Kya Happy new year, saal mubarak kehna na jaiz aur bidat hai ?
Kya isme gairon se mushabahat nahi ?
AAJ KA JAWAB
Happy new year kehne me nasaara-khiristi-Christian qaum se mushabahat hai lihaza Naa-Jaiz hai.
KITABUL FATAWA 6/125 SE MAKHOOZ
ISLAMI TAREEKH : 23 RABIUL AAKHAR 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
What is the ruling regarding wishing Happy New year? Will it be considered imitation on Non Muslims?
Answer
Wishing New Year is imitation of Non Muslims and therefore not permissible.
KITABUL FATAWA 6/125 SE MAKHOOZ
ISLAMI TAREEKH : 23 RABIUL AAKHAR 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
MERRY CHRISTMAS KEHNE KA HUKM 1588
Merry Christmas ka ma’ana baaz kehte hai ke “mubarak ho khuda ko beta huva hai” hota hai ke to kya us kehne se kafir ya mushrik ho jayega?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
merry ke ma’ane khushi Christ ke ma’ane maseeh-isaa mast ke ma’ane jamaa hona pura ma’ana huva isaa ki khushi me jama hona ya’ani unki wiladat ki khushi me jama hona.
Aap ne jo bataya wohi us ka lafzi tarjamaa nahi hota lekin aisa kehne me unka yahi aqeedah aur maqsad Chhupa hota hai lihaza lafzi tarjama kufr ka na hone ki wajah se kufr se bachane ki ye taweel mavjood hai isliye is ka kehne wala kafir ya mushrik to na kaha jayega lekin kufr ke ma’ana paida hone ka abdesha-khatra hone ki wajah se aisa kehne se bachna zaruri hai aur mushabahat-copy hone ki wajah se sakht gunehgar hoga.
MAKHOOZ AZ MAALA BUDDA MINHU WA OXFORD DICTIONARY
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
KHIRAJE AQEEDAT PESH KARNE CANDLE JALANA 1648
Shaheedon ko khiraaje aqeedat oesh karne ke liye candle-mombattiyan jalana kaisa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Candle jalana yahudiyon ki mazhabi ibadat hai, Har saal murdon ko yaad karne aur un ko khiraje aqeedat pesh karne ke liye woh jalate hai.
Aur is ke zariye ibadat karne ka un ki Kitab me hukm hai.
un ki dekha dekhi isaiyon ne bhi shurooa kiya aur fir is rasm ko puri dunya me media ke zariye aam karne ki koshish ki gai,
jis ka asar baaz musalmano par bhi pada, Islami shareeat me gair qaum ki mushabahat se sakhti se roka gaya hai,
lihaza khiraje aqeedat pesh karne ya apna gam batane candal-mombattiyan jalana yahoodiyon ki mushabahat-copy hone ki wajha se jaiz nahi.
TAURAAT BAAB 8:20
Mufti Muhammad tareeq qasmi dewbandi
khadime jamia husainiyah dewband ke fatwe ka khulasa
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH:
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
KHIRAJE AQEEDAT PESH KARNE KA TAREEQA AND SHAHEED KEHNE KA HUKM 1649
Khiraje aqeedat-shradhanjali pesh karne ka kya tareeqa hai 5 minute mon dharankarna- khamosh rehna kaisa hai? aksar gair muslim maqtool-marnewale ko shaheed keh sakte hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Hamare non Muslim bhai marnewalon ke fuotu par ful haar chadhakar Khiraje aqeedat-shradhanjali pesh karte hai,
yahoodi, isaai mombatti jalakar aur musalman quraan padhkar sadqa aur nek aamal kar ke us ka sawab marnewale musalman ko bakhash kar khiraje aqeedat pesh kare,
aur har marnewale ke rishtedaron ko tasalli-dilasa aur himmat den aur allah se un ke liye us ka achchha badla milne ki duaa den.
agar zarooratmand ho to un ki madad kare
Dunya aur akhirat ka Shaheed ye khaas istilaah-paribhasa musalmono ke liye khas taur par boli jati hai.
Agar gair muslimon ke yahan har marnewale mazloom ke liye shaheed bolne ka riwaj ho to woh bol Sakte hai.
SHAMI 9/552,1/472 SE MAKHOOZ
MUFTI JUNAID BAMBAVI KE FATWE KA KHULASA
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH:
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
AAJ KA SAWAL NUMBER 2425
April Fool manana kaisa hai ?
Jawab
April fool me ye 4 cheezen hoti hai.
1. Jhoot,
2. Takleef pohanchana,
3. Mazaaq udana &
4. Be Izzat karna.
5. Gair qaum ki musabahat.
ISLAM KHAIR KHAHI WALA MAZHAB HAI.
Ab in pehli 4 cheezo ke bare me Quran o Hadis se sirf ek ek baat Mai likhunga tafseel nahi.
1. JHOOT:
Quran:
“ALLAH KI LANAT HAI JHOOTO PAR.
(3:61)
Hadis:
Moamin me paidashi taur par Saari Khaslaten hosakti hai Magar KHAYANAT aur JHOOT ki Aadat nahi hosakti
(MUSNAD AHMED)
2. TAKLEEF POHANCHANA:
Quran
“aur wo Log jo Baghair kisi Qasoor ke MOMIN MARDO or MOMIN AURTO ko takleef pohanchate hai, unho ne Yaqeenan BOHTAAN AUR SAREEH GUNAH KA BOJH UTHAYA.”
(33:58)
Hadis:
“MOAMIN WO HAI JISKI ZABAN AUR HATH SE DUSRE MUSALMAN MEHFOOZ RAHEN.”
(BUKHARI)
3. MAZAQ UDANA:
Quran:
“Aye IMAN WALO! Tum me se koi dusre ka Mazaq na udae Mumkin hai jinka Mazaq udaya jaa raha hai wo un se Behtar ho aur na Aurten dusri AURTON ka Mazaq udae MUMKIN hai wo Jinka Mazaq udaa rahi hai unse ACHI hon.”(49:11)
Hadis:
Tum me se koi shaqs Apne BHAI ke Samaan ko(bila ijazat) na Mazaq me le aur Na Haqeeqat me le”
(ABU DAWOOD)
4. BE IZZAT KARNA:
Quran:
“HAR US SHAQS KE LYE KHARABI HAI JO TANA DENE WALA, AIB NIKALNE WALA AUR CHOGHAL KHOR HAI.”(104:1)
Hadis:
“Kabeera Gunahon me se ek BADA GUNAH kisi Musalman ki Izzat par Na Haq Hamla karna hai.”
(ABU DAWOOD)
AB ZARA IN AAYAAT AUR AHADIS KO GHAUR SE PADH KAR SONCHE KE HUM “APRIL FOOL” MANA KAR ALLAH KI LANAT AUR DOZAQ KE AZAAB KE MUSTAHIQ BAN RAHE HAIN.
Maine har baare me 1 AYAT or 1 HADIS likhi hai warna in baato par aur bhi waeeden hai. hum 2 minute ki nafsani khahish ke lye ALLAH AUR USKE RASOOL KI NARAZGI kyun MOL LEN AUR akhirat ki ZINDAGI ko kyun JAHANNAM ka ghar banalen….????
SOCHIYE
KHUD BHI BACHEN AUR DUSRO KO BHI BACHAEN.
ALLAH HUM SAB KI HIFAZAT FARMAE AUR TAMAM BAATIL CHEEZO SE BACHAE.
AMEEN
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI
GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT
INDIA
GARBE, DAANDIYA, NAV-RATRI ME SHIRKAT
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2618⭕
Hinduon ke tyohaar garba (nav-ratri) me shirkat karna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Nav-ratri Hinduon ka mazhabi tyohaar hai jisme woh amba devi ki murti ya tasweer ke tawaf (chakkar) lagaa kar uski pooja karte hain, isme shirkat karna gairullah ko poojne ke baraabar gunah hai, jo kufr aur sakht gunah hai,
Kaaba sharif ke alawah kisi bhi cheez ka tawaf jaiz nahin hai, kufr ke alawah music, gaana gaana ya sunna bad-nigahi, gairon ke saath tallukat wagairah kayi gunah me mubtala hone ka zariyah hai, lihaza is me shirkat iman barbaad karna aur haraam hai.
و الله اعلم بالصواب
Non muslims ke Gam me shirkat ka hukm
⭕AAJ KA SAWAL No. 2633⭕
Mere bahut se dost va ahbab non muslims hain mere yahaan agar kisi ka Inteqal ho jaae ya koi museebat paish aa jaae to woh hamare yahaan ta’ziyat ke liye aate hain,
To kya agar non muslims me se kisi ka Inteqal ho jaae to usko taziyat-pursha dene ka kya hukm hai?
Agar pursha dena jaiz hoto uska kya Tareeqa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Non Muslims ki khushi aur gami me Insani, samaji rishte ki wajah se shariq hona durust he balke behtar hai, taake un par Islam ki Faraakh (kushada) dili aur muslmano ki khush akhlaqi ka naqsh (sikka) qaayim ho sake, Isliye non muslims ki ta’aziyat bhi ki jaa sakti hai, fark yah hai ke musalmano ki ta’aziyat karte huve wafat pane wale ke liye dua e magfirat karni chahiye, non muslims marne wale ke ghar walon ke liye muhabbat aur ta’alluq ka izhar kiya jaae. Ghar walon ko sabr aur dheeraj naseeb ho aisee dua kare ehle ilmne non muslims ki ta’aziyat ke liye yah kalimat likhkhe hain
اعظم اللہ اجرك و احسن عزاءك
A’azamallahu ajraka va ahsanu iza’ik.
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2642⭕
Islam me patakhe fodna kyun haraam hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Patakhe fodne me dasyon haraam kaam wujood me aate hain aur usme sekdon nuqsanat hain usme se kuchh paish kiye jate hain.
1️⃣. KAANO KE PARDE BAAR BAAR TEZ AWAZ SE KAMZOR HO JATE HAIN
2️⃣. USKE DHUEN SE AANKHEN KAMZOR HOTI HAIN
3️⃣. BARUD WALI HAWA AUR DHUAN GALE ME JATI HAI JIS SE GALE AUR FEFDEN KO NUQSAN HOTA HAI
IS SE DIL KE MAREEZ AUR DAMA KE MAREEZ KO BADI PARESHANI HOTI HAI, KHANSI, NAZLAH, AANKHON KA JALNA, ALLERGY WAGAIRAH BIMARIYAN PAIDA HONE KA KHATRA BADH JATA HAI
4️⃣. APNE AUR PADOSI KE JAAN MAAL KO KHATRE ME DALNA
5️⃣. HAATH PAIR MUNH JAL JAANE KA KHATRAH.AUR JAL JAANE KE HAZARON WAQIAH PAISH AA CHUKE HAIN.
6️⃣. ROCKET SE JHONPDON AUR GHARO ME AAG LAGNA
7️⃣. HAWA KA PRADUSAN (POLLUTION) HONA VAIGYANIKO KA KAHNA HAI, EK LAKH CARON KE DHUNVE SE JITNA NUQSAN HOTA HAI UTNA 20 MINUTES KI AATISHBAZI SE HOTA HAI.
8️⃣. RASTON ME KACHRE KA HONA
9️⃣. KARODON AUR LAKHON RUPIYON KI FUZOOL KHARCHI AUR PAISON KI BARBADI
🔟. BUDHE BIMAR AUR TAAZA PAIDA SHUDA BACHCHEN CHONK JATE HAIN AUR
1️⃣1️⃣. PURI RAT PATAKHE FUTNE SE UNKO BAHOT TAKLIF HOTI HAI AUR UNKI NIND KHARAB HOTI HAI.
1️⃣2️⃣. MATENARY HOSPITAL KE QAREEB FUTE TO SUWAWADI (BACHCHA JANNEWALI) MAA PARESHAN HOTI HAI, TAAZA PAIDA HONE WALE BACHCHE RONE LAGTE HAIN IN KO KHAMOSH KARANA MUSHKIL HO JAATA HAI.
1️⃣3️⃣. DARKHT KE QAREEB PATAKHE FUTTE HAI TO PARINDE BAHRE HO JATE HAIN
1️⃣4️⃣. PAREENDO KE BACHCHON KA KALEJA FAT JATA HAI AUR WOH MAUT KE GHAT UTAR JATE HAIN
1️⃣5️⃣. KAGAZ JO ILM HASIL KARNE KA ZARIYAH HAI USKO JALA DIYA JATA HAI AUR LIKHE HUWE KAGAZON KI BE ADABI HOTI HAI QUR’AN KE SAFE BHI BAAZ JAGAH PAYE GAYE HAU
1️⃣6️⃣ PATAKHEN ME CARBON MONOXIDE, SULPHUR OXAID, HYDROGEN SALFAID JAISE ZAHRILE CHEMICAL NIKALTE HAIN, JO SIHHAT KO BAHUT HI NUQSAN KARTE HAIN. JEEVJANTU KO BHI NUQSANA HOTA HAI
📗ISLAHUR RUSOOM SAGA 16,18 Iizafe KE SATH
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2643⭕
Kya kali chaudas ki raat bahut bhari hoti hai?
Isme aatma bhatakti hai aur jaadu hota hai is raat me baahar nahi nikkallna chahiye?
Ek maulana ne bataya ke Hadees se bhi is ki taeed hoti hai jisme hai ke saal me ek raat aisi aati hai jis me aasman wabaa utarti hai lihaza is raat me padhne ke kuchh wazeefe bhi bataye the to kya yah baaten saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Islam me koi raat ya deen bhari ya manhoos nahi hota lihaz yah aqeeda galat aur hindu qaum ka aqeeda aur waham hai,
Shareeat me aisa aqeeda rakhne ki ijazat nahi rahi baat us hadees ki jisme hai ke saal me ek raat aati hai jaise me bimariyan nazil hoti hain, jo bartan dhhanke huwe hote hain aur jin mashkizon (paani ke ghrhon) ka munh bandh hota hai usme nahi utarti (MUSNADE AHMAD)
Is raat se murad konsi raat hai wo tay nahi hai lihaza apni taraf se kali chaudas ko tay kar dena saheeh nahi,
Lihaza bala nazil hone ka imkan har raat me hai isliye bartan dhankne ka hukm har raat me hai,
Is hadees me waba se bachne ka ilaj bartan dhankna bata diya hai lihaza uske ilaj ke taur par apni taraf se wazeefe batana bhi saheeh nahi jo cheez aql ke khilaf hasees se sabit ho us par apni aql laga kar dusri cheez ko sabit nahi kar sakte,
Lihaza is raat me koi khas wazeefa, surat padhna bhi saheeh nahi jo wazaif dua hadees se sabit hai woh is raat me balke har raat me padhne chahiye.
📗MAHMOODUL FATAWA JILD SAFA SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Ul oom Rampura, Surat, Gujarat, India.
DIWALI, HOLY, WAGAIRAH NON MUSLIM KE TYOHAR KI MUBARAK BAADI DENE KI JAIZ SHAKAL
⭕AAJ KA SAWAL NO.2645⭕
Diwali ki mubarak baadi Dena jaiz hai? me Hindu bhaiyon ki company me job karta hun to unko kaise wish karun?
Unko mubarak baadi na de to unko bura lagta hai, mufti sahab koi jaiz surat ho to rahnumayi farmane ki darkhast.
🔵JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Agar mubarak ba adi deni zarooree ho to
Dil me inki is rasm ko bura samjhte huve aise jumle se unko mubarak baadi dee jaae jisse unke tyohar ki na azmat ho na unke jumlon aur rasm se mushabahat,
To gunjaish maloom hoti hai masalan yah jumla kahaa jaae ke diwali ke Is mawqea par aap ko har kaam me sahih rasta mile. Dil me sahih raste se unki hidayat muraad Lee jaae.
Ya naya saal aap ke dono jahan Ki kaamyabi ka zariyah bane
Diwali ke mauqea par ishwar aap ke bhawisaya (future) ko roshan (prakashit) kare.
english me yah keh de
May your path be enlightened wagairah dua ke jumle keh diye jaae.
📘FATAWA MAHMOODIYAH 19/567
📗FATAWA BAZZAZIYAH 6/334 SE MUSTAMBAT
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2644
Diwali par staff, mazdoor ko bounas milta hai woh le sakte hain ya nahi.?
🔵AAJ KA JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Agar malik khushi se de to le sakte hain.
📗Aap ke masail aur un ka hal 7/241
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
MUSHABAHAT KA MATLAB AUR IBRATNAK QISSAH
⭕AAJ KA SAWAL NO.2646⭕
Jo kisi qaum ki mushabat ikhtiyar kare woh unhee me se hai is ka kya matlab hai?tafseel se batayen
🔵JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Hadees ka matlab yah hai ke jo shakhs kisi bhi gair qaum (mazhab walon) ki mushabahat, naqqali aur copy unki mazhabee cheezon me unki mazhabi nishaniyon, khushi aur gami me karega uska hashr ya’ani qayamat ke din uthaya jana unhi ke saath hoga us shumar bhi kafiron me hoga yani un ke liye azab aur jahannam me jaane ka faisla hoga to is mazhabi mushabahat karne wale ke liye bhi azab aur jahannam me jaane ka faisla hoga.
Hashar ka matlab samjhne ke Allah ne duniya hee me kai waqiaat hame dikha diye jis me se ek muatabar waqiaa paish karta hun.
NASRANIYON KE TAUR-O-TARIQE PASAND KARNE WALE AALIM KA IBRATNAAK QISSAH
📄Hazrat imaam-e-Rabbani Maulana Rashid Ahmad Gangohi rh.ne irshad farmaya :
Kanpur me koi nasrani jo kisi aa’la ohde par tha woh muslaman ho gaya tha, Magar asliyyat chhupa rakhi thi,
Ittefaq se uska tabadla (transfer) kisi dusri jagah ho gaya, usne un maulvi sahab ko jisse usne islam ki baaten sikhi thi, apne tabadla se muttale’a kiya (ittela di) aur tamanna ki ke kisi deendaar shakhs ko mujhe den, jisse ilm haasil karta rahun, chunanche maulvi sahab ne apne ek shagird ko unke saath kar diya,
Kuchh arse baad yah nasrani (jo musalman ho chuka tha) woh bimar huwa to maulvi sahab ke shagird ko kuchh rupiye diye, aur kahaa ke jab me mar jaun aur isaai jab mujhe apne qabristan me dafan kar aaye to raat ko jaa kar mujhe wahaan se nikalna aur muslamano ke qabristan me dafan kar dena,
Chunanche waisa hi huwa, jab maulvi sahab ke shagird ne hasbe wailsiyyat jab qabr kholi to dekha ke usme wo nasrani nahin, Albatta woh maulvi sahab pade huwe hain, to sakht pareshan (sharminda) huwe ke yah kya maazra hai..! Mere ustaad yahaan kaise..!
Aakhir daryaft se malum hua ke maulana sahab nasrani ke tauro tariqo ko pasand karte the aur use achchha jaante the.
📘(Irshadate hazrat gangohi rh. safa 65)
👇🏻👇🏻👇🏻
Mere bhaiyo,
yah maulvi sahab sirf gairon ke tariqon ko pasand karte the, us par chalte nahi the, to Allah ne duniya hi me jiska tariqa unko pasand tha uske saath hashr kar diya,
Ham to gairon ke tariqon par chalte hain, balke us par naaz karte hain, aur fakhr se manate hai to hamara kyaa hashr hoga..!
socho
Aur apni shaklo surat, libaas, rahan sahan, khushi gami me islami tariqon ko layen aur ham gairon ke tyohar manane se bachen
👏🏻Allah hamen taufiq de.
Aameen
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
CHRISTMAS DAY ME SANTACLOS BANNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2703⭕
Christmas day qareeb aata hai to school me function hota hai usme hamare ba’az muslim bachcho ko santaclos ka huliya (make-up) banane ko kahaa jata hai aur bahot so ko uski topy pehnai jaati hai to kya bschche yeh libas islami eatibar se pahan sakte hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Islami Shateeat me gair qaum se mushabahat ikhtiyar karne ki mumaniat-mana hona aaya hai Hadees shareef me hai jis ne jis qaum ki mushabahat-copy ikhtiyar ki uska hashr qayamat me zinda kiya jana usi ke saath hoga.
Christmas day (naatal) nasara (Christian) ka tehwar hai us me santaclos ka libas ikhtiyar karna unki mazhabi rasm hai lihaza santaclos ka roop (huliya) ikhtiyar karne ki ya uski topy pahenne ki bachchon ko bhi ijazat na hogi isse un ke mazhab ka rang un par chadhta hai aur unki galat tarbiyat hoti hai,
Jiska gunah tawajjuh na dene ki wajah se maa bap ko hota hai lihaza us se apni awlad ka bachana zaruri hai.
📗MAKHOOZ AZ MAJMAUZ ZAWAID 5/169
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
⭕AAJ KA SAWAL NO.2704⭕
Merry Christmas ka ma’ana baaz kehte hai ke “mubarak ho khuda ko beta huva hai” hota hai ke to kya us kehne se kafir ya mushrik ho jayega?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
merry ke ma’ane khushi Christ ke ma’ane maseeh-isaa mast ke ma’ane jamaa hona pura ma’ana huva isaa ki khushi me jama hona ya’ani unki wiladat ki khushi me jama hona.
Aap ne jo bataya wohi us ka lafzi tarjamaa nahi hota lekin aisa kehne me unka yahi aqeedah aur maqsad Chhupa hota hai lihaza lafzi tarjama kufr ka na hone ki wajah se kufr se bachane ki ye taweel mavjood hai isliye is ka kehne wala kafir ya mushrik to na kaha jayega lekin kufr ke ma’ana paida hone ka abdesha-khatra aur un ke nazariye ki tayeed hone ki wajah se aisa kehne se bachna zaruri hai aur mushabahat-copy hone ki wajah se sakht gunehgar hoga.
📗MAKHOOZ AZ MAALA BUDDA MINHU WA OXFORD DICTIONARY
DARUL ULOOM BINORIA TAWUN FATWA NO.
144104200701
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2721⭕
ISLAMI SHARI’AT ME PATANG UDANA NA JAIZ KYUN HAI ?
🔵JAWAB🔵
PATANG UDANE KE BAHUT HEE ZIYADA DUNYAWI AUR UKHRAWI NUQSANAT HAI JIS KI WAJAH SE US KA UDANA NA JAIZ HAI.
PATANG UDANE KE 2⃣4⃣ NUQSANAAT NICHE KE MUTABIK HAI.
1. FUZOOL KHARCHI MAAL AUR SALAHIYYAT KA BARBAD KARNA.
2. PATANG KI TARAF NAZAR HONE KI WAJAH SE NICHE GIR KAR MAR JANE YA ZAKHMI HONE KA KHATRA.
3. RAASTE SE GUZARNEWALE KITNE HEE BE-KASOOR INSAANON KE GALE KATE JISKI WAJAH SE MAR GAYE YA SAKHT ZAKHMI HUWE.
4. ZAKHMI HONEWALE MAZLOOMON KI BAD-DUA LAGNA YA MARNEWALON KI BEWA AUR YATEEMON KI BAD-DUAA AUR HAAY LAGNA.
5. KITNE HI MASOOM PARINDE(BIRDS) IS KI DOREE SE KAT KAR MAR JATE HAI YA SAKHT ZAKHMI HOTE HAI.
6. PATANG AKSAR TARRES AUR CHHAT PAR CHADH KAR UDAYI JAATI HAI JIS KI WAJAH SE AASPAAS KE GHARON KI BEPARDAGI AUR BAD NIGAHI HOTI HAI.
7. SHAREEF BA PARDAH AURTON KO KAPADE SUKHANE ME AUR KHIDKI DARWAZE BANDH RAKHNE ME TAKLEEF HOTI HAI.
8. ROAD PAR PATANG LOOTNEWALON KA ACCIDENT HO JATA HAI.
9. GAADI CHALAANE WALE BHI BAAZ MARTABAH IN KI WAJAH SE GAADI KE SATH GIRKAR ZAKHMI HOTE YA UN KI GAADI KA NUQSAN HOTA HAI.
10. GAADI CHALANEWALON KE DARMIYAN ACHANAK DOOREE AANE KE HAR WAQT DAR KI WAJHA SE AUR IN LOOTNEWALON KI WAJAH SE GAADI CHALANE ME TAKLEEF HOTI HAI.
11. MASJID KI JAMAAT BALKE KHUD NAMAZ SE GAFIL HO JATA HAI.
12. PURA DIN PATANG UDANE ME GUZAR NE KI WAJAH SE BADON KI DUKAN AUR NAUKARI KA HARAJ AUR BACHCHON KE MADRASAH KI PADHAI KA NUQSAAN.
13. HAR EK KI NIYYAT DUSRE KA PATANG KATNE KI HONE KI WAJAH SE NUQSAN PAHONCHANE KA GUNAH.
14. JIS KI PATANG KAT GAI US KE DIL ME ADAWAT AUR KEENA AUR US KA PATANG KAAT KAR BADLA LENE KE JAZBAT KA PAIDA HO JANA.
15. SHORGUL,SITIYAN,AUR DJ, KI WAJHA SE AARAM KARNEWALE BIMAR,BUDHE AUR QAYLOOLLAH KARNEWALE NEK BANDON KI NIND ME KHALEL PAHONCHNA.
16. MUSIC AUR GANA SUNNE AUR SUNNA NA CHAHNEWALON KO SUNANE KA GUNAH HONA.
17. NAMAZ KE WAQT BHI ZOR SE D.J.BAJNE KI WAJAH SE IMAM KI QIRAAT AUR MUSALLIYON KI NAMAZ ME KHALEL WAWIA HONA.
18. KAI DIN TAK DHUP ME PATANG UDANE KI WAJHA SE JISMANI RANG AUR ANKHON KI ROSHNI PAR ASAR PADNA.
19. GAIRON KI MUSHABAHAT-COPY HONE KI WAJHA SE QAYAMAT ME UN KE SATH HASHR HONA-UN HEE ME SHUMAR HONA.
20. PATANG LOOTNE KA GUNAH.
21. US KI DORI TOD KAR CHURANE KA GUNAH.
22. AISE FUZOOL KAAM JIS ME DUNYA AKHIRAT KA KOI NAFA NAHI QEEMTI WAQT ZAYEA KARNA.
23. GAIRON KE IS TEHWAR KO ACHCHA SAMJHNE AUR IN GUNAHON PAR KHUSH HONE WAJAH SE IMAAN KE BARBAD HONE AUR KAFIR HON JANE KA KHATRA.
24. MAUT KA KOI WAQT TAY NAHI GAIRON KA TEHWAR AUR IN TAMAM GUNAHON KO KARTE KARTE ACHANAK MAUT AA GAI TO KHATMA BURA HO JANA.
IS MSG KO KHUB FORWAD KARE APNE GHARWALON KO SUNAYE AUR PATANG KI LANAT SE KHUD BACHE AUR APNE BACHCHON KO KHAAS BACHAYE BACHPAN HEE SE IS SE NAFRAT DILAYE.
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.