Zakat and Sadqah


HAJ MAKAN, SHADI KI RAQAM KI ZAKAT 2073

Hajj ke liye aur makaan ke liye,
isee tarah beti ki shadi ke liye jo raqam me jamaa kar raha hun us par bhi zakat deni padegi ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar kisi shakhs ne itni raqam Jo zakat ke nisaab tak pahunchti he, isliye jama kar rakhi he, ke me isse Hajj karunga ya isse Makaan kharidunga ya banaunga Ya isse Beti ki Shadi karunga vagera vagera..

To agar us raqam per saal guzar gaya to us per zakaat waajib ho gayi,
Jab tak ye Raqam rakhi rahegi (kharch nahi ho jayegi) Us waqt tak Maalik ko har saal zakaat Ada karni hogi,

Hajj ka iraada karna ya Makaan kharidna, banwana, Beti ki shadi vagera sab kaam per zakaat ki adaaygi ke liye uzr tasavvur nahi honge,

Fatawa Darul Uloom Devband, Jild -6,

Ba- Hawala, Durre Mukhtar, 7/2
Fiqhul ibadaat, 280
و اللہ اعلم
HAQQ JA DAYEE ANSAR AHMAD

TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

ZAKAT KIN KIN LOGON KO DE SAKTE HAI ?

SAWAL

ZAKAT KIN KIN LOGON KO DE SAKTE HAI ?

JAWAB

Har woh shakhs jo asli zaroorat yani istiamal ki cheezon aur qarzah ho to Ada karne ke baad sadi bawan tola 612.35 gram chandi ki qeemat ke kisi bhi qism ke maal ka malik na ho.
to woh zakat le sakta hai.
agarche tandurast ho aur kamata bhi ho.

Agar kisi ke paas zaroorat se zaid maal yani 3 jodi se zaid kapre,do jodi se zaid chappal, show cash ke bartan ho,tv, Na Jaiz khel ki cheezen, zaroorat se zaid plot wagair istiamal me na aanewaki cheezen ho in me se ek ya baz cheezon ki qeemat sadi bavan tola 612.55 gram chandi ko pahonch jaye to ye shakhs zakat nahi le sakta.
agarche be rozgar ho,aesi awrat bewa ho.

Niche likhe huwe hazrat ko zakat de sakte hai.

1. haqeqee, maa sharik, bap sharik, dudh sharik bhai-bahan aur in ki awlad

2. apne chacha, fufi aur in ki awlad

3. apne mamu, khala aur in ki awlad

4. apne sotele maa bap aur un ki awlad

5. apne khusar-sasre, saas Aur un ki awlad

6. maldar awlad ke walidain jo ke mustahiqe zakat ho

7. maldar ki balig awlad jo ke mustahiqe zakat ho
8. maldar ki bivi jo ke mustahiqe zakat ho

9. maldar bivi ka shohar jo ke mustahiqe zakat ho
10. apne damad, bahu

11. shagird ka ustaz ko aur ustaz ka shagird ko

12. shohar apni bivi ki aesi awlad ko dena jo Us ke agle shohar se ho

13. bivi ka apne shohar ki aesi awlad ko dena jo Us ki pehli bivi Se ho

14, musafir ko jab ke safar me us ke paas maal na ho (is zamane me atm ka card aur us se nikalne ki qudrat na ho) agarche Us ke pas ghar par nisab ke baqadr mal ho.

15. na balig muhtaj jab ke us ka baap sahibe nisab na ho lekeen maa sahibe nisab ho

17. kisi ki 10,000 (das hazar) ki amdani hai lekeen kharch 12,000 (barah hazar) ka hai agarche zati makan aur gadi bhi ho

18. jis shakhs ki amdani kafi hai lekeen maqrooz ho, qarz kisi tarah Ada na kar sakta ho.
?ye tamam hazrat mustahiqe zakat ho to in ko zakat di ja sakti hai aur un ko ye bhi batlana zarooree nahi ke ye zakat hai. dil me niyyat karna Kafi hai.

?ahsanul fatawa 4/254
?masaile zakat (rafat) safa 284,285

KIN KIN LOGON KO ZAKAT NAHI DE SAKTE??

SAWAL

KIN KIN LOGON KO ZAKAT NAHI DE SAKTE??

 

JAWAB

in logon ko zakaat dena jaiz nahi.

  1. Apne baap, dada, dadi, par dada, par dadi.. upar tak
  2. apni maa, nana, nani, par nana, par nani… upar tak 
  3. apne haqeeqee ladke, pote, potiyan, Par pote, par potiyan.. niche tak
  4. apni haqeeqi ladki,nawase, nawasiyan,par nawase, par nawasiyan.. niche tak
  5. shohar ka apni biwiko zakat dena iseetarah biwi Ka apne shohar ko zakat dena jaiz nahi
  6. aysi talaq shudah awrat jo iddat guzar rahi ho us ke shohar ka us ko zakat dena na jaiz hai
  7. maaldar sahibe nisab ki muhtaaj nabalig awlad ko
  8. jo awrat bewa malike nisab hai us ko aur Us ke na balig bachche ko
  9. madrasah Ke ustaz ko aur masjid Ke imam ko zakat ke rupiye se tankhaa dena na jaiz hai
  10. Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke khandan walon ko zakar jo ke hamare malon ka mel hai dena Jaiz nahi agar woh gareeb hai to zakat ke alawaa Ka rupiya den
  11. maaldar malike nisab ko 
  12. zakat Ka rupiya masjid ki, madrasah ki, khanqah ki, musafir khane ki, yateem khane ki, school ki, aam raston ki tameer me, kunwe, boring aur nahron ki khudai Me dena Jaiz nahi. 
  13. zakar ke rupiye se kafan khareedna, qabarsatan ki zameen khareedna na Jaiz hai
  14. woh tamam surten Jis me mustahiq ko bila aewaz bila shart hamesha ke liye malik banana paya nahi jata wahan zakat dene se zakat ada na hogi

masaile zakat (rafat) safa 285,286 se makhooz kai urdu fatawon ke hawalon ke sath

Konse se qarz zakat se minus (baad) hoge aur konse qarz nahi Hoge?

sawal


kon kon se qarzon ko zakat ke nisab se minus (baad) kiya jayega aur kon kon se qarzon ko mainus (baad) nahi kiya jayega.?

Jawab

Har woh qarz jis ka mutalaba bandon ki taraf se ho us ko baad kiya jayega yani in qarzon par zakat wajib nahi
jaise

1. Naqad rupiye ka qarza
2. Khareede huwe saaman ka qarza
3. Kisi se saaman-gadi ka nuqsan kiya ho us ka jurmana-penalty
4. Kisi ka jani nuqsan kiya ya zakhmi kiya ho us ka jurmana- penalty
5. Guzishta sal ki zakat nikalna baqi ho to us ki raqam.
6.Bivi ne khulaa-shohar ko pese dene ka wada kar ke talaq li ho us ka qarza

har woh dain (debts) jiska ka mutalaba huqooqullah ki taraf se ho us ko minus [baad] nahi kiya jayega balke us ki raqam jama ki ho to saal pura hone ke waqt us par bhi zakat wajib hogi jaise.

1. Qasam, roze todne ke kaffarah ki raqam
2 .mannat-nazar ko pura karni ki raqam
3. Sadqah e fitr ada karna baqi ho us ki raqam
5. Haj umrah ke liye pese jama kiye ho us ka rupiya
6. Aayindah naya makan, nayi dukan lena ka iradah ho us ki jama ki hui raqam
7. Shadi karne ya jahez dene ke liye jama ki hui raqam

kitabul masail 3/146,147 se makhooz

Zakat ke nisab me konsi cheezon ko gina jayega aur konsi cheezon ko nahi gina jayega ?

SAWAL

Zakat ka nisab banane me kon, kon si cheezon ko gina jayega aur kon kon see cheezon ko nahi gina jayega ?

Yani zakat kin cheezon par farz hai aur kin cheezon par nahi?

JAWAB

sona, chandi, naqad rupiya aur bechne ki niyyat se khareeda huwa koi bhi maal, masalan plot,zameen,flat,makan, share, dukan ka har woh maal jo saal bhar rakhne se kharab nahi hota.
Kiraye amdani,wirasat ya hadiye me mila huwa rupiya
in tamam cheezon ki qeemat lagai jayegi.
Sone chandi ke alawah Har woh cheez jo istemal ki jati hai masalan fridge,washing machine, oven,har qism ki gadi (car,two wheels, cycle) mobile,ghar ke bartan, showcash ke bartan, ghar ka furniture, kapade, imitation jawelery, hifazat ke liye rakhe gaye hathyar, ghar me rakha huwa khane pine ka zakhirah, istiamal ke hire, moti, parhne ki kitaben wagairah aur dukan,karkhane, factories ki istiamal ki machineries wagairah zaroorat ki chezen,
Kiraye par dee hui koi bhi cheez makan, dukan,har qism ki gadi par zakat farz nahi.
jo cheez bechne ki niyat se na khareedi ho masalan ayindah rehne ke liye ya bachchon ko dene ke liye khareeda huwa makan, flat,zameen wagairah
jo maal kharab ho jata hai masalan gosht, sabzi, fruit, dudh Aur dudh se bani hui cheezen me zakat farz nahi lihaza nisab banane me is tamam cheezon ko nahi shumar karenge.

masaile zakat safa 51,61,88

Masaile zakat 2/145

Har cheez ki zakat kon see qeemat par nikalni hai..?

Sawal

Har cheez ki zakat kon see qeemat par nikalni hai..?

Khareed [buying]qeemat par ya bikree [selling] vechan qeemat par ?

 

Jawab

Har cheez ki zakat bikree qeemat [selling] par nikalni hai na ke khareed qeemat par,

 chahe qeemat zayada ho gai ho ya kam ho qai ho.

Kiyun ke use bechte hi paise ki shakal me maal badal sakta hai.

(fatawa usmani jild 2 safa 50 ba hawala burhan sharhe mawahibur rahman  1/507 badaiyus sanaia 2/22)

zakat ki raqam se Garibo ke liye makan kiraye [rent] per le sakte he, yani tameer me zakat ke paise istemal kar sakte hen?

Sawal

Agar zakat ki raqam se makan kiraye [rent] per len our wo makan garibo ko rehne den yani tameer me zakat ke paise istemal kar sakte hen..??

 

Jawab

Is tarah zakat ke paiso se zameen kharidna ya makan tameer karna durust nahi, zakat adaa nahi hogi,

Zakat ki adaygi ke liye mustahiq ko maalik banana shart he our wo yahan nahi payi jarahi hai.

(mustafad…fatawa rahimiya jadeed 4,40 bahawalatahttawi)

Zakat kis par wajib hai..?

SAWAL

Zakat kis par wajib hai..?

 

JAWAB

jis ke paas saal ke shurooa aur saal ke akhir me [sare bavan tola]  612 gram 35 ml. gram chaandi ho ya [sare saat tola] 87 gram 479 ml. gram sona, qarza adaa karne ke baad bachta ho, us par zakat vajib hai.

ya sare bavan tola chandi ki qeemat aaj 6 jun 2015 ke hisab se 22650 rs ki qeemat ke baqadr zakat ka maal qarza Adaa karne ke baad mavjood ho to bhi zakat wajib hai.


Masalan 1 tola sona hai aur 500 rs naqad hai aur qarza nahi hai to uspar zakat wajib hai
Ya bechne ka kuchh maal hai aur kuchh naqad paise hai aur dono ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat tak qarza adaa karne ke baad pahonch jata hai to us par saal ke khatma par zakat wajib hai, saal ke darmiyan me maal nisab se kam ho jaye to us ka aetibar nahi.


Sona, chandi, naqad, maal-e-tijarat in charon ko ya baaz ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat ko pahonch jaye to bhi zakat vajib hai.

 

masaile zakat safa 61  ba hawala ahsanul fatawa 4/254 se mskhooz

ZAKAT KIN CHEEZON ME FARZ AUR KIN CHEEZON ME NAHI?KAL KE MASLE SE RUJOOA 2422

AAJ KA SAWAL NO.2422

Zakat ka nisab banane me kon, kon si cheezon ko gina jayega aur kon kon see cheezon ko nahi gina jayega?

Yani zakat kin cheezon par farz hai aur kin cheezon par nahi?

JAWAB

sona, chandi, naqad rupiya aur bechne ki niyyat se khareeda huwa koi bhi maal, masalan plot,zameen,flat,makan, share, dukan,Kiraye amdani,wirasat ya hadiye me mila huwa rupiya wagairah
in tamam cheezon ki qeemat lagai jayegi.
Sone chandi ke alawah Har woh cheez jo istemal ki jati hai masalan fridge,washing machine, oven,har qism ki gadi (car,two wheels, cycle) mobile,ghar ke bartan, showcash ke bartan, ghar ka furniture, kapade, imitation jawelery, hifazat ke liye rakhe gaye hathyar, ghar me rakha huwa khane pine ka zakhirah, istiamal ke hire, moti, parhne ki kitaben wagairah aur dukan,karkhane, factories ki istiamal ki machineries wagairah zaroorat ki chezen,
Kiraye par dee hui koi bhi cheez makan, dukan,har qism ki gadi par zakat farz nahi.
jo cheez bechne ki niyat se na khareedi ho masalan ayindah rehne ke liye ya bachchon ko dene ke liye khareeda huwa makan, flat,zameen wagairah

lihaza nisab banane me is tamam cheezon ko nahi shumar karenge.
masail zakat safa 51,61,88

Masaike zakat 2/145

KAL KE SAWAL NO 2420 SE RUJOOA

Bahut bade qarze jis ki wajha se us bade tajirbpar par zakat hi wajib nahi hoti un ko zakat wajib hone ke hisab se kata- mainas nahi kiya jayega aesa likha tha ye sirf hazrat mufti Taqi Usmani db ki raay hai jis India ke bade bade Darul itfta dewband,saharanpur,dabhel wagairah ittifaq nahi kiya hai lihaza qarze me kisi qisam ka farq na hoga chhote bade tamam qarze zakat ki hisab se baad-minas kiye jayege.

IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

KIN QARZON KO ZAKAT KE HISAB ME MAINAS-KATOTI KARENGE?

 AAJ KA SAWAL NO.2421

Tajir hazrat tijarat ko taraqqi dene bank se badi badi lon lakho aur karadon rupiye ki lete hai to jab zakat ka hisab karenge to ye qarzah bhi minha-mainas karenge?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Qarzon ki do qisme hai ek woh qarze jo tajir apni zati aur hangami-tempreri zaroorat ke liye leta hai woh qarze zakat ke hisab me se mainas-minha kiye jayenge un parzakatvwajib nahi hogi.

dusri qism ke woh qarze hai jo tajir tijarat ko apni asli zaroorat puri hone ke bawajod zayada taraqqi dene leta hai masalan badi badi fektriyan lagane, badi badi mashanari khareedne. Mal import karne leta hai in badeo qarzo ko agar un ki zakat ke hisab se mainas kiye jaye to un bade taijir par zakat hi wajib nahi hogi balke woh mustahiqe zakat ho jayenge isliye in bade qarzon me dekha jayega ke is se kon see cheezen khareedi ja rahi hai agar aesee cheez hai jo na qabile zakat hai masalan ek karod ki plant-mashinari khareedi to in mashinari par zakat wajib nahi hoti is ke bawajood ye qarzah zakat ke hisab se minha-mainas nahi karenge.

agar us ne kachcha maal khareeda to isliye ke kachcha mal-matiriyal par zakat wajib hoti hi hai isliye us ke qarze ko minha-mainas karenge

FIQHI MAQALAT JILD 3 SAFA 156
و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

ZAKAT KIS PAR WAJIB?

AAJ KA SAWAL NO.2419

Zakat kis par wajib hai..?

JAWAB

حامد و مصلیا و مسلما

Jis ke paas saal ke shuru aur saal ke akhir me [sade bavan 52.5 tola]  612 gram 350 ml. gram chaandi ho ya [sade saat 7.5 tola] 87 gram 479 ml. gram sona, qarza adaa karne ke baad bachta ho, us par zakat vajib hai.
Ya sade bavan tola chandi ki qeemat aaj 25 MARCH 2021 ke hisab se india me qeemat 40230 rs. ke baqadr zakat ka maal qarza Adaa karne ke baad mavjood ho to bhi zakat wajib hai.

 
Masalan 1 tola sona hai aur sirf 50. rs naqad hai aur qarza nahin hai to uspar zakat wajib hai kyun ke ek tola sona aur 50 rs. ko milaya jaye to chandi ka nisab ban hi jaata hai

Ya bechne ka nisab se kam kuchh maal hai aur kuchh naqad paise hai aur kuchh sona kuchh chandi hai in charon me se kis bhi do ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat tak qarza adaa karne ke baad pahonch jaata hai to us par saal ke khatma par zakat wajib hai, saal ke darmiyan me maal nisab se kam ho jaye to uska aetibar nahin.

Masaile zakat safa 61  ba hawala ahsanul fatawa 4/254 se mskhooz

ZAKAT KE LIYE SAL GUZARNE KI SHART

AAJ KA SAWAL NO.2424

Kiya zakat wajib hone ke liye har maal par saal guzarna zarooree hai?
Darmiyan me maal zakat ke nisab se ghat (kam ho) gaya aur darmiyan me naya mal bhi aata jata raha sab par zakat hai?

JAWAB

Zakat ke nisab par saal guzrna kafi hai har har mal par sal guzrna zarooree nahi, saal pura hote hee mavjoodah sab Maal, milkiyat ki zakat de chahe baaz mal 1 maheen ya hafte pehle hee aaya ho to us ki bhi zakat de.
Sal ke shurooa me aur saal ke akhir me zakat ka nisab yani sare bavan (52.5) tola chandi ki qeemat Ka malik hona kafi hai darmiyan me maal,nisab ki miqdar se kam raha tab bhi pure nisab ki zakat wajib hogi.

kitabul masail jild 2
safa 133 Se makhooz
bahawala maraqiyul falah 389
Alamgiri 1/175

IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

KIN QARZON PAR ZAKAT NAHI AUR PARSU KE MASLE SE RUJOOA

AAJ KA SAWAL NO.2423

kon kon se qarzon ko zakat ke nisab se minus (baad) kiya jayega aur kon kon se qarzon ko mainus (baad) nahi kiya jayega.?

AAJ KA JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Har woh qarz jis ka mutalaba bandon ki taraf se ho us ko baad kiya jayega yani in qarzon par zakat wajib nahi
jaise

1. Naqad rupiye ka qarza
2. Khareede huwe saaman ka qarza
3. Kisi se saaman-gadi ka nuqsan kiya ho us ka jurmana-penalty
4. Kisi ka jani nuqsan kiya ya zakhmi kiya ho us ka jurmana- penalty
5. Guzishta sal ki zakat nikalna baqi ho to us ki raqam.
6.Bivi ne khulaa-shohar ko pese dene ka wa’da kar ke talaq li ho us ka qarza

har woh dain (debts) jiska ka mutalaba huqooqullah ki taraf se ho us ko minus [baad] nahi kiya jayega balke us ki raqam jama ki ho to saal pura hone ke waqt us par bhi zakat wajib hogi jaise.

1. Qasam, roze todne ke kaffarah ki raqam
2 .mannat-nazar ko pura karni ki raqam
3. Sadqah e fitr ada karna baqi ho us ki raqam
5. Haj umrah ke liye pese jama kiye ho us ka rupiya
6. Aayindah naya makan, nayi dukan lena ka iradah ho us ki jama ki hui raqam
7. Shadi karne ya jahez dene ke liye jama ki hui raqam

kitabul masail 3/146,147 se makhooz.

PARSU KE SAWAL NO 2420 SE RUJOOA

Bahut bade qarze jis ki wajha se us bade tajirbpar par zakat hi wajib nahi hoti un ko zakat wajib hone ke hisab se kata- mainas nahi kiya jayega aesa likha tha ye sirf hazrat mufti Taqi Usmani db ki raay hai jis India ke bade bade Darul itfta dewband,saharanpur,dabhel wagairah ittifaq nahi kiya hai lihaza qarze me kisi qisam ka farq na hoga chhote bade tamam qarze zakat ki hisab se baad-minas kiye jayege.
و اللہ اعلم
16 sha’ban 1442 hijri

Mufti Imran Ismail Memon.

Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

ZAKAT KI RAQAM SE MAKAAN YA DAWAI DENA

AAJ KA SAWAL NO.2432

Zakat ki raqam se makaan ta’amir kar ke garibon ko dena ho ya us se dawai dilani ho to kya surat hai?

AAJ KA JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Ta’amir karne wale builder ko zakat dene wale vakil bana de ke hamari taraf se aap in paiso se makaan banaa kar garibon ko zakat me makaan de den ya medical wale ko kahaa jaye ke aap zakat me hamari taraf se dawa de den to zakat adaa ho jayegi.

AHSANUL FATAWA 2/102 SE MAKHOOZ

و اللہ اعلم

Mufti Imran Ismail Memon.

Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

JIS QARZE KE WASOOL HONE KI UMMEED NA HO?

AAJ KA SAWAL No.2431

Jis qarz ke wusool hone Ki ummid Na Ho uski zakat wajib hogi ya nahin?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Qarz lene wala qarz lene ka iqrar karta ho ya inkar Karta Ho lekin qarz dene per 2 gawah mauood ho ho to uski zakat wajib hogi.
Agar qarz Lene wala inkar Karta Hai aur gawah bhi maujud nahin Hai To zakat wajib nahin hogi.
Agar kisi Surat mein voh Paisa Chand sal ke bad wasool hota hai to guzishta salon ki zakat wajib nahi hogi agar Sahiba nisab Na Ho To nisab par us maal ke sath saal guzarne ke bad zakat wajib hogi.

KITABUL MASAIL JILD 2 SAFA 226

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
24 SHA’BANUL MU’AZZAM1442 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon HanafiUstaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

ILmi Baat (Msg) Sikhaana (Phelana) Ibadat Se Behtar hai
*DEEN SEEKHE AUR SIKHAYE

ROZANA 4 ZABAN URDU, ENGLISH, HINDI, GUJRATI ME AUR URDU AUDIO ME SIRF EK MASLA AUR QURAN KA PAIGAM HEE BHEJA JAYEGA

PROVIDENT FUND PAR ZAKAT.1

AAJ KA SAWAL NO.2429

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Provident fund me Jo Raqam mulazim ki tankhwah se kaati jati he aur us per Mahana ya Saalana izafa kiya jata he is par zakat ka kya hukm hai?

JAWAB

Ye sab mulazim ki khidmat ka wo muaawaza hai Jo abhi uske qabze me nahi aaya, Lihaza wo mahkame-company ke zimme mulazim ka qarz he,
Zakaat ke maamle me Fuqha ikraam Rh. ne qarz ki 3 qisme bayaan farmayi he, Jinme se baaz per zakaat waajib hoti he aur baaz per nahi hoti,

Vasool hone ke baad zaabte-qaidah ke mutabiq Zakaat waajib hogi, Jiski Tafseel ye he,

1- Mulazim agar pehle se Sahibe Nisaab nahi tha, magar us raqam ke Milne se Sahibe Nisaab ho gaya to vasool hone ke waqt se ek Qamri-islami Saal pura hone per Zakaat waajib hogi, Ba-sharte us waqt tak ye shakhs Sahibe Nisaab rahe,

Agar Saal pura hone se pehle Maal kharch hokar itna kam reh gaya k Sahibe Nisaab nahi raha to zakaat waajib nahi hogi,

Aur agar kharch ho jane ke bavjood Saal ke akheer tak Maal ba-qadre nisaab bacha raha to jitna baqi bach gaya sirf uski zakaat waajib hogi, Jo kharch ho gaya uski nahi hogi,

—— To be continued,
in sha Allah ta’ala,

Fiqhul ibadaat, 277

و اللہ اعلم

TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

PROVIDENT FUND KI ZAKAT PART. 2. QARZA

AAJ KA SAWAL NO.2430

Saahibe nisab shakhs ko provident fund ki zakat kitne rupiye aaye to nikalni hai ?
Aur kab se nikalni hai ? ye pese qabze me aayenge us waqt se hi us ka shumar kar sakte hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar Ye mulazim pehle se Sahibe Nisaab tha to fund ki raqam chahe miqdare nisaab se kam mile ya zyada uska saal alag se shumar nahi hoga,

→Balki jo maal pehle se uske paas tha Jab uska saal pura hoga yani pehle se mojooda nisaab ki zakaat nikaalne ki tareekh aayegi to fund ki vasool shuda raqam ki zakaat bhi usi waqt waajib ho jayegi, chahe us nayi raqam per ek din hi guzra ho

Zakaat ki ye tafseel imaam e aazam Abu Hanifa Rh. ke qoal per hai, Saahibain Rh. ke qoal ke mutabiq qarz ki har qism per zakaat Farz hai,

→Lihaza agar koi ahatyaat per amal karte hue guzishta tamaam saalo ki zakaat Ada kare to behtar he,

iska behtar tareeqa ye he k jab se ye mulazim Sahibe Nisaab ho us waqt se har saal ke khatm per hisaab kar liya jaye, ke ab uske fund me kitni raqam jama he, Jitni raqam jama he uski zakaat Ada kar de, isi tarah har saal karta rahe.

Fiqhul ibadaat, 277

Not Baz company me provident fund me paisa uthhane ki ijazat hoti hai hamesha ke liye rakhna zarooree nahi hota balke ikhtiyar hota hai to aese ikhtiyaru jama fund ki zakat sahibe nisab par har sal wajib hai.

KITABUL MASAIL JILD 2 SAFA 227

و اللہ اعلم

TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

ZAKAT KA HUKM AUR SHARTEN

AAJ KA SAWAL NO.2428
A.
Zakat dena ka kya hukm hai?
B.
Zakat farz hone ki kitni sharten hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما
A.
Zakat dena farz hai quraane majeed ki ayaton aur Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki hadeeson se is ka farz hona sabit hai. Jo aadmi zakat farz hone ka inkar kare woh kafir hai.

B. Zakat farz hone ki 7 sharten hain.

1.Musalman hona,

2.Azaad hona.

3.Aaqil- aqlwala hona

4.balig hona.

4.nisab ka malik hona.

5.Nisab ka apni asli zaroorat se zayada aur qarz se bacha huwa hona.

7.Malik hone ke baad nisab par ek saal guzar jana.

Lihaza kafir, gulam, pagal aur na balig ke mal me zakat farz nahi.
isee tarah jis ke paas nisab se kam maal ho ya maal to nisab ke barabar hai lekin woh aesa qarzdar bhi hai ke qarza Ada karne ke baad nisab na bachta ho ya maal saal bhar tak baqi nahi raha, balke istemal ho gaya to in haalaton me bhi zakat farz nahi.

TALEEMUL ISLAAM 4/118

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

BIVI AMEER SHOHAR FAQEER

AAJ KA SAWAL NO.2427

Bivi ke paas 1 tola sona aur 1500 rs.mahar ke Naqad pade hai aur shohar par 1 lakh ka qarz hai aur dukan par lakh hi rupiye jitna maal hai kuchh bhi bachta nahi to bivi ke zakat qarza hone ke ba wajood deni padegi?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Puchhi hui surat me bivi par zakat wajib hogi ye baat yaad rahe ke bivi ki milkiyat alag hai aur shohar ki milkiyat alag hai dono par zakat wajib hone ka nisab aur hisab alag hai lihaza shohar apna qarz bivi ke zewar ki qeemat me se baad-minas nahi kar sakta lihazs bivi khud apne pas jama shuda raqam me se ya sona bechkar bhi zakat nikale aur bivi na nikal sakti ho to shohar us ka wakeel ban gareeb hone ki surat me pure saal me jald se jald thodi thodi kar ke bhi nikal sakta hai.

AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

ZAKAT KAUNSI QEEMAT PAR NIKALE

AAJ KA SAWAL NO.2426

Har cheez ki zakat kon see qeemat par nikaalni hai..?
Khareed [buying price] qeemat par ya bikree [selling price] bechne ki qeemat par ?

JAWAB

Har cheez ki zakat bikree qeemat [selling price] par nikalni hai, na ke khareed qeemat par, chahe qeemat zayada ho gai ho ya kam ho gai ho.

Kyun ke bechte hi woh maal paise ki shakal me badal sakta hai.

fatawa usmani jild 2 safa 50 ba hawala
burhan sharhe mawahibur rahman 1/507
badaiyus sanaia 2/22
Kitabul masail 2/150

MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT
INDIA.

“ZAKAT KIS PAR WAJIB?*

🔴AAJ KA SAWAL NO.2780🔴:

Zakat kis par wajib hai..?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Jis ke paas saal ke shuru aur saal ke akhir me [sade bavan 52.5 tola]  612 gram 360 ml. gram chaandi ho ya 87 gram 480 ml. gram sona, qarza adaa karne ke baad bachta ho, us par zakat vajib hai.
Ya sade bavan tola chandi ki qeemat aaj 7 MARCH 2022 ke hisab se india me qeemat 43400 rs. ke baqadr zakat ka maal qarza Adaa karne ke baad mavjood ho to bhi zakat wajib hai.

 
Masalan 1 tola sona hai aur sirf 50. rs naqad hai aur qarza nahin hai to uspar zakat wajib hai kyun ke ek tola sona aur 50 rs. ko milaya jaye to chandi ka nisab ban hi jaata hai

Ya bechne ke nisab se kam kuchh maal hai aur kuchh naqad paise hai aur kuchh sona kuchh chandi hai in charon me se kis bhi do ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat tak qarza adaa karne ke baad pahonch jaata hai to us par saal ke khatma par zakat wajib hai, saal ke darmiyan me maal nisab se kam ho jaye to uska aetibar nahin.

📘Masaile zakat safa 61  ba hawala ahsanul fatawa 4/254 se mskhooz

ZAKAT KIN CHEEZON ME FARZ AUR KIN CHEEZON ME NAHI

⭕AAJ KA SAWAL NO.2781⭕

Zakat ka nisab banane me kon, kon see cheezon ko gina jayega aur kon kon see cheezon ko nahi gina jayega?

Yani zakat kin cheezon par farz hai aur kin cheezon par nahi?

🔴JAWAB🔴

sona, chandi, naqad rupiya aur bechne ki niyyat se khareeda huwa koi bhi maal, masalan plot,zameen,flat,makan, share, dukan,Kiraye amdani ka paisa,wirasat ya hadiye me mila huwa rupiya wagairah
in tamam cheezon ki qeemat nisab banane me lagai jayegi.

Sone chandi ke alawah Har woh cheez jo istemal ki jati hai masalan fridge,washing machine, oven,har qism ki gadi (car,two wheels, cycle) mobile,ghar ke bartan, showcash ke bartan, ghar ka furniture, kapade, imitation jawelery, hifazat ke liye rakhe gaye hathyar, ghar me rakha huwa khane pine ka zakhirah, istiamal ke hire, moti, parhne ki kitaben wagairah aur dukan,kaar khane, factories ki istiamal ki machineries wagairah zaroorat ki chezen,
Kiraye par dee hui koi bhi cheez makan, dukan,har qism ki gadi par zakat farz nahi.
jo cheez bechne ki niyat se na khareedi ho masalan ayindah rehne ke liye ya bachchon ko dene ke liye khareeda huwa makan, flat,zameen wagairah

lihaza nisab banane me in tamam cheezon ko nahi shumar karenge.

📗masail zakat safa 51,61,88
📘
UMDATUL FIQAH 2/342

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

CHITHTHI-VC KI ZAKAT

⭕ AAJ KA SAWAL No.2785 ⭕

Mene ek chiththhi -vc rakhi hai jis me 20 membar hai har maheene 20,000 bharta hun jo bis maheene chalegi. mene das hafte bhar diye hai to us ki zakat mujh par wajib hogi?
Mere dost ki khul gai hai ab use das hafte bharne hai to us par konsi raqam par zakat wajib hogi?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi Hui Surat me aap ne das hafte yani 2 lakh bhar diye hai lihaza do lakh ki zakat aap ke zimme aa gai hai lekin us ki zakat abhi hi dena wajib nahi woh raqam jab hath me aayegi tab us zakat adaygi wajib hogi. abhi bhi nikalna chaho to nikal sakte ho.

Aap ke dost ki vc khul gai to un ke hath me das hafte hee me 4 lakh aa gaye jis me se das hafte yani do lakh bhar diye hai us raqam ke woh maalik hai lihaza us do lakh par agar woh sahibe nisab ho to zakat wajib hogi char lakh me se baqi do lakh ka shumar qarze me hoga lihaza jo do lakh ke hafte bharne ke baqi hai us par zakat nahi aayegi.

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓 ISLAMI TAREEKH : 16 RAMJANUL MUBARAK 1442 HIJRI

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

HAJ, MAKAN, SHADI KI RAQAM KI ZAKAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.2786⭕

Hajj ke liye aur makaan ke liye,
isee tarah beti ki shadi ke liye jo raqam me jamaa kar raha hun us par bhi zakat deni padegi ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar kisi shakhs ne itni raqam Jo zakat ke nisaab tak pahunchti he, isliye jama kar rakhi hai, ke me is se Hajj karunga ya isse Makaan kharidunga ya banaunga Ya isse Beti ki Shadi karunga vagera vagera……

Toa agar us raqam per saal guzar gaya to zakat farz ya saal to nahi guzra lekin us ke dusre maalon ki zakat nikalne ka waqt aagaya yani sal ho gaya to in raqamon ko bhi zakat nikalne ke hisab me shamil karenge agar che ye haj wagairah ki raqam nisab se kam ho us per bhi zakaat dusre malon ke sath waajib ho jayegi

Jab tak ye Raqam rakhi rahegi (kharch nahi ho jayegi) Us waqt tak Maalik ko har saal zakaat Ada karni hogi,

Hajj ka iraada karna ya Makaan kharidna, banwana, Beti ki shadi vagera sab kaam per zakaat ki adaaygi ke liye uzr tasavvur nahi honge,

📗Fatawa Darul Uloom Devband, Jild -6,

📘Ba- Hawala, Durre Mukhtar, 7/2
📔Fiqhul ibadaat, 280
و اللہ اعلم

✏ HAQ KA DAYEE ANSAR AHMAD

✒ TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

ZAKAT KE LIYE SAL GUZARNE KI SHART

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2792⭕

Kiya zakat wajib hone ke liye har maal par saal guzrna zarooree hai?
Darmiyan me maal zakat ke nisab se ghat gaya aur darmiyan me naya mal bhi aata jata raha sab par zakat hai?

🔵JAWAB🔵

Zakat ke nisab par saal guzrna kafi hai har har mal par sal guzrna zarooree nahi, saal pura hote hee mavjoodah sab Maal, milkiyat ki zakat de chahe baaz mal 1 maheen ya hafte pehle hee aaya ho to us ki bhi zakat de.
Sal ke shurooa me aur saal ke akhir me zakat ka nisab yani sare bavan tola chandi ki qeemat Ka malik hona kafi hai darmiyan me maal,nisab ki miqdar se kam raha tab bhi pure nisab ki zakat wajib hogi.

📗kitabul masail jild 2
safa 133 Se makhooz
📘bahawala maraqiyul falah 389
📕Alamgiri 1/175

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

MILL AUR KAARKHANO & BECHNE KI CHEEZ KE KACHCHE SAAMAN PAR ZAKAT

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2793⭕

Mil aur kaarkhano ki machinery aur raw material ki zakat ka kya hukm hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Kaarkhana aur mill ki imaarat aur machine vagera per zakaat Farz nahi, lekin usme Jo maal taiyyar hota he us per zakaat Farz he,

isi tarah Jo Kachcha Maal ( Raw material ) Kaarkhane me samaan taiyyar karne ke liye rakha he, us per bhi zakaat Farz he,

📘Kitabul masauli 2/137

📗 Durre Mukhtar, Shami,

و اللہ اعلم

✏ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

BIVI MALDAR SHOHAR GAREEB

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2796⭕
Bivi ke paas 1 tola sona aur 1500 rs.mahar ke Naqad pade hain aur shohar par 1 lakh ka qarz hai aur dukan par lakh hi rupiye jitna maal hai kuchh bhi bachta nahi to bivi ko zakat qarza hone ke ba wajood deni padegi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Poochhi hui soorat me bivi par zakat wajib hogi ye baat yaad rahe ke bivi ki milkiyat alag hai aur shohar ki milkiyat alag hai dono par zakat wajib hone ka nisab aur hisab alag hai lihaza shohar apna qarz bivi ke zewar ki qeemat me se baad (minus) nahi kar sakta lihaza bivi khud apne pas jama shuda raqam me se ya sona bechkar bhi zakat nikale aur bivi na nikal sakti ho to shohar us ka wakeel ban kar gareeb hone ki surat me poore saal me jald se jald thodi thodi kar ke bhi nikal sakta hai.

📘AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

ZAKAT KONSI QEEMAT PAR NIKALE

⭕AAJ KA SAWAL NO.2797⭕

Har cheez ki zakat kon see qeemat par nikalni hai..?

Khareed [buying] qeemat par ya bikree [selling] bechne ki qeemat par?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

Har cheez ki zakat bikree qeemat [selling] par nikalni hai na ke khareed qeemat par,

chahe qeemat zayada ho gayi ho ya kam ho gayi ho.

Kyun ke bechte hi woh maal paise ki shakal me badal sakta hai.

📗(fatawa usmani jild 2 safa 50 ba hawala
📘burhan sharhe mawahibur rahman 1/507
📕badaiyus sanaia 2/22

📔Kitabul masail 2/150

Albattah bechne ki bhi do qeemat hoti hai ek wholesale aur doosri retail, wholesale qeemat se nikalna jaiz aur retail qeemat se nikalna behtar hai.

📘JAMIATUL RASHEED KARACHI
AUR
📗ISLAHEE KHUTBAT SE MAKHOOZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI
GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA.

ZAKAT ME IFTARI,SAHRI KA SAAMAN

⭕AAJ KA SAWAL NO.2799⭕

Zakat me naqad paisa hee dena zarooree hai ke iftaaree ka saman, raashsn,School books, Eid ke kapade wagairah cheezen den to bhi chale?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Zakat me naqad paisa dena zarooree nahi.balke behtar hai.Take gareeb apni marzi ki cheezen khareed saken.
Albattah Upar puchhi gai cheezen bhi zakat ke paison ko malik aur khud zakat ke paison ka maalik na ho to zakat ke maalik ki ijazat se khareed kar un cheezon me zakat ki niyyat kar ke zakat ke mustahiq ko den to bhi jaiz hai.

📗MASAILE ZAKAT

📘SHAMI SE MAKHOOZ

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA.

ZAKAT KE MUSTAHIQEEN

⭕AAJ KA SAWAL NO.2800⭕

ZAKAT KIN KIN LOGON KO DE SAKTE HAI ?

🔴JAWAB🔴

Har woh shakhs jo asli zaroorat yani istiamal ki cheezon aur qarzah ho to Ada karne ke baad sadi bawan tola 612.35 gram chandi ki qeemat ke kisi bhi qism ke maal ka malik na ho.
to woh zakat le sakta hai.
agarche tandurast ho aur kamata bhi ho.

Agar kisi ke paas zaroorat se zaid maal yani 3 jodi se zaid kapre,do jodi se zaid chappal, show cash ke bartan ho,tv, Na Jaiz khel ki cheezen, zaroorat se zaid plot wagair istiamal me na aanewaki cheezen ho in me se ek ya baz cheezon ki qeemat sadi bavan tola 612.55 gram chandi ko pahonch jaye to ye shakhs zakat nahi le sakta.
agarche be rozgar ho,aesi awrat bewa ho.

Niche likhe huwe hazrat ko zakat de sakte hai. 

1. haqeqee, maa sharik, bap sharik, dudh sharik bhai-bahan aur in ki awlad 

2. apne chacha, fufi aur in ki awlad

3. apne mamu, khala aur in ki awlad

4. apne sotele maa bap aur un ki awlad

5. apne khusar-sasre, saas Aur un ki awlad

6. maldar awlad ke walidain jo ke mustahiqe zakat ho

7. maldar ki balig awlad jo ke mustahiqe zakat ho 
8. maldar ki bivi jo ke mustahiqe zakat ho

9. maldar bivi ka shohar jo ke mustahiqe zakat ho 
10. apne damad, bahu 

11. shagird ka ustaz ko aur ustaz ka shagird ko

12. shohar apni bivi ki aesi awlad ko dena jo Us ke agle shohar se ho 

13. bivi ka apne shohar ki aesi awlad ko dena jo Us ki pehli bivi Se ho

14, musafir ko jab ke safar me us ke paas maal na ho (is zamane me atm ka card aur us se nikalne ki qudrat na ho) agarche Us ke pas ghar par nisab ke baqadr mal ho.

15. na balig muhtaj jab ke us ka baap sahibe nisab na ho lekeen maa sahibe nisab ho

17. kisi ki 10,000 (das hazar) ki amdani hai lekeen kharch 12,000 (barah hazar) ka hai agarche zati makan aur gadi bhi ho

18. jis shakhs ki amdani kafi hai lekeen maqrooz ho, qarz kisi tarah Ada na kar sakta ho.
ye tamam hazrat mustahiqe zakat ho to in ko zakat di ja sakti hai aur un ko ye bhi batlana zarooree nahi ke ye zakat hai. dil me niyyat karna Kafi hai.

📕ahsanul fatawa 4/254
masaile zakat (rafat) safa 284,285

✍️Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaze Darul uloom rampura Surat Gujarat India

ZAKAAT KE GAIR MUSTAHIQQEEN

⭕AAJ KA SAWAL NO 2801⭕

Zakaat kin kin ko Nahi de sakte ?

🔵JAWAB🔵

in logon ko zakaat dena jaiz nahi.

1. Apne baap, dada, dadi, par dada, par dadi.. ooper tak.

2. apni maa, nana, nani, par nana, par nani… ooper tak

3. apne haqeeqee ladke, pote, potiyan, Par pote, par potiyan.. niche tak

4. apni haqeeqi ladki,nawase, nawasiyan,par nawase, par nawasiyan.. niche tak

5. shohar ka apni biwiko zakaat dena isee tarah biwi Ka apne shohar ko zakaat dena jaiz nahi

6. aisi talaq shudah awrat jo iddat guzar rahi ho us ke shohar ka us ko zakaat dena na jaiz hai

7. maaldar sahibe nisab ki mohtaaj nabalig awlad ko

8. jo awrat bewa malike nisab hai us ko

9. madrasah Ke ustaaz ko aur masjid Ke imam ko zakaat ke rupiye se tankhwah dena na jaiz hai

10. Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke khandan walon ko zakaat jo ke hamare malon ka mel hai dena Jaiz nahi agar woh gareeb hain to zakaat ke alawaa Ka rupiya den

11. maaldar malike nisab ko

12. zakaat Ka rupiya masjid ki, madrasah ki, khanqah ki, musafir khane ki, yateem khane ki, school ki, aam raston ki tameer me, kunwe, boring aur nahron ki khudai me dena Jaiz nahi.

13. zakaat ke rupiye se kafan khareedna, qabarsatan ki zameen khareedna na Jaiz hai.

14.Kafir ko zakaat dene se adaa nahi hogi

15. woh tamam soorten Jis me mustahiq ko bila iwaz (badla) bila shart hamesha ke liye malik banana paya nahi jata wahan zakaat dene se zakat adaa nahi hogi

📕masaile zakaat (rafaat) safa 285,286,KITABUL masail se makhooz
📚kai urdu fatawon ke hawalon ke sath

DUKAAN YA MAKAAN WAGAIRAH KE KIRAYAH ME DEPOSIT KI RAQAM PAR ZAKAAT KA MAS’ALA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2802⭕

Aaj kal bade shehron me dukaan ya makaan ki kiraaya daari me maalike makaan ya dukaan deposit ke naam se badi raqamen leta hai, jinhe dukaan ya makaan ke khaali karne ke waqt waapas kardiya jata hai, to yahaa bahas ye hai ke us deposit ki raqam ki zakaat kon adaa kare ? kiraayah daar ya maalik?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Deposit ki haisiyat RAHAN (GIRWI) ki maalum hoti hai, is binaa par uski zakaat sheye marhoon ke zaabte ke aitebaar se naa to maalik par wajib hoti hai , nahi kiraayah daar par
Deposit ki raqam ko rahan (Girwee) maanne ki soorat me asal hukme sharayee ye hoga ke ye deposit ki raqam maalik apne tasarruf (kharch) me bilkul na laawe, balke batore amaanat mahfooz rakhe, lekin logon ka amal uske bar khilaaf hai , kyun ke koi bhi maalike makaan kiraayah daar se uski raqam ko lekar mahfooz nahi rakhta, balke bila takalluf use apne zaati istimaal me laata hai, ILLA MAASHA ALLAH , lihaaza munaasib ye maaloom hota hai ke girwee rakhi huwe rupiyon ko kharch kar lene ki binaa par use girwee ke bajaaye dene mazmun (aisa qarza jis ki adaygi zarooree ho) ke darje me rakha jaaye, yaani ye raqam goya ke maalik par kiraayah daar ki taraf se dain hai, lihaaza uski zakaat maalike dukaan ya makaan par wajib nahi hogi, balke kiraayah daar par wajib hogi, jo is raqam ka asal maalik hai.chunaanche allama shaami rahmatullahi alaih farmaate hain ke is baare me ye tafseel munasib hai ke agar kiraayah daari muaahadah me makaan ya dukaan khaali karne ka koi qareebi waqt muqarrar hai, to ye deposit ki raqam daine qawi (mazboot qarze) ke darje me hogi, aur jab muqarrarah waqt par kiraayah daar dukan ya makaan khaali kar ke apni raqam waapas wusul karlega to guzishta saalon ki zakaat bhi adaa karni hogi, aur kiraayah ke muaahade me makaan ya dukaan khaali karne ka koi waqt muqarrar nahi hai, to kiraaye daar ko raqam wusul karne ke baad guzishta saalo ki zakaat ada karne ka hukm na hoga, balke jab raqam us ke qabze me aajayegi usi waqt se zakaat ka hisaab (saal) shuru hoga.

📘KITABUL MASAIL 2/221

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

KIN QARZON PAR ZAKAT NAHI

⭕AAJ KA SAWAL NO.2803⭕

kon kon se qarzon ko zakat ke nisab se minus (baad) kiya jayega aur kon kon se qarzon ko mainus (baad) nahi kiya jayega.?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Har woh qarz jis ka mutalaba bandon ki taraf se ho us ko baad kiya jayega yani in qarzon par zakat wajib nahi
jaise

1. Naqad rupiye ka qarza
2. Khareede huwe saaman ka qarza
3. Kisi se saaman-gadi ka nuqsan kiya ho us ka jurmana-penalty
4. Kisi ka jani nuqsan kiya ya zakhmi kiya ho us ka jurmana- penalty
5. Guzishta sal ki zakat nikalna baqi ho to us ki raqam.
6.Bivi ne khulaa-shohar ko pese dene ka wa’da kar ke talaq li ho us ka qarza

har woh dain (debts) jiska ka mutalaba huqooqullah ki taraf se ho us ko minus [baad] nahi kiya jayega balke us ki raqam jama ki ho to saal pura hone ke waqt us par bhi zakat wajib hogi jaise.

1. Qasam, roze todne ke kaffarah ki raqam
2 .mannat-nazar ko pura karni ki raqam
3. Sadqah e fitr ada karna baqi ho us ki raqam
4. Haj umrah ke liye pese jama kiye ho us ka rupiya
5. Aayindah naya makan, nayi dukan lena ka iradah ho us ki jama ki hui raqam
6. Shadi karne ya jahez dene ke liye jama ki hui raqam

📗kitabul masail 3/146,147 se makhooz

و اللہ اعلم
🌙27 sha’ban 1443 hijri

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

LAMBI MUDDAT KE QARZE ZAKAAT SE RUKAWAT NAHI?

⭕AAJ KA SAWAL No. 2804⭕

Aaj kal kaarobaari log banks se lambi lambi ruqumaat batore qarz lete hain, Ye ruqumaat basaa awqaat itni kaseer hoti hain ke ,Unko agar zakaat wajib hone se roknewala qaraar diyaa jaye, to bade bade maaldaron par zakaat waajib hee na ho, isliye in kaarobaari qarzon ke baare me sharee’at ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Puchhi hui soorat me aehtiyat raa’i yahi hai ke har saal jitni qist(hafte) ki raqam waajibul adaa hoti hai bas usi qadar rupiya asal zakat ke maal se minha (minus) kiya jaaye, Aur baqiya kul maaliyat ka hisaab lagaakar zakaat adaa ki jaye, Uski misaal aisi hai jese shohar par biwi ke udhar Mahar ka dain (qarza), us ke liye zakaat se minus (baad) nahi hota, Bas isi tarah ye lambi muddat ka qarzaa bhi rukawat na hoga.

📘KITABUL MASAIL 2/245
BA HAWALA
📗FATAWA DARUL ULOOM DEVBAND 6/46
📕FATAWA HAQQANIYAH 3/510
📙AAYINAH E RAMAZAN SAFA 423
📘FIQHEE MAQALAT

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

ZAKAT KI RAQAM SE MAKAAN YA DAWAI DENA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2812⭕

Zakat ki raqam se makaan ta’amir kar ke garibon ko dena ho ya us se dawai dilani ho to kya soorat hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Ta’amir karne wale builder ko zakat dene wale vakil bana den ke
“hamari taraf se aap in paison se makaan banaa kar garibon ko zakat me makaan de den”
ya medical wale ko kahaa jaye ke
“aap zakat me hamari taraf se dawa de den”
To zakat adaa ho jayegi.

📗AHSANUL FATAWA 2/102 SE MAKHOOZ

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

MURGI FARM KI ZAKAAT

⭕AAJ KA SAWAL No. 2815⭕

Ek murghi ka bada farm hai jis me hazaron murghiyan hain us ki zakat ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

MURGI FARM KI ZAKAAT:
Murgi farm ki zameen aur imaarat wagairah ki qimat par zakaat waajib nahi, Aur un me jo murgiyan paali jaati hain unki 2 soorte hen,
(1)Agar murgi farm se ande maqsud hain, Aur unhi ke zariye aamdani haasil ki jati hai, Murgiyan bechne ke liye nahi hain, To aisi soorat me murgiyon ki qeemat par zakaat wajib na hogi,Balke sirf andon se haasil hone waali aamadni par zakaat laazim hogi, Goyaa murgiyan machine ke darje me hain,

(2)Aur agar murgi farm se mahaz ande maqsud nahi balke khud murgiyon aur choozon ko bechna maqsood hai, To aisi soorat me saal pura hone par in murgiyon aur choozon ki qeemat par zakaat wajib hogi, Kyun ke ye khud maale tijaarat hai,
و الله اعلم بالصواب
KITABUL MASAIL 2/219

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

QARZAH KO ZAKAAT ME LIKH LENA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2818⭕

Ek musalman bhai ke paas mera qarzah baaqi hai, woh haalaat me aa jane ki wajah se de nahin sakta hai, woh zakaat ka mustahiq hai, to kya me woh qarzah us se na mangoon, aur use zakaat me shumar kar sakta hun ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Poochhi huyi soorat me Zakaat adaa nahi hogi, kyun ke zakaat ki adayegi ke liye maalik banana zaruri hai, woh yahaan nahin paya gaya.

Lihaza zakaat bhi adaa ho jaye uska tariqah yeh hai ke : mustahiq e zakaat maqrooz ko wapas dene ki shart kiye bagair rupiyon ka qabzah dekar malik banaya jaye.

Phir use darkhast ki jaye ke yeh paisa mujhe mere qarze me chuka do, agar woh poore ya jitne paise wapas de deta hai utne ka qarzah adaa ho jayega.

📗MASAILE ZAKAT SE MAKHOOZ

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

KISI KO ZAKAT KA WAKEEL BANANA

⭕AAJ KA SAWAL 2819⭕

A. Kisi ko paise diye bagair, yun keh sakte hain ke tu meri taraf se zakaat adaa kar de, baad me mei tujhe paise de dunga.
is se zakat adaa ho jati hai ?

B. Ek shakhs ne kisi doosre ko zakaat ki adaaigi ka wakeel banaya, to us shakhs ne malik ki ijazat ke bagair doosre ko banaya to ye jaiz hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

A.
Haan, puchhe huwe tareeqe se bhi zakat adaa ho jati hai.

B. Haan Ye surat bhi jaiz hai.

📚KITABUL MASAIL 2/256

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

KIRAYE PAR DIYE MAKAN PAR ZAKAAT

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2820⭕

Ek shakhs ke paas apne rehne ke alawa bahut se makaan hain aur un makaanon ko kiraye per dene ke liye kharida hai taki uska Rupya bhi mahfooz rahe aise makaanat ki qeemat per zakaat Farz hogi ya kiraye par ?

🔵JAWAB🔵

Poochhi hui soorat me zakaat farz na hogi kiraye ke woh makaanat chahe kitni hee qeemat ke hon, kyun us ko kiraye par dene ki Niyyat se khareeda hai

Albatta unke kiraye se haasil hui raqam nisaab ke ba-qadr ya usse zyada jama ho aur saal bhi guzar jaye ya doosre maal ka saal pura ho raha ho to is raqam ka bhi us ke sath hisab kiya jaye, to
is tarah uski zakaat dena saal pura hone se pehle bhi zaruri ho jayega.

📗Aapke Masail aur unka Hal, Jild -6109

📘Fiqhul ibadaat, 281

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

JANWARON ME ZAKAAT KE WUJOOB KI SHARAA’IT.

⭕AAJ KA SAWAL No. 2828⭕

Jo log janwar palte hain un ki zakat wajib hone ki kya sharten hain uski zakaat kab wajib hogi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Jaanwaron me zakaat ka hukm usi waqt hai jabke Jaanwar darje zel jinson mese hon.
A.
(1) oont (2)Gaay,Bhens(3)Bher- ghenta,Bakri (Jangli jaanwaron masalan hiran ,ya parindon, ya gadhe,aur khachcharon me zakaat nahi hai ,illa ye ke ye jaanwar tijaarat ke hon to unpar maale tijaarat ke aetibaar se zakaat doosre Malon ki tarah farz hogi un me taadad ki koi shart nahi.
B.
Wo jaanwar 40 se kam na hon, warna gaay ya bhens ya bakri par zakat wajib na hogi.
C.
saal ke aksar hissa me jangal, maidanon me char kar guzaara karte hon , Agar aadhe saal ya usse kam char kar guzaara karte hon ya aksar saal Malik ko lakar chara khilana padta ho to zakaat waajib nahi, isi tarah jin jaanwaron ko ghar me rakhkar chaaraa khilaaya jaata hai jesa ke dairy waale log bhens wagairah baade me paalte hain,un me bhi zakaat waajib nahi hai,
(D) Un jaanwaron ko charaane ka maqsad un se dudh haasil karna, ya un se nasal chalaana ho, lihaaza unka gosht khaane khilaane ke liye yaa sawaari ke liye yaa khet jotne wagairah ke liye agar paala jaaye to un me zakaat waajib nahi (Aur agar jaanwaron ko khareedte waqt tijaarat ki niyyat ki gayi ho, mahaz dudh ya nasal parwari maqsad naa ho to phir un me jaanwaron ki qeemat lagaakar saal ba saal zakaat dijaayegi, aur unme jaanwaron ki zakaat ka muta’aiyanaa tadad nisaab jaari naa hoga

📗KITABUL MASAIL 2/234

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

EK TOLA SONA AUR 10 RUPIYE PAR ZAKAAT

⭕AAJ KA SAWAL No. 2829⭕
Mere pas sirf ek tola hee Sona hai Sade saat tola Sona jo zakat ka nisab hai woh mere pas nahi hai to kya mujh par zakat wajib hogi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Zakaat me nisab ka meyar aur daromadar ab chandi hai Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke zamane me sone aur chandi ki qeemat qareeb qareeb rehti thi isliye dono nisab bayan kiye gaye lekin ab dono ki qeemat me zameen aasman ka farq hai lihaza aap ke paas ek tole sone ke sath aadha tola chandi ho ya sirf 10 rupiye hain jo zakaat wajib hone ki islami tareekh me kharch nahi karne hai to chandi ya das rupiye aur sone ki qeemat ko milayenge to chandi ka nisab jo sade bavan tola yani 612 gram 350 mili garam ki qeemat ko pahonch hee jata hai isliye zakaat wajib hai.dunya me 100 me shayad ek do hee aisee aurat hogi jis ke paas ek tola Sona ho sath me kuchh bhi rupiye ya chandi na ho lihaza aisee koi aurat ho to us ke ek tole sone par zakat wajib na hogi.

📗 KITABUL MASAIL 2/213 SE MAKHOOZ BA HAWALA SHAMI ZAKARIYA 3/234.

و الله اعلم بالصواب

NOTE:ye masla zakaat na nikalne wali aksar aurton ko maloom nahi lihaza unhen khas bataya jaye.

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

ZAKAAT AUR SADQAH E FITR ME FARQ

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2831⭕

Kya yeh baat sahih hai ke jis par zakat wajib nahin us par sadqatul fitr bhi wajib nahin?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Yeh baat sahih nahin. Ba’az log galati se yeh samajhte hain ke jis per Zakaat Farz nahin us per Sadqah e fitr bhi waajib nahi, halaan ke zakat aur sadqah e fitr ke wujib hine me teen (3) farq hain. jis se ma’alum hota hai ke bahot se aise log bhi hain jin par zakat wajib nahin lekin Sadqah fitr wajib hai.

1. Bahut se logon per zakaat wajib nahin hoti magar sadqah e fitr waajib hota hai kyun ke sadqah e fitr ke nisab par saal pura hona zaruri nahin balke eid ki raat ko nisab jitne maal ka malik ho gaya to bhi sadqah e fitr wajib hai.

2. Zakaat ke wajib hone ke liye maal ka tijarat (bechne ki niyyat se khareeda huwa hona) zaruri hai, zarurat se zaid (ziyadah) aisa maal jo tijarati nahin uspar zakat wajib nahin, Albattah sadqah e fitr wajib hai sadqah e fitr ke wajib hone me zarurat se zaid tamam maal ko shumar karenge agarche woh maal bechne ki niyyat se na khareeda gaya ho.

3. Na-balig par zakat farz nahin lekin sadqah e fitr wajib hai, vaali ko chahiye us ke maal se adaa kare agar apne maal me se bhi adaa kare to adaa ho jayega
Sahibe nisab baap ya wali (zimmedar) par apni tamam na balig awlad ka sadqah e fitr wajib hai

📗MASAILE ZAKAT

و اللہ اعلم

✏Imran Ismail Memon Hanfi Gufira Lahoo
🕌Ustaze Darul Uloom Rampura Surat Gujrat India

FITRAH KITNA AUR KYA ?

⭕AAJ KA SAWAL 2833⭕

Ek aadmi ka Fitrah kitne rupiye hain aur kya cheez de sakte hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Sadqah e fitr me har qism ka galla (anaaj) aur qeemat dena jaiz hai,

Uski tafsil yeh hai

Agar gehun ya uska aataa de to har aadmi ka pone do kilo (1 kilo 750 gram) dena chahiye,

Agar gehun ke alawa aur koi galla (anaaj) maslan chaval, baajra, javaar, wagerah de to pone do kilo gehun ki qeemat ya saade teen kilo (3 kilo 500 gram) jaw (barley) ki qeemat me jitna wo galla aataa ho itna galla dena chahiye,

➡(Aaj ke hisaab se 60 rupiye adaa karne honge)

Sab se behtar fitra yeh hai ke, aaj kal chhuarah (kharek) ya kishmish (sukhi darakh) ki keemat aur wazan ka nisaab ziyadah hai, lihaza saade teen kilo kharek ya darakh ki keemat behtar hai,

Hadis me hai ke

ALLAH TUMHE ZIYADAH DE TO TUM BHI ZIYADAH DO.

✳COMMON FITRA
GEHUN KI QEEMAT RS 60 [year 2022] Hazarpati ke liye

✳ GOOD FITRA
SADE TIN KILO JAW (BARLEY) YA USKI QEEMAT RS.350
(year 2022) lakh pati ke liye

✳BETTER FITRA
SADE TIN KILO KHAJOOR YA US KI QEEMAT RS 700
[year 2022] karod pati ke liye

✳BEST FITRA
SADE TIN KILO KISHMISH YA US KI QEEMAT RS 1200
[year 2022] Abbajpati ke liye

NOTE: YE BHAW SURAT AUR US KE ATRAAF KA HAI

📗Masaile roza 416, ba hawala

📘ilmul fiqah 4/53

📗AWZANUL MAHMOOD

JAWAHIRUL FIQAH

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

SADQATUL FITR EID SE PEHLE YA EID BAAD DENE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.2834⭕

Sadqatul fitr kis waqt wajib hai ?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Eid ke din jis waqt subah sadiq-fajr ka waqt aata he usi waqt ye sadqa tul fitr waajib hota hai.

Agar koi Fajar ka waqt aane se pehle hi mar gaya to us per sadqa e fitr waajib nahi, Uske maal me se fitra nahi diya jayega.
📗Ba- Hawala, Hindiya 1/191

Behtar ye he ke Eid ul Fitr ke liye Jane se pehle sadqa tul fitr Ada kar de, agar pehle na diya to baad me Ada kar de,

Agar kisi ne sadqa tul fitr Eid ke din se pehle hi Ramzan me de diya tab bhi Ada ho gaya, Ab dobara dena waajib nahi.

Agar eid ke din bhi nahi diya to fitra waqt chale jane se muaaf nahi hoga us ka wujoob zimme me baqi rahega lihaza reh jaye to eid baad bhi Ada kar de aur istigfar kare.

📘Ba- Hawala Sharah Tanveer, 2/125

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

BEROON SHAKHS AUR MUSAFIR KA WATAN ME FITRA NIKALNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2837⭕

Me eid saudi me kar raha hun aur mere dost afrika me eid kar raha hai,
hame india me sadqah e fitr dene ke liye phone karna hai, to sadqah e fitr apne watan india ki qeemat ke aetibar se nikalna chahiye ya saudi aur afrika ke aetibar se nikale ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Eid ki subahe sadiq ke waqt musafir jis jaga ho us jaga ki qeemat ke aetibar se sadqah e fitr nikalna chahiye.

lihaza puchhi hui surat me aap ko saudi aur aap ke dost ko afrika ke qeemat ke aetibar se safqah e fitr nikalna chahiye india ki qeemat aur bhaw ka aetibar na hoga.

📕KITABUL MASAIL JILD 2 SAFA 286
📗BAHISHTI ZEWAR

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

FITRA, KAFFARA, FIDYA GAIR MUSLIM KO DENE KA HUKM

⭕ AAJ KA SAWAL No.2851 ⭕

Fitra, kaffara aur fidya ke paise kis kis ko de sakte hai aur kis ko nahi ?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Jin logon ko zakat dena jaiz hai un hee logon ko fitra, fidya aur kaffarah dena bhi jaiz hai,

aur jin logon ko zakat dena na jaiz hai un hi logon ye raqme dena bhi na jaiz hai,

sirf gair muslim ka farq hai ke fitra, fidya, kaffarah gair muslim ko dena bhi jaiz hai.

abhi ke haalat me Islam se qareeb karne ya un ke shar-burai se bachne ke liye de sakte hai.

و الله اعلم بالصواب

📗KITABUL MASAIL 2/285 BA HAWALA
📘SHAMI WA
📙AALAMGIRI

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.