QURBANI KI KHAAL KA HUKM AUR ISTEMAL
⭕AAJ KA SAWAL NO.2909⭕
1⃣Qurbani ki khal apne kaam me laa sakte hen ?
khud rakh sakte hen ?
2⃣Qurbani ke janwar ki khal masjid, madrase me de sakte hen ?
3⃣Imam sahab aur muazzin sahab ko khal de sakte hain ?
🔵Jawab🔵
1⃣Jee haan, Qurbani ki khal apne istemal me la sakte hain,
Qurbani ki khal bhi us ke gosht ki tarah paak hai, aur apne istemal me bhi laa sakte hain, us khal ko namak laga kar dhoop me sukha kar us ka musalla, doormate, water bag, coat wagairah bana kar istemal kar sakte hain.
Aisa na karna ho to gosht ki tarah kisi ko bhi de sakte hain, us ko dafan kar ke zayea na karen.
Agar bech den to phir us ki qeemat gareeb ko dena lazim hoti he.
📚Kitabul masail 2/250
2⃣
Janwar ki khal jab tak beche nahi tab tak wo gosht ki tarah hai aur usi ke hukm me hai, yani aap jis tarah gosht kisi ko bhi de sakte hain usee tarah khal bhi de sakte hain. (phir jis ko khal de di wo chahe to bech sakta hai) Albatta agar paison se bech den to phir wo zakat ki tarah ho jati he. yani ab us ko gareeb mustahiq logo ko malik bana kar dena zarooee he. Masjid me khal nahi de sakte kyun ke us me koi malik nahi ban raha hai aur madrase me dena jaaiz balke afzal hai, kyun ke wo khaal bechkar us ke paise madrase me padhne wale mustahiq bachon per kharch kiye jate hen (jis ka sawab aap ko bhi milega) Isi tarah dusri koi tanzim, jamaat ko dene ka yahi hukm hai ke agar wo bech kar gareebon ko paise malik bana kar dete hen to un ko de sakte hen, Warna nahi.
📚Mustafaad az, aap ke masail aur un ka hal 5/466
3⃣Imam, muazzin, wagerah hazraat ko un ki tankhah me khaal nahi de sakte, Un ki tankhah aur ujrat alag se hai aise hi khushi se hadye me de rahe hen to de sakte hen. (Aur wo hazraat bech ke us ke paise khud istemal kar sakte hen)
📚Mustafaad az aap ke masail our un ka hal 5/466
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India