Zulhijjah ke 10 dino ki ibaadat ki fazeelat
⭕Aaj ka sawal no. 2895⭕
Zulhijjah ke 10 din aur raat me ibadat ki koi khaas fazeelat hai ?
Agar hai to hadees ki roshni me batane ki guzarish.
🔵Al Jawab🔵
Hazrat Abu hurairah raziyallahu anhu se riwayat hai ke Huzur ﷺ ne irshad farmaya: koi din aisa nahin jin me ibaadat karna khuda ta’ala ko zulhijjah ke 10 dino ki (ibadat) se zyadah pasand ho, (kyun ke) in me se har din ka rozah 1 saal ke rozah rakhne ke baraabar hai, aur har ek raat ka(ibadat ke liye) jaagna shabe qadr me jaagne ke baraabar hai.
📗IBNE MAJAH
Hazrat ibne Abbas raziyallahu anhuma se riwayat hai ke rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke zulhijjah ke in das dinon me Allah taala ke nazdeek jitne Amal mahboob aur pasandeedah hen kisi aur dinon me itne pasandeedah aur mahboob nahi.sahaba raziyallahu anhum ne poochha ke (sab se zayadah fazeelat wala Amal aur dinon ka) Allah ke raste ka jihad bhi nahi? Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke han jihad bhi nahi magar Haan koi aisa shakhs ho jo Allah Taala ke raste me apni jaan maal lekar nikla ho aur kuchh bhi lekar ghar na lote.(dono cheez qurban kar de us ka Amal badh sakta hai).
📕(TIRMIZI SHAREEF)
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India