Tableeg Ke Sharaait Wa Aadab






Tableeg ke Sharaait wa aadab part 2

⭕AAJ KA SAWAL NI.3223⭕

Aaj kal baz log Tableeg karne me us sharait aur aadab ka lihaz nahi karte hai isliye baz martaba faida ke bajaye nuqsan hota hai aur sawab ke bajaye gunah hota hai.isliye us ke sharait batane ki guzarish

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Tabligh k aadab v sharait :

Amra Bil ma’ruf-Achhai ki tableeg ka hukam alal-itlaq-Aam nahi he, balke uske liye zavabit ( va qaaide ) aur tareeqe muqarrar he, ek qisam, usul ki tabligh karna he, uske alag aabad he, dusri furuua-Masail ki tabligh he, uske alag aadab he (aur vo ye he ke )

(7) majma e aam me kisi shakhsh ki islah na ki jaye, kyun ke usse dusre ko Sharmindagi hoti he, aur us Sharmindagi ka asar ye he ke nasihat karnevale se bugz-Dushmani ho jata he, balke baaz avqat us kaam ko chhodne ke bajaye usme aur zyada pakka ho jata he, kyun ke vo samajta he ke meri rusvai to ho hi gayi he fir me kyun chhodu? Isliye behtar ye he ke ya to khud usko khalvat- akele me le ja kar usse keh de,ya agar usse na keh sake to kisi ese shakhs ko keh de jo ke uski islah kar sake, lekin uske dushman se na kahe, kyun ke dushman se kehne me islah to ho nahi sakti, ha, be izzati hogi.

(8) sakhti aur Gusse ka izhar na ho, balke narmi aur shafqat se amar bil maaruf kare, us par bhi mukhalafat ho to bardasht kare, aur bardashtó⁹ ki taqat na ho to khitabe khas na kare, mahaz khitabe aam par iktifa kare, narmi se kahe, taan aur tahqir ke tour par na kahe.

و الله اعلم بالصواب

📗MAHMOODUL AEHASAN SAFA

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *