Qurbani karne walon ka Hissa lene valo se Zyada raqam vasool karne ka hukm

Qurbani karne walon ka Hissa lene valo se Zyada raqam vasool karne ka hukm

⭕AAJ KA SAWAL NO.2882⭕

Eid ul Az’ha ke Mavqe per Ba’az Idaron ki Janib se Ijtemaee Qurbani Ka Nazm Kiya jata 3000 Rupiye aur Mukammal Janvar ki Qeemat 21000 Rupiye Rakhi Jati he Ab Ma’alum Karna ye he ki Kya Logon se Tai shuda Qeemat Lekar Aadhi Qeemat me janvar Katvana kya Jaiz he?
Note:- Vazeh ho ke Nardah Vageirah ke Ilaaqe Jaise Orissa,Bihar aur Aasam Vageirah me 7 ya 8 Hazar ki Qeemat me Achcha Janvar Aa Jata he, Neez Ba’az Idaro ke Zimmedaran Idarah ke ya Idarah ko Zariya Banakar Apne Faidah ke liye in Ilaqon me Ijtemai Qurbani karvate hai.aesa karne ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلم

Is tarah ke Idaro, Tanzimo aur Madaris ki Taraf se Umuman Jaha bhi Qurbani Ka Nazm kiya Jata hai Vo Ba tor e Vakalat Hota hai, Yani ye Tanzime, Madaris aur Idare qurbani ki khaal ke liye Logo ke Vakeel Ban kar Un ki Qurbani Anjam Dete hai,Neez Logo me Ma’arufo Mashhoor bhi yahi he ke ye Idare Aur Tanzime unke Vakeel Bankar Qurbani Karte hai.
Lihaza Qurbani ke Janvar ki Khareedi Aur Uski Katai me Jitni raqam Sarf Hoti hai Utni hi raqam Hissa Lene Valo se Vasool ki Jayegi, Is se zyada Rakam lena Durust Nahi, Kyunki Vakeel ameen-amaanatdar Hota he,
المال الذي قبضہ الوکیل بالبیع والشراء وإیفاء الدین واستیفائہ، والمال الذي قبضہ الوکیل بقبض العین بحسب وکالتہ، ہو في حکم الودیعۃ بید الوکیل۔(شرح المجلۃ لسلیم رستم باز ۷۸۴ رقم المادۃ: ۱۴۶۳ المکتبۃ الحنفیۃ کوئٹہ)
Agar koi Idara ya Tanzeem Haqqul Ujrat-mazdoori Lena Chahe to Hissa lene valo ke samne Sarahat karde ke Qurbani ki Raqam Itni hogi aur Hamari ujrat Itni Hogi, Behtar hai ke zabani Muttale’a Karne ke sath Raseed(Receipt) per bade Harfon me tahreer bhi Karde.
Aur agar Idarah Unhe Hissa Farokht karna chahta ho to uski bhi Ijazat hai, albattah Isme ek to Vahee Shart hogi ke Unhe Saaf saaf Batlade, aur Dusree Shart ye hogi ke Unhe Farokht karne se Pehle Khud Janvar Kharide fir unhe Farokht kare varna qabza aur maalik banne se pehle bechna Lazim Ayega jo Durust nahi.
ما في ’’ السنن الکبری للبیہقي ‘‘ : عن حکیم بن حزام قال : قلت : یا رسول صلی اللہ علیہ وسلم للہ ! الرجل یطلب منی البیع ولیس عندي أفأبیعہ لہ ؟ فقال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم : ’’ لا تبع ما لیس عندک ‘‘ ۔
(۵/۴۳۸ ، کتاب البیوع ، ۱۰۷۲۵، ۱۱۰۱۹، بیروت)
ما في ’’ جامع الترمذي ‘‘ : عن حکیم بن حزام قال : أتیت رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم فقلت : یأتیني الرجل یسألني من البیع ما لیس عندي أبتاع لہ من السوق ثم أبیعہ ؟ قال : ’’ لا تبع ما لیس عندک ‘‘ ۔ (۳/۵۳۴ ، کراہیۃ بیع ما لیس عندک ، رقم : ۱۲۳۲، دار احیاء التراث)
ما في ’’ بدائع الصنائع ‘‘ : شرط انعقاد البیع أن یکون المبیع مملوکاً للبائع عند البیع ، فإن لم یکن لا ینعقد ۔۔۔۔۔ وہذا بیع ما لیس عندہ ، ونہی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم عن بیع ما لیس عند الإنسان ۔ (۵/۱۴۷، کتاب البیوع). فقط واللہ تعالی اعلم وعلمہ اتم واحکم.
Faqat Vallahu a’alam va ilmuhu atammhu wa ahakam,
Katabahu:- Mufti Juned Bin Muhammad Palanpuri,
Darul ifta val Irshad, Majalis ul Baraqa,
(Kulaba,Mumbai)
Tarikh :- 11 Shavval Mukarram, 1440Hijari
muftijunaid1979@gmail.com
9820992292 /9820982844

* Khulasha Ye he ke Pehle Janvar Khareed liya Jaye uske baad hi Hissa ya Mukammal Janvar Farokht kiya jaye, Logo ke Ilm me Lane ke Liye ye shurat Ikhtiyar ki ja shakti he ke Hisas ke Farokht ka Jabani tor par kaha jaye neez Raseed (receipt) per bhi Chhap diya jaye ke aap ko hissa farokht kiya ja raha he ya hissa baraye farokht, Aur Agar Raseed chhap chuki hoto is tahreer kaStamp Bana Diya Jaye.
Aur agar Pehle janvar na Khareeda jaye ya Hisas ki Farokht ko Jahir na Kiya gaya ya mehnat ki ujrat Tay na ki jaye to fir Janvar ki asal Qeemat se Jyada Lena Jaiz Na Hoga.

Imran Ismaeel Memon, Surat, Gujarat

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *