Zaib o Zeenat


SAR KE BAAL KATWANE KA TAREEQAH 1989

Sar ke baal katane ka kya tareeqa hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Sar Ke Baal Katane Me
Is Baat Ka Lihaz Rakhna
Zaruri He Ke Sar Ke Kuch
Hisse Ke Bal Katana Or
Kuch Hisse Ke Baqi Rakhna
Haram He,

Jaise: Sirf Samne Ke Bal
Katana Or Baki Chhod Dena
Ye Haram He,

Magribi Tehzib ( Western
civilization ) Ki Jaal Me
Fasne Walo Me Mukhtalif
qism Ke Balo (Hair Styles)
Ka Riwaj He, Jinme Screw
Cut, Buzz Cut, Under Cut
Wagerah Shamil He, To Yaad
Rakhe Ke Ye Sab Tariqe
Haram Or Allah Ki Narazgi
Ka Sabab He.

Baal Katane Ka
Durust Tariqa Ye He Ke Har
Taraf Se Barabar Baal Kataye
Jaye, Chhote Bade Na Ho,
Ya Fir Pura Halaq
(Mundwana) Karaya Jaye,
Aurton Ko Baal Katana Bilkul
Hi Jaiz Nahi, Agarche
Shohar Hukm Kare Tab Bhi
Durust Nahi, Ha Koi Bimari
Paida Ho jaye Jiski Wajah
Se Katwana Zaruri Ho jaye,
To Katane Me Koi Haraj Nahi,

MUFTI BANDE ILAHI QURESHI
Khadim-e-Quran
Madresa Madinatul ilm
Gandevi

قطعت شعر راسھا اثمت و لعنت ، زاد فی البزازیة : و ان کان باذن الزوج ؛ لانہ لا طاعۃ لمخلوق فی معصیۃ الخالق… الخ (رد المحتار ، 6/407 ، باب الحظر و الاباحۃ)
نیز دیکھیں (البحر الرائق ، کتاب الکراھیۃ 8/375)

http://annidaislamic.com/sar-ke-bal-katwane-ka-tariqah/

و الله اعلم بالصواب
TASDEEQ Mufti Imran Ismail Memon hanfi

Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

MUNCHH ME ASAL SUNNAT KIYA HAI?

SAWAL

MUNCHH ME ASAL SUNNAT KIYA HAI?

  1. LAB-HONTH NAZAR AAYE ITNE BAAL KATNA
  2. ASTRE SE PURI MUNCHH MUNDNA
  3. ITNI BARIK PURI MUNCH KATNA KE KE IS SE ZAYADA KATNE KI GUNJAISH NA RAHE.

JAWAB

MUNCH KO ITNA KAATA JAYE KE MUNDNE QAREEB HO JAYE(

[FATAWA MAHMOODIYYAH BA HAWALA SHAMI 2/550 KITABUL JINAYAT

BAHRUR RAAIQ 3/19]

HADEES SHAREEF ME IHFU AUR JUZWA KA LAFZ AAYA HAI JIS KE MAANA MUBALAGE YANI ZAYADA BARIK KARNA AATA HAI

(MUSLIM SHAREEF 1/129 BABU KHASAILE FITRAT

 TAHAWEE SHAREEF)

HONTHO KE BAL KO ITNA KATNA KE KINARAH NAZAR AA JAYE (YE BHI SAHEEH HAI)

AUR MUNDNE ME IKHTILAF HAI BAZON NE BIDAT AUR BAZON NE IJAZAT LIKHI HAI NA MUNDANE ME AETIYAT HAI.

(MIRQAT BAHISHTI ZEWAR 224)

SUNNAT YE HAI KE MUNCHHO KE BAAL KHUB BARIK KATAYE ( FATAWA ALAMGIRI)

DADHI KA KYA HUKM HAI..?

SAWAL

DADHI KA KYA HUKM HAI..?

JAWAB

DARHI CHARO TARAF SE EK MUSHT-MUTHTHI SE ZAID KO KAATNA DURUST HAI.

KAAN KI LAW KE SAMNE KI HADDI KE UPAR KE BAAL SAR ME SHUMAR HOTE HAI. HADDI KE NICHE KE BAAL DARHI ME SHUMAR HOTE HAI USE KATNA HARAM HAI.

HONTH KE NICHE THODI KE BICH ME JO BAAL HOTE USE DARHI KA BACHCHI KEHTE HAI.WOH HISSA BHI DARHI KE HUKM ME HAI USE KATNA BHI HARAAM HAI.

(AL MINHAL 1/187)

BACHHI KE AGAL BAGAL-AAJU BAJU KE BAAL KATNA BHI JAIZ HAI. USE CHHOD DENA BEHTAR HAI.

GAAL KE (HANSTE WAQT) UBHRE-FULE HUWE HISSE KE BAAL KATNA JAIZ HAI NA KATNA BEHTAR HAI.

( FAIZUL BARI 4/380)

( DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 70,74)

GARDAN KE BAAL MUNDNA DURUST HAI.

(AHSANUL FATAWA 8/76)

DARHI MUNDNA YA EK MUSHT SE KAM KARNA HARAM HAI AUR AESA GUNAH JO HAR GHADI LAGATAAR HAMESHA JARI REHTA HAI.ALLAH JAWAB DENA BHEJNE AUR PADHNEWALON KO IS SE BACHNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYEN AMEEN

SIYAH MAIL KHIZAB ( Brown Ya Dark Brown MEHNDI LAGANE KA KIYA HUKM HAI?)

SAWAL

1.SIYAH MAIL KHIZAB (BALON ME LIGHT KALI MEHNDI YA DARK BROWN MEHNDI JO DOOR SE KALI MALOOM HO LAGANE KA KIYA HUKM HAI?)

  1. BILKUL KALA KIZAB- MEHNDI AURTEN SHOHAR KO KHUSH RAKHNE LAGA SAKTI HAI YA NAHI?

JAWAB

  1. AESA KHIZAB LAGANA MARDO AUR AURTON KO JAIZ HAI.

(DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 78 BA HAWALA IBNE MAJA WA IMDADUL FATAWA 4/203 )

 

  1. HAN AURAT BILKUL KALA KHIZAB AGAR SHOHAR KHWAHISH KARE TO SHOHAR KHUSH RAKHNE BA TAURE ZEENAT LAGANE KI BAAZ ULAMAA NE GUNJAISH DEE HAI. BA SHARTE APNE AAP KO JAWAN ZAHIR KAR KE KISI KO DHOKA DENA MAQSOOD NA HO.

( AURAT KE LIYE BANAU SINGAR KE AHKAM SAFA 48 BA  HAWALA MIRQAT SHARHE MISHKAT 8/304 )

SAR ME MAANG KAHAN SE NIKALNA SUNNAT HAI?

SAWAL

SAR ME MAANG KAHAN SE NIKALNA SUNNAT HAI?

 

  1. DARMIYAN SE
  2. DAYEEN- SIDHIJANIB SE
  3. BAYEN- ULTE JANIB SE

4.CHAHE KAHIN SE BHI

JAWAB

NAAK KE MUQABIL DARMIYAN SE MANG NIKALNA MARDON AUR AURTON DONO KE LIYE SUNNAT HAI.DAYEN YA BAYEN YA MANG NIKALNA ISLAMI TAREEQAH NAHI HAI.

( DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 93 HAZRAT MUFTI SAEEED SAHAB PALANPURI D.B.SHAIKHUL HADEES DARUL ULOOM DEVBAND)