Share & Partnership


KON SE SHAIR KHAREEDEN

⭕AAJ KA SAWAL NO.2696⭕

Kon se Share khareedne jaiz hai kon se khareedne na jaiz hai?

AAJ KA JAWAB

Jis company ka karobar shareeat ke khilaf na ho un ke share khareedna yani company me hissedar banna jaiz hai aur jin company ka karobar shareeat ke khilaf hai masalan sharab,tv, music ki items wagairah na jaiz karobar ke share khareedna jaiz nahi.

📗FATAWA USMANI 3/177 SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,india

📑SHARE KI INTRA  DAY TRADING

⭕AAJ KA SAWAL NO.2697

Aaj kal online share khareed kar usee din bhav badh jaye to bech dete hai.
Hamare khate me se pese cut jate hai aur khareedne wale me hamara naam bhi batata hai to ye trading saheeh hai?

AAJ KA JAWAB

mazkoorah surat me jab tak shair par aap ka qabzah-cdc Na ho aage bechna Na-jaaiz hai, Aur hamari (karanchi ke darul ifta  Ki jamaat) ki tahqeeqat ke mutabiq share qabza me tin din pehle nahi aata lihaza online khareedne ke baad tin din pehle bechna jaiz nahi.

📗FATAWA USMANI 3/178 Se 186
SHAIKHUL ISLAM HAZRAT MUFTI TAQI USMANI KARANCHI D. B. KI

✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,india

SHAIR ME QABZA KISE KEHTE HAI?

⭕AAJ KA SAWAL NO.2699 ⭕

Share bazar me
BSE Ltd. (India) me share kharidne ke third day pull DP (Broker ke A/C. me) Delivery aa jati hai.
(Yaani PIR ke Roz kharide hue shares ki Delivery BUDH ke Roz Broker ke A/C. me
(Jise pull DP kehte hai.)jama ho jati hai.
To PIR ke Roz kharide hue shares BUDH ke Roz bech shakte hai ya nahi?

🔵al jawab🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
shair par qabza zarooree hai aur short sale me qabza shair sirf kagaz aur shartificat mil jane ka naam nahi balke compani ke karobar me baqaidah shareek hone ka nam hai qabza sirf acaunt me se paise kat jane se ya aap ke naam par shair transfar ho jane se ya shair ka bhaw;ghtne aur barhne se nahi hota hai balke samne wali compani ka apna qabza chhodna ya dusre ka qabza hatana bhi zarooree hai jese stock aexechag ki defenece me ‘buy in’ kaha jata hai wih zarooree hai aur aesa hote huwe tin din lag jate hai ye baat Rules for ready Delivery contracts ki pehli dafa me likhi hui hai.
qabza na hone ki ek daleel ye bhi hai shair bechnewali compani ko zaid ko shoart sale karne ke baad zaid hi ko woh shair bechne par msjboor nahi kar sakte woh chahe to bakr ko bhi bech sakti hai aur na bechna chahe to yun bhi keh sakti hai ke zaid tum itni qeemat ke isee compani ke shair itni hee miqdar me bazar se khareed lo bechnewale ko ye ikhtiyar bhi bata raha hai us ne qabza nahi chhoda tha.

is ko ek misal se samjho jaise aap ne us makan ko khareeda jis me rahta hun pese bhi de diye aur qabza rasheed bhi aap ke naam ki ban gai lekeen mene us ghar ka qabza chhoda nahi hai balke us me reh raha hun aap ke pure ikhtiyar me woh ghar aaya nahi hai ke jab chahe rehne aa jawo ya kisi ko rehne bhej do to ye ghar par qabza nahi huwa koi bhi qudrati aafat selab,zalzala aayega to nuqsan mera hi shumar hoga kyun ke me ne us ghar ka qabza nahi chhoda hai.aur us ko ghar ko me kisi aur ko bhi bech sakta hun kiyun aap ne qabza nahi liya hai.
lihaza mazkoorahbsurat me peer ko kharide huwe shair ko budh ko bechna jaiz nahi.

و اللہ اعلم

📘FATAWA USMANI jild 3 safa 178 se 186 bahas ka khulasa maa misale zaid

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

SHARE  PAR QABZA KI GUNJAISH WALI SHAKAL

⭕AAJ KA SAWAL No. 2700⭕

Share ham khareedte hai to usee din hamare account me se paise cut kar hamare ikhtiyar me aa jata hai.
Ham use aage bhi bech sakte hai.
Aeise qabze ko baaz muftiyane kiram saheeh kehte hai.
Aap ke bheje huwe fatwe me tin din baad likha tha aur log ek din wale qaul par amal kar rahe hai to is ki gunjaish hai ya nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Share  me Haqeeqi aur mahsoos tareeqe se qabza hota nahi hai balke hukmi qabza hota hai aur hukmi qabze ki tareef- ( defination) me fuqha ka ikhtilaf hai.
lihaza agar share khareedar ki pure risk aur zimmedari me is taur par aa jata ho is tareeqe par ke  ab jo bhi nafa ya nukshan hoga  to isee khareedar ka samjha jayega.
 
aese qabze ki  baaz muftiyane kiram ne jo gunjaish dee hai uspar bhi Amal kar sakte hai.

stock exchange me sodo ke computer ke record me kharedar ka naam to darj ho jata hai lekin paise do din ke baad Dene hote hai aur bechne wala Asal delivery bhi do din baad deta hai lihaza  behtar aur aehtiyat yahee hai ke  do, tin din baad shair aage becha jaye.

📘JADED MALIYATI IDARE FIQHE ISLAMI KI ROSHNI ME 82

📗JADEED FIQHEE MASAIL JILD 1 AUR 4

📕FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA 5/228

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

SHARE  COMPANY KE SOODEE MUAAMALE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2701⭕

Har company Apne jaiz karobar me loan leti hai machinery, zameen wagairah ke liye aur fix deposits me bhi apni ek raqam rakhti hai to us ka nafa lena kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Share khareedne se pehle ye baat bhi zaroori hai ke un ko salana meeting me ya email kar ke ye baat kahi Jaye ke me musalman hun,  hamare mazhab me sood- interest haram hai lihaza kisi tarah soodi muaamale se me razi nahi hun mujhe is ka nafa nahi chahiye agarche log aap ki baat sunege nahi balke aap ki aawaz dhol ki aawaz ke samne chidiya ki awaz ki tarah hogi lekin is tarah haraam muaamale aur haraam nafe se bariuzzimma hona zarooree hai ta ke hamari shirkat- partnership sirf halal me ho. aur har company fix diposit me bhi nafe ke liye qanoon ki wajha se paisa rakhti hai lihaza us ke nafe me se aap ke share ke nafe ka jitna feesad ,( % ) take ke aetibar se Banta ho utna masalan 2% nikaal kar gareeb ko bagair sawab ki niyyat se sadqa zarooree hai.

📗FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA 5/

📘FIQHEE MASAIL SE MAKHOOZ.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

SHORT SALE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2702⭕

Short sale jaiz hai ya nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Short sale yani gair mamlook ko bechna yani bechnewali aese shair ko bechta hai jo us ki milk me aayi nahi hai woh is ummeed par soda kar leta hai ke woh cheez me khareedar ko de dunga lihaza short sale jaiz nahi

و الله اعلم بالصواب

📗FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA 5/228

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Future sale ka hukm

⭕AAJ KA SAWAL No. 2705⭕

Shair ke karobar me futures sale Karn kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Shair is qism me maqsood shair khareedna nahi hota hai balke sirf nafa nuqsan barabar karna hota hai ye bhi juwe aur satte ki ek qism lihaza jaiz nahi.

📗(FATAWA ZAKARIYA 5/227)

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

FORWARD SALE

⭕AAJ KA SAWAL No. 2706⭕

Forward sale yani mere paas qabze me Share hai.
us ko aayindah ki tareekh, ek hafte ya mahine baad ke liye abhi se bech kar soda mukammal kar lun to ye kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Share ki ye shakal jis me aayindah ka soda abhi se ho jaiz nahi.

📗FATWA DARUL ULOOM ZAKARIYA 5/128

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

SHIRKAT INVEST KA NAFA FEESAD SE LENA

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2862⭕

Baz company apne karobar me invest aur shirkat ki dawat deti hai aur kehti hai ke aap ki raqam par 15% se 20% tak ham nafa denge to kya aisa nafa jo fix nahi hai le sakte hain ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

ye munafa agar karobar ke majmooi (total) munafe ke bajaye lagayi hui raqam ka 15% se 20% hota hai to ye bhi ek tarah ka fix nafa hi hai jo sood hai aur us ka len den jaiz nahi

Jaiz soorat sirf ye hai ke Jo shakhs jitni raqam lagaye woh karobar ke nafe nuqsan dono me shareek ho aur Company me invest karne ka nafa company ke poore invest ki jitni feesad raqam us ne lagayi hai nafa utna hi feesad (percent) wusool kare. yani copany jitna nafa kamaye us me se jitne percent ki partnership tay hui ho utna percent us nafe me se wusool kare.

📕FATAWA USMANI 344 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.