NIKAH KARNA KAB FARZ,WAJIB, SUNNAT,HARAAM AUR MAKROOH HOTA HAI?
SAWAL
MUKHTALIF HAALATON ME NIKAH KE MUKHTALIF HUKM
NIKAH KARNA KAB FARZ,WAJIB, SUNNAT,HARAAM AUR MAKROOH HOTA HAI?
Jawab
Farz :-
Kisi shakhs per shahwat ka is qadar galba ho k agar nikaah na kare to zarur zinaakari me mubtala ho ja’ega,
Aur usko baqadre zarurat nafqa-kharcha aur mahar per haqeeqatan ya hukman qudrat bhi haasil he,
Shar’an us per farz he k shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat kare
Wajib: –
Agar kisi per shahwat ka galba he k shaadi na kare to zina me mubtila hone ka khauf he, lekin yaqeen nahi,
Aur usko bivi ke naan v nafqa per qudrat bhi haasil he,
Aise shakhs per shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat wajib he
Sunnat :–
Agar koi shakhs nikaah ke qabil ho gaya, naan nafqa-kharche per qudrat haasil he aur hambistari per bhi qudrat he, nikaah se koi aur shara’i rukawat mojood nahi, aise shakhs ke liye nikaah karke ba izzat zindgi guzaarna shar’an masnoon he,
Kyuki yeh rasulullah sallallahu alayhi wasallam ka daa’imi-hameshgi ka amal he,
Aur shaadi se earaaz karne walo per aap sallallahu alayhi wasallam ne radd farmaya he,
Lihaza aisa shakhs itteba e sunnat ki niyyat se apni ismat ki hifazat aur saaleh aulaad ke husool ki niyyat se shaadi kare to ajro sawab hoga
haraam :–
Agar kisi shakhs me bivi ke huqooq adaa karne ki taaqat na ho,
maslan na mard he, ya naan nafqa per haqeeqatan ya hikman qaadir nahi, neez mijaz ki sakhti vagairah,
Kisi vajah se usko yaqeen he ke bivi ke huqooq adaa nahi ho sakenge,
To aise shakhs ke liye nikah karna haraam hai,
Makrooh tehrimi :–
Jis shakhs ko bivi per zulm ka yaqeen to na ho lekin galib gumaan yahi he ke zulm ho ja’ega,
To aise shakhs ke liye jab tak ada e huqooq per qudrat na ho nikaah karna makrooh e tehrimi hai
Izduwaji zindagi ke sharee masail
durre mukhtar 7/3
MUNCHH ME ASAL SUNNAT KYA HAI?
SAWAL
MUNCHH ME ASAL SUNNAT KYA HAI?
JAWAB
MUNCH KO ITNA KAATA JAYE KE MUNDNE QAREEB HO JAYE,
(Fatawa mahmoodiyyah ba hawala shami 2/550 kitabul jinayat)
Bahrur raaiq 3/19)
HADEES SHAREEF ME IHFU AUR JUZWA KA LAFZ AAYA HAI JIS KE MAANA MUBALAGE YANI ZAYADA BARIK KARNA AATA HAI
(Muslim Shareef 1/129 Babu Khasaile Fitrat)
HONTHO KE BAAL KO ITNA KATNA KE KINARAH NAZAR AA JAYE
(YE BHI SAHEEH HAI)AUR MUNDNE ME IKHTILAF HAI, BAZON NE BIDAT AUR BAZON NE IJAZAT LIKHI HAI NA MUNDANE ME AEHTIYAT HAI.
(Mirqat Bahishti Zewar 224)
SUNNAT YE HAI KE MUNCHHO KE BAAL KHUB BARIK KATAYE
( Fatawa Alamgiri)
DADHI KITNI KAATNA DURUST HAI..?
SAWAL
DADHI KITNI KAATNA DURUST HAI..?
JAWAB
DARHI CHARO TARAF SE EK MUSHT-MUTHTHI SE ZAID KO KAATNA DURUST HAI.
KAAN KI LAW KE SAMNE KI HADDI KE UPAR KE BAAL SAR ME SHUMAR HOTE HAI. HADDI KE NICHE KE BAAL DARHI ME SHUMAR HOTE HAI, USE KATNA HARAM HAI.
HONTH KE NICHE THODI KE BICH ME JO BAAL HOTE USE DARHI KA BACHCHI KEHTE HAI, WOH HISSA BHI DARHI KE HUKM ME HAI USE KATNA BHI HARAAM HAI.
(Al Minhal 1/187)
BACHHI KE AGAL BAGAL-AAJU BAJU KE BAAL KATNA BHI JAIZ HAI. USE CHHOD DENA BEHTAR HAI.
GAAL KE (HANSTE WAQT) UBHRE-FULE HUWE HISSE KE BAAL KATNA JAIZ HAI NA KATNA BEHTAR HAI.
( Faizul Bari 4/380)
(Darhi Aur Anbiyaa Ki Sunnaten Safa 70,74)
GARDAN KE BAAL MUNDNA DURUST HAI.
(Ahsanul Fatawa 8/76)
DARHI MUNDNA YA EK MUSHT SE KAM KARNA HARAM HAI AUR AESA GUNAH JO HAR GHADI LAGATAAR HAMESHA JARI REHTA HAI.
ALLAH SABHI MUSLMANO KO IS SE BACHNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYEN AMEEN.
WUZU ME HAATHON KI UNGLIYON KA KHILAAL KARNA KAB SUNNAT HAI..?
WUZU ME HAATHON KI UNGLIYON KA KHILAAL KARNA KAB SUNNAT HAI..?
1: SHURU ME HAATH DHOTE WAQT..?
2: WUZU KA DUSRA FARZ YAANE HAATH KOHNIYON SAMET DHONE SE PEHLE..?
3: WUZU KA DUSRA FARZ YAANE HAATH KOHNIYON SAMET DHONE KE BAAD YAANE SAR KA MASAH KARNE SE PEHLE..?
4: SAR KA MASAH KARNE KE BAAD..?
SAHIH JAWAB=
3: WUZU KA DUSRA FARZ YAANE HAATH KOHNIYON SAMET DHONE KE BAAD YAANE SAR KA MASAH KARNE SE PEHLE HAATHON KI UNGLIYON KA KHILAAL KARNA SUNNAT HAI.
FATAWA MAHMOODIYAH 5/50 BAHAWALA SHAMI 1/17
QUESTION & ANSWER BY
- MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON SAHAB
(USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT)
ITR (ATTAR) LAGAANE KA SUNNAT TARIQAH
⭕AAJ KA SAWAL NO.2623⭕
Itr lagane ka sunnat tariqah kya hai?
🔵JAWAB🔵
Itr (attar) ka lagaane ka sunnat tariqah yeh hai ke itr le kar use hatheli me ragade-male. Fir use darhi aur kapadon me lagaye.
📗 SUNANO AADAAB SAFA 59
📘BA HAWALA MAJMUA ZAWAID BABUB TEEBI BADAL WUZOO JILD 1 SAFA 22
HADEES NO.1233
Daayen (sidhe, right) haath se itr lekar baayen haath ki hatheli par daale, uske baad dono hatheli ko mal len, aur daayen (sidhe, right) taraf se lagana shuru kare hadees me dayen taraf se har achchhe kaam ki shurooat karna sabit hai.
و الله اعلم بالصواب
TEL (HAIR-OIL) LAGAANE KA SUNNAT TARIQAH
⭕AAJ KA SAWAL NO.2625⭕
Tel (hair-oil) lagaane ka sunnat tariqah kya hai?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Hazrat Aaishah rd. farmaati hain ke Huzur صلی الله عليه وسلم jab tel lagaate to pehle bayen (left) hatheli me lete fir bhawon se shuruaat farmate, fir palkon par fir sar par lagate.
📗KANZUL UMMAL 7/234 HADEES NO.18299
Sharh e shir’atul islam kitab Safa 256 par hai ke palkon ke baad munchh darhee aur fir sar par lagate
📘SUNAN WA AADAAB SAFAA 67
Darhi mubarak me tel lagate to darhi ke us hisse se shurua farmate jo gardan se mila huva hai sar me tel lagate to peshani mubarak ke rukh se surua farmate.
📗KHASAILE NABAVI WA NABAVI LAYLO NAHAR SAFA 415
Ishq e nabavi ke da’ave karne walon se puchho tel lagane ka sunat tariqah kya hai?
و الله اعلم بالصواب
HUZOOR SALALAHU ALAYHI WASALLAM KE HUQOOQ
⭕AAJ KA SAWAL NO.2628⭕
HUQOOQ KI ADAYGI BAHUT ZAROORI HAI AUR HAR EK SE TALLUQ KE KUCHH AADAB HOTE HAIN JISKE ADA KARNE SE DUNIYA VA AKHIRAT ME KAMYABI MILTI HAI.
RASOOLULLAH SALALAHU ALAYHI WASALLAM KE KYA HUQOOQ WA AADAB HAIN?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki baargah ke aadab wa huqooq darje zail hain.
1️⃣.Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM par iman lana,
2️⃣.Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki ita`t va pairavi karna,
3️⃣. Sab se ziyadah Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM se muhabbat karna,
4️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke mutalliq sab se afzal hone ka aetiqad karna,
5️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke khaatamun nabiyyeen hone ka aetiqad rakhna,
6️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke mutalliq masoom va begunah hone ka yaqeen karna,
7️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki adnaa (mamooli) mukhalifat se bhi apne aap ko bachana,
8️⃣. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki muhabbat me gulu (had se aage badhna Ya’ani Allah ta’ala ke saath makhsoos sifaat ko Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke liye sabit manne) se bachna
9️⃣. Kasrat se Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM par duroodo salaam bhejte rehna,
🔟. Ahle bait aur Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki aalo awlad se muhabbat rakhna,
1️⃣1️⃣. Sahaba Radeeyallahu anhum se muhabbat rakhna.
1️⃣2️⃣. Aap ke laye huwe deen ko failane me apni ziyadah se ziyadah jaano maal lagana
📗SUNANO AADAB SAFA22 SE 24 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
PEHLE KURTA PAHENNA SUNNAT YA SHALWAR?
⭕AAJ KA SAWAL No. 2632⭕
Kapde pahne to pahle aam taur par izar (shalwar) pahle pahni jaati hai, lekin ek aalim se suna ke pahle qamees (kurta) pahanni chahiye kya yah baat hadees se sabit hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Ji, tabrani ki riwayat me hai jisko Allamah ibne Hajar asqalani rh. ne saheeh qarar diya hai.
📕(AL ISAABAH 7/120)
Anbiya Alayhissalam tehband (lungi) se pahle kurta pahante the. Allamah manawi rahmatullahi alayhi is se sharah me likhte hai ke anbiya alayhissalam shalwar se pahle qamees pahanna pasand karte the, aur usko pahle pahanne ka aehtamam karte the isliye ke yah poore badan ko dhankta hai aur shalwar sirf niche ke hissah ko hee dhankta hai.
Lihaza agar satar par kisi ki nazar padne ka khatra na ho to pahle kurta pahenna chahiye.
📗AL MUJAMUL KABEER 22/843
📘FAIZUL QADEER 2/532
USTAZE MUHTARAM HAZRAT SHAIKH TALHA MANYAR MAKKI SUMMA SURTI D.B. KI TAHQEEQ SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب