SHARAB KE UKHRAWI NUQSANAAT

⭕ AAJ KA SAWAL No.2708 ⭕

Nashe ke Ukhrawi Nuqsanaat Kya-Kya Hain..?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Sharab ko Arabi Mein Khamar Kehte Hain, Jiska Maana, Aqal Ko Dhank Lena Hai,

Hadees me hai ke jis se Nasha hota hai Woh Haraam hai, Aur Fiqah ka Usool hai ke, Har Woh Nasha Jis Se Aqal Hoshon – Hawas Jate Rahe, Chahe Zyada Peene Se Jata Rahe Yaa Kam Peene Se Naa Jaye, Woh Sharab ke Hukm me hai.

Hadees me jo Wa’eeden Sharab Par Aayi hai, Woh Sharab Jaise Nashe Par Bhi Fit Hoti hai.

1. Sharab Peete Waqt Imaan Dil se Nikal Jana. (ABU DAWOOD

2. Sharab Peene Wale Pilane Wale, Khareedne Wale, Bechne Wale Aur Banane Wale, Banwaane Wale Par, Utha kar Le Janewale Par, Jiske Liye Uthayi Jaaye Uspar Aur Uski Aamdani Khaye In Sab Par Allah ki Laa’nat hai. (IBNE MAAJA)

3. Chehre ka Suwwar Aur Bandar ki Tarah Bana Diye Jane ka Khatra (Haakim)

4. Patthar ki Barish Aur Zameen me Dhasa Diye Jane ka Andesha (Haakim)

5. Sharabi ka Imaan Is Tarah Cheen Liya Jata Hai, Jaise kisi ke Kapde Utar Diye Jaye. (Haakim)

6. Sharab Se Tauba Naa Kee to, Jannat ki Sharab Se Mahroom Rahega. (Muslim)

7. Jannat ka Uspar Haraam Ho Jana. (Ahmad)

8. Jahannam me Gauta Nahar ka Badboodar Kachcha Peep, Jo Zinaakar ki Sharmgahon Se Behta Hoga Pilaya Hayega. (Abu Ya’la)

9. Sharabiyon ka Jism is Qadar Badboodar Hoga ke, Jahannami Log Bhi Us Se Pareshan Ho Jayenge. (Ibne Hibban)

10. Hamesha Sharab Peene Wala, Marta Hai to Allah Us Se Is Tarah Mulaqat Karenge, Jaise Murti Puja Karne Wale (Kaafir) Se Mulaqat Karte Hain

11. Jannat ki Khushbu Jo 500 (Panch Sou) Baras ke Raste ki Doori Par se Mahsoos hoti Hai, Sharabi Us Se Mahroom Rahega.

12. Ek Baar Sharab Peene Se 40 Din ki Namaz Qabool Nahi Hoti, Agar Woh Bagair Tauba Usi Halaat mein Mara to Jaahiliyat ki Maut Mara. (Haakim)

13. Jahannam mein Teenatul Khibaal-Jahannamiyon ki Zakhmon se Nikla Huwa Kachcha Lahu (Khoon) Pilaya Jayega. (Ibne Maaja)

📗 (DOZAKH KA KHATKA SAFA 151 SE 154 SE MAKHOOZ)

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *