Waqaf Masjid and Madresa


QABRASTAN KI SUKHI AUR SABZ GHAAS KAATNE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2495⭕

A. Qabrastan ki Safayi ke Liye Aag Laga kar Sukhi Ghaas Wagairah Jalana Kaisa Hai..?

B. Qabrastan me Qabron Par Sabz-Hari Ghaas Aur Darakht Hote Hain, Unko Kaat Diya Jaaye Taake Logon ko Aane Jaane me Takleef Naa Ho, To Koi Muzaiqa To Nahi..?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

A. Jab Qabrastan me Aag Lekar Jaane me Mumani’at (Manaa) Hai, To Qabron ke Upar ki Ghaas Wagairah Jalaane ki Ijazat Kis Tarah Ho Sakti Hai..! Safayi ke Liye Doosri Tadbeer Amal me Laayi Jaaye.

B. Mustahab Ye Hai ki, Qabr ke Upar ki Tar- Green Ghaas Wagairah Naa Kaati Jaaye, Us Se Maiyyat ko Uns (Dil ka Behlawo Haasil Hota Hai) Aur Fayda Pahunchta Hai.

Haan..! Sookh Jane ke Baad Kaatne me Koi Muzaiqa Nahi.

Al-Batta Agar Qabr ke Aas Pass Ghaas Wagairah Hone ki Wajah Se, Logon ko Takleef ho to, Use Kaat Kar Rasta Saaf Kiya Jasakta Hai.

📚FATAWA RAHEEMIYAH 7/124, 125 JADEED

و الله اعلم بالصواب

AURTON KE LIYE BADE LADKON KO PADHANE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2591⭕

Aurat teaching kar sakti hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Padhnewali aurten ya chhotte bachche ho to taleem de sakti hai.agar bade ladke ho to parde ke sharaait ka lihaz karte huwe fitne ka andesha na ho to gunjaish hai.
ba sharte ke taleem jaiz umoor-kamon ki honi chahiye.

📕MAHMOODUL FATAWA 8/28
و الله اعلم بالصواب

 

MADRASE KE TALABA SE ISAALE SAWAB KARANA

AAJ KA SAWAL No. 2494

Maujuda zamane me Muslim qaum bilkhusoos chhote tabqe me ilm nahi hai, aur padhne-likhne ka shoq nahi, aur padhe likhe bhi Qur’aan tez aur saheeh nahi padh sakte.

Aisi haalat me chand huffaze kiraam aur naazira khwaa islami madrase ke bachchon ko Isaale Sawab ke liye apne ghar bula kar ke ya madrasah me quran khwaani kara sakte hai ya nahi ?

Un ko kabhi sheereeni-sinni ya dawat khilate hai to is ka kya hukm hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Qur’aan Khwaani ke zariye Isaale Sawab karna Baaise Ajro-sawab hai.

Magar us me Da’awat va sheereeni vagairah taqseem karna jaaiz nahi.
(kyun ke woh quraan ka aewaz aur badla ho jata hai)

Aur gharon par khaas quraan padhne ke liye jamaa karne ka suboot na hone ki wajha se jaiz nahi,

aur madrasah ke taleem ke awqat me khas quran khawani karana bhi jaiz nahi.
(Jahan quran bachche padhte hee hai un se padhe huwe quran ka isale sawab karwa lena, magfirat ki dua kara lena jaiz hai)

📘FATAWA QASMIYAH 10/230,231 SE MAKHOOZ

BA HAWALA

📕KIFAYATUL MUFTI JADEED 4/136
و الله اعلم بالصواب

Imam va Mudarris ki tankhvah ki miqdar

AAJ KA SAWAL No. 2604

Imam va Mudarris hazraat ki kam az kam mahana (Monthly) tankhvah kitni rakhni zaroori hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Asal mazhab yah hai ke kisi ta’at e maqsoodah (farz ibadat) per ujrat lena jaiz nahin. Magar jis ta’at me hameshgi ya pabandi ki zaroorat hai aur shiyar e deen me se hai ke unke bandh hone se deen me khalal (kami) laazim aavegi aur waise kisiko mohlat (time) nahi iski pabandi karne ke liye, lihaza aise umoor ko is qaidah se alag kar diya hai, Imamat aur tadrise Qur’an va fiqah bhi Inhi umoor me se hai.(Shami- 38/5)

Jab ek shakhsh tamaam umoor se kinara kash ho kar apne aap ko imamat aur tadris Qur’an va fiqah me mashgul kiye huve hai to musalmano ko bhi chahiye ke uski zarooriyat e zindagi ki kafalat poori kare aur kam az kam usko itni tankhvah de ke jisse uski zaat aur uske ahlo ayal (jinka nafqa- kharcha usper wajib hai) ka gujran ho sake,(is me naya purana dekha na jaaye zaroorat dekhi jaaye)

📗MAHMOODUL FATAWA 8/249

و الله اعلم بالصواب

MASJID SE PAANI LE JAANA

AAJ KA SAWAL NO. 2639

Masajid ke cooler ya matke kaa paani pine ke liye masjid ke baahar le jaa sakte hain ?

JAWAB

حامد ومصلیا و مسلما

Masjid se Mazkoorah paani Masjid me aane walon ki sahoolat ke liye hota hai, isey baahar le jaana Na-Jaiz aur gunah hai.

Fatawa mahmoodiyah qadeem 6/190 aur

fatawa raheemiyah qadeem 6/90 se makhooz

و الله اعلم بالصواب