Zil hijjah ke chand hone ke baad baal & nakhun kaatne ka hukm
Zil hijjah ke chand hone ke baad baal & nakhun kaatne ka hukm
sawal
Zil hijjah ke chand hone ke baad baal aur nakhoon kaatna kaisa hai ? Iski kya maslihat wa hikmat hai ?
Jawab
Zil hijjah ke chand hone ke baad jiske zimme qurbaani ho usey baal aur naakhoon eid ki namaaz aur us ki qurbaani hone tak na kaatna *mustahab hai.*taake qurbaani ka janwar uske har har juz-hissah ka badal aur fidyah ho jaaye, aur allah ta’ala ki rahmat se us aadmi ke jism ka koi hissah mahroom na rahe,
Jin logon ke zimme qurbaani nahin hai woh bhi qurbaani karne walon ki aur haj me gaye huwe hajiyon ki mushaabahat (copy) ikhtiyaar karenge to woh bhi un par naazil honewali rahmat se insha allah mahroom na rahenge,
Lekin koi apne baal aur nakhoon katega, to na gunegaar hoga, na qurbaani me koi kharaabi aayegi, is par wajib ki tarah amal karna aur aisa na karne walon ko tokna sahih nahin hai,
Jo cheez jis darjah me sabit ho usko usee darjah me rakhna chahiye.
Note: jiske zere naaf aur bagal ke balon par 40 roz guzar gaye ho to woh shakhs is mustahab par hargiz amal na kare agar woh katne me 40 din se ziyadah takheer karega to gunehgar hoga.
Mirqaatul mafaateeh 3/306
Masaaile qurbaani , islaahee khutbaat se makhooz
Zilhijjah ke 10 dino ki ibaadat ki fazilat
sawal
Zilhijjah ke 10 dino aur raat me ibadat ki koi khaas fazilat hai ? Agar hai to hadis ki roshni me batane ki guzarish.
Jawab
- Huzurﷺne irshad farnaya: koi din aisa nahin jin me ibaadat karna khuda ta’ala ko zilhajjah ke 10 dino ki (ibadat) se ziyadah pasand ho, (kyun ke) in me se har din ka rozah 1 saal ke rozah rakhne ke baraabar hai, aur har ek raat ka jaagna shabe qadr me jaagne ke baraabar hai.
Tirmizi
Faaidah
10 wi taarikh se 14 wi taarikh tak ke 4 dino ka rozah haraam hai, is waaste ia rozah ki fazilat 9 taarikh tak ke liye hai.
- Ek hadis me irshad hai ke, me allah ta’ala se ummid karta hun ke arafaah (ya’ani zilhajjah ki 9 tarikh) ka ek rozah ek saal guzishta aur ek saal aaindah ka kaffarah ho jata hai.
Muslim
- Jo shakhs edain (eidul fitra, eidul ad’haa) ki dono raaton me sawab haasil karnejaaga uska dil us din zindah rahega jis din sab ka dil murdah hoga. (ya’ani qayamat ke din)
Ibne majah