr na samjhe.
Jaldi ho to qadah me koi bhi mukhtasar durood padhe.duaa e masoorah ki jaga koi bhi chhoti duaa masalan allah hummag fir lee padh ke salam fer de.
allah taala ham ko har haal me namaz ka aehtamam karne ki aur us ko mavqe ke munasib ada karne ki taufeeq ata farmayen.aameen.
SURAH E KAHAF AUR JUMA KI NAMAZ PADHNE KA AFZAL WAQT
⭕AAJ KA SAWAL No. 2546⭕
1.Juma ke din surah e kahaf kab se kab tak padh sakate hai?
2.Juma kon se mosam me jaldi aur kon se mosam me der se padhna afzal hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
1.
Surah e kahaf jumerat ki magrib baad jo chand ke aetibar se juma ki raat hoti hai us waqt se juma ke din suraj Guroob hone tak padh sakte hai.
📕SUNANE DARMI HADEES NO.3407 SE MAKHOOZ
2.
Juma ki namaz zawal ke baad foran har mosam me padhna huzoor sallallahu alaihi wasallam ki hamesh ki sunnat hai baz hanfi log ek,dedh ghante baad padhte hai ye galat tareeqa hai ye huzoor sallallahu alaihi ki daaimee-hamesh ki sunnat ke khilaf hai is ko badalna zarooree hai allah islaah ki taufeeq ata farmaye.
(Rahee baat Bayan zawal se pehle ya zawal ke baad aadhe ghante tak hee karwana chahiye.)
📗TUHFTUL ALMAEE SHAREHE TIRMIZI 2/371 BA HAWALA
📘UMDATUL QAAREE
📙 BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 94
و الله اعلم بالصواب
Joote pahan kar namaze janaza padhna
⭕AAJ KA SAWAL NO.2544⭕
Janaze ki namaz joota, chappal pahan kar padhna hai ya utaar kar?
🔵Jawab🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Aaj kal ba’az log Janaza ki Namaz joote, chappal pahne huve padhte hain, unke liye zarooree hai ke woh jis jagah khade ho Woh jagah aur Joote, chappal dono paak ho, varna unki Namaz nahin hogi,
📗 Bahishti Gohar
Aur agar joota, chappal pair se nikaal diya jaye aur uspar khade ho to sirf Joote, chappal ke upar ka hissah jo pair se mila ho uska paak hona zarooree hai, agarche talaa napaak ho,
Neez is soorat me woh zameen bhi napaak ho to koi harj nahin.
Lihaza joota, chappal nikalne ki soorat ehtiyat wali hai
📘Bahishti Gohar, imdadul Ahkaam
📗Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 62
و الله اعلم بالصواب
NEEND YA BHOOL KI WAJAH SE NAMAZ QAZAA HONE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2543⭕
Agar fajr ki namaz ke liye tamam intezam ke ba’wajud aankh naa khuli aur namaz qazaa hone ke baad aankh khuli yaa namaz ka time mashgooli ki wajah se gaflat me nikal gaya, to kya hukm hai..?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Puchi huyi surat me qazaa hojane ka kuch gunah nahi, lekin jaise hi aankh khuli fauran namaz padhna zaruri hai,
Agar makrooh waqt ho to intizar kare, wapas so naa jayen.
Yahi hukm bhulne ka hai, jaise hee yaad aajaye to fauran wuzu kar ke namaz padhna farz hai. ab qazaa huyi he hai, aise samjhkar sote rehna yaa apne kaam me mashgul rahna, ye namaz me susti karna hai. ye bahot badaa gunah aur iska azaab bhi badaa sakht hai, lihaza aesa karne se bachna zarooree hai.
📗BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 90 SE MAKHOOZ
📘TAFSIRE MA’ARIFUL QUR’AN SURAH E TAAHA AYAT 14 SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
BADBU DAAR CHEEZ KHAA YA PEE KAR MASJID ME JAANA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2612⭕
Kachchi piyaz, lahsan, bidi, cigarette, peene ke baad, bagal ya munh me badbu paida hone ki bimari ho, boodaar pasine wale kapde masalan gosht, machchhli bechne wale ke kapde pahan kar masjid me jaana kaisa hai ?
🔵JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Kisi bhi badbu daar cheez ko khaa kar ya pee kar, badu daar kapde pahan kar masjid me jaana jaiz nahi, jab tak ke un cheezon ki badboo ko khatm na kiya jaae (miswak kar ke, khushbu daar cheez kha kar ya itr laga kar)
Kyun ke jin cheezon se insan ko taklif hoti hai un cheezon se farishton ko bhi taklif hoti hai.
Aaj kal is baare me badi gaflat barti jaa rahi hai, aise hazraat ko iska hamesha khyal rakhna chahiye, agar badbu door na hoti hai to aise logon ko tanha namaz padhni chahiye.
📗AADABUL MASAJID HAZ. MUFTI MUHAMMAD SHAFEE RH. KI SAFA 22,23
FIQHEE ZAWABIT
و الله اعلم بالصواب
WUZU ME PAANI ZIYADAH KHARCH KARNI KI 4 SURAT
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2635⭕
Wuzu me teen martaba se ziyadah a’aza dhona kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Wuzu me a’azaa ko teen martaba se ziyadah dhone ki chand surten hain.
1⃣. Agar teen se ziyadah is e’atekad se dho raha hai ke yah sawab ya sunnat hai to makruhe tahrimi (haraam ke qarib) hai.
2⃣. Agar yeh e’atikad nahin magar bila wajah kar raha hai to bekaar hone ki wajah se makruhe tanzihi hai.
3⃣. Agar kabhi shak ko door karne aur dil ke itminaan ke khatir teen se ziyadah baar dho liya to koi karahat nahin.
4⃣. Albatta masjid aur madarsah ke waqaf paani se teen baar se ziyadah dhona haraam (gunahe kabeerah) hai.
Aajkal masjid ke paani se khususan pairon ko teen martaba se ziyadah dhoya jaata hai, koi shumar hi nahin bas paani dalte hi jate hain. lihaza isse bachne ka ehtimaam kare kyun ke Hazrat Mufti Mahmood Hasan gangohee رحمت اللہ علیہ farmate the ke wuzu me paani fuzool kharch karne se namaz ka khushu’a (dhiyan) khatm ho jata hai.
📗AHSANUL FATAWA- 2/15, IBARAT KI ASAANI KE SAATH
و الله اعلم بالصواب
namaz ke makruhat (Makruhe tahrimi)
⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 2649⭕
Namaz me Makruhe tahrimi kaam ho jaye to kya hukm hai ?
Namaz me makroohe tahrimi kyaa kyaa hai ?
🔵JAWAB🔵
Makruhe tahrimi se namaz ka sawab is ke darjat ke aetibar se kam ho jata hai
Baaz muhtaat muftiyane ikraam aisi namaz ko Jald se jald waqt ke andar aur waqt nikalne baad bhi lotana wajib kehte ke hai.
Aor baaz baaz muftiyane ikraam ye kehte hai ke aisee chizo me namaz karahat ke saath poori ho jaayegi dohrana wajib nahi.
Ehtiyaat yehi samajh me aati hai ke namaz dohra le.
Namaz ke aise makruhe tahrimi hasbe zail hai.👇
🔴(1) sadl yani kapdon ko latkaana jese chaadar, saal, sar par daal kar us ke dono kinaare latkaa dena, ya kafni ya kot ya sherwaani biger us ke ki aastino me haath daale jaae kandho par daal lena.
Takhnon ke niche pent latkane ko bhi Allamah ibne shami ne sadl me shumar kar ke makruhe tahrimi kaha hai.
🔴(2) kapdon ko mitti se ya astari kharab hone se bachaane ke liye haath se rokna ya sametna.
🔴(3) apne kapdon ya badan se khelna jaise nakhun chhilna, naak ko ungli se kuredna.
🔴(4) paakhana ya peshaab ki haajat hone ki haalat me namaaz padhna.
🔴(5) mardo ko apne baalo ko sar par jama karke chota baandhna. aurto ko aesa kar ke namaaz padhna behtar he.
🔴(6) kankariyo ko bar bar hataana, lekin agar sajdah karna mushkil ho to ek baar hataane me haraj nahi.
🔴(7) ungliyaan chtakhaana ya ek haath ki ungliyan dusre haath ki ungliyon me daalna.
🔴(8) kamar ya kokh ya kulhe par haath rakhna.
🔴 (9) qible ki taraf se munh pher kar dekhna makruhe tahrimi aur sirf nigaah Kanakhniyon-dide se idhar-udhar dekhna makruhe tanzihi hai
🔴(10) kutte ki tarah bethna, yani rane khari karke bethna aur raano ko pet se aur ghutno ko sine se mila lena aur haatho ko zamin par rakh lena. sirf panje par bethna makruhe tanzihi hai
🔴(11) sajdo me dono kalaaiyo ko zamin par bichhaa lena mard ke liye makruh he.
🔴(12) kisi aese aadmi ki taraf namaaz padhna jo namaazi ki taraf munh kiye betha ho.
🔴(13) aesi saf ke piche akele khada hona jis me jagah khaali ho.
🔴(14) chaadar ya koee aur kapda is tarah lapet kar namaaz padhna ki jaldi se haath na nikal sake.
🔴 (15) Kuhniyon tak aastin chadha kar namaz padhna.
Agar jaldi me na utari ho to namaz ke dauran hi ek hath se waqfe waqfe se -thaher thaher ke utar le, ek rukn -tin baar sub’han rabiyyal azeem kaha jaye itni der tak lagatar na utare.
📚KITABUL MASAIL 1/366,367
BA HAWALA SHAMI 2/522 ZAKARIYA
📗AHSANUL FATAWA 3/.404 se 446
📘FATAWA QASMIYAH 7/397
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon sahab
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, india
Namaz ke makruhat (Makruh e tanzihi)
⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 2650⭕
Namaz me Makruh e tanzihi kaam ho jaye to kya hukm hai ?
Namaz me makruh e tanzihi kyaa kyaa hai ?
🔵JAWAB🔵
Makruh woh chiz hai jisse namaaz to nahin tutti lekin sawaab kam ho jaata hai aur gunaah hota hai,
makruh e tazihee woh na munasib kaam hai jis se bachna behtar hai, us namaz ko waqt ke andar aur waqt ke baad loutana mustahab hai.
Namaz ke makruh e tanzihi hasbe zail hai.👇
(1) mamuli kapdo me jinhe pahan kar majma me jaana pasand nahin kiyaa jaata, namaaz padhna.
(2) munh me rupyah ya paisa ya aur koi chiz rakh kar namaaz padhna. jis ki wajah se qiraat karne se majbur na rahe, aur agar qiraat se majburi ho jaae to bilukul namaaz na hogi.
(3) susti aur be parwaahi ki wajah se nange sar namaaz padhna.
(4) haath ya sar ke ishaare se salaam ka jawaab dena.
(5) binaa majburi chaar zaanu ya alti palti (palaati) maar kar baithna.
(6) iraadah kar ke jamaaee (bagaasah) lena ya rok sakne ki haalat me na rokna.
(7) aankho ko bandh karna, lekin agar namaaz me dil lag ne ke liye bandh kare to makruh nahin.
(8) imam ka mehraab ke andar khada hona, lekin agar qadam mehraab se baahar ho to makruh nahin, akele imam ka aek haath unchi jagah par khada hona aur agar uske saath kuchh muqtadi bhi ho to makruh nahin.
(9) aayate ya surte ya tasbih ungliyo par ginna.
(10) namaaz me angraaee lena ya’ani susti utaarna.
(11) imaamah ke pech-nok par sajadah karna.
(12) jis jagah yeh dar ho ke koi namaaz me hansaa degaa, khayaal hat jaaega to namaaz me bhul chuk ho jaaegi, aisi jagah namaaz padhna.
(13) jab bahut bhuk lagi ho aur khaana tayyaar ho to pehle khaale tab namaaz padhe. Bagair khaana khaae namaaz padhna makruh hai. Haan! Agar waqt tang hone lage to pehle namaaz padh le.
(14) sunnate ke khilaaf namaaz me koee kaam karna.
(15) dusri rakat ko pehli rakat se ziyaadah lambi karna.
(16) kisi namaaz me koee surat muqarrar kar lena ke hameshah woh padhaa kare, koee aur surat kabhi na padhe.
(17) Khule sar namaz padhna agar susti ki wajah se hai to makruh e tanzihi hai. Agar takabbur Ya fashion ki wajah se hai jaise ke aajkal navjawano ki aafat hai ke topi hote huve bhi jeb (pocket) Me rakh lete hai ye tareeqah qabile mazammat hai Huzoor SALALLAHU ALAYHE WASALLAM ne aam haalat me aksar sar dhank kar hi namaz padhi hai.
📘Taleemul .islaam-4/47 se 49,
bahishti zewar-2/99 se 102
aur kitabul masail 1/366 se 375 se maakhuz
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon sahab
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
GURUDWARA,PARK AUR SADAK PAR JUME KI NAMAZ KA HUKM
AAJ KA SAWAL No. 2669
Kya juma ki namaz gurudwara,park,sadak aur maidan me kuchh bichhaye bagair padh sakte hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
is ummat ke liye zameen ko paak qarar diya gaya hai isliye sadak ,park wagairah ki jaga par jab tak napaki ka asar yani us ki bad bu ya rang dikhai na de to bagair kuchh bichhaye bhi namaz ada ho jayegi.agar wahan napaki kabhi hoti bhi to zameen aur sadak sukh jane se paak ho jati hai.
gurudware ya kisi non muslim ki mazhabi jaga par ho to wahan samne jandar ki tasweer ya murti ya qabr nahi honi chahiye kyun us me murti aur qabr ibadat ka shak hota hai.agar ho to tasweer ya murti par kapda dal diya jaye aur samne qabr ho us ke aage kursi wagairah ek foot ki koi cheez aad kar dee jaye pith ke pichhe ya dayen bayen qabr ho to koi haraj nahi.wahan ke zimmedaron ki ijazat ho to juma ki namaz imam ke sath 4 balig musalman mard ya us se zaid log ho aur wahan aur musalmanon ko aane ki ijazat ho darwaza khula ho bila uzr bandh na ho to juma sawal me puchhi gai tamam jagho par saheeh hai khutba dena bhi wajib hai khutba na aata ho to pehle khutbe alhamdu shareef aur dusre me attahiyyat padh li jaye to bhi khutba ada ho jayega.
📗MARAQIYUL FALAH 197
📕DURRE MUKHTAR 3/24,25
و الله اعلم بالصواب
Not: juma ki namaz gurudwara,park aur sadak par saheeh na hone ka msg dr.Sharilk ahmad khan ka jo chal raha hai woh saheeh nahi hai.
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
MUNH ME CHANE KI MIQDAAR KOI CHEEZ RAKH KAR NAMAZ PADHNE KA HUKM
AAJ KA SAWAL No. 2670
Ek aadmi ke munh me chane kI miqdaar koi cheez rah gayi namaz ke baad usko ma’aloom huva to namaz sahih hui ya nahi?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Chane ki miqdaar koi cheez munh me rah jaane se namaz faasid nahi hogi, Albatta namaz makrooh hogi.
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
AAJ KA SAWAL NO. 2672
Namaz ka faasid hone ka kya matlab?
Kin chizon Se faasid ho jaati hai(toot) jaati hai?
🔵JAWAB🔵
Namaz ke mufsidaat un chizo ko kehte hain jinse namaaz faasid ho jaati hai, ya’ani toot jaati hai aur use lotaana (dohrana, fir se padhna) zaruri hai jaan bujh kar ho ya bhul kar, har haal me namaaz toot jaati hai.
Namaz ke mufsidat hasabe zail hai
(1) Namaz me kalaam (baat) karna jaan bujh kar ho ya bhool kar, thoda ho ya bahot, har surat me Namaz toot jaati hai.
(2) Be zarurat khankhaar ne aur galaa saaf karne se jis se aek aadh harf (lafz) bhi paida ho jaaye to namaz toot jaati hai,
haan ! majburi ke waqt khankhaar na durust hai aur Namaz nahin tooti.
(3) Kisi khat ya kisi kitaab par nazar padi aur us ko apni zaban se nahin, lekin dil hi dil me matlab samajh gaya to Namaz nahin tooti,
haan ! Agar zaban se padh le to namaaz jaati rahegi.
(4) Salaam karna ya’ani kisi aadmi ko salaam karne ke iraadah se salaam ya Allah hafiz ya assalaamu alaikum ya isee jaisa koi lafz keh dena.
(5) Salaam ka jawaaab dena ya chhink ne waale ko yarhamukAllah ya namaz se baahar waale kisi aadmi ki dua par aamin kehna.
(6) Kisi buri khabar par ‘innaa lillaahi wa innaa ilaihi raajioon’ padhna ya kisi achchhi khabar par ‘subhaanAllah’ kehna.
(7) Dard ya ranj ki wajah se aah..
ya aoh… ya uff… karna.
(8) Apne imam ke siwaa kisi dusre ko luqmah dena ya’ani qiraat (galaty) bataana.
(9) Qur’an sharif dekh kar padhna.
(10) Qur’an majeed padhne me koi badi Galaty karna.
(11) Amale kasir karna ya’ani koi aisa kaam karna jin se dekh ne waale yeh samjhe ki yeh aadmi namaaz nahin padh rahaa hai. Masalan do haath se topi durust karna ya dono haath chhod kar aastin utaarna.
(12) Khana-peena iraade se ho ya bhool se. pehle hi se munh me koi cheez ho to Chane ke barabar ho to fasid aur munh ke bahaar se khaye to til ke barabar ho to bhi faasid hogi.
(13) Do safo ki miqdaar ke baraabar chalna.
(14) Qible ki taraf se binaa majburi sinah pher lena.
(15) Naapaak jagah par sajadah karna.
(16) Satar khul jaane ki haalat me ek rukn ya’ani teen baar subhaan rabbiyil a’ala kehne ki miqdaar therna.
(17) Dua me aisi cheez maangna jo aadmiyo se maangi jaati ho, jaise ya Allah mujhe aaj so (100) rupiye de de.
(18) Dard ya musibat ki wajah se is tarah rona ki aawaaz me huroof zaahir ho jaaye. Allah aur jahannam ke khof se aisa roye to fasid na hogi.
(19) Baalig aadmi ka namaaz me qahqahaa maar kar (pura mu khol kar) aawaaz se hansna.
(20) Imam khade rehne ki se aage badh jaana wagerah…
📗TAALEEMUL ISLAAM
📘MASAILE NAMAZ
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
PITH KAR KE BETHNE WALE KE PICHHE NAMAZ PADHNA
AAJ KA SAWAL No.2684
Kisi ki pith ke pichhe namaz padhna kaisa hai ?
🔵 JAWAB 🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Agar koi Aage Betha Baate kar raha ho ya kisi aur kaam me Laga ho to uske Pichhe uski Pith ki taraf Moonh karke Namaz padhna Makrooh Nahi he Lekin Agar Bethne wale ko is se Takleef na Ho aur vo us ki namaz se aage na gyzarna pade us ke liye ruk jane se Ghabhraye to Aesi Halat me Kisike Pichhe Namaz na Padhe is taur par ke us ka rasta bandh ho jaye.
و الله اعلم بالصواب
📘DARSEE BAHISHTEE ZEWAR SAFA 397
🌙🗓 ISLAMI TAREEKH :
28 JUMADIYUL UKHRA 1443 HIJRI
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL No. 2692⭕
Mujhe surat se valsad me ek jaga jana hai ghar se safar ke k.m ki ginti karta hun to musafir ban jata hun to ye ginti meri saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Masafat ki Ibteda Ghar se Na hogi,Balke Aabadi se Bahar Nikalne per Hogi aur Inteha-khatm bhi Jahan Jana he Vahan ki aabadi Shuru’a Hone per Hogi Aage Thhaherne ki Jagah tak na Hogi pas sawal me puchhi hui Masafat ke Shumar me Iska Khayal rakhna chahiye ke Aabadi se Nikalne per Manzil Maksud ki aabadi shuru’a hone tak 48 mile hote ho to safar sharayee he varna nahi, Kyunki safar e sharayee ka shuruaat Aabadi se Nikalne per Hoti hai yahi vajah hai ke is se pehle Qasar ki Ijazat nahi aur wapsi me khatm aabadi shuru’a hone per hota he iske baad Qasar jaiz nahi, Albatta agar khatm hone ki janib me yani Manzil e Maqsud me Iqamat ki Niyyat Nah hai Neez vo iska vatan asli bhi nahi to fir Jahan tak jana hai vahan aabadi ke andar bhi aakhir tak ki Mashafat shumar Hogi.
و الله اعلم بالصواب
📗FIQHI ZAWABIT 1/223
📕BA HAWALA FATAWA ALAMGIRI 1/139
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
SAFAR ME WAPSI PAR QASR KAB TAK
⭕AAJ KA SAWAL NO.2694⭕
Safare sharee me qasr kar raha tha to wapsi me apne maqam se kitne km door tak qasr kar sakte hai?
77.25 sawa sattar km ke andar aa jaye to fir puri padhni hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Wapsi me jab tak apne shahar ki sarhad (border) me dakhil na ho jaye tab tak qasr karte rahe.
Agarche 77.25 sawa sattar km ke andar kitna hi aa jaye fir bhi qasr hi padhni hai.
📘NOORUL IZAAH SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL No. 2708⭕
Baaz log JabMasjid me Aakar Imaam ko Ruku’a me Pate he to Jaldi ke Khayal se Aate hi Jhuk Jate he aur Isi Halat me Takbeer e Tahrima kehte he,un ki namaz ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui surat me Unki Namaz Nahi Hoti, Takbeer e Tehrima Namaz ki Sihhat ki Shart he aur puchi huwee surat me kam az kam itnaa qayam farz hai jisme Takbeer e Tahrima keh le,Jab itnaa Qiyam bhi Na Kiya takbeere tahreema shaheeh na hui aur jab takbeere tahreema saheeh na hui to Namaz kese saheeh ho sakti he.!
و الله اعلم بالصواب
BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE
SAFA 153
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
DO WATANE ASLI AUR US ME NAMAZ
⭕AAJ KA SAWAL No. 2713⭕
Me asal Bihar ka rehnewala hun wahin paida huwa ab bivi bachchon ke sath yahin surat me rehta hun aur yahin karobar hai lekin wahan Bihar me Walid sahab rehte sal do sal me wahan Jana hota hai to wahan namaz puri padhun ya qasr?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Watane Asli me namaz puri padhe Watane asli us jagah ko kaha jata hai jaha insaan ki pedaish hui ho ya usne usi jagah ko mustaqil rahaish ki jagah Bana liya ho aur puri-zindagi vahi rehne ka azm-pakka iradah ho.
Agar koi shakhs apne aabaai watan me sukunat nahi rakhta; balke Kabhi saal do-saal me ek do roz ke liye waha aa jata hai. Phir bhi wah watane Asli ke darje me hoga kyun ke Watane asli do bhi ho sakte hai lihazapuchhi hui surat me Bihar me bhi puri namaz padhe.
📗FIQHI ZAWABIT
📕KITABUL MASAIL1/555
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
⭕AAJ KA SAWAL No. 2722⭕
Aurat ka maika- us ke walidain ka ghar us ke susraat se 77.25 km ya us se zayada door hai to wahan jaye to qasr kare ya puri namaz padhe?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Wahan jaye to qasr kare kyun ab is ka Watane asli maika nahi balke susraal ban gaya hai.
📕KITABUL MASAIL 1/556
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
SAFAR ME JATE HUWE QASR KAB SHUROOA?
⭕AAJ KA SAWAL NO.2724⭕
Safare sharee me jate huwe apne maqam se kitne km door jane ke Baad qasr kar sakte hai?
77.25 sawa sattar km door jane ke baad qasr padhna shurooa kare?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Apne shahar ya gaanv ki sarhad- border se 77.25 km ya us se zayada door Jane ki niyyat se apne shahar ya gaanv ki border paar karte hi ki qasr namaz padhna wajib ho jata hai chehe 1 km bhi shahar ya gaanv ki border se door na huwa ho,
sawa satattar km door jane ka intizar galat hai.
Agar gaao ho to gaao kee aakhri had yaani qabrastan yaa khel kaa maidan wagera
Aor agar sheher wala ho to jis raaste se jaaraha ho us se Sheher ki aakhri had masalan by road ho to check post aor by train ho to sheher kaa aakhri station masalan Mumbai wala Surat ke liye nikle to miraroad station se guzar jaay.
Surat wala ahamadabad ke liye by rode kaamrej se,Mumbai ke liye Sachin se aur by train ahmadabad ke liye utran se,Mumbai ke liye maroli stetion se guzar jana kafi hai
📘NOORUL IZAAH SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
7 JUMADIYUS SANI 1443 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL No. 2725⭕
Safar ki namaz qaza ho jaye to hazar-(apne maqam) me aur hazar ki qaza safar me qasr padhni hai ya poooree?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Safar ki namaz qasr hoti hai lihaza us ki namaz hazar me bhi qasr hee padhenge.
Aur hazr ki namaz pooree hoti hai lihaza us ki qaza safar me bhi puri padhenge.jaisi chhuti hai wesee padhenge.
📗NOORUL IZAAH
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
QADAH E OOLA CHHODKAR KHADE HONE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2726⭕
Teen (3) Rak’at ya char (4) Raka’at Wali Namaz me Bichme Bethna Bhul gaya Aur Do (2) Rak’at padhkar Tisri(3) Rak’at ke liye Khada ho gaya to kya kare ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui surat me agar Niche ka Aadha Dhad Abhi Sidha Na Huaa ho- rukooa jaisi haalat na hui ho to Beth jaye Aur Attahiyyat Padh le tab Khada ho aur Aeisi halat me Sajda e Sahv karna Vajib Nahi.
aur Agar Niche ka Aadha Dhad-kammar Sidhi Ho gayi Ho to Na Bethe Balke khada hokar charo Raka’at Padh le Faqt akheer me Bethe Aur is Surat me Sajda e Sahv Vajib hai.
agar sidha khada ho jane ke baad fir Lot aaya aur Bethkar Attahiyyat Padhi to Gunehgar Hoga aur Sajda e sahv karna Ab bhi Vajib hoga (kyun ke attahiyyat padhne me takheer hui)
📕BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 191
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
⭕AAJ KA SAWAL No.2731⭕
Watane asli Jahan puri namaz padhte hai kab batil- khatm hoga?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Agar koi shakhs apne watane Asli se bilkuliya chale jaae aur wahn hamesha rahne ka iradah khatm kar le to ye watane Asli baaqi nahi rahega. Albatta mahaz safar karne ya kisi doosri jagah muqeem hone se watane Asli baatil nahi hota.
و الله اعلم بالصواب
📗KITABUL MASAIL 1/556
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
⭕AAJ KA SAWAL No. 2733⭕
Agar koi shakhs kisi shahar me kisi aurat se nikah kar ke ahliya-biwi ko mustaqil usi Shahar me rakhne ka irada kare to shahar me namaz qasr kare ya puri?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui surat me woh
” watane Ta’hhul” kehlata hai. Uska hukm bhi watane Asli ke manind hai. Ya’ani shohar jab bhi us shahar me aaega to poori namaz padhega, aur jab tak biwi ko vaha rakhne ka iradah hai ye watan baaqi rahega.
📗KITABUL MASAIL1/556
BA HAWALA
📕SHAMI ZAKARIYA 2/614
📘FATAWA MAHMOODIYAH 7/498
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
⭕AAJ KA SAWAL No. 2734⭕
A. Shohar ne agar shaadi karke apni biwi ko uske mayke hi me mustaqil chhod rakha hai Goya ghar jamai ban gaya hai to us shohar ke liye wo muqaam kya kehlayega?
B. Bivi apne susral me nayi shadi ke baad rukhsat hokar mustaqil rehne nahi lagi hai aksar maiyke me rehna hota hai jabhi susral jati hai to susral me namaz puri padhegi,?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
A. Woh maqaam watane Ta’hhul ke darje me hoga. Aur waha agar thodi Der ke liye bhi jaaega to namaz poori padhega.
B. woh biwi jo apne mayke hi me rah rahi hai aur rukhsat hokar shohar ke ghar (sasural) jaakar mustaqil muqeem nahi hui hai agar kisi waqt kuchh din ke liye apni sasural jaayegi to jab tak 15 din qayam ki niyyat na ho to wo qasr hee karegi. Kyuki mustaqil mayke me qayam ki wajah se sasural uske watane Asli ke darje me nahi bana hai.
📕 KITABUL MASAIL 1/556
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
MUSTAQIL MULAZAMAT ME QASR KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2735⭕
Jis shahar me aadmi kaarobaar ya mustaqil mulazamat- nokri ke silsile me muqeem ho aur us ka iradah ye ho ke bila kisi khaas rukawat ke yaha se nahi jaaega balke yahin rahega to aesi jaga ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui surat me woh jaga watane iqamat mustaqil kehlaae jaane ke laaiq hai. Aur uska hukm bhi watane asli ke maanind hai.yani wahan puri namaz padhega.
📕KITABUL MASAIL 1/ 557
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
QADAH E AKHEERA KAR KE KHADA HO JANE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2736⭕
agar chothi(4) Rak’at per betha aur Attahiyyat padh ke yani qadah e akheera kar ke galti se khada ho gaya to kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Agar sajda karne se pehle pehle jab bhi yaad aaye beth jaye aur attahiyyat na padhe balke bethke turant Favran salam fer ke sajda e sahva kare agar panchvi(5) rak’at ka sajda kar chukka tab yaad aaya to ek (1) rak’at milake chhe(6) kar le char(4) farz ho gai aur do(2) Nafal aur chhathi(6) raka’t per Sajda e sahva bhi kare. Agar panchvi(5) rak’at per salam fer diya aur sajda e sahva kar liya to bura kiya char(4) farz hui aur ek(1) rak’at akarat hui
yani bekar gai.
📗BAHISHTI ZEWAR
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
SAFAR ME KIS KI NIYYAT KA AETIBAR
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2739⭕
Hamari surat ki musafir jamaat ko Bihar ke ek shahar me 40 din ka rukh diya gaya hai, kabhi imam sahab nahin hote to mujhe wahaan ki masjid wale namaz padhane ki darkhast karte hain to hamare ameer sahab mujhe zohar, asr, isha ki namaz jis me qasr hoti hai manaa karte hain ke ham musafir hain, mene muqeem ki niyyat nahin ki hai to kya ham ameer ki niyyat ke taabe ho kar musafir samjhe jayenge?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Mazkoorah surat me aap ki jamat muqeem ho gayi hai, aap ki jamaat ke us ameer ki niyyat ke tabe nahin honge balke aap ki Poori jamaat Bihar ke us shahar ke ameer ya mashwarah ke faisal ke tabe hogi aap ke ameer sahab ne musafir ki niyyat ki hai uska aetibar na hoga.
و الله اعلم بالصواب
📘KITABUL MASAIL 1/558
📗ALAMGIRI 1/139 SE MAKHOOZ
ISLAMI TAREEKH : 22 JAMADIYUS SANI 1443 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
RUI AUR SPUNCH SE BANI HUI CHEEZ PAR SAJDA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2764⭕
Agar Ghas-fus, rui ke gadde, spunch rakhi hui saf ya musalle per sajdah kare to kya hukm hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Zikr ki hui cheezon par sajdah kare to sar ko khub daba kar sajdah kare, Itna dabaye ki us se jyada na dab sake aur agar upar-upar zara ishare se sar rakh diya Dabaya nahi to sajdah nahi huva.
و الله اعلم بالصواب
📗BAHISHTI ZEWAR
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
⭕AAJ KA SAWAL No. 2759⭕
Agar kisi ki Kai namaze qaza ho gayi to kya kare?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Qaza namaz padhne me jaha tak ho sake jaldi se sab ki qaza padh le, ho sake to himmat karke ek hi waqt sab ki qaza padh le.Maut ja koi bharosa nahi Ye zaroori nahi ki zohar ki qaza zohar ke waqt padhe aur asar ki qaza asar ke waqt aur agar bahot si namaze kahi mahine ya kai baras ki qaza ho to unki qaza me bhi jaha tak ho sake jaldi kare. Ek ek waqt 2-2, 4-4 namaze qaza padh liya kare. Agar koi majboori ya laachhari ho to khair ek waqt ek hi namaz ko qaza Sahi, ye bahot Kam darje ki baat hai.
📕BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 185
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
⭕AAJ KA SAWAL No. 2750⭕
Jis ki koi namaz chhoot gayi ho to jab yaad aae us ki qaza padhna zarooree hai ke baad me qaza padh sakte hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Qaza namaz jab yaad aa jaye fauran us ki qaza padh le.Bila kisi uzar ke qaza padhne me Der lagana gunah hai. So jis ki koi namaz qaza ho gayi, aur usne fauran uski qaza na padhi,doosre waqt par ya doosre Deen par taal di gayi ke fulane deen padh lunga aur us Deen se pehle hi achanak margaya to dohraa gunah huga. Ek to namaz ke qaza ho jaane kaa aur doosre fauran qaza na padhne ka.
و الله اعلم بالصواب
📕 BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 185
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
DARHI MUNDE KI IMAMAT AUR TARAWEEH
ek shakhs darhi Mundata hai us ne sachche dil se tauba kar li hai aur ayindah rakhne ka pakka iradah kar liya hai magar abhi ek musht darhi nahi hui hai aur ugana ya lambi karna us ke ikhtiyar me nahi hai to kiya aese ke pichhe farz namaz aur taraweeh makrooh hogi?
Isee tarah jo imam darhi mundana ya ek musht se pehle katana nahi chhodte aese imam ke pichhe farz namaz aur taraweeh ka kiya hukm hai tafseelan jawab inayat kare?
🔴JAWAB🔴
Faqeehul asr mufti rasheed ahmad ludhyani Rahmatullahi alayhi likhte hain tauba ke bawajood aese shakhs ki imamat do wajha se makrooh hai,
1.ek ye ke uspar abhi tak islah Ka asar zahir nahi huwa hai aur ye fesala nahi kiya ja sakta ke ayindah is kabeerah gunah se bachne ka aehtamam karega ya nahi?;
2.dusri wajha ye hai ke jin logon ko tauba ka ilm nahi un ko ye galat fahmi hogi aur yahee samjhenge ke fasiq namaz padha raha hai (is jahalat ke daur me darhi katane wale ki imamat jaiz hai aesi galat fahmi felne Ka bhi andesha hai)
📗(Ahsanul fatawa 3/262)
Faqeehun nafs mufti kifayatullah rh.likhte hain Agar dusra is behtar imam mil sakta hai to use imam na banaya jaye
📔kifayatul mufti 3/87
Aesa imam sakht gunehgar hai us ke pichhe namaz makroohe tahreemi hai aur woh wajibul ihanat (be izzati) hai us ko imam banane me us ki tazeem hai isliye us ko imam banana jaiz hee nahi
📕imdadul muftiyyeen 1/261bahawala shami 1/276
Agar koi aesa shakhs zabardasti imam ban gaya ya trastiyon ne bana diya aur hatane par qudratna na ho to kisi dusri masjid me nek-salih imam talash kare agar na mile to jamaat na chhode balke us fasiq ke pichhe hee namaz parh le us ka azab aur wabal masjid ke muntazimeen -zimmedaron par hoga
📓ahsanul fatawa 3/26
Us ko imam banana makrooh hai albattah agar woh khud imam bankar namaz parhawe to namaz ho jayegi agarche woh sawab na mile jo muttaqee imam ke pichhe parhne se milta hai.
📘fatawa mahmoodiya 7/43
Iseetarah agar sab muqtadi darhi munde ho to darhi mundane wala imam ban jaye
📙kifayatul mufti 3/57
📚masaile imamat 58 se 60 ka khulasa
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2805⭕
Ramzan qareeb hai lihaza taraweeh ke aham masail kya hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Taraweeh ke aham masai hasabe zail hai.
♻(1) TARAWEEH KA HUKM
TARAWEEH KI NAMAZ MARD AUR AORAT DONO KE LIYE SUNNATE MUEQQIDA HE, BINA UZR OR MAJBURI KE CHHODNE WALA SAKHT TAREEN GUNEHGAR HOGA.
📚(FATAWA DARUL ULOOM4/281)
♻(2) TARAWEEH KI NIYYAT
1. HAR DO RAKAT KI ALAG ALAG KARE, JAISE ME DO RAKAT NAMAZE TARAWEEH, SUNNATE MUAQQIDA PADTA HUN, IS IMAAM KE PICHE, ALLAH KE WASTE, MERA MUH QIBLE KI TARAF,
2. BIS RAKAT KI NIYYAT EK SAATH JAISE ME BIS(20) RAKAT TARAWEEH KI SUNNATE MU’QQADA PADHTA HUN, DAS (10) SALAMO KE SATH, MERE IMAAM K PICHHE, ALLAH K WASTE, MERA MUH QIBLE KI TARAF.
📚(FATAWA RAHIMIYA6/238)
♻(3) CHHUTI HUI RAKAT ADA KARNE KA TAREEQA
AGAR KISI SHAKHS KI TARAWEEH KI KUCH RAKAT CHHUT GAYI HO, TO AGAR DARMIYAN ME MOKA MILE TO PADH LE, WARNA IMAM KE SATH SHARIK HO JAYE, OR WITR BHI IMAM KE SATH PADH LE, PHIR CHHUTI HUWI RAKATO KO PURA KARE.
📚(FATAWA DAARUL ULOOM4/260)
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2806⭕
Taraveeh me jab hafiz niyat bandhkar Qirat karte hai to aksar namazi pichhe yuhi bethe rehte hai, ya tahalte rehte hai, aur jese hi hafiz ruku me jata he,ye log jaldi jaldi niyat baandhkar namaz me shamil ho jate hai,,, inka ye fayl( Kaam ) kesa he????
🔵JAWWB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Taraveeh me ek baar poora Quran majeed sunna Zaroori he, aur sunnate moakada he,
Jo log imam ke saath shareek nahi hote unse utna hissa Qurane majeed ka Faut ho jata he, isliye ye log na sirf ek sawab se mahroom rehte hai balki nihayat makrooh kaam karte hai,
→kyuki inka ye kaam Qurane Kareem se eraaj-munh modne ki tarah he aur ye susti ka tareeqah qurane kareemn ke mutabiq munafiq ka tareeqah hai
ۚ وَ اِذَا قَامُوْۤا اِلَی الصَّلٰوۃِ قَامُوْا کُسَالٰی ۙ یُرَآءُوْنَ النَّاسَ وَ لَا یَذْکُرُوْنَ اللّٰہَ اِلَّا قَلِیْلًا
.”jab woh namaz ke liye khade hote hai to susti se khade khote hai logon ko dikhawah karte hai aur allah ka zikr thoda hee karte hai.
📘SURAH E NISAA AYAT NO.142
📗 Aapke Masail aur unka Hal, 3/ 64
و اللہ اعلم
✒IMRAN ISMAIL MEMON HANFI
🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
NAMAZ KI PABANDI AUR GUNAH SE BACHNE KA TAREEQA
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2838⭕
Hamne Ramzan me 5 waqt ki namaz ki pabandi barabar ki aur ramzan baad bhi pabandi ki niyyat ki lekin namazen rozana qaza ho rahi kisi kisi waqt ki padh leta hun to namaz ki pabandi ke liye aur gunah se bachne ke liye kya karna chahiye?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Namaz wagairah ki pabandi aur gunah se bachne ke liye hazrat hakeemul ummat mujadeede millat maulana ashraf ali thanwi Rahmatullah Alayhi ne ek tadbeer-idea likha hai agar use dil par lekar amal kiya jaye to zaroor pabandi dobarah shurooa ho jayegi.
Hazrat likhte hai, jis ka khulasa ye hai ke koi bhi amal chhute ya koi gunah ho to apne upar jaani ya maali jurmana-penalty muqarar ki jaye to nafs sidha ho jayega.
Masalan jis roz meri fajr ki namaz qaza hogi to me 100 Rs.sadqah karunga har aadmi apni apni haisiyyat se paison ki itni miqdar tay kare jis ko nibha bhi sake aur nafs par bojh bhi pade.
Ya jani jurmana muqarar kare ke jo namaz meri chhutegi to us ki das guna qaza karunga masalan fajr ki do rakaat qaza ke sath mazeed 8 rakat is tarah das rakat padhunga ya us din naashta hee nahi karunga fulan gunah hoga to itna sadqah ya itni baar istigfar pehle karunga to aesa do tin baar karne hi se nafs qabu me aayega aur pabandi shurooa ho jayegi.insha Allah
📗MALFUZATE HAKEEMUL UMMAT SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanfi.Gufira lahoo
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
👞Joote Pehan kar Namaze Janazah padhna👟
⭕AAJ KA SAWAL NO.2856⭕
Aaj kal baaz log Janazah ki Namaz joote pehne hue padhte hain,unke liye zaroori he k wo jis jagah khade hon Wo jagah aur Joote dono paak hon ,varna unki Namaz nahi hogi ,
📗 Bahishti Gohar
Aur agar joota pair se nikaal diya jaye aur us per khade hon to sirf Joote ke ooper ka hissa Jo per se mila ho uska paak hona zaroori he, agar che talya napaak ho ,neez is soorat me Wo zameen bhi napaak ho to koi haraj nahi. lihaza joota nikalne kee soorat aehtiyat wali hai.
📘Bahishti Gohar, imdadul Ahkaam