Bank Ki Qabza Ki Huyi Gaadi Kharidna 1502
Agar Kisi Ne Bank Ke Zariye Gaadi Kharidi, Fir Woh Gareeb Ho Jaata Hai, Bank Ki Raqam Adaa Nahin Kar Sakta, To Bank Gaadi Us Se Zabt Kar Leti Hai, Aur Jo Raqam Adaa Nahin Huyi Utne Me Bech Deti Hai, Kya Is Tarah ‘Bank Ki Qabza Ki Huyi Gaadi Kharidna‘ Jaiz Hai?
Makaanat Me Bhi Is Qism Ka Muamala Hota Hai, Aise Makaan Kharidna Jaiz Hai?
jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
“Bank Ki Qabza Ki Huyi Gaadi Kharidna“: Agar Benk Ka Yeh Tasarruf (Ikhtiyar) Hukoomat Ki Tayeed Aur Tauseeq (Ijazat) Se Hai, To Kharidne Ki Wajah Se Milkiyat Saabit Hogi, Lekin Is Qisam Ki Kharidi Se Aehtiyat Baratni Chahiye.
“Bank Ki Qabza Ki Huyi Gaadi Kharidna“
mahmoodul Fatawa 5/411
و الله اعلم بالصواب
Islami Tareekh :21 Muharramul Haraam1440 Hijri.
mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti.
Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
Qarze Me Khushi se Zyada dena Kaisa he??
SAWAL
“Maalabudda minhu’’ kits me hai ke
huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM jab kisi se qarz lete the to ada karte waqt kuchh zayada dete the.
To Ye khushi se zayada dena kesa hai ?
Lenewale ke liye sood to nahi hoga ?
JAWAB
jis se qarz liya jawe wapas karte waqt kuchh zayada dena ye kehkar ke itna aap ka asal mutalabah-qarz hai aur itna meri taraf se zaid hai.
to ye hadees paak se sabit hai (lihaza sood nahi)
lekeen qarz dene wale ko pehle Se Us ka lalach aur khayal na hona chahiye ke ziyadah milega.
fatawa mahmoodiyah dabhel jild 16 safa 416
✏ [muft] IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
Kon see majbooree me sood lena jaiz hai?
sawal
Kon see majbooree me sood lena jaiz hai?
Jawab
Agar haram cheez ko istiamal na kare to to woh shakhs halaak ya maut ke qareeb ho jaye.
Aesee halat me haraam cheez masalan sood zaroorat ki itni miqdar me jis se jaan bach jaye utna hee istiamal jaiz hoga.
Is ke alawah kisee majbooree me sood lena jaiz nahi.
Fatawa raheemiyah 9/230
* allah taala ummat ki majbooreeyon se hifazat farmaye ameen
Jo soodee qarz leta ho us ki amdani ka hukm
Sawal
Jo soodee qarz leta ho us ki amdani ka hukm
Kisi shakhs ne soodee qarz lekar tijarat ki, fir us tijarat se amdani hui to amdani halal hai ya haraam?
Jawab
Woh amdani halaal hai us ko apni zarooriyat me bila kisee haraj ke istiamal kar sakta hai.
Kiyun ke qarz lene me sharte fasid pai ja rahi hai.us sood dene ki fasid shart se qarz ki raqam me koi kharabi paida nahi hoti.woh us qarz ki raqam ka malik ho jata hai aur apni milkiyat ke mal se tijarat jaiz hai lihaza nafe ka bhi malik ho jata hai albattah sood par qarz lene ka sakht gunah hoga.
Aelaus sunan 14/548
Fatawa mahmoodiya 16/304)
Allah taala hame har gunah se nafrat ata farmaye amee
BANK ME SAVING ACCOUNT ME HIFAZAT KI GARZ SE PAISA RAKHNA KAISA HAI?
SAWAL
BANK ME SAVING ACCOUNT ME HIFAZAT KI GARZ SE PAISA RAKHNA KAISA HAI?
Jawab
Bank me hifazat ki garz se raqam rakhwane ki sab se behtar aur aehtiyat wali surat ye hai ke paise locker me rakhwaye.
Albattah current account me rakhwane ki bhi gunjaish hai jis par sood (interest) na lagaya jata ho.
Jin account me sood lagaya jata hai masalan saving account, fix diposit wagera in me rakhwana durust nahi.
Fatawa usmani 3/267
Qanooni majbooree ho to saving account me raqam rakhna jaiz hai. Lekeen income ki niyyat se (yani sood kamane ki niyyat se) rakhna bilkul jaiz nahi.
Gunah ka kaam hai.
Fatawa raheemiya karanchi 9/238
QARZA LE KAR HADIYE ME MUNAFA DENA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2611⭕
Zaid 2 lakh rupiye Umar se udhar le raha hai aur kahta hai ke ek saal ke baad 2 lakh ki jagah 2.50 (dhai) lakh dunga,
pachas hazaar hadiye me apni khushi se dunga.
to zaid se yeh paise lena Umar ke liye jaiz hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
zaid se yeh paise lena aur dena dono sood hai lihaza jaiz nahi.
📗MAHMOODUL FATAWA 8/362
و الله اعلم بالصواب
JIVAN BIMA L.I.C. (LIFE INSURANCE) KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.2631⭕
Mavjoodah daur me jab jaan salamat nahi To Jivan bima lena kaisa hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Jivan bima lena kaisi hi haalat ho aur kaisi hi niyyat ho jaiz nahi, kyun ke is me jaan jaati hai to hi raqam aur zaaid raqam wapas milti hai, agar kam umri me jaan nahi jayegi to uski zaaid raqam nahi milegi, ya’ani yah muaamala nafe aur nuqsan ke darmiyan muallaq hota hai, isee ko juwa kehte hai.
Jis ka haraam hona Qur’an se saabit hai, aur jivan bima me intiqal ke baad bhari hui raqam se zaid raqam wapas milti hai, yah sood hai jo sakht haraam hai.
Rahi baat fasadat ki to fasadat me kisi ki jaan jati hai to hukoomat aur company is ko kuchh bhi nahi deti, aur fasadat me maaldaar aadmi jo bima leta hai woh aksar ghar par mahfooz hota hai, aur gareeb aadmi jo apni rozana ki zaruriyat mushkil se puri karta hai uske paas jivan bima aur health bima me bharne ke paise hi nahi hote isliye woh bima lete nahi hai aur jaani nuqsan aksaro beshtar yah thele aur laari le kar karobar ke liye nikalne walon ka hee hota hai, lihaza dukan aur car ke bima ki tarah jawaz ki ijazat jivan bima me fasadat hote rehte hai aisi maqamat par bhi nahi hogi,
Ba’az muftiyane kiraam ne ijazat dee thi unhone ne bhi apne fatwe se rujooa kar liya hai tafsili bahas aur dalail ke liye dekhen
📗 Fatawa qasmiyah jild 20 safa 439 se 458
📘Mahmoodul fatawa 2/474
و الله اعلم بالصواب
✏
RAHAN (GIRWI) SE FAIDAH UTHANA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2636⭕
Zaid ne Ahmad ke paas se paise udhar liye aur bataure rahan (girw) uske paas apni zameen rakhi aur Ahmad ko apni zameen khushi se isteamal karne ki ijazat bhi dee to Ahmad us zameen ko isteamal kar ke fasl uga sakta hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Ahmad ke liye us zameen se kisi bhi qism ka faidah uthana jaiz nahi,
Lihaza us zameen par fasl ugana Zaid ki ijazat ho to bhi sood me dakhil hai.
📗MAHMOODUL FATAWA 6/54
و الله اعلم بالصواب
BANK ME PAISE BILA MAJBOORI RAKHNA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2637⭕
Bageir kisi majboori ke bank me rupiye jamaa rakhna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Bank me raqam jama karane ki 3 soorte hain :
1️⃣. Soodi khata (Saving Account)
2️⃣. Gair soodi khata (Current Account)
3️⃣.Locker.. Soodi khaate me raqam jama karana haraam hai, isme sood lene ka gunah hoga jis par Allah ta’ala aur Rasulullah (Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam) ki Taraf se shadeed tareen Va’eede hai, Is ke Alaawah is me ta’aawun al-al ism (gunah par madad) karna hai. Yah raqam soodi kaarobar me istimal hogi. ;
Current Account me raqam jama karana bhi jaaiz nahi, kyunki usme agarche sood lene ka gunah nahi hai, magar ta’aawun al-al ism ka gunah hai.
Locker me jama karana bhi jaaiz nahi, kyunki usme agarche sood lene aur ta’aawun al-al ism ka gunah nahi hai, magar Bank ke haraam paise se bane huve khaane (drawer) ka istemal ka gunah hai, shadeed majboori ke waqt usme raqam jama karai jaa sakti hai; lekin fir bhi istigfaar laazim hai.
Haan karobar ke aetibar se qanooni majboori ho to pahle current account me woh na ho sake to saving account jitna ho sake kam paisa jama rakhe.
و الله اعلم بالصواب
Company Aur Bank se Gaadi Kharidna
⭕AAJ KA SAWAL No. 2647⭕
Aaj kal Aam tor per Gaadiyan Sood per Qarz lekar Kharidi Jati he Iske liye Log Banko se Qarz lekar Gaadi Kharidte he, Banko Ke Alavah Dusri Baaz Companiya bhi Aesi he jo Iske Liye Makhshoosh he, Magar Bank Me Aur in Companiyon me Do Farq hai, Ek ye ke Bank se Hame Khud Pese Lekar Gaadi Bechne Walo ko Dena Padta he Aur Iske Bilmuqabil Companiyo ka Hal ye he ke Sirf Unse Ye Keh dena kafi he ke hame Gaadi ki zarurat he wo log Khud Gaadi kharidkar Hame Dete he. Dusra Farq ye he ke Bank se pese lenake Ba’ad Qarz ki Adaygi me Jitni ta’ajil hogi Utni hi Sood ki Miqdar me Kami Hogi, Aur Jitni Adaygi me Ta’khir hogi Utni hi sood ki Miqdar Badhti Chali Jaygi. Uske Bilmuqabil Company ka Hal ye he ke voh log Pehle hi se Bata dete he ke Tumko itni Raqam Bharna hoga aur Itni Muddat me Bharna hoga aur who bhi Qishtvar har Mahina Itna Itna Bharna Hoga chahe tum Muddat Muaiyyina se Pehle Bharo ya Waqt per bharo Raqam ki Miqdar me Koi Farq Nahi Hoga. To Kya is surat me company se Gadi Kharidna Jaiz hoga?.Kyunki Isme Bazahir to Surat kharedne ki Nazar aati he. Company ki Taraf se gadi Aur Hamari Taraf se Peaise. Aur Hukumat ne bhi Apne Zati Peaiso se Naqad Gaadiya kharidne per Pabandiya Laga rakhi he.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Compani se Gadi kharidne ki jo surat saval me Mazkoora he wo Shara’an Jaiz aur Durust he. Aur isme Shara’ee Aetebar se Sood Lazim Nahi aata. Iske Bar Khilaf Bank ke zariye Gaadi Kharidne me Sood Ka Irtekab Lazim Aata he, is liye Bank Wali Surat Chhodkar Jaiz surat Ikhtiyar ki Jaye. Fa
و الله اعلم بالصواب
📗MAHMOODUL FATAWA 6/46-47
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
SOOD (interest) HARAAM HONE KI HIKMATEN (REASONS)
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2663⭕
Islam me sood (interest) kyun haraam hai? aisa hamare ba’az gair muslim bhai puchhte hain, unko kya jawab diya jaae aur ba’az musalman jinka aakhirat par iman kamzor hai aur isme fase hain unko bhi uske dunyavi nuksanat batana hai taake woh bache.
Lihaza uski hikmate aur nuksanat batane ki guzarish.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
PART 1.
Sood ke Haraam hone ki bahot si hikmaten hain aur uske beshumar dunyavi nuksanaat hain jin me se chand hasbe zail hain.
1. Isme kisi se nafa (profit) lene ka haq nahin, kyun ke paise udhar dene wale ki mehnat nahi hoti, rahan (girwi) lekar dene me risk bhi nahi aur paise ka deewala (ghaata, loss) bikul nahin hai lihaza nafa kis cheez ka?
2. Zulm ka gunah hai kyun ke Agar kisi ne udhar bimari ke ilaaj ya padhayi (education) ya zindagi guzarne ke zaruri saaman wagairah aisi zarurat ke liye liya jisme un paison se woh kuchh bhi rupiya nahin kamayega to aise shakhs ko hame un paison ka malik bana kar ya apni haisiyat ke mutabiq uski madad karni chahiye yeh insaniyat ka taqazah hai fir bhi us se nafa lena us par zulm hai.
3. Beraham aur sakht dili ho jana Uper bataya us tarah ke haalat aur zarurat me bhi use bila nafe ke udhar na dena us par raham na khana hai aur usse majboori ka faidah utha kar fixed nafa lene se dil sakht ho jata hai.
4. Gareeb ko ziyadah gareeb bana dena kisi gareeb ne apni gurbat ki wajah se apni zarurat puri karne ke liye udhar liya aur usne kuchh bhi na kamaya fir bhi usse nafa lena usko ziyadah gareeb bana dena hai uski cheezen bikwa dena hai
5.Khud garz ho jana udhar aur qarz mangne wale aksar rishtedar, padosi ya dost hote hain unki in talluq ki wajah se madad karni chahiye ya kam se kam bila sood liye qarzah dena chahiye fir bhi nafa lena yeh khud garzi aur mafaad parasti aur be sharmi hai.
6. Insaan ki Taraqqi me rukawat aur tijaarat me aage na badhne dena
Jisne karobar aur dhandhe ke liye qarzah liya hai usse dene ki tarikh hi se fixed nafa lena uska khoon chusna (sosan karna) hai kyun ke uska karobar pehle hi din se shuru nahin ho jayega, jab shuru hoga tab shuru ke chand mahino hi me woh nafa kamane wala nahin ban jaega, jab nafa kamane lagega to yeh zaruri nahin ke aap ko fix nafa de uske baad bhi uske paas nafa bachega, usko karobar me nafa nahin bhi mil sakta hai balke nuksan bhi ho sakta hai,
Itni saari eahtamalaat (Possibilities) aur nafa na milne ki surate hain iske bawajood usko pehle din aur har mahie nafa na mile fir bhi usse har din ka fixed nafa lena yeh aqal aur hisab ke bhi khilaf hai woh sood chukane me hi karobar chhod dega aur taajir (business man) ke bajaye mazdoor ban jayega.
(Baaqi 6 kal insha’Allah)
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2664⭕
PART 2.
Sood kyun haraam hai? Uske dunyavi nuqsanat kya kya hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Uske dunyavi nuqsanat bahot se hain jinme se kal 6 bataye the mazeed hasbe zail hain.
7. Fuzool karchi karna Har woh shakhs jiski kamayi (income) bila mehnat ki ya haraam ki hogi woh fuzool kharchi (apne maal ko rasmo riwaaj aur dikhlawe) me bagair faidah ke kamon me khoob udayega.
8. Nikammah (sust) ho jaana
Jisko nafa bagair mehnat ke baithe baithae kamane ki aadat pad jaati hai woh apna hunar (fan) bhool jaata hai, fir usse mehnat ka kaam nahin hota uski tabiyat sust ho jati hai.
9. Mehngai badhna
Bade bade taajir (businessman) ko badi badi loan milti hai chhote taajir ko badi loan nahin milti isliye bade taajir bazar se puraa maal utha lete hain fir apni manmaani qeemat se bechte hain, kyun ke usko itna lamba fixed nafa (sood) chukana hai isliye mahenga bechna zaruri ho jaata hai.
10. Bakheel (kanjoos) ho jaana
Kyun ke usko duniya, mulk, shahar, ke sab se ziyadah maaldar aadmi me jo number hasil hai woh us unche no. Se niche no. Par na aa jaae isliye yeh itne maaldar, ziyadah bank balance ke maalik hone ke bawajood lambi raqam kabhi bhi hospital ya gareebo ke faidah ke liye nahin dete.
(Baaqi insha’Allah kal)
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2665⭕
PART3
Sood haraam hone ki kya wujuhat hain?
Me to bina daleel haraam manta hunl ekin mere gair muslim bhai sawal karte hain to unko bataana hai.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
11.TENTION
Soodi Qarz apne ghar ke ikhraajat ke saath saath chukane ka itna tention hota hai ke aadmi ki nind aana mushkil ho jata hai.
12.Paagalpan
Soodi qarz aksar log aasani se adaa nahin kar paate uske adaa karne me itni koshish aur mehnat aur load bardasht karta hai jiski wajah se woh dimagi mareez paagal jaisa ho jaata hai.
13.khudkushi (suicide)
Jab soodi qarz chuka nahin paata to tension tension me khud-kusi kar leta hai jiske waqiyat akhbar me aate rehte hain.
14.BE WATAN HO JANA
Lamba Soodi qarz chukana ba’az martaba itna mushkil ho jaata hai ke insan apna shahar, suba ya mulk hi chhod kar apne ghar walo se door bhag jaata hai jiske taaza waqiaat media me aa chuke hain.
15. Taxes me izafa hi hote rehna
India me mukhtalif tariqe se mukhtalif cheezon par jis par pehle tax nahin liya jaata tha, ab liya jaa raha hai uski 1 wajah yeh bhi hai ke india par dusre mulk par itna qarza hai ke jiske adaa karne ke liye GST ke zariye tax me izafa aur petrol par GST se bhi ziyadah tax daala gaya hai.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
SHARE COMPANY KE SOODEE MUAAMALE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2701⭕
Har company Apne jaiz karobar me loan leti hai machinery, zameen wagairah ke liye aur fix deposits me bhi apni ek raqam rakhti hai to us ka nafa lena kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Share khareedne se pehle ye baat bhi zaroori hai ke un ko salana meeting me ya email kar ke ye baat kahi Jaye ke me musalman hun, hamare mazhab me sood- interest haram hai lihaza kisi tarah soodi muaamale se me razi nahi hun mujhe is ka nafa nahi chahiye agarche log aap ki baat sunege nahi balke aap ki aawaz dhol ki aawaz ke samne chidiya ki awaz ki tarah hogi lekin is tarah haraam muaamale aur haraam nafe se bariuzzimma hona zarooree hai ta ke hamari shirkat- partnership sirf halal me ho. aur har company fix diposit me bhi nafe ke liye qanoon ki wajha se paisa rakhti hai lihaza us ke nafe me se aap ke share ke nafe ka jitna feesad ,( % ) take ke aetibar se Banta ho utna masalan 2% nikaal kar gareeb ko bagair sawab ki niyyat se sadqa zarooree hai.
📗FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA 5/
📘FIQHEE MASAIL SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
BANK KI KHICHI HUI GADI KHAREEDNA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2777⭕
Agar koi hafte se gadi Li ho aur bank ke hafte na bhar sakta ho to bank us ki gadi uthha leti hai fir use kam Damon me bechti hai to woh gadi ham khareed sakte hai.?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Woh gadi asal khareedar ki hai paise waqt par na bhar sakne ki wajha se us ke paas se ye gadi bank wale chhin lete hai lihaza woh gadi chhinne se Bank walo ki nahi ho jati lihaza asal Malik Raza Mandi ki bagair woh gadi bank se khareedna jaiz nahi.
📗FIQHEE ZAWABIT 2/308
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India